maiN zail meN chand aise ash'aar likh rahaa hooN jo haiN to behad
mash'hoor, lekin in se KhaaliqoN ke naam gosha e gumnaami meN chhupe
haiN.
in ash'aar ki maqbooliyat kaa ye 'aalam hai k aksar paRhe likhe ahbaab
ko tehreer o taqeer meN inheN istemaal karte haiN. aur to aur, in meN
se kayi ash'aar to TruckoN, basoN aur rickshaa'oN ke peechhe bhi jalva-
afroz hote dekhaa hai. lekin DhoonDne ke baavujood in ke Khaaliqeen
ke naam kaheeN na mil paaye.
agar aap meN se kisi ko in meN se kisi shaa'ir ke baare meN ma'aloom
ho to likh deejiye, paishgi shukriya haazir hai:
maaneN na maaneN aap ko ye iKhtiyaar hai
ham nek o bad huzoor ko samjhaaye dete haiN
---
Eid kaa din hai gale aaj to mil le zaalim
rasm e duniyaa bhi hai mauqa bhi hai dastoor bhi hai
---
naala e bulbul e shaidaa to sunaa hans hans kar
ab jigar thaam ke baiTho k meri baari aayi
---
Khud raaz haqeeqat ke vuhi khol rahaa hai
Mansoor ke parde meN Khudaa bol rahaa hai
---
rafeeqoN se raqeeb achhe jo jal kar naam lete haiN
guloN se Khaar behtar haiN jo daaman thaam lete haiN
---
hameN naaz hai bas adaa'oN pe apni
pasand apni apni Khayaal apnaa apnaa
------
aadaab arz hai,
Zafar
Eid kaa din hai gale aaj to mil le zaalim
rasm e duniyaa bhi hai mauqa bhi hai dastoor bhi hai
janaab-i-Zafar Sahib aadaab 'arz hai.
maiN vusuuq se to nahiiN kah saktaa lekin thoRii sii Google par
taftiish kii hai awr natiijah niklaa hai...Qamar Badaayuunii. aage
Allah bihtar jaantaa hai.
Khair-andesh,
Naseer
> naala e bulbul e shaidaa to sunaa hans hans kar
> ab jigar thaam ke baiTho k meri baari aayi
Lala Madho Ram Jauhar
KHair-Khvaah,
Naseer
Naseer saahib bahut shukriya, lekin agar aap havaala bhi faraaham kar
deN to kyaa hi baat ho.
Zafar
janaab-i-Zafar Sahib, aadaab.
'iid kaa din hai gale aaj to mil le zaalim
rasm-i-dunyaa bhii hai mauqa' bhii hai dastuur bhii hai
Qamar Badaayuunii
naalah-i-bulbul-i-shaidaa to sunaa haNs haNs kar
ab jigar thaam ke baiTho kih merii baarii aaii
Lala Madho Ram Jauhar
havaalah:
KHud raaz Haqiiqat ke vahii khol rahaa hai
Mansuur ke parde meN KHudaa bol rahaa hai
Shams Hamid
Havaalah (niiche dekhiye)
Allah's Martyr by Shams Hamid
'Ana'al-Haq' 'Ana'al-Haq' 'Ana'al-Haq' 'Ana'al-Haq'
Mansoor ke parde main Khuda bol raha hai
israar Khudai ke Khuda khol raha hai
Mansoor ka haq hai kay 'Ana'al-Haq' kaha hai
'Ana'al-Haq' hai Mansoor 'Ana'al-Haq' rahega
'Ana'al-Haq' ka naara to sada haq rahega
aisa bhi din hoga jo her koi kahe ga
'Ana'al-Haq' 'Ana'al-Haq' hi ka wird karega
jhoota tha Khudai per Firon ka dawa
Firon tha Firon woh zalim ke khuda tha
Iblis mawahhid magar baaghi-e-Khuda tha
Shahadat-e-Mansoor ki shahid hai Khudai
Shahid tha Mansoor kia shahadat di Khuda ki
shahadat-e-Mansoor, shahadat hai Khuda ki
Mansoor ka haq hai kay 'Ana'al-Haq' kaha hai
Mansoor ka yeh qarz sada qarz rahega
'Ana'al-Haq' hai Mansoor 'Ana'al-Haq' rahega
Mansoor Khuda pe hai fida, kesa fida hai
Mansoor kahan yeh to Khuda bol raha hai
Kate hath, kate paon per sarshaar hai Mansoor
Dooiee ki wajah jism tha to thora bacha hai
Daar pe 'Ana'al-Haq' 'Ana'al-Haq'
Ki jo lai pe tanga dol raha hai
Yeh Mansoori sada hai jo Khuda bol raha hai
Mansoor ka haq hai kay 'Ana'al-Haq' kaha hai
Mansoor ka yeh qarz sada qarz rahega
aisa bhi din hoga jo her koi kahe ga
'Ana'al-Haq' 'Ana'al-Haq' hi ka wird karega
raakh se Mansoor ki jo Phool khila hai
kantoon ki mohabbat se kia surkh howa hai
ya dil hai Mansoor ka jo Phool howa hai
ya lai pe 'Ana'al-Haq' ki sir phor liya hai
is Phool ke parde main yeh Mansoori sada hai
yeh Phool Khuda hai yeh Khuda bol raha hai
Mansoor ka haq hai kay 'Ana'al-Haq' kaha hai
'Ana'al-Haq' hai Mansoor 'Ana'al-Haq' rahega
'Ana'al-Haq' ka naara to sada haq rahega
aisa bhi din hoga jo her koi kahe ga
'Ana'al-Haq', 'Ana'al-Haq' hi ka wird karega
tehqeeq-e-Mansoor se yeh pata chla hai
'haqeeqat' hai yahi ke 'haq' 'muqaddas howa hai
"main 'haq' hoon aur 'haq', hai 'haq' ke sath 'haq'
'Ana'al-Haq'o w'al-Haq lil'Haqq Haqq"
'Anal-Haq' 'Anal-Haq' 'Anal-Haq' 'Anal-Haq'
.................................................................................
rafiiqoN se raqiib achchhe jo jal kar naam lete haiN
guloN se KHaar bihtar haiN jo daaman thaam lete haiN
Zafar Sahib, mumkin hai kih zail vaalii nazm se aap ko shaa'ir kii
shinaaKHt ho jaae
Havaalah:
Khushi kii raat
khushi ki raat hai saare chirag gul kardo
khushi ki raat hai saare chirag gul kardo
.....khushi ki raatmain jalne wala kya kaam.
azeezon se rakeeb acche jo jal kar naam lete hai
azeezon se rakeeb acche jo jal kar naam lete hai
gulon se khaar behtar hai jo daaman thaam lete hain
woh dour bhi dekhe hain hamne aate hue
woh dour bhi dekhe hain hamne aate hue
.....lamhon ne khataa ki aur sadiyon ne sazaa paayi
...............................................................................................
KHair-Khvaah,
Naseer
Naseer saahib, ye koyi qavvaali hai kyaa? aise hi "Allah's Martyrs"
vaali "nazm" ki bhi samajh naheeN aayi.
aap ne Tabassum saahiba ki post kaa Khoob havaalaa nikaalaa hai.
agarche us meN is qadar aGhlaat paaye jaate haiN k us post par aik
alag mazmoon likhaa jaa saktaa hai! taaham ye bhi Ghaneemat hai!
to is kaa matlab ye huvaa k ye do ashh'aar ab bhi hal talab haiN:
hameN naaz hai bas adaa'oN pe apni
pasand apni apni Khayaal apnaa apnaa
maaneN na maaneN aap ko ye iKhtiyaar hai
ham nek o bad huzoor ko samjhaaye dete haiN
aadaab arz hai,
Zafar
> to is kaa matlab ye huvaa k ye do ashh'aar ab bhi hal talab haiN:
>
> hameN naaz hai bas adaa'oN pe apni
> pasand apni apni Khayaal apnaa apnaa
>
> maaneN na maaneN aap ko ye iKhtiyaar hai
> ham nek o bad huzoor ko samjhaaye dete haiN
>
> aadaab arz hai,
>
> Zafar
janaab-i-Zafar Sahib, aadaab 'arz hai.
Tabassum Sahiba kii posT kii tamaam GHa;atiyaaN janaab-i-Raj Kumar
Sahib ne duur kar dii thiiN awr vaaqi'ii vuh bhii ek taviil posT ban
gaii thii.
aap Shams Hamid ko Youtube par sun sakte haiN. maiN ne un kaa naam
pahle nahiiN sunaa huaa thaa awr internet hii se yih "qavvaalii?" bhii
milii hai.
kyaa "rafiiqoN se raqiib bihtar..." ke shaa'ir kaa aap ko patah chal
gayaa hai?
baaqii-maandah do ash'aar kaa mujhe kuchh patah nahiiN chal sakaa hai.
ho saktaa hai kih diigar ALUP vaale is silsile meN aap kii madad ko aa
jaaeN.
KHair-KHvaah,
Naseer