aaj kal maiN Ibn-e-Insha kii kitaab ' chaand nagar' paRh rahii huuN. is
kitaab meiN se ek nazm, jo mujhe bahut pasaNd aayii hai, pesh-e-Khidmat
hai. ummiid hai yeh nazm aap sab ko bhii pasaNd aayegi.
Insha ne phir ishq kiya!
(ek aur na_marbuut kahaani)
Insha ne phir ishq kiya, Insha Sahib diivaane!
apne bhii voh dost hue, ham bii challenge samjhaane!! :)
1 - paimaan mehbuub se:
apne ko ham us shehar meiN rusva na kareNge!
ab tak jo kiya Khair, ab aisaa na kareNge!
v'ada hai k ab aur jalaayeNge na jii ko,
nuqsaan hai is meiN to yeh sauda na kareNge!
ta_shaam na un kuuchoN meiN ghuumeNge pareshaaN,
ta_subah shab-e-maah meiN jaaga na kareNge!
har moR pe ThhiThhakeNge na diivaanoN kii suurat,
har dar pe tujhe jaa ke pukaara na kareNge!
likheNge kisii aur hii unvaan kii nazmeN,
ghazaloN meiN bhi is baat ka charchaa na kareNge!
2 - baateN apne dil ke saath:
v'ada to kiya hai magar iifaa na kareNge!
iifaa jo kareNge, koii aChhaa na kareNge!
logoN se Chhupa leNge jo ahvaal hai jii ka,
apne se kisii baat meiN dhokaa na kareNge!
ai dil tire farmaanoN ko Taala hai na TaaleN,
un kii bhii tire saamne parvaa na kareNge!!
is raah ko ham ChhoR ke jaayeN kisii jaanib,
azurdah na ho --- ham kabhii aisaa na kareNge!!
likheNge usii ThhaThh se nazmeN, kabhii ghazaleN
haaN, aaj se logoN ko dikhaaya na kareNge!! :)
3 - Khitaab kisii dost ka, logoN se:
ham ne na kahaa tha k voh kya kya na kareNge?!
haaN, sabr kii kehte ho to Insha na kareNge!
baRh jaayega, aazaar-e-muhabbat hai yeh logo!
voh ek nazar dekh ke aChhaa na kareNge?!
un se yeh kaho aise diivaanoN se na uljheN!
sun leNge, magar aap ka kehnaa na kareNge!!!!
saayal haiN faqat ek ghalaayat kii nazar ke,
yeh aur kisii shai ka taqaaza na kareNge!
dar se na uThhayeN voh, zamaanat yeh hamaarii
rusva haiN, magar aap ko rusva na kereNge!!
4 - baab chaaram- dar musaafarat:
voh jii meiN koii baat jo late haiN aziizo,
yeh sab na kareNge?! chalo aChhaa, na kareNge!!
tanhaaii meiN le jaayeNge, samjhaayeNge dil ko,
yeh maan bhii jaayega, yeh d'ava na kareNge!!
itna hai, k ChhoReNge yeh diivaanoN kii suurat!
ham kal se sar-e-raah bhii baiThhaa na kareNge!
ho jaayeNge jaa kar kahiiN pardes meiN naukar!
yaaN saal meiN ik baar bhii aaya na kareNge!!
is shehar meiN aaiNdah na dekheNge voh ham ko,
kya kya na kiya ishq meiN?! kya kya na kareNge!!
Ibn-e-Insha
________Zoya
Allah kare meer ka jannat mein makan ho
marhoom ne har baat humari hi bayan ki...
Mohit
sher aChhaa hai, Mohit sahib.
Insha aur Ibn-e-Insha do muKhtalif shaayar haiN, yeh sher kis kaa hai?
bedard sun ni ho to chal kehta hai kya achchhi ghazal,
ashiq tera ruswa tera, shayar tera insha tera...
kya ye sher bhi ibn-e-insha sahib ne hi likha hai?
ye baatein jhoothi baatein hain ye logon ne phailai hain,
tum insha ji ka naam na lo kya insha ji saudai hain...
Mishra jii, aadaab 'arz hai!
jii haaN, "yih baateN jhuuTii baateN haiN", ibn-i-inshaa hii kii "is
bastii ke ik kuuche meN" se ek taviil nazm hai..
usii nazm se...
jo ham se kaho ham karte haiN, kyaa inshaa ko samjhaanaa hai?
us laRkii se bhii kah leN ge, go ab kuchh awr zamaanaa hai
yaa chhoReN yaa takmiil kareN, yih 'ishq hai yaa afsaanaa hai?
yih kaisaa gorakh dhandaa hai, yih kaisaa taanaa baanaa hai?
yih baateN kaisii baateN haiN, jo logoN ne phailaaii haiN
tum inshaa jii kaa naam nah lo, kyaa inshaa jii saudaaii haiN?
Naseer