Parween Shakir 24 November 1953 ko Karachi meN paidaa huweeN. un ke
waalid kaa naam Syed Shakir Hussain thaa aur wo "Saqib" ke taKhallus
se shaai'ree karte the. Syed sahib Bharat ke shehr Patna se hijrat kar
ke Pakistan tashreef laaye the. Parveen Shakir ka ta'aleemee career
nihaayat shaandaar rahaa. unhoN ne apnee nisaabee aur Ghair-nisaabee
sargarmeeoN par bai-shumaar in'aamaat, asnaad aur tamGhe haasil kiye.
unhoN ne Jamia Karachi se English literature meN M.A. ke ilaawa
Harvard University se P.M.A. kee degree bhee haasil kee.
1994 meN Parveen kee shaadee Dr. Naseer Ali se huwee, taaham sasuraal
se Parveen kee nibh na sakee aur ye shaadee bil-aaKhir talaaq par
Khatm huwee. Parveen kaa aik beTaa Muraad hai jis se un ko bai-had
muhabbat thee aur Parveen kee shaa'iree meN us kaa zikr kaee baar
aayaa hai.
Parveen kee shaai'ree ke 5 majmoo'e haiN: Khusboo, Sad Barg, Inkaar,
Khud-kalaamee aur Kaf e Aayeena. unhoN ne apnee kuliyaat kaa naam
apnee zindagee meN hee tajweez kar liyaa thaa, jo ism-e-ba-musamma
saabit huwaa: Mah e Tamaam.
26 December, 1994 ko Khusboo'oN, rangoN aur naGhmoN kee ye safeer aik
bus driver kee Ghaflat kaa shikaar ho kar karoRoN she'er o adab ke
matwaaloN ko saugawaar kar gayee.
Parveen Shakir kee shaai'ree par kal Islamabad meN muna'qid hone
waalee aik taqreeb meN janaab IftiKhaar Arif ke alfaaz kaa English
tarjuma:
"Parveen covered a wide range of subjects, whose treatemnt, though
largely romantic, always maintained a certanin asesthetic level. An
important aspect of ther verses, is its lyricism. Her words, imbued
with lyricism and musicality, impart a certanin quality to her verses,
which can only be described as complete poetry."
Parveen Shakir kee muntaKhib GhazlaiN aur nazmeN aap is link par Urdu
script meN mulaahiza kar sakte haiN:
www.eurdubazaar.com/parveen.asp
Zafar
aap ka bahut bahut shukriya Parveen Shakir ki zindagii ke baare meiN itni
saari baatoN se ham sab ko aagaah kiya. un ki barsi ham sab ko yaad
dilaane ka aur Islamaabad meiN hone wali taqreeb se Iftikar Arif Sahib ki
taqreer ke kuchh alfaaz pesh karne ka bhi shukriya.
agar aap ne is taqreeb meiN khud shirkat ki thi to us baare meiN bhi
zaroor ALUP par zaroor likhyiye. Arif Sahib ke ilaawaa aur kaunse shaa'ir
Hazraat ne shirkat ki thi?
Cheers!
Abida Sultana
maiN Parveen Shakir kee barsee par hone waalee taqreeb meN shareek
naheeN thaa, taaham itnaa zaroor ma'loom hai k us meN Iftikhar Arif ke
ilawa Parveen Shakir Trust kee sadr Parveen Qadir Agha aur Parveen
Shakir kaa beTaa Murad bhee shaamil the. Murad sahib is taqreeb meN
shirkat ke liye Khaas taur se Toronto, Canada, se aaye the.
aik tas-heeh: pichhlee post meN na jaane kaise Parveen kee shaadee kaa
saal 1994 darj ho gayaa, haalaan k ye un kee wafaat kaa saal hai.
Parveen kee shaadee 14 October, 1976 ko huwee thee.
aap kee tawajju kaa shukriya,
Zafar
aadaab.
aap ki correction ka shukriya.
Murad Sahib ke baare Toronto ki info ka bhi bahut bahut shukriya :-)
Abida Sultana