Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

Sohail's list

92 views
Skip to first unread message

Khalid Siddiqui

unread,
May 31, 2021, 9:10:42 AM5/31/21
to
Aadaab:
Sarwar Sahib, I would appreciate if you would comment on your friend, Dr. Sohail Maqbool's, list of top 24 poets on their ghazal writing. I had posted the list under The Top Four last week.
Thanks.
Best wishes.
Khalid

Naseer

unread,
May 31, 2021, 11:16:14 AM5/31/21
to
janaab-i-Khalid Siddiqui SaaHib, aadaab.

is meN to ko'ii do raa'e nahiiN kih ALUP ke jo dost aap kii laRii "The Top Four" meN shirkat karnaa chaaheN, un kii marzii hai aur jo nah kuchh kahnaa pasand kareN, yih un kii marzii. lekin agar aap buraa nah maaneN to is qism kii fahristoN se kyaa Haasil hotaa hai? sirf yahii kih har ik kii apnii apnii raa'e hai aur 3ain mumkin hai har ek kii fahrist muxtalif ho.

merii nazar meN (yaa samjh liijiye mere kaanoN ke mutaabiq!:-)) Muhammad Rafi kaa nah ko'ii saanii thaa, nah hai aur nah ho gaa. lekiN agar aap "rec.music.indian.misc" kaa daurah kareN to aap ko ek Tiim mile gii jo xvud ko "Rafians" kaa naam detii hi aur duusrii taraf Kishore Kumar ke Himaayat karne vaale haiN. in donoN kii, bi_lxusuus maazii meN, jaNg chhiRii rahtii thii. bi_lkul fazuul! maiN Saigal, Talat Mahmood, Mukesh, Mehdi Hassan, Mahendra Kapoor....Hatta kih Kishore Kumar ke gaane sun_taa huuN. Talat Mahmood, Mukesh, Mehdi Hassan ke achchhe gaanoN kii ta3daad bahut baRii hai aur do chaar gaane Kishore ke bhii achchhe haiN, lekin Kishore Kumar ke HimaayatiyoN kii nazar meN to vahii ek guluu-kaar thaa jise guluu-kaar kahaa jaa saktaa hai!

Ghalib kaa marGhuub phal 'aam thaa. mumkin hai aap amruud ko tarjiiH deN. xarbuuze kaa naam sunte hii kuch logoN ke muNh meN paanii aa jaataa hai. mujhe aaluu buxaare ke saath tiinoN pasand haiN. in ko pasand ke i3tibaar se ek, do, tiin kaa darjah denaa mere liye aasaan nahiiN. 'aam kii xuubiyaaN apnii jagah pih, amruud kaa ko'ii javaab nahiin...apnii jagah par....kyaa baat hai xarbuuze kii...apnii jagah par......ya3nii har ik kaa apnaa apnaa maqaam hai. Rafi, Talat, Mukesh, Kishore, Saigal, Mahendra kapoor, mehdi Hassan...aur diigar guluukaar-- har ik kaa apnaa apnaa andaaz hai aur in phaloN kaa apnaa apnaa zaa'iqah!

achchhaa Khalid SaaHib, yih bataa'iye kih aap ko kaun-saa saaz pasand hai. Dholak, tablaa, harmonium, piano, sitaar, violin..... in dinoN to mujh par violin taarii hu'aa hu'aa hai (ab yih nah kahiye gaa kih hu'aa hu'aa Ghalat hai!:-)). ho saktaa hai kih is ke ba3d sitaar ke siHr meN jakaR liyaa jaa'oN.... aur phir kisii aur saaz kaa jaaduu sar chaRh kar bole.....

kyaa xuub kisii ne kahaa hai....pasand apnii apnii!:-)

https://www.youtube.com/watch?v=E9a6QlXyOJw&ab_channel=DAAC-DhanArtsandCultureDAAC-DhanArtsandCulture

Naseer

Sarwar A. Raz

unread,
May 31, 2021, 1:58:36 PM5/31/21
to
-------------------------------------------------------------------------
Dear Khalid saaHeb: Suhail was talking about you only yesterday. What a wonderful coincidence that today I got your letter. Thanks. I look forward to our conversations. As for the now-famous List, I will look at it. I read Naseer SaaHeb's views with a little surprise and a lot of misgivings. I will express my views for what they are worth but have no illusions about changing anyone's perspectives. I believe that is not what we are to do. We can exchange ideas and that is a good thing. Honest and frank exchanges and criticism is good for the soul too! Thanks again and take care.

Sarwar Raz

Khalid Siddiqui

unread,
May 31, 2021, 2:31:57 PM5/31/21
to
Aadaab:
Thank you Sarwar SaaHeb. I am looking forward to your input.
Best wishes.
Khalid

Sarwar A. Raz

unread,
May 31, 2021, 8:10:27 PM5/31/21
to
------------------------------------------------------------------------------------------------------
yaaraan-e-adab: aadaab!
ALUP par aayaa to yahaaN dilchasp baatoN ne gher liyaa. "ik jaan-e-naa.tawaaN hai, kise dooN, kise nah dooN?" is waqt Suhail kee mash,hoor List par chand Khayaalaat kaa izhaar maqSood hai. Naseer SaaHeb ne to is par maqaalah likh diyaa hai. maiN to us ko mukammal paRh bhee naheeN sakaa. aSl meN mere nazdeek baat itnee ma'moolee hai keh is par ziyaadah waqt Sarf karnaa Ghair- Zarooree hai. shaa,iroN kee fehrist, nazm, Ghazal, maZmoon, Khat sab izhaar-e-raaye aur tabaadilah-e-Khayaal ke waseeley haiN. meree raaye, Khayaal yaa tarjeeH aap se muKhtalif ho saktee hai. sanjeedah aur shaa,istah baat kehne kaa mujh ko Haq hai aur yeh Haq koyee naheeN kchheen saktaa. aap ko Haq hai keh meree teHreer paRheN yaa nah paRheN, us par tanqeed kareN, sawaal poochheN yaa us ko apne Zehn kee raddee kee Tokree meN Daal deN. maiN aise Haalaat se bohat guzraa hooN. Urdu waaloN meN tanqeed aur doosroN kaa nuqtah-e-nazar bardaasht karne kee ahliyat kam hai. Suhail kee fehrist un kee raaye hai. us se nah koyee shaa,ir baRaa hotaa hai aur nah chhoTaa. jin logoN ne Mir, Ghalib, Hasrat, Asghar ko a'zeem shaa,ir maanaa yaa jo Faiz ko ab maante haiN unhoN ne bhee apnee raaye zaahir kee hai. is meN kyaa harj hai? Naseer Saaheb ne sawaal kiyaa hai keh "fehrist se kyaa HaaSil"? fehrist se kisee kee raaye maloom huyee aur yehee us kaa HaaSil hai. tabaadilah-e-Khayaal insaanee Zaroorat hai aur is se adab, zabaan, tehZeeb, mu,aashirah sabee kuchh faroGh paataa hai aur baGhair is ke hamaaree saaree raaheN masdood ho jaatee haiN. apnee raaye kaa Khush-dilee aur dayaanat-daaree se izhaar keejiye aur is kee fikr nah keejiye keh kisee ko pasand hai yaa naheeN. raaYe hameshah "subjective" hotee hai. aur kuchh ho hee naheeN saktee! maiN Suhail se aur un kee fehrist se muttafiq naheeN hooN lekin is se koyee farq naheeN paRtaa. woh to is se mutma,in haiN! maiN ba''Z logoN ke shaa,ir naheeN maantaa, jaise Ahamad Ali Barqi, Manzar Bhopalee, Nawaz Deobandi waGhairah. lekin is par mujh ko iSraar naheeN hai keh aap bhee aisee hee raaye rakheN. Faiz aur Faraz par bhee meree raaye hai jis kaa izhaar naheeN kartaa hooN. yeh guftagoo bhee ho gee lekin abhee naheeN. gunaahoN ke darmiyaan agar kuchh waqfah reh jaaye to buraa naheeN! ab ijaazat deejiye. yaar zindah-SuHbat baaqee!

Sarwar Raz




Khalid Siddiqui

unread,
Jun 1, 2021, 11:23:25 AM6/1/21
to
Aadaab:
Sarwar SaaHeb thanks for your response. I relayed it to Sohail also. I agree with you in that personal and subjective thoughts, called opinions, should be posted to generate intellectual discussions. If enough people send their opinions then it would point towards a prevailing trend of likes and dislikes. It may be unscientific and crude but, nevertheless, would be helpful. Having said that, I would request you (and other ALUP members), to post your own merit list of 22 top ghazal writing poets. I can't post my own list because I am novice at this. The only two Urdu poetry books that I have owned (and ever read) are Diwan-e-Ghalib and Bang-e-Dara.
Best wishes.
Khalid

Sarwar A. Raz

unread,
Jun 1, 2021, 2:15:38 PM6/1/21
to
> Khalid!
------------------------------------------------------------
mukarramee Khalid Saaheb: aadaab!
jawaab kaa shukriya. "tum ne poochhaa to mehrbaanee kee!" afsos keh maiN fehrist nah banaa sakooN gaa. jab 22 shaa,iroN ko paRhaa hee naheeN to kyaa likhooN? mere paas Ghalib, Mir, Iqbal, Fani, Jigar, Jura,t kaa kalaam hai. baaqee sab maiN muKhtalif kutub-KhaanoN ko de chukaa kyoN keh chiraaGh-e-seHaree hooN. mere ba'd kitaaboN ko paRhne waalaa koyee naheeN so Khud hee Thikaane se lagaa rahaa hooN. waise maiN Mir, Ghalib aur Iqbal kaa mureed hooN. Suhail ke paas baRaa kutub-Khaanah hai. unhoN ne ziyaadah logoN ko paRh rakhaa hai. Faiz -o-Faraz kaa maiN qaayel naheeN. Faiz ke kulliyaat paas the, ab naheeN haiN. Faraz kee chand kitaabeN theeN lekin woh mujhe muta,assir nah kar sakeeN. Faiz par apnaa maZmoon Karachi/Delhi aaj-kal meN bhej rahaa hooN. ho saktaa hai Alup meN bhee lagaa dooN. us par nazar-e-saanee kar rahaa hooN. fehristoN ke Hawaale se phir kuchh a'rZ karooN gaa. inshaa Allah!

Raz

Naseer

unread,
Jun 6, 2021, 7:43:39 AM6/6/21
to
Janaab-i-Sarwar Raz SaaHib aadaab 3arz hai.

aap ke yakum June 2021 ke xat (19:15:38) kaa nichoR yahii hai kih har ek ko apnii raa’e dene kaa Haq hai. [aap ek do shu3araa’ ko shaa3ir hii nahiiN samajhte aur Faiz aur Faraz vaGhairah par jo aap kii raa’e hai vuh auroN se muxtalif hai.] yahii maiN ne apnii 28 May 2021 vaalii post meN likhaa thaa aur yih saabit kiyaa thaa kih ek hii shaa3ir chaar daanishvaroN ke nazdiik pahlaa, duusraa, tiisraa aur sifr darjah bhii rakh saktaa hai! qissah muxtasar kih yih pasand aur naa-pasanad daanishvaroN ke darmiyaan bhii itnii vuq3at nahiiN rakhtii aur jab suurat-i-Haal aisii hai to mujh jaise logoN kii is mu3aamile meN kyaa auqaat hai? kuchh aisaa hii maiN ne apne 31 May vale xat meN tahrir kiyaa thaa.

On Monday, 31 May 2021 at 16:16:14 UTC+1, Naseer wrote:
> janaab-i-Khalid Siddiqui SaaHib, aadaab.
>
> is meN to ko'ii do raa'e nahiiN kih ALUP ke jo dost aap kii laRii "The Top Four" meN shirkat karnaa chaaheN, un kii marzii hai aur jo nah kuchh kahnaa pasand kareN, yih un kii marzii. lekin agar aap buraa nah maaneN to is qism kii fahristoN se kyaa Haasil hotaa hai? sirf yahii kih har ik kii apnii apnii raa'e hai aur 3ain mumkin hai har ek kii fahrist muxtalif ho.
>
> kyaa xuub kisii ne kahaa hai....pasand apnii apnii!:-)
>
> https://www.youtube.com/watch?v=E9a6QlXyOJw&ab_channel=DAAC-DhanArtsandCultureDAAC-DhanArtsandCulture
>
> Naseer

Hamaare darmiyaan is ham-aahaNgii ke baa-vujuud aap farmaate haiN…

On Monday, 31 May 2021 at 18:58:36 UTC+1, Sarwar A. Raz wrote:

> As for the now-famous List, I will look at it. I read Naseer SaaHeb's views with a little surprise and a lot of misgivings.

> Sarwar Raz

yih paRh kar mujhe qadre ta3ajjub zaruur hu'aa hai. maiN ne yih bhii 3arz kiyaa thaa kih Dr. Sohail Maqbool SaaHib jaisii fahrist banaane se pahle kam az kam yih laazimii hai kih list banaane vaale ne un shaa3iroN kaa kalaam paRhaa hu’aa ho. aap ne bhii is se milte julte xayaal kaa izhaar kiyaa hai

On Tuesday, 1 June 2021 at 19:15:38 UTC+1, Sarwar A. Raz wrote:

> mukarramee Khalid Saaheb: aadaab!

> jawaab kaa shukriya. "tum ne poochhaa to mehrbaanee kee!" afsos keh maiN fehrist nah banaa sakooN gaa. jab 22 shaa,iroN ko paRhaa hee naheeN to kyaa likhooN?

> Raz

natiijah yih hai kih nah maiN aisii fahrist banaane kii 3ilmiyyat rakhtaa huuN, nah aap ne aisaa karne kii Haamii bharii hai aur nah hii kisii diigar dost ne aisii fahrist pesh kii hai. ek aadh ke sivaa kisii ne "The Top Four" kii darjah-bandii bhii nahiiN kii. zaahir hai kih yih amr itnaa aasaan nahiiN!:-)

Naseer

Naseer

unread,
Jun 6, 2021, 8:07:05 AM6/6/21
to
On Tuesday, 1 June 2021 at 01:10:27 UTC+1, Sarwar A. Raz wrote:
maiN ba''Z logoN ke shaa,ir naheeN maantaa, jaise Ahamad Ali Barqi, Manzar Bhopalee, Nawaz Deobandi waGhairah. lekin is par mujh ko iSraar naheeN hai keh aap bhee aisee hee raaye rakheN. Faiz aur Faraz par bhee meree raaye hai jis kaa izhaar naheeN kartaa hooN.
>
> Sarwar Raz

Sarwar Raz SaaHib, tasliimaat.

aap kii yih taHriir paRh kar mujhe ek video yaad aayaa jis meN Faiz (ba-qaul Shabana Azmi ke) Bahadur Shah Zafar ko shaa3ir nahiiN samajhte the.

https://www.youtube.com/watch?v=8ka4SmHIo7E&ab_channel=MkhalidmughalMkhalidmughal

Naseer
0 new messages