is tarah mere gunahon ko wo dho deti hai,
maaN bahut gusee mein hoti hai to ro deti hai...
maine rote hue poonchhe thhe kisi din aansu
muddaton maaN ne nahi dhoya dupatta apna..
abhi zinda hai maaN meri mujhe kuchh bhi nahi hoga,
main jab ghar se nikalta hoon dua bhi saath chalti hai...
jab bhi kashti meri sailab mein aa jaati hai
maaN dua karti hui khwaab mein aa jaati hai
aye andhere dekh le munh tera kaala ho gaya,
maaN ne aankhein khol di ghar mein ujaala ho gaya
meri khwahish hai ki main phir se farishta ho jaun
maaN se is tarah liptun ki bachcha ho jaun
'munawwar' maaN ke aage yun kabhi khulkar nahi rona
jahan buniyaad ho itni nami achchhi nahi hoti
lipat jaata hoon maaN se aur mausi muskurati hai,
main udru mein ghazal kehta hoon hindi muskurati hai
Munawwar Rana
janaab-i-Mohit Sahib, aadaab 'arz hai.
Munawwar Rana Sahib kii nazm pesh karne ke liye bahut bahut shkriyah.
ik maaN ke vujuud hii se dunyaa aabaad rahtii hai. maaN gaii dunyaa
gaii!!
Naseer
Naseer sahib:
mere Khyaal meN yeh munnawar raana ke chaND muKhtalif asha'ar haiN,
maaN ke maauzu pe, na ki aik nazm. mohit sahib, merii taraf se bhii
shukriian in asha'ar ko yahaaN pesh karne kaa!
Vijay
another sh'er that comes to my mind is:
ye aisa qarz hai jo maiN adaa kar hi nahiiN sakta
maiN jab tak ghar na lauTouN meri maaN sajde meiN rahti hai
Munawwar Rana
The above attribution is incorrect. The poet's name for the
above matl'a is "Adeem Haashimi".
yaad kar ke aur bhi takleef hoti thee, "Adeem"
bhool jaane ke sivaa ab koi bhi chaara na thaa
muhabbat kayi baatein buniyaadi batati hai,
jo pardaadi batati thhi wahi daadi batati hai..