maiN ne kuChh arsa pehle is silisile ko Alup par pesh karne kaa vaada
kiya tha. m'aazrat chaahtii huuN k ise manzar-e-aam tak laate laate
mujhe kaafii taaKhiir ho gayii. vajuuhaat meiN kuChh merii
masruufiyat, aur kuChh merii sustii shaamil haiN!
beharhaal, maziid kuChh na kehte hue, maiN silsile kaa aaghaaz us
guftgu se kar rahii huuN jo kuChh mahiine pehle, ham sab ke mohtarim
dost /ustaad, Raj Kumar Qais sahib aur mere darmiyaan huii thii.
maiN is silsile ko qistoN meiN pesh karuuNgii.
So dear Alup friends, I present to you the one and only, RK Qais
sahib! :):)
You are in for a real treat, and yes, it was definitely worth the
wait! :)
__________________________________________________________________________________
RK Qais: During the time period of 1954-64, I attended some 30-40 top-
class mushaa'iras in Delhi, heard the best poets from both India and
Pakistan and saw my interest in Urdu poetry grow by leaps and bounds.
Zoya: Qais Sahib, my question is based on your statement quoted above.
This is something I have always wanted to ask you.
I know you had heard Firaaq Gorakhpuri Sahib numerous times during
your stay in Delhi. Will you please name some other well known/not so
well known Urdu poets of that era who left a lasting impression on
you?
RK Qais: If, by 'lasting impression', you mean an 'enduring impression
they left on my way of thinking, learning or understanding poetry',
then I would say --- "hardly any"!
If you mean an 'impression that instilled in me a greater curiosity to
read more and more and more of the varied literature in Urdu', then I
would say --- "yes, they indeed left such an impression on me and, by
and large, they ALL did"! While people like Faiz, Firaaq, Hafeez and
Josh (Maleehaabaadi) and, to some extent, Bekal Utsaahi, SaaGhar
Nizaami, Josh Malsiyaani, Saahir Ludhiyaanvi and Naresh Kumar Shaad
did so by the very weight of their artistic prowess, lesser known
poets did so by constantly surprising me with compositions faaaaaar
superior to my expectations of them! Some names in the latter category
are:
MaKhmoor Dehlvi, Anvar Saabiri, Nashoor Vaahidi, Sikandar Ali Vajd,
Hayaat Lakhnavi, Adeeb Sahaaranpuri, Vafaa Malikpuri, Shameem
Kir_haani, Musheer Jhunjhaanvi, Saleem kathaulavi, etc.
If, on the other hand, you mean a 'lasting impression' they left with
me of their own personalities, their mannerism and their overall
conduct at these gatherings, then I would say --- "plenty"! A short
sampling of such impressions follows.
I found Firaaq the most 'awe-inspiring' intellectual in this whole
galaxy of luminaries, Josh Maleehaabaadi a person with the most
towering presence, Faiz the most 'gentlemanly poet' --- a darling of
the media --- and Hafeez the most 'chiRchiRaa" of the lot --- almost
shunned by the media, which made him even more bitter!
I found Bekal Utsaahi the most pleasant person on the dias, SaaGhar
Nizaami not as 'chiRchiRaa' as Hafeez but close, Josh Malsiyaani a
master of diction and a true 'jaa-nisheen' of DaaGh but woefully flat
in recitation ( I once remarked that the way Josh saahib writes his
stuff, I wish it were recited the way Firaaq does --- agar aisa ho to
yaqeenan paNDaal meiN aag lag jaaye)!
I found Saahir L. superb --- both in composition and in recitation
(and hence a darling of the gentler sex!) --- however, Naresh Kumar
Shaad (despite his masterly compositions and fairly effective
recitation) was perennially disheveled but still likeable! :(
Zoya: Will you please briefly describe some of your memories related
to those mushaairas? And I would love for you to quote some of the
ash'aar that you still remember from those days.
I am really looking forward to your answer to this question.
RK Qais: Regarding my memories of those mushaa'iras and regarding some
chosen ash'aar from those days, please wait for the next instalment of
my reply! And, of course, if you come up with further questions, rest
assured, they will be dealt with due 'love and affection'! :)
To be continued.......................
_________Zoya
RK Qais: jaisa k aap ne farmaaya hai, maiN ne Firaaq saahib ko
mut'addid baar sunaa tha aur un se mut'alliq jo mushaahidaat mere zehn
meiN haiN un ka "tafseelii Khulaasa" maiN ne do baras pehle raqm kiyaa
tha. socha k voh baateN yahaaN dohraane ki bajaaye kyooN na usi
Khulaase ka 'reference' yahaaN deta chalooN. yeh Khulaasa aap ne
Urdustan se ALUP par muntaqil kiyaa tha, so [aap ki ba-daulat] yeh
saare ka saara mavaad Alup archives meiN maujood hai. yeh Khulaasa
chhe aqsaat par mushtamil hai aur is meiN kalaam-e-Firaaq ke bahut
saare namoone shaamil haiN. mujhe ummeed hai k yaaraan-e-mehfil is
Khulaase se poora poora istefaada kareN ge!
to, chaliye, ab chalte haiN un mushaa'iroN ki taraf jin ki be-shumaar
yaadeN mere zehn meiN mehfooz haiN. yeh yaadeN, baGhair kisi tarteeb
ke, aap ki Khidmat meiN haazir haiN:
aek mushaa'ire meiN, Sardar Swarn Singh (jo k un dinoN markazi
kaabeena meiN vazeer-e-difaa'a the) sadr-e-mehfil ke masnad par
tashreef-farmaa the. jab naazim-e-mushaa'ira ne un se kuchh farmaane
ki darKhwaast ki to Sardar saahib 'mike' par aaye aur kahaa:
"Khwaateen-o-hazraat, aap yahaaN mushaa'ira sun_ne aaye haiN, taqreer
sun_ne naheeN aaye. to, leejiye, meri taqreer Khatm hu'i aur
mushaa'ira shuroo' hu'aa"!
The audience burst into cheers and gave Sardar saahib perhaps the
biggest applause of the evening! :)
aek aur mushaa'ire meiN, Haafiz Mohammad Ibrahim sadr-e-mehfil the.
Haafiz saahib bhi un dinoN markazi kaabeena ke rukn the aur un ka
Khaandaani silsila door-daraaz se Mirza Ghaalib se jaa milta tha.
unhoN ne apni taqreer meiN us rishte ka zikr kiyaa aur farmaaya: "aek
taraf to mujhe faKhr hai k mera rishta Urdu ke aek azeem shaa'ir se
vaabasta hai, doosri taraf mujhe sharm aati hai k mujh se aek sh'er
bhi naheeN ho paata"! saam'een is baat par haNs diye to Haafiz saahib
ne nihaayat sanjeeda lehje meiN kahaa: "janaab, aap sach poochheN to,
sirf sharm hi naheeN, mujhe to ronaa aata hai k maiN shaa'ir na ban
sakaa" --- aur yeh kehte huye vaaqe'ii un ki aaNkhoN meiN aaNsoo aa
gaye!
un ki is baat par maiN ne apne dost se kahaa: "idhar hameN dekho k
aaraam se she'r keh sakte haiN, phir bhi daanista parhez kar rahe
haiN"!
ab chalte haiN sho'araa-e-karaam ki taraf --- sab se pehle zikr-e-
Khair Josh Maleehaabaadi saahib ka hai jinheN maiN ne faqat aek baar
sunaa aur jo, aek hi baar meiN, mujh par achchha-Khaassa asar chhoR
gaye. An imposing personality coupled with aristocratic demeanor and
an impressive body of material coupled with forceful delivery made
Josh saahib stand out in any crowd!
us shaam unheN ne aek Ghazal paRhi, aek nazm aur aaTh-das rubaaiyaaN
--- is vaqt un ki do rubaaiyaN mere zehn meiN ubhar rahi haiN, so pesh-
e-Khidmat haiN; farmaate haiN
Ghunche, tiri ziNdagii pe dil hiltaa hai!
tuu aek tabassum ke liye khiltaa hai?
Ghunche ne kahaa haNs ke chaman meiN, baabaa!
yeh aek tabassum bhi kise milta hai???
kyaa faa'ida, shaiKh, lan-taraanii kar ke?
tauheen-e-mazaaq-e-nau-jaanii kar ke
tuu aatish-e-dozaKh se Daraataa hai unheN
jo aag ko pii jaate haiN paanii kar ke!!!
Faiz saahib ko maiN ne do baar sunaa tha --- aur dono baar un se be-
had muta'ssir hu'aa. mahaasan-e-kalaam to un ke laa-maihdood the hi
aur adaa'igii bhi pur-asar thi magar is ke saath saath unhoN ne aek
nihaayat mohazzib shaKhsiyat bhi paa'ii thi. Wherever he went, he was
sought after by one and all!
maiN ne un ki mash_hoor Ghazal "voh aaye haiN na shab-e-intezaar
guzrii hai" pehli baar unheeN ke muNh se sunii thi --- yeh Ghazal
Ghaaliban abhi nayee nayee thi kyooN-k beshtar log is se naa-vaaqif
the. aur jo haNgaama un ke is she'r ne barpaa kiyaa tha voh dekhne ke
laa'iq tha:
"voh baat saare fasaane meiN jis ka zikr na thaa
voh baat un ko bahut naa-gavaar guzrii hai"!
yeh she'r paRhne se pehle unhoN ne Firaaq saahib se tavajjoh chaahi
thi aur is she'r ko sun kar Firaaq saahib bhi phaRak gaye the ---
albatta, is she'r par jahaaN har shaKhs zor zor se daad de rahaa tha,
vahaan janaab-e-Hafeez J. gum-sum baiThe the (jaise ko'i saaNp sooNgh
gayaa ho)!
Faiz saahib ne bahut kuchh sunaaya tha aur Khoob daad vusool ki thi
--- un ke do-aek she'r jo is vaqt zehn meiN ubhar rahe haiN, pesh-e-
Khidmat haiN:
aayaa miri mehfil meiN, Ghaarat-gar-e-hosh aayaa
paimaana-ba-kaf aayaa, mai-Khaana-ba-dosh aayaa
voh Khud liye baiThe the aaGhosh-e-tavajjo meiN
be-hosh hi achchhaa thaa, naa-haq mujhe hosh aayaa
uR kar dil-e-veeraaN se aaNkhoN meiN jo aayaa hai
paimaana-e-Khaalii meiN kyaa thaa jise josh aayaa?
kyooN daaman-e-hastii tak baRhne diya haathoN ko
deevaana to maiN thaa hi, dunyaa ko na hosh aayaa
fil-haal, itna hi kaafi hai; thoRi der meiN deegar sho'araa ke saath
haazir hota hooN! :-)
Raj Kumar Qais
To be continued..............
_______Zoya
Zoya Ji
The second Ghazal attributed to Faiz may not be his. I recall
something like this from Seemab. I may be wrong. It needs to be
checked
Thanks
Jawed
--------------
maiN 40-50 baras puraane mushaa'iroN ka 'zabaani' zikr kar rahaa hooN,
is liye ain mumkin hai k mera haafiza poori tarah se mera saath na de
rahaa ho :(
ba-har-haal, maiN ne Seemaab saahib ko kabhi naheeN sunaa aur na hi un
ki ko'i kitaab paRhi hai (sivaaye is ke k un ke kuchh mutafarriq
ash'aar idhar udhar se meri samaa'at tak zaroor pahuNche haiN). ab
agar yeh ash'aar vaaqe'ii Seemaab ke haiN to mujhe hairat hai k yeh
ash'aar mere zehn meiN kahaaN se aaye?
Jaaved saahib, aap agar kisi vaseele se in ash'aar ke Khaaliq ki
yaqeeni tasdeeq kar sakeN to aap ki ain navaazish hogi!
Raj Kumar
janaab-i-Jawed Sahib, aadaab 'arz hai.
aap ke paas kaun sii maqnaatiisii quwwat hai yaa kaun saa jaaduu hai
jis se aap janaab-i-Raj Kumar Sahib ko ek saal se zaaid 'arse ke ba'd
ALUP meN khiiNch laae haiN. agar aap mere paas hote to yaqiin-an aap
ko koii in'aam detaa!!
KHair-KHvaah,
Naseer
iinaam kii haqdaar to maiN bhii huuN, kyuNk RK Sahib ko vaapas laane
meiN ghaaybaana haath meraa bhii hai! :)
Jawed Sahib,
aap ne bahut aChha savaal uThhaya hai aur Raj uncle ke saath saath
mujhe bhii soch meiN Daal diya hai! mere paas Kuliyaat-e-Faiz hai, aur
maiN ne us meiN yeh ghazal DhhuuNDne kii koshish bhii kii hai. abhii
tak to yeh ghazal nazar nahiiN aayii, dobaara puurii kuliyaat dhyaan
se dekhuuNgii. mere paas Seemab Akbarabaadi ka koii diivaan nahiiN
hai, so maiN is baare meiN kuChh nahiiN keh saktii k yeh ashaar Seemab
ke haiN. lekin aap aisaa keh rahe haiN to yaqiinan is ka kuChh sabab
to hogaa.
maiN ne apne ek dost ko (jo k Behazd Lakhnavi sahib ke pote haiN aur
aisii baatoN meiN bahut maaluumaat rakhte haiN) abhii is baare meiN
message bhejaa hai, dekhiiye shaayad un ke paas is baat ka javaab ho.
jaise hii mujhe kuChh pata chalaa, maiN yahaaN zaruur post karuuNgii.
Zaf Sahib,
Help!!!
maiN ne aaj aap se bhii is baare meiN raabta karne kii koshish kii
thii, lekin baat ho nahiiN paayii. aap zaruur is baare meiN kuChh
madad kiijiyega.
Raj uncle,
:) :) chaliye, kisii bahaane aap Alup par vaapas to aaye! :) :)
Gentlemen, I hope this issue will be settled soon.
I'll be back with the next chapter, stay tuned! :)
_________Zoya
Zoya Sahiba, aadaab 'arz hai,
ham ALUP vaale aap kii is nihaayat hii dil-chasp kaRii kaa be-Had
shukr-guzaar haiN. yaqiin-an yih hamaarii KHush-qismatii hai kih hameN
ek shaa'ir kii nigaah awr nuqtah-i-nazar se maazii ke un mushaa'iroN
kii sair karaaii jaa rahii hai jahaaN ham "faanii" logoN ki dast-ras
nahiiN.
Raj Kumar Qais Sahib kii zabaanii yih aaNkhoN dekhaa Haal nah sirf un
mushaa'iroN kaa samaaN bayaaN kartaa hai awr shu'araa ke kalaam ke
namuunoN se hameN muta'aarif kartaa hai bal-kih un shu'araa kii
shaKHsiyyatoN par bhii raushanii Daaltaa hai. misaal ke taur par
Hafiiz Jaalandharii Sahib ke "chichRe-pan" ke baare meN ziyaadah logoN
ko 'ilm shaayad nah ho jab kih ham sab jaante haiN kih Faiz Ahmed Faiz
Sahib ek nihaayat muhazzab shaKHsiyyat ke maalik the. ho saktaa hai
kih Hafiiz Sahib "Delhi belly" ke shikaar ho gae hoN:)
mere paas Faiz Sahib ke kalaam kaa majmuu'ah "nusKHah-haa-i-vafaa"
hai. maiN mazkuurah GHazal kii is meN talaash karuuN gaa. agar mil
gaii to aap ke daultat-KHaane meN baar-yaabii ke liye do-baarah Haazir
huuN gaa.
ek baar is kaRii ko shuruu' karne kaa bahut bahut shukriyah.
haaN, aap ne Zafar Sahib se is GHazal ke baare meN madad maaNgii hai.
mere KHayaal meN Afzal Sahib bhii shaayad is silsile meN aap kii madad
ke liye aa sakeN kyoN-kih unheN Seemaab Akbaraabaadii se kaafii lagaao
hai.
rahii baat "GHaaibaanah haath" kii. yih to GHaib kaa 'ilm rakhne
vaalaa hii jaantaa hai:) lekin mujhe aap kii baat par puuraa yaqiin
hai. shukriyah.
KHair-Khvaah,
Naseer
Hafeez saahib ki shaa'irii mujhe rooz-e-avval hi se qaabil-e-qadr
mehsoos hoti thi aur, Khudaa rakkhe, un ka tarannum bhi balaa ka tha
--- is liye, maiN unheN sun_ne ke liye hamesha mushtaaq rehta tha.
vaise, yahaaN yeh bataana dilchaspi se Khaali na hoga k jo chaar "baRe
shaa'ir" maiN ne sun rakkhe haiN, un meiN sirf Hafeez hi haiN jo
tarannum se paRhte the, baaqi teenoN taiht-ul-lafz paRhaa karte the.
Personality wise too, Hafeez was so different from the other three ---
while they had a ready-made presence that attracted everyone's
attention, Hafeez's persona was no more than 'below-average'! log
unheN "Khaan saahib" keh kar muKhaatib hote the, albatta voh shakl-o-
soorat ke eitebaar se is tarz-e-Khitaab ke haq-daar qat'an naheeN
lagte the! :(
baat baat par bigaRnaa un ka sheva tha, phir bhi muntazimeen un ke
saath nihaayat adab se pesh aate the ---- the audience was also polite
towards him but the news media didn't give him a hoot --- which
irritated him all the more (especially because the media was falling
all over Faiz)!
maiN ne Hafeez saahib ko 5-6 baar sunaa aur maiN un ki shaa'iri ka
hamesha mo'atarif rahaa. un ke kalaam ke yeh namoone dekhiye:
aNjuman ki aNjuman ne ajnabii jaanaa mujhe
shukriya, ai chashm-e-saaqii, tuu ne paihchaanaa mujhe
jaam uThaanaa bhii jinheN aayaa naheeN ab tak Hafeez
voh sikhaane aaye haiN aadaab-e-maiKhaana mujhe!
maiN ne Hafeez saahib ki mash_hoor nazm "abhii to maiN javaan hooN"
Khud unheeN ke muNh se sunii! sabhi log jaante haiN k is nazm ko
Malika Pukhraaj ne laa-faani banaa diyaa hai --- phir bhi, is nazm ko
Khud Hafeez ke muNh se sun_ne meiN kuchh aur hi baat thi! go k un ki
'tune' Malika ki 'tune' se muKhtalif thi aur un ki aavaaz ka
'frequency range' bhi digar tha, phir bhi jis aNdaaz se voh is nazm ko
gaate the voh aNdaaz bhi apni jagah dil-pazeer tha ---
I feel truly glad that I had the opportunity to hear this immortal
composition directly from the horse's mouth and, believe me, when I
and my wife were newly married, I used to sing this nazm for her in
Hafeez's style!
aek mushaa'ire meiN, Hafeez saahib maujood the aur naazim-e-majlis ne
abhi abhi inheN da'avat-e-kalaam di thi. Hafeez saahib jooN-hi 'mike'
par aaye, saam'een meiN se kisi saahib ne zor-daar aavaaz meiN kahaa:
"raqqaasa, raqqaasa"! zaahir hai k un saahib ka ishaara Hafeez ki
mash_hoor nazm "raqqaasa" ki taraf tha aur yeh sadaa aek tarah se
farmaa'ish thi k huzoor voh nazm sunaayeN! pata naheeN, Hafeez saahib
ko kayaa hu'aa, Ghusse se laal-peele ho gaye aur bole: "kyaa maiN ne
sirf 'raqqaasa' hi likkhai hai, aur kuchh naheeN likkhaa. jahaaN jaao,
raqqaasa, raqqaasa"! huzoor itne cheeN-bar-jabeeN huye k uTh kar apni
jagah par vaapas jaane lage. Khair, muntazimeen ne mu'aafi maaNgi aur
kahaa k "huzoor, aap jo jii meiN aaye, vuhi sunaaiye"!
aaKhir, baiTh gaye --- magar peshtar is ke k kuchh aur sunaate, unheeN
saahib ki jaanib uNgali khaRii kar ke bole: "suno!
tashkeel-o-takmeel-e-fann meiN jo bhi Hafeez ka hissa hai!
do chaar baras kii baat naheeN, yeh 'nisf sadii' ka qissa hai"!!!
The audience applauded generously and, thank God, Hafeez saahib came
back to his normal state!
Hafeez saahib ki aek Ghazal aisi thi k jis ke matl'e ne mujhe BE-HAD
muta'ssir kiyaa tha; jab unhoN ne is Gahzal ke matl'e ka misra-e-oola
paRhaa:
dil abhii tak javaan hai, pyaare!
I was wondering what would come next --- ordinarily, you would expect
something exciting, even titillating! ;)
Hafeez repeated this matl'a several times, which aroused my curiosity
even more. And when he recited the whole she'r, I was floored because
I had no idea that the second misre would be such an 'anti-
climax'! :smt120
The full matl'a was:
dil abhii tak javaan hai, pyaare!
kis museebat meiN jaan hai, pyaare!!!!!
yeh vuhi Ghazal hai jis meiN yeh she'r hai
jaNg chhiR jaaye, ham agar keh deN
yeh hamaarii zabaan hai, pyaare!
beshtar logoN ko is she'r meiN voh QALAQ nazar naheeN aata jo Hafeez
ke dil meiN ziNdagii bhar paltaa rahaa aur jis qalaq ko unhoN ne is
she'r meiN kamaal Khoobi se utaara!
aek mushaa'ire meiN, Hafeez apni mash_hoor Ghazal sunaa rahe the ---
javaanii ke taraane gaa rahaa hooN!
dabii chiNgaariyaN sulgaa rahaa hooN!!!
is matl'e par unheN jo daad milii so milii, magar aap aage suniye! jab
unhoN ne yeh misra paRhaa
mirii bazm-e-vafaa se jaane vaalo
to maiN 'fart-e-shauq' se uTh khaRaa hu'aa aur be-saaKhta pukaar
uThaa:
zaraa Thaihro k maiN bhii aa rahaa hooN!
I can't describe to you how 'awkward' I felt at my stupid spontaneity
at that moment --- kuchh log to meri taraf yooN ghoor ghoor kar dekh
rahe the jaise mujhe maar hi DaaleN ge --- however, for a change,
Hafeez smiled and recited the full she'r, which was
mirii bazm-e-vafaa se jaane vaalo
zaraa Thaihro k maiN bhii aa rahaa hooN!
ab vuhi log jo meri taraf ghoor ghoor kar dekh rahe the --- they
started shaking their heads in affirmation!
Believe me, friends, that indeed was a charmingly beautiful moment in
my 'pre-Qais' life! :)
albatta, is Ghazal ke maqt'e tak pahuNchte pahuNchte fazaa kaheeN se
kaheeN jaa rahii!
jab Hafeez ne apne maqte ka pehla misra paRhaa:
Hafeez apne paraaye ho chale haiN!
What he meant to say was
Hafeez, apne paraaye ho chale haiN!
but, unfortunately, Hafeez's recitation did not do justice with the
punctuation! :(
On hearing this laxity, Firaaq repeated the misra with a purposely mis-
appropriate pause:
Hafeez apne, paraaye ho chale haiN:
At this, Hafeez got so upset that he lost his balance --- but he
immediately revised his misra to say
Hafeez apne paraaye ho na jaayeN!
Please note that, in the revised misra, it doesn't matter much whether
you put your comma after Hafeez or after apne --- I was duly impressed
and so, I assume, was everyone else!
Needless to say that Firaaq was quietened but, unfortunately, Hafeez
got overly emboldened to retort:
"ae Firaaq, tuu samajhta hai k tuu Urdu zabaan par qaadir hai --- sun,
Gorakhpur Lakhnow se utna hi door hai jitna jaalaNdhar Dilli se
hai"! WOW!!!
Firaaq was silenced but the stage secretary Amn Lakhnavi said to
Hafeez: "huzoor, aap ke liye Firaaq saahib ko 'tuu' kehna munaasib
naheeN hai"!
is par, Hafeez aur bhi tilmilaaye aur bole: "maiN ise 'tuu' hi khaooN
ga, kyooN-k yeh mujh se chhoTa hai"!
is par, Amn saahib bole: " huzoor, Firaaq saahib aap se chhoTe zaroor
haiN --- magar baat to aap ki chhoTi hai"!
At this, the audience was simply 'stunned'!
Khair, to yeh rahii aaj ki guft-goo --- kal, kisi vaqt, maiN deegar
sho'araa ke saath aap ki Khidmat meiN haazir hooN ga!
Raj Kumar
To be continued...............
__________Zoya
agarche pardes meN vasaa'il ki baRi kami hai lekin vo kehte haiN na ki
"maraa haathi bhi savaa laakh kaa hotaa hai!" :)))
to leejiye saahibaan Allama Aashiq Hussain Siddiqui Seemab Akbar Abadi
(1880-1951) ki Ghazal mulaahiza farmaaiye:
aayaa meri mehfil meN, Ghaarat gar e hosh aayaa
sad jaam bakaf aayaa, sad sheesha ba dosh aayaa
mastaana meraa saaqi hangaama farosh aayaa
Khaamosh ho ai mutrib, hangaam e Kharosh aayaa
vo Khud liye baiThe the aaGhosh e tavajjuh meN
baihosh hi achchhaa thaa, naahaq mujhe hosh aayaa
maiKhaane meN kyaa mauj e baada mutarannum thi
baikaif gayaa thaa maiN, sad naGhma badosh aayaa
uR kar dil e veeraaN se aankhoN meN jo aayaa hai
paimaana e Khaalii meN kyaa thaa jise josh aayaa
to mehfil e ulfat meN fariyaad ba lab kyoN hai
is bazm meN jab aayaa, parvaana Khamosh aayaa
kyoN daaman e hasti tak baRhne diyaa haathoN ko
deevaan agar thaa maiN, duniyaa ko na hosh aayaa
hai sa'yi e tarab koshi phir maa'il e mai noshi
phir aaj mere aage zikr e Gham e dosh aayaa
*Seemaab* maiN jannat meN jab she'r ba lab pahunchaa
ik shor huvaa barpaa, mehmaan e sarosh aayaa
ye Ghazal Seemaab ke majmoo'e "Kaleem e Ajam" meN maujood hai.
-----
Zafar
Zoya Sahiba (aur Raj sahib),
is laRii ke liie bohat shukriia. yeh Hafiiz JalaNDharii vaali qist
paRh kar to bohat hii mazaa aaya. agli qistoN ka be-sabrii se iNtezaar
rahega.
Vijay
vahaaN ka husan to sab kucch hai maana
magar Khud ishaq, tuu 'jaalaNDharii' hai
Majaaz LaKhnawii
Thanks for resolving the issue, Zafar saahib. Clearly, my memory
muddled things up! :( I hope the rest of the narration is free
from such lapses.
Raj Kumar
As expected, Zaf Sahib to the rescue!! :)
And yes sir, ham to hamesha se is baat ke qaayal rahe haiN k aap akele
hii sava laakh ke baraabar haiN! :) :)
Thank you so much for settling this, now we can move on to Hafeez
Jullundhari!!
Vijay sahib! :)
aap ko is thread meiN dekh kar bahut Khushi ho rahii hai. aur Majaaz
kaa sher bhii Khuub hai!
There is a lot more to come, in the imitable Qais style!!!
shukriyah,
________Zoya
> Vijay sahib! :)
>
> aap ko is thread meiN dekh kar bahut Khushi ho rahii hai. aur Majaaz
> kaa sher bhii Khuub hai!
>
> There is a lot more to come, in the imitable Qais style!!!
imitable???
perhaps, you meant to say ----------------------INimitable! ;)
R.K.
These Alupers!!!!!!!!!!! :evil:
This is definitely the group of pickiest people I've ever
known!!!!!!!!!
Can't get away with anything around here, no typos, no mistakes of any
sort allowed!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Yes, RK sahib, I definitely meant to say inimitable. Now, who can
imitate the inimitable "Qais style"? :) :)
"yooN na reh reh kar hameN taRpaa'iye
aa'iye, aa jaa'iye, aa jaa'iye!
phir vuhii daanista Thokar khaa'iye
phir mirii aaGhosh meiN gir jaa'iye! -------------
mujhe is Ghazal ka maqt'a be-had azeez tha:
yeh havaa, SaaGhar, yeh halkii chaaNdnii
jii meiN aataa hai, yaheeN mar jaa'iye!!!
SaaGhar saahib ki shohrat ke pesh-e-nazar, mujhe unheN sun_ne ka bahut
ishteyaaq thaa magar unheN sun kar na to maiN bahut ziyaada mut'assir
hu'aa aur na hi poori tarah se naa-umeed rahaa! vajah yeh k -----
SaaGhar saahib ki bairooni shaKhsiyat to nihaayat baa-vaqaar thi
(bilkul aisi jaise voh kisi shaahi Khaandaan se ta'alluq rakhte hoN)
magar un ki aNdarooni tabii'at aisi Khush-gavaar na thi. un ki 'Khud-
eitemaadii' kabhi kabhi had se tajaavaz kar jaati thi aur un ke 'stage
manners' par manfi asar Daalti thi. aur jahaaN tak un ke kalaam ki
baat hai, voh thaa to bahutoN se behtar magar jis tarannum se voh
paRhte the voh kuchh bhauNDA sa tha --- jise aap 'mazhaka-Khez' bhi
keh sakte haiN! is liye, maiN aur mera dost (jo har mushaa'ire meiN
mere saath hota tha) Saaghar saahib ko saNjeedagi se naheeN sunte the.
phir bhi yeh kehna be-jaa na hoga k saaGhar saahib Dilli ki majaalis
meiN aek Khaas maqaam rakhte the!
is vaqt mujhe un ke do she'r yaad aa rahe haiN, aap bhi suniye:
sunaa hai yeh jab se k voh aa rahe haiN
dil-o-jaaN se va'ade huye jaa rahe haiN!
banaa aasmaaN meraa 'dosh-e-taKhayyul'
voh is kaa sahaaraa liye aa rahe haiN!
chaliye, ab aap ko milaate haiN Janaab-e-Josh Malsiyaani se --- jin ki
shohrat Khaas kar do cheezoN par mabni thi. aek to un ka voh laafaani
she'r jo har-kas-o-naa-kas ki zabaan par tha:
parvaanoN ka hai bazm meiN, ai Josh, qatl-e-aam
aNdher --- aur voh bhi chiraaGhoN ke saamne!!!!!
doosre un ki kitaab "shar'h-e-deevaan-e-Ghaalib", jo mut'addid
colleges aur universities meiN B.A. ke tulabaa ko paRhaa'ii jaati thi!
ilaava-azeeN, unheN zabaan par be-panaah qudrat haasil thi aur, chooN-
k voh Ustaad DaaGh ke shaagird-e-rasheed the is liye, nihaayat saada
alfaaz barat_te the --- magar is aNdaaz se k baat seedhi dil meiN utar
jaaye! jaisa k maiN pehle bhi keh chukaa hooN, Josh saahib ki adaa'igi
bilkul spaaT hoti thi (jis ka mujhe hamesha afsos hota tha, yahaaN tak
k kabhi kabhi to mujhe un ki is Khaami ki vajah se un par taras aata
tha!). ba-har-haal, is Khaami ke baa-vujood, voh mushaa'iroN meiN
achchhi-Khaassi daad paa jaate the!
ab aap un ke 'maKhsoos' tarz-e-kalaam ke chaNd namoone dekhiye;
farmaate haiN k
dil ko kal tak to chain haasil thaa
aaj kyaa ho gayaa, Khudaa jaane!
baat riNdii ki mujh ko aatii hai
paarsaa'ii ki paarsaa jaane!!!
baada-noshoN ka hashr kyaa hogaa?
mujh BALAA-NOSH ki BALAA jaane!!!
--------------
jis Khudaa se tu Daraataa hai mujhe, ai vaa'iz!
maiN bhi baNda hooN usii kaa, mujhe samjhaa kyaa hai?
qadr-e-in'aam samajh kar ise le lete haiN
varna is jannat-e-be-kaif meiN rakkhaa kyaa hai?
mujh ko is tarz-e-taGhaaful pe Khafaa honaa thaa
ulTe voh mujh se Khafaa haiN, yeh tamaashaa kyaa hai?
din ko bhi taare dikhaaye mujhe qismat ne mirii
aap kehte haiN, "abhii aap ne dekhaa kyaa hai"?
na khuleN ge mire lab arz-e-tamannaa ke liye!
voh na jab tak mujhe poochheN k tamannaa kyaa hai?
ab aap miliye janaab-e-Jagan Nath Azad se --- Azad saahib mash_hoor
nazm-e-nigaar Munshii Tilok ChaNd Maihroom (jin ki laafaani nazm "Noor
JahaaN ka mazaar" aap meiN se bahutoN ne paRh-sun rakkhii hogi) ke
saahib-zaade the. jin dinoN ki baat maiN kar rahaa hooN, un dinoN Azad
saahib abhi nau-javaan hi the aur voh abhi itne mash_hoor naheeN huye
the jitne k ba'ad meiN huye! phir bhi un ke kalaam meiN balaa ki
puKhtagii thi, un ka tarannum nihaayat maKhsoos aNdaaz ka tha, un ki
baat baat se aur chaal-Dhaal se 'Khaandaani sharaafat' Tapakti thi ---
I found his presence on those occasions very pleasurable!
is vaqt mujhe un ke jo she'r yaad aa rahe haiN, pesh-e-Khidmat haiN:
betaabii-e-dil, be-shak palkoN pe chalii aanaa
lekin yeh tirii had hai, is had se na baRh jaanaa!!!
aadaab-e-mahabbat meiN, zabt aik BARII SHAI hai!
kuchh bhii ho magar, ai dil, aavaaz na ban jaanaa!!!
un ka aek aur she'r mujhe be-had azeez hu'aa karta tha:
sunte haiN k aataa hai museebat meiN Khudaa yaad
ham par to voh guzrii k Khudaa bhii na rahaa yaad!!!
ab zikr-e-Khair janaab-e-Bekal Utsaahii saahib ka hota hai --- who, as
I said before, had the most pleasant presence on the stage! Bekal
saahib ziyaada-tar geet likhte the aur hamesha tarannum se sunaate
the. Both his composition and his recitation were superb! un ke geet
jazbaat se pur hote the aur un ki zabaan gaNga-jamnii hoti thi ---
goyaa, un ke kalaam meiN Urdu-Hindi ka aek nihaayat Khoob-soorat
imtizaaj hu'aa karta tha! voh jab mushaa'ira paRhte to samaaN kuchh
aur hi hota tha --- nateejatan, har shaKsh un ke kalaam se aur un ki
adaa'igi se mas_hoor ho jaata tha!
yooN to mujhe jo bhi she'r pasaNd aata tha, fauran yaad ho jaata tha
--- magar yeh baat sirf Ghazaliyaat, rubaa'iiyaat aur qit'aat tak hi
maihdood thi. nazmoN ke ash'aar aur geetoN ke bol vaqti taur par to
sehr-aaageeN hote the magar haafize meiN kam kam hi utarte the. is
liye, mujhe Bekal saahib ke kalaam meiN se kuchh Khaas yaad naheeN hai
--- phir bhi, tabarrukan, aap un ke is geet ke tevar dekhiye:
geet thaa: "aise meiN tum akelii kahaaN jaao gi" ------- is geet ka
mujhe sirf aek hi baNd yaad aa rahaa hai; mulaahiza farmaaiye:
raah sunsaaaan hai
sar pe toofaaaan hai
aage shamshaaaan hai
aise meiN tum akelii kahaaN jaao gi?
Isn't that something?
achchha, to fil-haal ijaazat deejiye; maiN jald hi kuchh deegar
sho'araa ke saath phir aap ki Khidmat meiN haazir hooN ga!
Raj Kumar
_________Zoya
To be continued..............
I agree... really, you can't get away with anything here.. . so some
of us (;-)) take the more "lurker" attitude.
Thank you so much for posting this here Zoya sahiba, reading these
memories of RK sahib was amazing... of course I prefer listening to
him say these... but alas haven't been able to talk to him for the
longest time now.
Regards,
Amit Malhotra
"lurker" attitude???
goyaa,
un ke kooche meiN jo jaataa hooN to --- "burq'a pehne"! :)
taa-k vaaN ko'ii mirii "ramz" ko pehchaan na le!!! ;) Right?
> Thank you so much for posting this here Zoya sahiba, reading these
> memories of RK sahib was amazing...
Thanks for the compliment, azeez-e-man!
> of course, I prefer listening to
> him say these... but alas haven't been able to talk to him for the
> longest time now.
yeh bhi kyaa baat hu'ii, Amit saahib?
voh kyaa kehte haiN:
mehrbaaN ho ke bulaa lo mujhe, chaaho jis vaqt!
maiN "gayaa vaqt" naheeN hooN k phir aa bhi na sakooN!!!!!
aur idhar aap haiN k jab maiN Toronto jaise dooooooor-daraaaaaaz
maqaam tak ho aata hooN to aap itna bhi naheeN keh paate k ---
"huzoor, ab jo aap is ilaaqe meiN aa hi gaye haiN to, bhoole-bhaTke,
hamaare Montreal tak bhi to aa jaajiye"!? ;)
Khair-aNdesh, Raj Kumar
aap kii KHidmat meN ek 'adad KHat maiN ne 15 sitambar (sitam-bar?) ko
likhaa thaa. mujhe apne KHufyah vasaail se patah chalaa hai kih yih
KHat aap ko mil bhii gayaa hai magar afsos kih aap ne koii javaab
nahiiN diyaa. haaN, ek baat kaa zikr karnaa zaruurii hai. muKHbiroN ne
yih bhii kahaa hai kih aap donoN ke paas KHutuut kii bharmaar ho gaii
hai awr aap is shash-o-panj meN paRe hue haiN kih kis kis ko javaab
deN. lihaazaa maiN aap kii majbuurii ko achchii tarH samajhtaa huuN
awr yaqiin maaniye, merii ham-dardii aap ke saath hai:)
aap kii is motiyoN kii laRii ne ALUP meN KHushiyaaN awr muskuraahaTeN
bikher dii haiN. is lutf-andozii kii qiimat ham aap ko kabhii nahiiN
chukaa sakte. kyaa kisii anmol-ratan kii bhii qiimat hotii hai? faqat
itnaa kah sakte haiN kih " bahut bahut shukriyah" awr Raj Kumar Sahib
KHvush aamaded (ya'nii jii aayaaN nuuN!!).
zaruur aap donoN ke zihnoN meN yih baat aaii ho gii kih kyoN nah in
yaadoN ko kitaabii shakl dii jaae. kyaa KHayaal hai aap kaa?
Sarwar Sahib is baat par musirr haiN kih ham tamaam ALUP vaale, Urdu
ko zarii'ah-i-iblaaGH banaaeN. yih sitam (siyaapaa) unhiiN kii vajh se
sahaa jaa rahaa hai:) so 'ibaarat meN paaii jaane vaalii tamaam
GHalatiyoN ko saHiiH karne kaa zimmah un par hai:)
KHair-KHvaah,
Naseer
waah.. sh'er to khoob hai magar burq'a pahan kar kahaaN aate haiN ham
RK sahib? burq'a pahan-ne waale kam-az-kam saamne to hote haiN..
idhar to ye haal hai k aate haiN aur chhup-chhupa kar nikal jaate
haiN :) aapko yahaaN dekha to kuchh kahe bina rahaa na gayaa aur dhaRa-
dhaR teen chaar laRiyoN par apni "estamp" maar di.
> > of course, I prefer listening to
> > him say these... but alas haven't been able to talk to him for the
> > longest time now.
>
> yeh bhi kyaa baat hu'ii, Amit saahib?
>
> voh kyaa kehte haiN:
>
> mehrbaaN ho ke bulaa lo mujhe, chaaho jis vaqt!
> maiN "gayaa vaqt" naheeN hooN k phir aa bhi na sakooN!!!!!
>
> aur idhar aap haiN k jab maiN Toronto jaise dooooooor-daraaaaaaz
> maqaam tak ho aata hooN to aap itna bhi naheeN keh paate k ---
> "huzoor, ab jo aap is ilaaqe meiN aa hi gaye haiN to, bhoole-bhaTke,
> hamaare Montreal tak bhi to aa jaajiye"!? ;)
na na janaab, ye ilzaam Theek nahiiN... Montreal tak aane ki to aapko
bahut baar daavat mil chuki hai... Torono maiN aa nahiiN saka, ismeiN
Ghalti yaqeenan meri hi hai :)
achhaa ab aap yahaaN par hi haiN to aapke Hafeez J. waale qisse ke
baare meiN ek savaal.. vo kya unhoN ne aakhir meiN apna sh'er mukammal
kiya k nahiiN?
Hafeez apne paraaye ho na jaayeN!
agla misra???
Regards,
Amit Malhotra
goya:
"saaf Chhupte bhii nahiiN, saamne aate bhii nahiiN!" :)
>
> Thank you so much for posting this here Zoya sahiba, reading these
> memories of RK sahib was amazing... of course I prefer listening to
> him say these... but alas haven't been able to talk to him for the
> longest time now.
>
> Regards,
>
> Amit Malhotra
Thanks, Amit. I agree that these memoirs are absolutely amazing,
that is why I wanted to share them with our friends on Alup, and also
archive them here.
aate rahaa kareN, aap se baat kar ke hamesha aChhaa lagtaa hai.
________Zoya
mere college ke zamaane meiN, yeh she'r mujh jaise har 'manchale nau-
javaan' ki zabaan par hu'aa karta tha --- is liye k aek din, jab
college ki laRkiyaaN qataar-dar-qataar aek 'section' se doosre
'section' ki taraf jaa rahii theeN to maiN ne be-saaKhta yeh she'r
paRhaa aur, aan ki aan meiN, yeh she'r "jaNgal ki aag" ki tarah saare
college meiN phail gayaa!
do-aek din ba'ad, aek saahib mujh se kehne lage: "bhai, tumhaara yeh
she'r to Ghazab kaa hai"! maiN ne ba-sad-ajz-o-inkesaar arz kiyaa k
"huzoor, yeh she'r meraa naheeN hai --- paNDit Hari Chand Akhtar kaa
hai"!
to, yaaraan-e-mehfil, aa'iye aur aaj Akhtar saahib se miliye ---
jinheN, adabii halqoN meiN, har chhoTa-baRaa "paNDit ji" kahaa kartaa
thaa!
ain mumkin hai k is mehfil ke beshtar araakeen ne in paNDit ji ka naam
tak na sunaa ho --- magar aaiye aur Faiz Ahmad Faiz ki kulliyaat
"nusKha-haa-e-vafaa" ko dekhiye to aap par is ke safha-e-avval hi se
vaazeh ho jaaye ga k Faiz saahib ne, apne ibtedaa'ii daur meiN, jin
chaar 'adabii esaateza' se istefaada kiyaa thaa, hamaare paNDit ji un
meiN se aek the!
taqseem-e-vatan se pehle paNDit ji Lahore meiN maqeem the aur kayee
sarkaari aur Ghair-sarkaari jareedoN se munsalik the. maiN ne unheN
pehli baar October 1946 meiN dekha --- apne biraadar-e-buzurg janaab-e-
Zia ke saath! vaazeh ho k maiN us vaqt kul 13 baras ka thaa magar maiN
jahaaN bhi jaata tha aur jo kuchh bhi suntaa tha use apne palle baaNdh
letaa tha --- Zia saahib aur Akhtar saahib ki guftgoo, na jaane kis
manzil par thi, magar mujhe itna zaroor yaad hai k maiN ne paNDit jo
ko be-had "zaheen" paayaa!
taqseem-e-vatan ke ba'ad, paNDit ji Lahore se hijrat kar ke Dilli aa
base aur, maqaam-e-shukr hai k, jo qadr-e-manzilat unheN Lahore meiN
moyassar thi, vuhi qadr-o-manzilat unheN Dilli meiN bhi moyassar
hu'ii! paNDit ji na sirf aek baa-kamaal shaa'ir the, voh balaa ke
bazla-saNj bhii the --- unheN zabaan par voh qudrat haasil thi k baat
baat par lateefa ghaRte the! in mahaasin ki ba-daulat voh, Dilli meiN
aate hi, vahaaN ki majaalis ke "naazim-e-yaktaa" ban gaye!
peshtar is ke k maiN aap ko in paNDit ji ke jumla mahaasin se baihra-
var karooN, aap un ke kalaam ke kuch namoone dekhiye; farmaate haiN k
aNdaaza-e-nashaat-e-mulaaqaat keejiye!
Khamiyaaza-e-nashaat magar kuchh na poochhiye!!!
tuufaan-e-inteshaar ki shiddat, Khudaa panaah!
phiaNkaa gayaa hai kaun kidhar, kuchh na poochhiye!!!
saam'een un ke tarz-e-kalaam par mar mar jaate the aur maiN, un ki
bholi bhaali soorat dekh kar Gharq-e-tahaiyyur hota thaa aur apne
dostoN se kahaa karta tha k --- ise kehte haiN:
"saadagi-o-pur-kaarii, be-Khudii-o-hushyaarii"!
aek aur maqaam par, paNDit ji farmaate haiN k
Khudaa ke naam par dast-o-girebaaN haiN Khudaa vaale!
[please note the subtle --- or, perhaps, not-so-subtle --- satire in
the term 'Khudaa vaale'!]
ba-har-haal, poora she'r hai:
Khudaa ke naam par dast-o-girebaaN haiN Khudaa vaale!
bahut hai jis qadar zikr-e-Khudaa, KHAUF-E-KHUDAA kam hai!!!!!
Needless to say, how 'contemporary' this statement is!!!
ba-har-haal, is Ghazal ka yeh she'r dekhiye:
du'aa ko haath kyooN uTTheN mire teemaar-daaroN ke?
zabaaN se kyooN naheeN kehte k ummeed-e-shifaa kam hai!!! WOW!
Is anyone surprised at so splendid a mode of composition? I don't
think anyone would be --------- after all, I am not talking today
about any ordinary poet; I am talking about one of the four 'esaateza'
of Faiz Ahmad Faiz!
ab, peshtar is ke k maiN kuchh aur ta'assurat pesh karooN--- aap
Akhtar saahib ki aek Gahzal ke kuchh ash'aar suniye; farmaate haiN k
voh nazreN milaayeN to nazreN jhukaanaa, kabhii chauNk uThnaa kabhii
jheNp jaanaa
unheeN ki mahabbat unheeN se chhupaanaa, museebat naheeN hai to phir
aur kyaa hai?
qiyaamat se mujh ko Daraane chale ho, magar yeh bhi sochaa kabhii,
shaiKh saahib?
voh husn-e-mujassam, voh un kaa saraapaa, qiyaamat naheeN hai to phir
aur kyaa hai?
haqeeqii/majaazii ke jhagRoN meiN paR kar, haqeeqat haqeeqat raTe jaa
rahe ho!
voh un kii javaanii, yeh merii tabaahii, haqeeqat naheeN hai to phir
aur kyaa hai?
jhukii si nigaaheN, ubharte se aaNsoo, yeh kyaa ho rahaa hai? yeh kyaa
kar rahe ho?
[dekhaa aap ne paNDit ji ka ustaadaana aNdaaz?]
poora she'r hai:
jhukii si nigaaheN, ubharte se aaNsoo, yeh kyaa ho rahaa hai? yeh kyaa
kar rahe ho?
yeh tarz-e-nadaamat kisii "jaaN-ba-lab" se, ADAAVAT naheeN hai to phir
aur kyaa hai?
ab maqt'a dekhiye:
tumheN ishq-o-ulfat se kyaa kaam, Akhtar, baRe paarsaa ho --- magar
yeh bataao!
yeh chehre ki raNgat, yeh aNdaaz-e-vaihshat, mahabbat naheeN hai to
phir aur kyaa hai?
paNDit ji ki shaKhsiyat ka aek aur dilchasp pehloo yeh thaa k, us
zamaane ki Dilli meiN, jab bhi ko'i mehfil mun'aqid hoti thi to us
mehfil ki nizaamat ke liye log, sab se pehle, paNdit ji ko TaTolte
the, agar voh kisi vajah se na milte to yeh zimme-daari Amn Lakhnavi
saahib ko sauNpi jaati thi. kabhi kabhi, is kaam ke liye Kanvar
Mohindar Singh Bedi (jo un dinoN Karnal District ke Deputy
Commissioner the) yaa phir malik-zaada Manzoor Ahmad ko chunaa jaata
tha ---
I personally was quite happy with any one of them!
aek mushaa'ire meiN, jo k Dilli ki Chemsford Club meiN ho rahaa thaa,
yeh sabhi hazraat maujood the magar us din yeh zimme-daarii Manzoor
Ahmad saahib par aa paRii. mushaa'ire ke dauraan kuchh aisa hu'aa k
paNDit ji aur Bedi ji (jin ki aapas meiN gaaRhii chhanti thi) kuchh
der ke liye stage se uTh kar kaheeN idhar udhar chal diye --- ab voh
kahaaN gaye, yeh to voh jaaneN yaa un ka Bhagvaan jaane --- magar
hameN itni Khabar to thi k kuchh log aab-e-peshii ki haajat se 'rest
rooms' ka ruKh karte haiN, kuchh log pyaas ke maare neeNboo-paani ki
talaash meiN chal nikalte haiN aur kuchh tashna-lab "aatish-e-sard" ke
ta'aaqub meiN sar-gardaaN hote haiN!
ba-har-haal, jab paNDit ji aur Bedi ji stage par se Ghaa'ib the to
kisi ne Manzoor Ahmad saahib se kahaa k "huzoor, ham to PaNDit ji ka
kalaam sun_ne ke liye betaab haiN --- aap ab unheN da'avat-e-kalaam
deejiye". Manzoor saahib bole k "maiN kyaa karooN, PanDit ji to kaheeN
idhar udhar gaye huye haiN"! husn-e-ittefaaq se, ain usi vaqt paNDit
ji aur Bedi ji stage par vaapas lauT rahe the ---- jab paNDit ji ne
yeh baat sunii to lapak kar 'mike' pakRaa aur farmaaya k "huzoor, maiN
Ghareeb to sirf IDHAR gayaa thaa, yeh to Bedi saahib haiN jo UDHAR
gaye the"!
paNDit ji ki is baat par mehfil qaihqaha-zaar ban gayee aur Khud Bedi
saahib bhi haNste haNste loT poT ho gaye!
aek mushaa'ire meiN, Pakistan se aaye huye aek shaa'ir ne kahaa k
"PaNDit ji, aap aek muddat se Pakistan tashreef naheeN laaye, vahaaN
log aap ko bahut yaad karte haiN". PaNDit ji bole, "bhai, yaad kyooN
na kareN --- maiN mujassam 'Pakistan ka jhaNDaa' jo hooN"! yeh sun kar
voh saahib tazabzub meiN paR gaye to PaNDit ji muskuraa ka bole ---
Hari ka matlab 'haraa raNg', Chand ka matlab 'chaaNd' aur AKhtar ka
matlab sitaara --- hu'aa na 'Pakistan ka jhaNDaa'?
On hearing this, there was hardly any one in the audience who could
control laughing!
azeezo aur azeeziyo, yeh tazkira kaafi lamba ho gayaa hai --- is liye,
ab maiN ise PaNDit ji hi ke is she'r par Khatm karta hooN:
TAA HADD-E-NAZAR phaili hai insaan ki dunyaa
insaan ko TAA HADD-E-NAZAR DhooND rahaa hooN!
achchha, to ab ijaazat deejiye; kal kisi vaqt phir aap ki Khidmat meiN
haazir hooN ga!
Raj Kumar
__________Zoya
To be continued..............
> achhaa, ab aap yahaaN par hi haiN to aapke Hafeez J. waale qisse ke
> baare meiN ek savaal...... vo kya unhoN ne aakhir meiN apna sh'er mukammal
> kiya k nahiiN?
>
> Hafeez apne paraaye ho na jaayeN!
>
> agla misra???
ji haaN, Hafeez ne apna doosra misra yaqeenan paRhaa (kyooN-k un ka
taKhayyul abhi aap ki tarah "zaNg-aalood" naheeN hu'aa tha!) LOL
ba-har-haal, poora she'r yooN tha:
Hafeez apne paraaye ho na jaayeN
k maiN dil ko zabaaN par laa rahaa hooN! WOW!
maqt'a, meri raaye meiN, Khoob se bhi Khoob-tar tha magar, chooN-k
mushaa'ire ki fazaa ab tak mukaddar ho chuki thi is liye, unheN is
maqt'e par voh daad na mil paa'ii jo milni chaahiye thi! :(
R.K.
Shukriyaa RK Sahib, sh'er vaaqii hi bahut khoob hai... acchaa hua jo
aap se pooch liya.
namaste,
Amit Malhotra
Naseer sahib,
aap ne mujhe Khat likhaa tha?! mujhe to aap ka koii Khat nahiiN mila,
ho saktaa hai 'bulk' folder meiN chalaa gayaa ho. vaise aap ke muKhbir
mujhe bharosa mand nahiiN lagte!! :)
>
> aap kii is motiyoN kii laRii ne ALUP meN KHushiyaaN awr muskuraahaTeN
> bikher dii haiN. is lutf-andozii kii qiimat ham aap ko kabhii nahiiN
> chukaa sakte. kyaa kisii anmol-ratan kii bhii qiimat hotii hai? faqat
> itnaa kah sakte haiN kih " bahut bahut shukriyah" awr Raj Kumar Sahib
> KHvush aamaded (ya'nii jii aayaaN nuuN!!).
>
jii, RK sahib yaqiinan shukriye ke haqdaar haiN, maiN to sirf qaasid
huuN, aur voh bhii late latiif! :)
> zaruur aap donoN ke zihnoN meN yih baat aaii ho gii kih kyoN nah in
> yaadoN ko kitaabii shakl dii jaae. kyaa KHayaal hai aap kaa?
RK sahib, is silsile meiN aap hii kuChh kahiye?!
>
> Sarwar Sahib is baat par musirr haiN kih ham tamaam ALUP vaale, Urdu
> ko zarii'ah-i-iblaaGH banaaeN. yih sitam (siyaapaa) unhiiN kii vajh se
> sahaa jaa rahaa hai:) so 'ibaarat meN paaii jaane vaalii tamaam
> GHalatiyoN ko saHiiH karne kaa zimmah un par hai:)
Naseer bhaai, Sarwar sahib ne mujhe is muaamle meiN ChhuuT de rakhii
hai! :) maiN 'grandfather clause' meiN aatii huuN! bas yuuN samajhiye
k unheN pataa hai k mujh par un kii DaaNT kaa koii asar nahiiN hone
vaala, aur vaise bhii voh ziyaada DaaNTte haiN to maiN ronaa shuruu
kar detii huuN! So, I have been granted immunity, I can write in
Urdish/Higlish, but you guys can NOT.
Sorry Sarwar Sahib, I know you have given up on me, but in any case
you accepted me 'As Is' a long time ago !! :) :)
_________Zoya
>
> KHair-KHvaah,
> Naseer
maiN ne Saahir Ludhianavi saahib ko kul do teen baar sunaa jab-k
ummeed thii k, in mushaa'iroN meiN, unheN sun_ne ke kayee mavaaq'e
faraaham hoN ge --- magar aisa ho na sakaa. vajah na jaane kyaa thi
magar Saahir saahib in mushaa'iroN meiN bahut kam aate the. chooN-k
voh ab 'filmi dunyaa' meiN jaa base the, is liye un ki masroofiyaat
pehle se ziyaada ho gayee theeN aur phir un ka samaaji daa'ira bhi
udhar hi ka ho kar reh gayaa tha. phir bhi, voh jab kabhi Dilli ki
mahaafil meiN maujood hote to saam'een ko --- apni shaa'irii se aur
apni saahirii se --- mas_hoor kar jaate the!
Saahir saahib ke baare meiN aek mushkil yeh thi k, jooN-hi voh 'mike'
ke saamne aate the to log unheN be-tahaashaa farmaa'ishoN tale dabaa
dete the --- aur farmaa'isheN bhi aisi k jinheN ham baar baar paRh-sun
chuke the. Saahir saahib farmaa'isheN poori karne par fauran aamaada
ho jaate the aur unheN poora karte karte apna saara vaqt sarf kar dete
the. nateejatan, un ki sunaa'ii hu'ii GhazloN yaa nazmoN meiN shaa'id
hi ko'ii aisi hoti jo hameN un ki ma'aroof kitaab "talKhiyaaN" meiN na
milti ho!
ba-har-haal, un ki aek 'achhooti' nazm jo is vaqt mere zehn meiN ubhar
rahi hai, us ki 'opening lines' hi se aap ko us nazm ke tevaroN ka
aNdaaza ho jaaye ga; farmaate haiN k
har roz tire husn ka hotaa hai samaaN aur!
har roz mujhe chaahiye aNdaaz-e-bayaaN aur!!!
is vaqt mujhe is nazm ka sirf aek hi baNd yaad aa rahaa hai; farmaate
haiN k
haTtii hi naheeN haiN tire chehre se nigaaheN
thaktii hi naheeN haiN tujhe lipTaa ke yeh baaheN
chhoo lene se hotaa hai tiraa jism javaaN aur!
har roz mujhe chaahiye aNdaaz-e-bayaaN aur!
to, chaliye, ab ham aap ko milvaate haiN janaab-e-Naresh Kumar Shaad
se! maiN ne Shaad saaahib ko shaa'id 10-12 baar sunaa hoga; meri raaye
meiN, voh aek be-had zaheen insaan the, unhoN ne nihaayaat hassaas
tabii'at paa'ii thi, unheN zabaan-o-bayaan par achchha-Khaassa uboor
haasil tha aur un ka shaa'iraana fann nihaayat a'ala satah par tha ---
magar afsos k un ki "bad-eitedaalii" un ki baaqi jumla sifaat par
saKht haavi thi aur un ke samaaji she'aar par buri tarah se asar-
aNdaaz hoti thi! phir bhi, voh us zamaane ke maqbool-tareeN sho'araa
meiN se the aur har mehfil meiN be-panaah daad haasil karte the.
Shaad saahib Ghazal, nazm aur qit'aat --- in teenoN asnaaf meiN apne
fann ke besh-bahaa jauhar dikhaate the. un ke kalaam meiN Saahir L. ke
raNg ki jahlak saaf nazar aati thi magar jahaaN Saahir ka aNdaaz
baaGhiyaana tha, Shaad ka aNdaaz ziyaada-tar Gham/huzn/dard/qalaq meiN
rachaa hu'aa tha --- what a contrast with the happy 'taKhallus' he
happened to adopt!
sab se pehle, aap Shaad saahib ki aek Ghazal ke chaNd ash'aar suniye:
gulshan ki pur-kaif fazaa meiN, be-Khud ho kar jhoom rahaa hooN
phooloN ka to zikr hi kyaa hai, kaaNToN ko bhii choom rahaa hooN!
phool-shiguufe pheeke pheeke, chaaNd-sitaare maddham maddham
fitrat bhii maGhmoom rahii hai jab tak maiN maGhmoom rahaa hooN!
jin galiyoN meiN tuu ne mujh se kuchh jhooTe iqraar kiye
the :twisted:
ab bhi ba-haal-e-afsurda maiN un galiyoN meiN ghoom rahaa hooN! :(
mausim-e-dilkash, sehn-e-gulistaaN, saaqi-e-gul-ruu, baada-e-
raNgeeN!
is maahaul meiN reh kar bhii, ai Shaad, bahut maGhmoom rahaa hooN! :(
Shaad saahib qit'a-go'ii meiN Khusoosi taur se baa-kamaal the; un ki
aek kitaab, ba-unvaan 'qaasheN', kulli taur par qit'aat par mabni thi
aur meri maqbool-tareeN kitaaboN meiN se thi. ab to aek muddat se voh
kitaab kaheeN dekhi bhi naheeN; taaham, jo do-chaar qit'aat is vaqt
yaad aa rahe haiN, pesh-e-Khidmat haiN:
har kalii mast-e-Khwaab ho jaatii
pattii pattii gulaab ho jaatii
tuu ne DaaleeN na mai-fishaaN nazreN
varna shabnam sharaab ho jaatii!
dil ki taareekiyoN meiN terii yaad
aaj aa'ii hai raNg-e-noor liye
jaise ik "seem-posh dosheeza"
maqbare meiN jalaa rahii ho diye!
aek jaanib hai raah daftar kii
ik taraf mai-kade ka jaada hai
aa gayaa hooN ajab do-raahe par
ai Gham-e-zeest, kyaa iraada hai?
shaiKh saahib, muqaabila kaisa?
ham -sarii kyaa sharaab-noshoN se?
aek ismat-farosh behtar hai
aap jaise Khudaa-faroshoN se!
dekh kar jis ko daf'atan, vaa'iz!
rooh-e-bazm-e-hayaat phaRkii hai
teri jannat ki ko'ii hoor naheeN
mere gaaoN ki aek laRkii hai!
ab zikr-e-Khair janaab-e-MaKhmoor Dehlvi ka hai jo mere maqbool-tareeN
sho'araa meiN se the aur jin ki mash_hoor kitaab "baada-e-maKhmoor",
meri nazar meiN, aek besh-bahaa Khazaane se kam naheeN thi. MaKhmoor
saahib ka tarz-e-tafakkur aur un ka tarz-e-kalaam kuchh aise the k un
ke ash'aar seedhe dil ki gaihraaiyoN meiN utar jaate the. aur chooN-k
voh Dilli hi meiN maqeem the is liye beshtar mushaa'iroN meiN maujood
hote the.
sach to yeh hai k mujhe MaKhmoor saahib ka bas aek hi she'r le Dooba
thaa; aa'iye, aap bhi voh she'r suniye aur mere saath daryaa-e-suKhan
meiN Doob jaa'iye; farmaate haiN k
vufoor-e-Gham meiN naheeN iKhtiyaar aaNkhoN par!
tumhaare hijr ne chhalkaa diye haiN paimaane!!!!!
ab aap un ke kalaam ke kuchh aur namoone mulaahiza farmaa'iye. sab se
pehle, un ki aek Ghazal ke chaNd ash'aar suniye --- aur Ghazal bhi voh
k jise maiN 'pre-Qais era' meiN jagah jagah sunaaya karta tha:
jaan-e-hazeeN nisaar na ho, dil fidaa na ho?
aa jaayeN voh to josh-e-mahabbat meiN kyaa na ho???
mar jaayeN ham --- qubool agar yeh du'aa na ho!
dil ko qaraar ho to tumhaare sivaa na ho!!!
gaahak dil-e-SHIKASTA ka hai peer-e-maikada!
be-kaar hai voh jaam jo TOOTAA HU'AA na ho!!!
yeh aarzoo bhi hai, yeh taqaazaa-e-rashk bhii
MERI nazar se UN ko ko'i dekhtaa na ho!!!
aur yeh she'r dekhiye:
qissa kaleem-o-toor ka bhoolaa naheeN hooN maiN!
hai Khairiyat isii meiN, kaheeN SAAMNAA na ho!!!!!
to, janaab, yeh tha hamaare MaKhmoor saahib ka aNdaaz. ab, jaate
jaate, aap un ki aek aur Ghazal ke do-aek ash'aar sunte jaaiye;
farmaate haiN k
mahabbat meiN shab-e-taareek-e-hijraaN kaun dekhe gaa?
hameeN dekheN ge, yeh Khwaab-e-pareeshaaN kaun dekhe gaa?
in aaNkhoN se tajalli ko daraKhshaaN kaun dekhe gaa?
uThaa bhii do niqaab-e-ruu-e-taabaaN --- kaun dekhe gaa? ;)
mujhii par aaye gaa ilzaam merii paa'imaalii ka
tirii raftaar ko, ai fitna-saamaaN, kaun dekhe gaa? ;)
aur aap zaraa is she'r ko dekhiye:
nafas ke saath hii qaid-e-ta'alluq TooT jaatii hai!
palaT kar phir su-e-gor-e-GhareebaaN kaun dekhe gaa?
aur, aaKhir meiN, meraa be-had pasaNdeeda she'r:
kuchh aisaa ho, dam-e-aaKhir na aayeN voh 'ayaadat ko!
unheN, apne kiye par, YOON PASHEMAAN kaun dekhe gaa???
azeezo aur azeeziyo, to yeh rahii Zoya saahiba ke ma'asoom savaal par
mere ma'asoom javaab ki haaliya qist ---
umr ne vafaa kii to maiN kal phir kisi vaqt deegar sho'araa ke saath
aap ki Khidmat meiN haazir hooN ga! :)
Raj Kumar
___________Zoya
To be contiued..................
> Naseer sahib,
>
> aap ne mujhe Khat likhaa tha?! mujhe to aap ka koii Khat nahiiN mila,
> ho saktaa hai 'bulk' folder meiN chalaa gayaa ho. vaise aap ke muKhbir
> mujhe bharosa mand nahiiN lagte!! :)
muHtaramah Zoya Sahiba, aadaab 'arz hai.
mere muKHbir itne gae guzare nahiiN kih man-ghaRat baateN banaa kar
mujhe bataaeN:) ba-taur-sabuut unhoN ne apnaa asar-o-rasuuKH isti'maal
kar ke us KHat kii yih naql Haazir kii hai
.............................................................................................................................
On Sep 15, 1:02 pm, Naseer <qures...@googlemail.com> wrote:
Zoya Sahiba, aadaab 'arz hai,
ham ALUP vaale aap kii is nihaayat hii dil-chasp laRii kaa be-Had
shukr-guzaar haiN. yaqiin-an yih hamaarii KHush-qismatii hai kih hameN
ek shaa'ir kii nigaah awr nuqtah-i-nazar se maazii ke un mushaa'iroN
kii sair karaaii jaa rahii hai jahaaN ham "faanii" logoN ki dast-ras
nahiiN.
Raj Kumar Qais Sahib kii zabaanii yih aaNkhoN dekhaa Haal nah sirf un
mushaa'iroN kaa samaaN bayaaN kartaa hai awr shu'araa ke kalaam ke
namuunoN se hameN muta'aarif kartaa hai bal-kih un shu'araa kii
shaKHsiyyatoN par bhii raushanii Daaltaa hai. misaal ke taur par
Hafiiz Jaalandharii Sahib ke "chiRchiRe-pan" ke baare meN ziyaadah
logoN
ko 'ilm shaayad nah ho jab kih ham sab jaante haiN kih Faiz Ahmed Faiz
Sahib ek nihaayat muhazzab shaKHsiyyat ke maalik the. ho saktaa hai
kih Hafiiz Sahib "Delhi belly" ke shikaar ho gae hoN:)
mere paas Faiz Sahib ke kalaam kaa majmuu'ah "nusKHah-haa-i-vafaa"
hai. maiN mazkuurah GHazal kii is meN talaash karuuN gaa. agar mil
gaii to aap ke daultat-KHaane meN baar-yaabii ke liye do-baarah Haazir
huuN gaa.
ek baar is laRii ko shuruu' karne kaa bahut bahut shukriyah.
haaN, aap ne Zafar Sahib se is GHazal ke baare meN madad maaNgii hai.
mere KHayaal meN Afzal Sahib bhii shaayad is silsile meN aap kii madad
ke liye aa sakeN kyoN-kih unheN Seemaab Akbaraabaadii se kaafii lagaao
hai.
rahii baat "GHaaibaanah haath" kii. yih to GHaib kaa 'ilm rakhne
vaalaa hii jaantaa hai:) lekin mujhe aap kii baat par puuraa yaqiin
hai. shukriyah.
KHair-Khvaah,
Naseer
.................................................................................................................
ab to aap ko yaqiin aa gayaa ho gaa nah?:)
KHair-andesh,
Naseer
>
> mere muKHbir itne gae guzare nahiiN kih man-ghaRat baateN banaa kar
> mujhe bataaeN:) ba-taur-sabuut unhoN ne apnaa asar-o-rasuuKH isti'maal
> kar ke us KHat kii yih naql Haazir kii hai
>
> .............................................................................................................................
>
> On Sep 15, 1:02 pm, Naseer <qures...@googlemail.com> wrote:
>
> .................................................................................................................
>
> ab to aap ko yaqiin aa gayaa ho gaa nah?:)
>
> KHair-andesh,
> Naseer
aChhaa, to is Khat kii baat ho rahii thii!
Naseer sahib, m'azrat chaahtii huuN k maiN ne is Khat ka javaab nahiiN
diya. maiN ne yeh message dekha to tha, magar phir Faiz/Seemab kii
ghazal ke baare meiN Jawed Sahib ke uThhaye hue savaal par sochne lag
gayii, aur is message ka dhyaan nahiiN rahaa.
jii, yaqiin to mujhe pehle bhii tha k aap keh rahe haiN to aap ne Khat
zaruur likhaa hoga, bas mujhe yaad nahiiN tha k kis Khat kii taraf
ishaara hai.
________Zoya
ilm-o-fan ke deevaane aashiqii se Darte haiN
ziNdagii ke KhwaahaaN haiN, ziNdagii se Darte haiN,
maiN ne Khud huzoor ke muNh se sunii thi! is Ghazal ki adaa'igii ke
liye jo tarannum unhoN ne barta tha, voh tarannum aaj tak mere zehn
meiN maihfooz hai --- aur yaqeen jaaniye k maiN yeh ibaarat likhte
huye bhi usi tarannum ko gungunaa rahaa hooN!
is Ghazal ke chaNd ash'aar mere zehn ke deevaar-o-dar se hamesha ke
liye lipaT gaye the --- jaise,
jab na hosh thaa ham ko, dushmanii se Darte the
ab jo hosh aayaa hai, dostii se Darte haiN
jal ke aashiyaaN apnaa Khaak ho chukaa kab kaa
aaj tak yeh aalam hai --- raushnii se Darte haiN
aur, is Gahzal meiN, mera nihaaaaaayat pasaNdeeda she'r
raihne de inheN, naaseh, tuu yuN-hi aNdhere meiN!
kuchh to hai jo deevaane aagahii se Darte haiN!!!
Hats off to this poet's composition and to his recitation! albatta,
jaate jaate, aap un ke yeh do she'r bhi sunte jaaiye; farmaate haiN k
ravish ravish par khileN ge Ghunche, kalii se gul ham-kinaar hogaa!
sunaa hai, baad-e-KHIZAAN ke haathoN chaman ka DOONAA nikhaar
hogaa!!!
agarche dil meiN sukooN naheeN hai magar yeh socho, Khumaar saahib!
tumhaare dil kaa sukooN gayaa to KISII ka dil be-qaraar hogaa!!! :([
in mahaafil meiN, aek baar mujhe Habeeb Jaalib saahib ko sun_ne ka
mauq'a bhi milaa. un ki shaa'irii be-had moa'ssir thii aur un ki aek
muKhatsar si Ghazal (jis meiN kul paaNch she'r haiN) mujhe is qadar
bhaa'ii thii k voh paaNchoN ash'aar meri zehnii 'canvas' par aek
tasveer ban par chipak gaye the!
mujhe ba-Khoobii yaad hai k jab maiN, 1973 meiN, Braaziil ke shumaali
ilaaqe meiN aek maheene ke liye gayaa tha to maiN har shaam baihr-e-
oqiyaanoos (= Atlantic Ocean) ke saahil par Taihlne ke liye jaaya
karta tha aur, qareeb qareeb, har roz isi Ghazal ka vird kiyaa karta
tha; aa'iye, aaj aap bhi is Ghazal ke voh paaNchoN ash'aar suniye:
dil kii baat zabaaN par laa kar ab tak ham dukh saihte haiN
ham ne sunaa thaa, is bastii meiN dil vaale hii raihte haiN
beet gayaa saavan ka maheena, mausim ne nazreN badleeN
lekin in pyaasii aaNkhoN se ab tak aaNsoo baihte haiN
aek hameN aavaara kaihnaa ko'ii baRaa ilzaam naheeN
dunyaa vaale dil vaaloN ko aur bahut kuchh kaihte haiN
jin ki Khaatir shaihr bhi chhoRaa, jin ke liye badnaam huye
aaj vuhii ham se begaane begaane se raihte haiN
aur ab aap is ghazal ka maqt'a suniye:
voh jo abhii is raah-guzar se chaak-girebaaN guzraa thaa
us 'aavaara deevaane' ko Jaalib Jaalib kaihte haiN!!!
Jaalib saahib ki aek aur Ghazal, jo unhoN ne vahaaN paRhii thii, ke
yeh teen she'r mujhe kabhii naheeN bhool paaye:
agar daaman naheeN un kaa muyassar
kisii deevaar hii se lag ke ro leN!
nigaahoN kii zabaaN jo ko'ii samjhe
sar-e-maihfil kabhii ham lab na kholeN!
zaraa aasaan ho jaaye gi maNzil
chalo, ham hii kisii ke saath ho leN!!!
Jaalib saahib ne, us maihfil meiN, be-panaah daad paa'ii thii albatta,
fart-e-josh meiN, bil-aaKhir aek Ghalati kar gaye --- Ghalati yeh k
unhoN ne, PR ko malhooz-e-Khaatir na rakhte huye, aek 'politically
incorrect' baat keh Daali!
voh yeh k unhoN ne, apna vaqt Khatm hone se ain pehle, apni aek lateef
si Ghazal paRhii jis ka matl'a tha:
us ki soorat Ghazal, har adaa she'r hai
voh mirii shaa'irii hai, miraa she'r hai! :)
zaahir hai k Ghazal ke tevar nihaayat dilkash the --- jis ka aNdaaza
aap un ke maqt'e se bhi lagaa sakte haiN:
ik qiyaamat hai, Jaalib, yeh tanqeed-e-nau!
jo samajh meiN na aaye, baRaa she'r hai!!!!!
albatta, Ghazal ke darmiyaaN aek she'r tha jo hai to 'first-class' ---
magar use paRhne se pehle Jaalib saahib ne Firaaq saahib ki tavajjo
talab kii. jab Firaaq saahib ne musbit meiN sar hilaayaa to Jaalib
saahib ne she'r paRhaa:
apne aNdaaz meiN baat apnii kaho!
Meer kaa she'r to Meer kaa she'r hai!!!
Firaaq, whom so many in that gathering regarded as a 'successor' of
Meer, was understandably pissed off --- and so was the audience
(including myself) --- with the result that Jaalib received ZERO
response on this she'r!
azeezo aur azeeziyo, for me that moment was so stunning in that it
baffled not only the whole audience but also the people on the stage
---------- and Jaalib himself was utterly non-plussed!
I am sure --- or, at least, I hope --- that he learnt a worthwhile
lesson for the rest of his life!
Dilli ke mushaa'iroN meiN aek shaa'ir jo har lihaaz se har-dil-azeez
the --- voh the Maulaanaa Anvar Saabirii. qadd-o-qaamat ke lihaaz se
aur shakl-e-soorat ke eitebaar se voh ain 'deo' lagte the --- aur,
husn ittefaaq se, voh aate bhi DeobaNd naam ke shaihr se the aur is
liye voh aksar kahaa karte the k "us shaihr ka naam DeobaNd isi liye
paRaa hai k voh mera hisaar hai"!
magar aaN-janaab ki tabii'at itni Thaihri hu'ii thi, mizaaj itna
shigufta tha aur lehja itna pur-Khuloos k maiN unheN 'gentle giant'
kahaa karta tha. unheN zabaan-o-bayaan par balaa ka uboor haasil tha,
un ka kalaam hamesha dil-pazeer hota tha aur jis tarannum se voh
paRhte the voh lutf-e-taaseer se hamesha pur hu'aa kartaa thaa!
mujhe Anvar saahib ke yeh ash'aar be-had pasaNd the; aap bhi suniye.
tire karam ki zaroorat hai, peer-e-maiKhaana!
phir aaj hosh meiN aane lagaa hai deevaana!!!
tum ise shikva samajh kar kis liye sharmaa gaye?
muddatoN ke ba'ad dekhaa thaa jo aaNsoo aa gaye!
vaj'h-e-aashob-e-jahaaN poochh rahii hai dunyaa
lab pe, kyaa jaaniye, kyooN aap ka naam aataa hai!
and this GEM
mire chaman ki KhizaaN mutma'in rahe k yahaaN
Khudaa ke fazl se, ANDESHA-e-bahaar naheeN!!!
Anvar saahib ki bazla-saNjii bhi kamaal ki thi. aek mushaa'ire ke
dauraan, aek shaa'ir ne naazim-e-majlis se kahaa, "huzoor, mujhe zaraa
jaldi paRhvaa leejiye, mujhe Faiz-aabaad jaaana hai"! yeh sunte hi,
Maulaana bole, "huzoor, mujhe bhi zaraa jaldi paRhvaa leejiye, mujhe
ADAM-AABAAD jaana hai"!!!
zaahir hai k un ki is baat par bazm qaihqaha-zaar ban gayee!
ab aap Anvar saahib ki aek Ghazal ke chaNd ash'aar suniye; farmaate
haiN k
tasveer-e-sitam ban jaate ho, unvaan-e-jafaa ho jaate ho!
aihsaas-e-Ghuroor-e-husn se tum --- kyaa jaaniye, kyaa ho jaate ho?
aaNkhoN se barastaa hai Ghussa, paR jaate haiN bal peshaanii par
be-jurm sazaaa'eN dete ho, bin-baat Khafaa ho jaaate ho!
ghar par jo mileN to ghabraanaa, raste meiN mileN to katraanaa
jaise kabhi phir milnaa hi naheeN, yooN mil ke judaa ho jaate ho!
raftaar-e-qadam maddham maddham, aNdaaz-e-nazar mub_ham mub_ham
lafzoN meiN bayaaN jo ho na sake, ik aisi adaa ho jaate ho!
aur, aaKhir meiN, un ka yeh qit'a, jo kisi nageene se kam naheeN hai:
dostii nibh na sakii --- sheeshe ki paimaane se
jab se ham log nikaale gaye maiKhaane se
roz aapas meiN laRaa karte haiN arbaab-e-Khirad
ko'ii deevaana ulajhtaa naheeN deevaane se!
azeezo aur azeeziya, to yeh rahii aaj ki qist! maiN, apni agli qist
meiN baqiya sho'araa ke baare meiN ko'i lambii-chauRii baateeN naheeN
kahooN ga, sirf un ke kalaam ke kuchh dil-nasheen-o-rooh-afzaa namoone
pesh karooN ga ---- goyaa, voh qist is silsile ki aaKhirii qist hogi!
Raj Kumar
__________Zoya
To be concluded................
aur yahaaN jo log (meri tarah) janaab Mehdi Hassan ki aawaaz
aur fann ke qadrdaan haiN, unki ittila' ke liye 'arz hai k mausoof
ne Jaalib saahib ki is Ghazal ko 1984 meN Los Angeles ki ek
mahfil meN gaayaa thaa, jis ki recording CD par dastyaab hai.
meri raaye hai k woh CD kaheeN mile to use haath se na jaane
deN. Jaalib saahib ki Ghazal ke alfaaz go k Khud apnaa ek alag
jaadoo rakhte haiN, magar Mehdi Hassan ne unheN us Khoob
soorati se adaa kiyaa hai, k bas!
-UVR.
farz kar liijiye kih Habib Jalib Sahib vuh shi'r paRhte vaqt Firaq
Sahib kii tavajjuh apnii taraf nah karvaate, to kyaa vahii natiijah
nikaltaa?
KHair-Khvaah,
Naseer
Naseer saahib:
vusooq se kehna to mushkil hai magar mera qiyaas yeh hai k
1. agar Jaalib saahib ne yihii she'r jumla sho'araa ki nazr kiyaa hota
to unheN is par achchhi Khaassi daad milti. haaN, yeh alag baat k voh
daad sho'araa hazraat ki jaanib se kam aur saam'een ki jaanib se
ziyaada hoti.
bar-aks is ke,
2. agar unhoN ne Firaaq saahib ki tavajjo apni jaanib na phirvaa'ii
hoti bal-k she'r kehte vaqt un par aek "taa'iraana" nazar Daali hoti
to beshtar sho'araa ne --- aur ham jaise saam'een ne --- un ki niiyat
yaqeenan taaR li hoti. us soorat meiN, unheN daad milti to sahi magar
mariyal si.
teesra imkaan yeh tha k
3. unhoN ne yeh she'r ba-Ghair kisi (vaazeh yaa mub_ham) ishaare ke
paRhaa hota. us soorat meiN, unheN achchhi-Khaassi daad milti
----------------- magar Firaaq saahib se naheeN!
Why? Because the guy was smart enough to smell the rat, regardless of
how deftly it had been wrapped!
to yeh rahaa aap ke 'hypothetical' savaal par Khaaksaar ka
'hypothetical' javaab! :)
Khair-aNdesh, Raj Kumar
mere muKhtasar se savaal ke mufassal javaab ke kiye maiN aap kaa tah-i-
dil se mamnuun huuN.
mere KHyaal meN ek chauthii suurat bhii ho saktii thii...
4) Jalib Sahib ko aazaadii-i-guftaar kaa "faaidah" dete hue shu'araa
awr saami'iin un ke shi'r kii qadr karte KHvaah is guftaar ke pas-i-
pardah bad-niyyatii hii kyoN nah thii. kyaa maiN faraaKH-dilii kii
intihaa ko chhuu rahaa huuN?
KHair-KHvaah,
Naseer
This was indeed a possibility --- but with vanishing probability!
huzoor, is imkaan meiN agar kuchh jaan hoti to 200-300 haazireen meiN
se 10-20 ne to is she'r par daad di hoti --- magar vaaqe'a yeh hai k
us maahaul meiN (is achchhe-bhale she'r par) aek bhi shaKhs ne daad na
di!
To be frank, my own reaction was ----------- "what an idiot"!
> kyaa maiN faraaKH-dilii kii
> intihaa ko chhuu rahaa huuN?
jii haaN --- lagta to kuchh aisa hi hai! ;)
magar is ka matlab yeh bhi naheeN k vahaaN ke haazireen be-jaa had tak
taNg-dil the. No, they were not --- for when the guy recited his
maqt'a he DID receive a fair amount of 'daad'!
Raj Kumar
RK Qais: aaj maiN, daastaan-go'ii ki bajaaye, apni faihrist ke baaqii-
maaNda sho'araa ke kuchh chuneeda ash'aar --- namoona-e-kalaam ke taur
par --- aap ki Khidmat meiN pesh kar ke is tazkire ko iKhtetaam par
laane ki koshish karooN ga. to, leejiye, chaNd mutafarriq shazraat-e-
adabii haazir haiN:
Nushoor Vaahidii:
raNj aur Khushii dono haiN raqeeb-e-dereena
paas paas raihte haiN, saath saath chalte haiN
aarzuu'eN dunyaa meiN sab hi bar naheeN aateeN
kuchh chiraaGh bujhte haiN, kuchh chiraaGh jalte haiN!
yaar ko baa-vafaa kahooN yaa use be-vafaa kahooN?
maNziloN ki baat hai, raaste meiN kyaa kahooN?
husn-e-be-hijaab par parda sa ko'ii Daal do
tum use sanam kaho, maiN use Khudaa kahooN!
meri aaNkhoN maiN haiN aaNsoo, tere daaman meiN bahaar
gul banaa saktaa hai tuu, shabnam banaa saktaa hooN maiN!
-------------------
Saahir Hoshyaarpuri:
maqtal meiN ik shor bapaa hai
aa'ii, meri baarii aa'ii!
mil hi jaaye gi kaheeN DhooNDne vaaloN ko bahaar
har gulistaaN meiN KhizaaN ho, yeh zaroorii to naheeN!!!
ham tirii yaad se baihlaaye huye the dil ko
kyaa Khabar thii k yeh rag rag meiN utar jaaye gii!
gard kii taih meiN hi raihne do ise aasooda
ziNdagii aa'ina dekhe gi to Dar jaaye gii!!!
-----------------------
Hayaat Lakhnavi:
mai-e-nashaat ka ik daur aur chalne do
nihaal-e-shauq ko is taur aur phalne do
jo aihl-e-dil haiN, mubaarak unheN faroGh-e-hayaat
jo jal rahe haiN, unheN aur aur jalne do!
bas itni baat pe dunyaa ne dushmanii kar lii
k ham ne haath baRhaayaa tha dostii ke liye!
-----------------------
Shameem Kirhaanii:
voh dil bhi dukhaate haiN, rakh dete haiN mar_ham bhii
kyaa turfa tabii'at hai, sho'le bhi haiN shabnam bhii
voh ruk ke naheeN milte, ham jhuk ke naheeN milte
ma'aloom yeh hotaa hai, kuchh voh bhi haiN kuchh ham bhii!
yeh havaa ke narm jhoNke, yeh bahaar ke tabassum
mujhe kyooN manaa rahe haiN, maiN Khafaa naheeN kisii se!
-----------------------
Musheer Jhunjhaanavi:
aihl-e-yaqeeN jahaaN the, vaheeN par Thaihar gaye
aihl-e-gumaaN yaqeeN ki hadeN paar kar gaye!
kashtii Dubo ke maiN to subuk-dosh ho gayaa
ilzaam jis qadar the voh tuufaaN ke sar gaye!
haalaaN-k un ko dekh ke palTii hi thii nazar
maihsoos yooN hu'aa k zamaane guzar gaye!
------------------------
Adeeb Sahaaranpuri:
maiN un ke saamne se guzartaa hooN is liye
tark-e-ta'alluqaat ka aihsaas mar na jaaye!
jii chaahataa hai, phir se bulaa looN bahaar ko
lekin yeh sochtaa hooN, KhizaaN rooTh kar na jaaye!!!
---------------------
Vafaa Malikpuri:
kyooN teeragi-e-vaqt Khafaa ham se hu'ii hai?
ik sham'a jalaane ki Khataa ham se hu'ii hai!
sab maaNg liyaa tujh se magar tujh ko na maaNgaa!
haq yeh hai k tauheen-e-du'aa ham se hu'ii hai!!!
----------------------
Saleem Kathaulavi:
badalnaa chaahataa hai kyaa nizaam-e-raNg-o-buu, gulcheeN?
zaraa aihl-e-gulistaaN se to paihle guft-goo kar le!
hameN apnoN ne begaanoN ne jii bhar kar sataayaa hai
jo baaqii raih gayaa hai, gardish-e-dauraaN, voh tuu kar le!!!
-------------------------
Sikandar Ali Vajd
phool par jab kiran jagmagaa'ii
voh nasheelii nazar yaad aa'ii
husn thaa iltefaat-e-mujassam
umr hii kar gayee be-vafaa'ii! :(
-------------------------
to yeh rahe chaNd ash'aar jo, pachaas baras ke ba'ad bhi, mere zehn
meiN tar-o-taaza haiN. maiN ne in ash'aar ko kisi Khaas tarteeb se
naheeN likkhaa --- bas jaise yaad aate gaye, likhta gayaa. ummeed hai
k yeh be-tarteebii aap ki tab'a-e-naazuk par giraaN naheeN guzri
hogi! ;)
is qist ke saath hi yeh tazkira Khatm hu'aa!
Raj Kumar
________________________________________________________________________________________________
dosto,
to yeh thii Dilli ke mushaa'iroN kii kahaani ----- RK Qais Sahib kii
zubaani!
ummiid hai k aap sab bhii is kahaanii ko paRh/sun kar utna hii lutf
andoz hue hoNge, jitnaa maiN huii thii.
maiN Raj Kumar sahib kii tah-e-dil se mamnuun huuN k unhoN ne mere
savaal kaa apne 'inimitable' andaaz meiN, itnaa tafsiilii jaavab diya.
mujhe puura yaqiin hai k yeh silsila Alup archives ke 'golden threads'
meiN shumaar kiya jaayega.
shukriyah.
________Zoya
aafriin balkik sad aafriin!! navaazish, karam, shukriyah, mihr-baanii.
is ke saath saath maiN apne tamaam bhaaii-vandoN (bahin-vand to
fi_lHaal aap, ya'nii Zoya Sahiba ke sivaa koii bhii nahiiN) se
guzaarish kartaa huuN kih vuh sab mil kar zor-daar taaliyaaN bajaate
hue aap ko KHiraaj-i-taHsiin pesh kareN!
Zoya bahib, agar ho sake to in posTs kii chhaaNTii kar liijiye. ho
saktaa hai kih kisii bhaaii bhaaii ne koii savaal uThaayaa ho:)
KHair-Khvaah,
Naseer
> aafriin balki sad aafriin!! navaazish, karam, shukriyah, mihr-baanii.
> is ke saath saath maiN apne tamaam bhaaii-vandoN (bahin-vand to
> fi_lHaal aap, ya'nii Zoya Sahiba ke sivaa koii bhii nahiiN) se
> guzaarish kartaa huuN kih vuh sab mil kar zor-daar taaliyaaN bajaate
> hue aap ko KHiraaj-i-taHsiin pesh kareN!
yaqeen jaaniye, Naseer saahib, k hamaare bhaa'ii-behnoN ne is laRii ke
iKhtetaam par taaliyaaN to ZOR-O-SHOR se bajaa'ii haiN magar afsos k
un taaliyoN ki aavaaz na to aap tak pahuNchi hai aur na hi mujh
tak! :(
> Zoya bahiba, agar ho sake to in posTs kii chhaaNTii kar liijiye. ho
> saktaa hai kih kisii bhaaii bhaaii ne koii savaal uThaayaa ho:)
saheeh farmaayaa aap ne, qibla, -----------
goyaa, jahaaN maiN ne kuchh ash'aar (bhoole-bhaTke) Faiz saahib se
mansoob kar diye the aur, ba'ad meiN, voh nikle Seemaab saahib ke
-------------- to meri nazar meiN yihii ravaa hai k un ash'aar ko is
laRii meiN se nikaal diyaa jaaye!
Zoya beTa, since I happen to have no record of these conversations at
all, I hope that one day you'll up-date them and send me a copy ---
taake, meri yeh TooTii-phooTii baateN, jab vaqt paRe to, shaa'iqeen-e-
adab ke kisi kaam aa sakeN!
R.K.
Raj sahib,
yeh laRi bohat hii dilchasap rahii aur maiN ne iske kucch hissoN ko to
baar baar paRha. ALUP archives ke lie yeh yaqiinan aik bohat eh'm laRi
saabat hogii. aap ka aur Zoya sahiba ka aik baar phir bohat shukriia.
Regards,
Vijay
goyaa, aap ne is laRii ke kuchh hissoN ko baar baar paRhaa --- aur
mujh Ghareeb ko baar baar kosaa! :(
Right?
Pleeeeeeeeeeeeeeeeeease say --- Wrong! :)
> ALUP archives ke lie yeh yaqiinan aik bohat eh'm laRi
> saabat hogii. aap ka aur Zoya sahiba ka aik baar phir bohat shukriia.
ji haaN, shukriya to hameN Zoya biTiyaa ka adaa karna chaahiye k, un
ki be-laus vasaatat se, yeh laRii aalam-e-vujood meiN aa'ii ---
varna, aap to jaante hi haiN k, maiN Ghareeb kis ginti meiN hooN? :)
R.K.
>
> Pleeeeeeeeeeeeeeeeeease say --- Wrong! :)
>
> R.K.
Wrooooooooooooooooong!:-) LOL!
Raj sahib, aik baat maiN aur kehnii chaahta thaa; kih aap Faiz/Seemab
vaalaa hissa jaisa hai, vaisee kaa vaisaa hii rehne deN, use nikaaleN
mat (ya'ani Zoya sahiba se use nikaalne ke liie na kaheN). is se ham
'jaisoN' ko yeh hausla rahega kih kabhii kabhaar aap kii yaad-yaadasht
bhii dhoka khaa saktii hai! nahiiN to kabhi kabhi yeh gumaan hone
lagta hai ki aap ke dimaagh meN shayada koii 'computer chip' lagii hai
jo ham jaisoN ke nasiib meN nahiiN aaii!:-)
Regards,
Vijay
is silsile ko pasand farmaane ka bahut shukriyah.
mujhe yaad nahiiN aa raha k aap kis savaal kii baat kar rahe haiN,
agar dobaara bataa deN to bahut inaayat hogii. maiN bhii koshish
karuuNgii k aap kii posts ko phir se paRhuuN, aur dhyaan se
paRhuuN! :)
Vijay Sahib,
bahut shukriyah.
aur haaN, Alup par messages edit karne kii option nahiiN hai, so is
laRii meiN to Faiz/Seemab vaali baat 'fix' nahiiN ho saktii, agar maiN
chaahuuN to bhii nahiiN! RK Sahib kii baat ko madd-e-nazar rakhte hue,
maiN apni original copy meiN yeh correction zaruur kar rahii huuN, taa
k aaindah kabhii is silsile ko kahiiN post kiyaa jaaye, to yeh ghalati
na ho.
RK Sahib,
ek dafa phir, aap ka dilii shukriyah k aap ne itnii mehnat se, aur
itnaa vaqt lagaa kar apnii yaadoN ko hamaare liye qalam band kiya. is
se baRh kar mere liye aur koii tohfa nahiiN ho sakta.
I will send my original draft to you in an email. If you want to make
any changes, please let me know.
Thank you, gentlemen. :)
_________Zoya
> mujhe yaad nahiiN aa raha k aap kis savaal kii baat kar rahe haiN,
> agar dobaara bataa deN to bahut inaayat hogii. maiN bhii koshish
> karuuNgii k aap kii posts ko phir se paRhuuN, aur dhyaan se
> paRhuuN! :)
Zoya Sahiba, aadaab 'arz hai.
maiN nahiiN chaahtaa kih aap kaa qiimatii vaqt zaa'i' ho!
maiN ne puuchhaa thaa kih kyaa aap log in mushaahidaat ko "kitaabii
shakl" dene kaa iraadah rakhte haiN?
Naseer
aChhaa, to is savaal kaa zikr ho rahaa tha! is par to maiN pehle hii
baat kar chukii huuN. :)
Naseer bhaai, aap thoRaa uupar jaa kar voh message dekhiye jahaaN maiN
ne yeh savaal RK sahib ko 'defer' kiya tha, aur is baare meiN un kii
raaye puuChhii thii. meraa ab bhii yahii Khayaal hai k vohii is baat
ka behtar javaab de sakte haiN, dekhiye voh is baare meiN kya kehte
haiN! vaise aap ka mashwarah hai aChhaa!