Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

Dilip Kumar Saheb Ke Inteqaal Par Ek Shaa'ir Ke Tassuraat

35 views
Skip to first unread message

Afzal A. Khan

unread,
Jul 25, 2021, 7:46:22 PM7/25/21
to


Nazireen-e-giraami,

On 7th July this year, the doyen of Indian film actors Dilip Kumar
Saaheb passed away......

Inna Lillahe wa Inna 'ilaihe Raji'oon

****************

Ek Urdu masnawi ka sher yaad aa raha hai


Laakh Dara aur Sikandar ho gaye
Hichki aayee maut ki aur so gaye


****************


Dili Kumar Saaheb ki wafaat par kisi shaa'ir ne ek nazm
likhi hai. Ise yahaaN pesh kar raha hooN......



Hai fana anjaam, har koi fana ho jaayega
Ik na ik din neeNd ab'di oRH kar so jaayega

Jo yahaaN aata hai us ko lauT kar jaana bhi hai
Ghoom phir kar duniya ke mele us ko ghar jaana bhi hai

Adna ho a'ala ho, koi Hukm'raaN ho ya GHulaam
Maut se do~chaar hone waala hai har KHaas-o-'aam

Aati jaati saaNson ka ik silsila hai zindagi
Tairta aab-e-rawaaN par bulbula hai zindagi

Zindagi sab kuchh hai, lekin zindagi kuchh bhi naheeN
Jo hamesha hi rahe, woh zindagi milti naheeN

Aaj kal parsooN, kisi bhi waqt yeh aa sakti hai
Maut to bar~Haq hai, yeh Taali naheeN ja sakti hai

Is dayaar-e-faani men kuchh bhi naheeN hai jaavidaaN
Ik na ik din jaana hai us ko jo aaaya hai yahaaN

Dekhne, sunne men aayee har Taraf se yeh KHabar
Aa gaya mooNh ko kaleja, kitnoN ka yeh jaan kar

Kar gayee hai jaane kitnoN ko KHabar yeh be~qaraar
Zindagi ne maan li hai maut se aah apni haar

Zehn-o-dil maaoof se haiN, aur aaNkheN ashk'baar
Aah ruKHsat is jahaaN se ho gaye Dil-eep Kumar

KHoob thi woh Devika Rani ki nazr-e-intiKHaab
Ik sitaara DHooNda misl-e-aaftaab-o-maahtaab

Ik naya naam un ko de kar, yooN kiya un ka shumaar
Jo the Yousuf Khan, un ko kar diya Dil-eep Kumar

"Jwaar BhaaTa" se huwi filmi safar ki ibtida
Aur phir baRHne ka aage raasta milta raha

Filmi duniya ke yeh pehle Khan, Yousuf Khan the
Be~misaal aur baa~kamaal, ik nek'dil insaan the

The ada'kaari ki apne aap men ik dars~gaah
Rakhte the, rakhte hain un ke fan pe sab apni nigaah

Aaj aur kal ke ada'kaaroN ka meh'var in ka naam
Tha numaayaaN apne hum~'asroN men bhi in ka maqaam

Ik ada'kaar, ek fan'kaar, ek hasti laa~jawaab
Doosra koi naheeN tha, KHud hi the apna jawaab

Maut Yousuf Khan ki hai KHaat'ma ik daur ka
'Aks se mehroom hai ab aaina ik daur ka

YaadoN ke KHaake banaaeN, aur raNg in men bhareN
Ai Niyaaz aao, du'aa-e-maGHfirat hum sab kareN



Niyaaz Jairajpuri



****************



Afzal












Zoya

unread,
Jul 26, 2021, 12:59:51 PM7/26/21
to
Afzal sahib,

aadaab,

I appreciate you taking the time to type up and share this nazm with us. I had not read anything by Niyaaz Jairajpuri in the past, a new name for me. In this nazm, the poet has effectively expressed the sentiments of a lot of admirers of Dilip Kumar.
There are 'vazn' issues that put several misraas out of meter, can be easily fixed if someone is inclined to do so.

Thanks once again, looking forward to your next installment on Dilip Kumar. No rush, whenever.

Regards,

________Zoya
0 new messages