In article <4SB04.3011$t12.1...@newscontent-01.sprint.ca>,
"Naheed Rana" <nahe...@uoguelph.ca> wrote:
------------
hairat hai ke abhi tak kisi ALUPer ne aap ki is farmaa'ish ki taraf
dhyaan naheeN diya. maiN to jaan-boojh kar peechhe haT gayaa tha taake
Irfaan Sahib, jinheN Urdu shaa'iri ki hifaazat ki shadeed fikr rehti
hai, aage aate aur aap ke bheje huye she'r par kuchh raushni Daalte.
magar lagta hai ke un ki masroofiyat ne unheN aisa karne naheeN diya.
aur yeh bhi mumkin hai ke voh, guzashta tajrube ki binaa par, ab Iqbal
ke ash'aar ko haath lagaane se Darte hoN! :-))
to, chaliye, maiN hi apni samajh ke mutaabiq is she'r ke baare meiN aap
ko apni raaye se muttelaa' karta hooN. First of all, let me re-write it
my way:
vaa'e naakaami! mataa'-e-kaarvaaN jaata rahaa
kaarvaaN ke dil se ehsaas-e-ziyaaN jaata rahaa
ehsaas-e-ziyaaN = realization of a loss
mataa' = precious things, valuables, daulat, jaa'e-daad, sarmaayah, ----
First of all, I am baffled to see Iqbal use mataa' as masculine. Yes,
maal-o-mataa' IS a masculine phrase --- but mataa', standing alone, is a
feminine noun. I have got it checked at four different places!
Note that the subject in the first line is mataa', not kaarvaaN; so,
regardless of the gender of kaarvaaN, the verb here must conform to the
gender of mataa', which Iqbal has chosen to use as masculine. I wonder,
why?
Nevertheless, the message of this she'r is vital. You know, kaarvaaN
refers to a 'group of people on the move'. Depending on the context, it
could mean a nation, a community, a tribe, or whatever. In the course of
time, because of causes both internal and external, things happen which
make the kaarvaaN suffer some important losses --- which may be of a
social, cultural or political nature. Now, so long as the people
constituting the kaarvaaN REALIZE what they are losing, there is some
hope that they will do something to change the situation for the better.
This REALIZATION (of loss) is what Iqbal refers to as mataa'-e-kaarvaaN.
And he is saying that aihl-e-kaarvaaN, agarche nuqsaanaat uThaa rahe
haiN magar phir bhi --- agar un ke dil-o-dimaagh meiN in nuqsaanaat ka
ehsaas qaa'im rehta to --- un ki haalat sudharne ki kuchh ummeed ki jaa
sakti thi. magar ab to voh is ehsaas ko hi, jo ke (aek tarah se) un ka
sarmaayah tha, kho baiThe haiN; to, is soorat meiN, voh ba-dastoor
nuqsaanaat uThaate chale jaayeN ge magar apni behtari ke liye koi qadam
naheeN uThaa paayeN ge. What a pity! vaa'e, naakaami!
This is how I understand this she'r. I hope it makes sense.
khair-andesh, Raj Kumar
Sent via Deja.com http://www.deja.com/
Before you buy.
Well..dair aayad, durust aayad :-)) Bohat shukria sher par apni raa'e
dainay ka, aur usay behter taur par likhna ka bhi.
Yeah, the message of the sher IS vital, du lino main itni bari haqiqat bayan
ki hai Iqbal nain (though, hamin sumjhnay kay liay pora page parnah para
:-)).
Naheed
>
> >hairat hai ke abhi tak kisi ALUPer ne aap ki is farmaa'ish ki taraf
> >dhyaan naheeN diya.
>
> Well..dair aayad, durust aayad :-)) Bohat shukria sher par apni raa'e
> dainay ka, aur usay behter taur par likhna ka bhi.
>
> Yeah, the message of the sher IS vital, do linoN main itni bari
haqiqat bayan
> ki hai Iqbal ne (though, hamen sumjhnay kay liay poora page parnah
para
> :-)).
>
> Naheed
-------
mujhe be-had afsos hai, Naaheed ji, ke aap ko is she'r ko samajhne ke
liye 'POORA' page paRhna paRaa hai. sirf afsos hi naheeN, balke aap se
be-panaah ham-dardi bhi hai ke aap ko is ghair-zaroori aziyyat ka
saamna karna paRaa! :-))
magar kya kiyaa jaaye; Iqbal jaise shaa'ir baateN hi kuchh aisi karte
haiN ke do-chaar jumloN meiN vaazeh naheeN hoteeN. aap ko to shukr
karna chaahiye ke maiN ne is she'r par tanqeed aap ke roo-ba-roo naheeN
ki --- varna aap ka to buraa haal ho jaata! :-))
dar-asl, chand roz qabl maiN aap hi ke 'gaaoN' meiN tha. agar aap ka
kuchh ataa-pataa hota to maiN aap se mulaaqaat ka sharf zaroor haasil
karta. aur us mulaaqaat meiN isi she'r par aap ke saath tafseeli baat-
cheet bhi karta. na jaane, tab aap kaise bardaasht karteeN is koft ko!
shukr keejiye ke aap faqat aek page paRhne se hi surkh-roo ho
gayeeN!!! :-))
vaise, aap ke naam ki riyaayat se Ustaad Momin ka voh she'r yaad aa
rahaa hai jahaaN unhoN ne farmaayaa hai ke
us ghairat-e-naaheed ki har taan hai deepak!
sho'laa sa lapak jaaye hai, aavaaz to dekho!!!
what a she'r! jahaaN tak mujhe yaad hai, ALUP par is she'r ka zikr ho
chukaa hai. maiN ne jab is she'r par ghaur-o-khauz kiya to jee chaaha
ke aek gahzal isi zameen meiN keh DaalooN, magar qudrat ko aisa manzoor
naheeN tha. atibba ne mujhe gher-ghaar kar haspataal meiN Daal diya.
peshtar is ke, sirf aek she'r ho paaya jo mujhe be-had pasand hai; ho
sakta hai deegar ALUPers ko bhi pasand aaye. arz hai ke
har dekhne vaale ko kiyaa sharm se paani!
us aaNkh ke sharmaane ka andaaz to dekho!!!
I hope that one day I'll get back to that mood and ----- write a full
ghazal in this zameen!
achhchha, to ab ijaazat deejiye.
No, no...I didn't mean that! All I wanted to say was that this sher might
be very simple for some people, but it took me a while to appreciate it :-)
Oh Well!!
>magar kya kiyaa jaaye; Iqbal jaise shaa'ir baateN hi kuchh aisi karte
>haiN ke do-chaar jumloN meiN vaazeh naheeN hoteeN. aap ko to shukr
>karna chaahiye ke maiN ne is she'r par tanqeed aap ke roo-ba-roo naheeN
>ki --- varna aap ka to buraa haal ho jaata! :-))
>
>dar-asl, chand roz qabl maiN aap hi ke 'gaaoN' meiN tha. agar aap ka
>kuchh ataa-pataa hota to maiN aap se mulaaqaat ka sharf zaroor haasil
>karta. aur us mulaaqaat meiN isi she'r par aap ke saath tafseeli baat-
>cheet bhi karta. na jaane, tab aap kaise bardaasht karteeN is koft ko!
khair!! ta'asraat tu aap ke bhi qabl-e-deed hotay jab aapko khabar hoti ke
kitnay pani main hain hum!! :-) Raj Kumar saheb ap bhi "achay khasay baray
shehar" ko gaaon kehtay hain, hamaray bhai ki tarah :-) jab ghar jati
hoon tu bhai se isi bat par behas hoti hai. Anyways, agar phir kabhi idhar
se guzar ho tu zaroor tashreef la'ain.
>shukr keejiye ke aap faqat aek page paRhne se hi surkh-roo ho
>gayeeN!!! :-))
>vaise, aap ke naam ki riyaayat se Ustaad Momin ka voh she'r yaad aa
>rahaa hai jahaaN unhoN ne farmaayaa hai ke
>
>us ghairat-e-naaheed ki har taan hai deepak!
>sho'laa sa lapak jaaye hai, aavaaz to dekho!!!
acha sher hai, especially I like that "jaaye hai" in the sher, usually you
don't see these two words together.
>what a she'r! jahaaN tak mujhe yaad hai, ALUP par is she'r ka zikr ho
>chukaa hai. maiN ne jab is she'r par ghaur-o-khauz kiya to jee chaaha
>ke aek gahzal isi zameen meiN keh DaalooN, magar qudrat ko aisa manzoor
>naheeN tha. atibba ne mujhe gher-ghaar kar haspataal meiN Daal diya.
>peshtar is ke, sirf aek she'r ho paaya jo mujhe be-had pasand hai; ho
>sakta hai deegar ALUPers ko bhi pasand aaye. arz hai ke
>
>har dekhne vaale ko kiyaa sharm se paani!
>us aaNkh ke sharmaane ka andaaz to dekho!!!
>
>I hope that one day I'll get back to that mood and ----- write a full
>ghazal in this zameen!
bohat khoobsorat sher hai, zaror proi karain ghazal aap .
Naheed
In article <KlF44.4657$uj2.1...@newscontent-01.sprint.ca>,
"Naheed Rana" <nahe...@uoguelph.ca> wrote:
> ----------------------- Raj Kumar saheb, ap bhi "achhay khasay baray
> shehar" ko gaaon kehtay hain, hamaray bhai ki tarah :-) jab ghar
jati
> hoon to bhai se isi bat par behas hoti hai. Anyways, agar phir kabhi
idhar
> se guzar ho tu zaroor tashreef la'ain.
is ka matlab to yeh hua ke aap ke bhai sahib meiN aur ham meiN kam-az-
kam aek baat to mushtarik hai, voh yeh ke "we both enjoy teasing you!".
Isn't that wonderful?
to, chaliye, ab aap se va'ada rahaa ke ham aa'inda kabhi bhi aap ke
gaaoN ko 'gaaoN' naheeN kaheN ge!!! :-))
aur jab bhi mauqa' milaa to aap ke 'shaihr' meiN aa kar aap se
mulaaqaat kareN ge. phir aap ko bhi pataa chal jaaye ga ke khud ham
kitne paani meiN haiN! :-))
> us ghairat-e-naaheed ki har taan hai deepak!
> sho'la sa lapak jaaye hai, aavaaz to dekho!!!
> achha sher hai, especially I like that "jaaye hai" in the sher,
usually you
> don't see these two words together.
Usually not, but occasionally you do! aap ne ghaaliban meri ghazal
ba-rang-e-Meer, jo pichhle saal ALUP par nashr hui thi, naheeN dekhi.
us ghazal ke to radeef aur qaafiye hi aise the. maslan, doosra she'r us
ghazal ka yooN tha:
jab bhi tiri talaash ko nikle, bhaTak gaye
hai koi raasta jo tire ghar ko jaaye hai?
ab aap andaaza lagaa sakti haiN ke 'zabaan ki yeh lataafat', jo aap ko
Ustaad Momin ke she'r meiN bhaaii hai, us ghazal ke har she'r meiN
maujood thi!
> >har dekhne vaale ko kiyaa sharm se paani!
> >us aaNkh ke sharmaane ka andaaz to dekho!!!
> >
> >I hope that one day I'll get back to that mood and ----- write a full
> >ghazal in this zameen!
>
> bohat khoobsorat sher hai, zaroor poori karain ghazal aap .
she'r pasand farmaane ka shukriya! vaise, yeh ghazal kab poori hoti
hai, kehna bahut mushkil hai --- kiyooNke raaste meiN kayee
aur 'dilchaspiyaaN' haa'il hoti rehti haiN! :-))