phir koi aaya dil-e-zaar nahin koi nahin
rah ro ho ga kahin aur chala jaye ga
dhal chuki raat bikharney kaga taroon ka ghubaar
laRkhaRaney lagey aewanoon main khabeeda chiraagh
su gaee rasta tak tak ke har ik rehguzaar
ajnabi khaak ne dhundla diye qadmoon ke suragh
gul kao shama baRha do may-o-meena-e-ayaagh
apney bekhaab kiwaRoon ko muqaffal kar lo
ab yahan koi nahin koi nahin aye ga
----------
is nazm ki takmeel main, bandey ne sirif hafzey ka sahara liya
hea. is baat ko paish-e-nazr rakhtey hoey tahreer main payee
janey wali kisi bhi khami ko sirif fidvi ki jahalat se ibarat
kiya jaye.
aur haan YOGGESH JI aap ki bohat bohat nawazish, magar aap ki
zarra nawazi ne mujhey bohat sharminda kar diya hea.mujh jaisey
jahil ki kiya bisaat ke kisi ki taseeh kar sakoon, main tu khud
abhi tak maktaba-e-Urdu ke ibtadaee darjey main pohanchney ki
jid-o-jehad kar raha hoon
Salah-e-aam hea yaraan-e-nuqta daan ke liye
--
~ Musafir
------------------------------------------
safar darpaish hea aik be musafat
musafat ho tu koi rasta nain
------------------------------------------
phir koi aya
dil-e-zar nahin, koi nahin
raah ro ho ga
kahin aur chala jaye ga
gul karo shamaiN
barha do muy-o-meena-o-ayyaagh
apnay bekhaab kivaaroN ko muqafful ker lo
ab yahaN koi nahin koi nahin aye ga
Dhal chuki raat bikharne laga taron ka ghubar
dagmagane lage aiwano main khwabeda chiraggh
Thuck gai rasta tak tak ke hur ik rah guzar
ajnabi khak ne dhundladea qadmon ke suragh
Gul kara shamen barha do mai-o-meena-o-ayagh
apne bekhwab keevaron ko maqaffal karlo
Ab yehan koi nahi koi nahi ayega
Enjoy it!