ham aksar Ghair sha'ooree tor per azeem insaanoN ko zehn.o.damaaGh ke
maKhsoos KhaanoN meiN nazar.band kar dete haiN aur unko aam insaanoN
ke bohat se jazbaat, eHsaasaat aur af'aal se baalaa.tar farz kar lete
haiN, goyaa aise logoN se kisee aam jazbe yaa fe'l kaa sudoor un kee
azmat ke munaafee ho aur us se un ke darje aur muqaam meiN koi kamee
vaqe' hone kaa imkaan ho. azeem udabaa aur sho'raa ke saath bhee
hamaaraa kam.o.besh yehee rava'iyya hai. chunaanche Mirza Ghalib kaa
apne bachpan meiN doosre bachchoN ke saath gilli.daNdaa khelnaa yaa
pataNg uRaanaa aur Allama Iqbal kaa apne dostoN ke saath haNsnaa
bolnaa aur mazaaq karnaa hamaiN Ghair.ma'moolee meHsoos hotaa hai.
Ghalib kee shaa'iree kee buland.Khayaalee, nudrat.e.mazaameen aur
lataafat.e.bayaan ke pesh.e.nazar aksar log unkee nasr (Khusoosan unke
Khutoot) kee shaguftagee aur be.saaKhtagee kaa tasavvur naheeN kar
sakte haiN. phir bhalaa voh yeh kaise soch sakte haiN ke Ghalib apnee
roz.marra kee zindigee meiN is qadar haNsmukh aur bazla.sanj the ke
unke maHboob shaagird Molana Altaf Husain Hali unko "Haivaan.e.zareef"
ke laqab se yaad karte the.
dar.asl azeem insaanoN kee azmat.e.fun aur kaarnaamoN se ham mar'oob
hokar yeh bhool jaate haiN ko voh bhee hamaaree hee taraH ke insaan
the, un ke jazbaat aur af'aal bhee hamaaree taraH insaanee the aur voh
bhee apnee zindigiyoN meiN kam.o.besh unheeN masaa'il se do.chaar
rahaa karte the jin se ham shab.o.roz nimtaa karte haiN.
Allama Iqbal ek falsafee shaa'ir kee Haisiyat se is qadar ma'roof haiN
ke unkee Hayaat ke aur doosre pehloo hamaaree nazroN se ojhal hogaye
haiN. ham unkaa tasavvur Bang.e.Diraa, Baal.e.Jibrail, Shikva aur
Javaab.e.Shikva ke tanaazur meiN to kar sakte haiN magar unko ek
shohar yaa baap kee Haisiyat se bazaar se saamaan.e.Khaana.daaree
laate, aur haNste bolte naheeN dekh sakte haiN.
hamare adab meiN sho'raa aur udabaa kee zaatee aur shaKhsee zidigee
per bohat kam likhaa gayaa hai. shaa'iree meiN to taKhallus ke
istaimaal ne beshtar logoN ko shaa'iroN ke aslee naamoN se bhee
begaana kar diya hai. mujhe yaqeen hai ke is mazmoon kaa unvaan dekh
kar hee bohat se ahl.e.alup chonk uThe hoNge ke "Iqbal aur mizaaH? yeh
kyaa bul.ajabee hai, toba toba Khudaa Khudaa keeje!" lekin yeh bhee ek
Haqeeaat hai ke Iqbal ne zareefaana shaa'iree kee hai jo un ke
Kulliyaat meiN mojood hai. Iqbal kee shaa'iree ke is ruKh kee chand
misaaleN aage dee jaatee haiN. in ke mutaali'e se chand baateN aKhaz
kee jaa saktee haiN:
(1) Iqbal zareefaana kalaam meiN Akbar Allahabadi hargiz naheeN haiN
aur unka mizaaHiya kalaam Khaasa kamzor hai.
(2) unhoN ne aise kalaam meiN mizaaH aNgrezi alfaaz aur avaam kee
zubaan ke istaimaal se paidaa karne kee koshish kee hai. is meiN voh
kaamyaab naheeN hosake haiN kyoNke unka kalaam paRh kar qaaree ko
bilkul haNsee naheeN aatee hai.
(3) Iqbal ne is kalaam meiN apne Khaas paiGhaam ke chand pehloo pesh
karne kee koshish kee hai, maslan: puraanee rivaayaat kee izzat,
maGhrabee tehzeeb kee aNdhee taqleed se nafrat vaGhaira, magar unkaa
lab.o.lehja mu'assar naheeN hai.
Iqbal ke zareefaana kalaam ke iKhtisaar se yeh ma'loom hotaa hai ke
KHud unko jald hee yeh andaaza ho gayaa thaa ke voh is maidaan ke
shah.savaar naheeN the aur voh apne aslee rang per vaapas chale gaye
the, jis ke liye ham Allah ke be.had shukr.guzaar haiN!
ab aap Iqbal kee mizaahiya shaa'iree ke kuChh namoone dekhiye:
(1) shaiKh saaheb bhee to parde ke koi Haamee naheeN
muft meiN college ke laRke unse bad.zan ho gaye
va'z meiN farmaa diyaa kal aap ne yeh saaf saaf
parda aaKhir kis se ho jab mard hee zan ho gaye
is qite' ko paRh kar Akbar Allahabadi kaa yeh qita' yaad aataa hai:
be.parda kal jo chand nazar aa'eeN beebiyaaN
Akbar zameeN meiN Ghairat.e.qomee se gaR gayaa
pooChha jo maiN ne aap kaa parda voh kyaa huaa
kehne lageeN ke aql pe mardoN kee paR gayaa
(2) yeh koi din kee baat hai ae mard.e.hosh-mand
Ghairat na tujh meiN hogee na zan oat chaahegee
aataa hai ab voh dor ke aulaad ke evaz
council kee memberee ke liye vote chaahegee
(3) tehzeeb ke mareez ko golee se faa'ida?
daf'.e.maraz ke vaaste pill pesh keejiye
the voh bhee din ke Khidmat.e.ustaad ke evaz
dil chaahtaa thaa hadya.e.dil pesh keejiye
badlaa zamaana aisaa ke laRkaa pas.az.sabaq
kehtaa hai master se ke "bill pesh keejiye"
(4) ta'leem.e.maGhribee hai bohat jur'at-aafreeN
pehlaa sabaq hai beth ke college meiN maar deeNg
baste haiN Hind meiN jo Khareedaar hee faqat
aaGhaa bhee leke aate haiN apne vatan se heeNg
meraa yeh Haal, boot kee toe chaat-taa hooN maiN
unkaa yeh Hukm, dekh, mire farsh per na reeNg
kehne lagaa ke ooNt hai bhadda saa jaanvar
aChhee hai gaa'e rakhtee hai kyaa nokdaar seeNg
(5) ham mashriq ke miskeenoN kaa dil maGhrib meiN jaa aTkaa hai
vaaN kantar sab billoree haiN, yaaN ek puraanaa maTkaa hai
is dor meiN sab miT jaa'eNge, haaN baaqee voh reh jaa'egaa
jo qaa'im apnee raah pe hai, aur pakkaa apnee huT kaa hai
ae shaiKh.o.baraman sunte ho, kyaa ahl.e.baseerat kehte haiN
gardooN ne kitnee bulandee se in qomoN ko de paTkaa hai
yaa baaham pyaar ke jalse the, dastoor.e.muHabbat qaa'im thaa
yaa beHs meiN Urdu-Hindi hai, yaa Qurbaanee yaa jhaTkaa hai
yaar zinda, suHbat baaqee!!
Sarwar Raz "Sarwar"
> (2) yeh koi din kee baat hai ae mard.e.hosh-mand
> Ghairat na tujh meiN hogee na zan oat chaahegee
> aataa hai ab voh dor ke aulaad ke evaz
> council kee memberee ke liye vote chaahegee
>
Sarwar Sahib aur deegar ALUPers, Iqbal ka hii aik aur mizaahia qitaa, jo
mujhe pasaNd hai, pesh hai:
membree imperial council kii kucch mushkil nahiiN
vote to mil jaaeNge, paise bhii dilvaaiNge kyaa?
meerzaa ghalib, Khuda baKhshe, b'jaa farmaa gae
ham neN yeh manaa ki dilli meN raheN, khaaeNge kyaa?
*hai ab is ma'amoora meN qeht-e-gham-e-ulfat asad
ham neN yeh maana ki dilli meN raheN, khaaeNge kyaa
Ghalib
Regards,
Vijay Kumar