Vijay SaaHib, the font is nasx which is often used in printed Urdu books.
jannat se Jaun Alia kaa xat Anwar Maqsood* ke naam
Annu Jaanii!
tumhaaraa xat milaa. Pakistan ke Haalaat paRh kar ko'ii xaas pareshaanii nahiiN hu'ii. yahaaN bhii isii qism ke Haalaat chal rahe haiN. shaa3iroN aur adiiboN ne mar mar kar yahaaN kaa beRaa Gharq kar diyaa hai. mujhe yahaaN bhaa'iyoN ke saath rahne kaa kahaa gayaa thaa. maiN ne kahaa kih maiN zamiin par bhii bhaa'iyoN ke saath hii rahaa kartaa thaa, mujhe ek alag kavaaTar 3inaayat farmaa'eN. Mustafa Zaidi ne yih kaam kar diyaa aur mujhe kavaaTar mil gayaa magar is kaa Diizaa'in nasarii nazm kii tarH kaa hai jo samajh meN to aa jaatii hai lekin yaad nahiiN rahtii. Rozaanah bhuul jaataa huuN kih meraa bed-room kahaaN hai. Lekin is kavaaTar meN rahne kaa ek faa'idah hai. Mir Taqi Mir kaa makaan saamne hai. In ke 250 ash3aar jin meN vazn kaa fuqdaan thaa, nikaal chukaa huuN magar Mir se kahne kii himmat nahiiN ho rahii.
Kuuch-i-shi3r-o-suxan meN sab se baRaa ghar Ghalib kaa hai. main ne Mir se kahaa kih aap Mir se baRe shaa3ir haiN; aap kaa ghar aivaan-i-Ghalib se baRaa honaa chaahiye. Mir ne kahaa, "dar asl vuh ghar Ghalib ke susraal kaa hai. Ghalib ne us par qabzah jamaa liyaa hai. Mir ke ghar ko'ii nahiiN aataa. saal bhar ke 3arse meN bas ek baar Nasir Kazimi aa'e. vuh bhii Mir ke kabuutaroN ko dekhne ke liye. Aivaan-i-Ghalib maGhrib ke ba3d khulaa rahtaa hai jis kii vajh tum jaante ho.
mujhe kyaa buraa thaa marnaa
agar ek "bar" hotaa
yahaaN aa kar yih misra3ah mujhe samajh meN aayaa. is meN "bar" aNgrezii vaalaa hai.
Do martabah Ghalib ne mujhe bhii bulvaayaa lekin Munir Niyazi ne yahaaN bhii meraa yih pattah kaaT diyaa. Sauda kaa ghar mere kavaaTar se sau qadam ke faasile par ha. yahaaN aane ke ba3d main un se milne gayaa. Mujhe dekhte hii kahne lagaa, "miyaaN! tum meraa saudaa laa diyaa karo. maan gayaa. Sauda kaa saudaa laanaa mere liye baa3is-i-3izzat hai. lekin jaanii! Jab Saudah Hisaab maaNgte the to mujh par qiyaamat guzar jaatii thii. jannat kii murGhii itnii mahNgii le aa'e? Halvah kyaa Niyaz Fathpuri kii dukkaan se le aa'e? tumheN TiiNDoN kii pahchaan nahiiN hai? har chiiz pih i3tiraaz. Mujhe lagaa thaa kih vuh shakk karne lage haiN kih main saude meN paise rakh letaa huuN. Chaar roz pahle main ne un se kah diyaa kih main Urdu adab kii taariix kaa vaaHid shaa3ir huuN jo assii laakh kaish chhor ke yahaaN aayaa hai. aap ke TiiNDoN se kyaa kamaa'uuN gaa. Aap ko baRaa shaa3ir maantaa huuN is liye kaam karne ko taiyyar hu'aa. Aap kii shaa3irii se kisii qism kaa faa'idah nahiiN uThaayaa. Aap kii ko'ii zamiin isti3maal nahiiN kii. Aayandah apnaa saudaa Faiz Ahmed Faiz se maNgvaayaa kiijiye taa kih aap kaa thoRaa bahut qarz to chukaa'eN. Mere haath meN baingan thaa. Vuh un ke thamaayaa aur kahaa, "baingan ke mere haath se lenaa kih chalaa main"
ek shahd kii nahr ke kinaare Ahmad Faraz se mulaaqaat hu'ii. main ne kahaa mere ba3d aa'e ho is liye xvud ko baRaa shaa3ir mat samajhnaa. Faraz ne kahaa, "mushaa3ire meN nahiiN aayaa?" phir mujh se kahne lage, "Umrao Jaan kahaaN rahtii hai".maiN ne kahaa, jaa'o mujhe nahiiN ma3luum vuh kahaaN rahtii hai.
Jaanii! Ek Huur hai jo har jum3eraat kii sham mere ghar aaluu kaa bhurtaa pakaa ke le aatii hai. shaa3irii kaa bhii shauq hai, xvud bhii likhtii hai. magar jaanii! Jitnii der vuh mere ghar rahtii hai sirf Mushtaq Ahmed Yusufi kaa zikr kartii hai. us ko sirf Mushtaq Ahmed Yusufi se milne kaa shauq hai. main ne kahaa, xudaa un ko lambii 3umr de. Pakistan ko un kii bahut zaruurat hai. agar milnaa chaahtii ho to zamiin par jaa'o. jis qism kii shaa3irii kartii ho kartii raho. Vuh tumheN xvud DhuuND nikaaleN ge aur picnic manaane samundar ke kinaare le jaa'eN ge.
Ibn-i-Insha, Sayyid Muhammad Ja'fri, dilawar Figar, Farid Jalalpuri aur Zamir Jalalpuri ek hii kavaaTar meN rahte haiN. un logoN ne 9 November ko Iqbal kii paidaa'ish ke silsile meN Dinar kaa ihtimaam kiyaa thaa. Iqbal, Faiz, Qasimi, Sufu Tabassum, Faraz aur ham vaqt-i-muqarrah par pahuNch ga'e. kavaaTar meN aNdheraa thaa aur darvaaze par parchii lagii thii, "ham log jahanuum kii bhaiNs ke paa'e khaane jaa rahe haiN. Dinar agle saal 9 November ko rakhaa hai. agle din Iqbal ne press conference kii aur un sab kii adabii maHfiloN meN shirkat par paabandii lagaa dii.
tum ne mushfiqii Khvaajah ke baare meN puuchhaa thaa. vuh yahaaN akele rahte haiN. kahiiN nahiiN jaate. magar Hairat kii baat hai jaanii! main ne un ke ghar Urdu ke baRe baRe shaa3iroN ko aate jaate dekhaa hai. yahaaN aane kii bhii jaldii nah karnaa kyoNkih tumhaare vahaaN rahne meN meraa bhiifaa'idah hai. agar tum bhii yahaaN aa ga'e to mujhe vahaaN kaun yaad kare gaa!? Jiite raho aur kisii nah kisii par marte raho. Ham bhii kisii nah kisii par marte rahe magar jaanii, jiine kaa mauqa3 nahiiN milaa!
..................
Naseer
*
https://www.youtube.com/watch?v=SQ1RCvqBqrE