On Sunday, September 8, 2013 1:54:04 PM UTC-7,
vij...@gmail.com wrote:
Raj saahib, aaj do aik din ke ba'ad ALUP pe lauTa to yeh Khazaana milaa. aap sach maaneN ki maiN soch hii raha thaa ki aap ko kisii na’ii ghazal kii farmaaish karuuN. lekin Azeem Beg ki naz'm ke silsile meN aap ne jo mehnat kii, to mujjhe laga ki abhii aap ko aik do hafta araam karne duuN, us ke ba'ad guzaarish karuuN gaa. aap ne to lagta hai mere dil kii baat jaan lii.
***Vijay saahib, maiN ne aap ke dil ki baat yaqeenan jaan lii kyooN-k, ba-qaul-e-shaKhse,
“wise men always think alike ----- and fools never differ”!*** ☺
do aik baateN is Ghazal pe ba-taur ta'assuraat haazir haiN:
***irshaad!***
> 1. ham-safar laakhoN the lekin rah-numaa ko’ii na thaa
>
> manzileN chaaroN taraf theeN, raastaa ko’ii na thaa!
bohat Khuub. matl’a hi “haasil-e-Ghazal” lag rahaa hai. duusra misr’a to ma'ani ke lihaaz se bohat hii pasaNd aaya. maiN ne ka’ii baar dekhaa hai ki shaa'ir log Ghazal to bohat achhi keh dete haiN lekin matl’a bhartii ka le lete haiN, sirf Ghazal ko puura karne ke liie. aap ne to bohat asar-aafriiN shuru’aat kii hai. mubaarak.
***jii Khush ho gayaa aap ka ta’assur paRh kar --- aur voh bhi aatish-baazii ke chhuuTte hii!*** :)
> 2. baHr-e-Gham ka Haal ham kis se kaheN, kaise kaheN?
>
> kashtiyaaN hi kashtiyaaN theeN, naa-Khudaa ko’ii na thaa!
bohat Khuub, kyaa kehne.
***shukriya, saahib!***
> 3. maNdiroN meN jitne but the, sab ke sab be-jaan the
>
> masjidoN meN bhii, Khudaa rakkhe, Khudaa ko’ii na thaa!
lafz-e-Khudaa kii takraar bohat hii umdah hai! wah wah!
***Thanks, again, Vijay saahib!***
>
> 4. mominoN ki baat chhoRo, munkiroN ko bhuul jaa’o!
>
> maiN jahaaN par thaa, vahaaN mere sivaa ko’ii na thaa!!!
jaise pehla misra 'jaa'o' pe Khatm huua hai, shayad aap ko ma'aluum ho, yeh merii kamzorii hai. bohat Khuub.
***maiN aap ki is kamzorii se ba-Khuubi vaaqif huuN . I still remember the way you were mesmerized at hearing my Ghazal
ziNdagii bhar ki mudaaraat ka saamaaN ho jaaaaye
raat kii raat agar voh mira mehmaaN ho jaaaaye!
Right?***
doosra misra bohat ma'ani-Khez hai. Although there seems to be a superficial similarity to 'ham vahaaN haiN jahaaN se ham ko bhii, kuchh hamaarii Khabar nahiiN aatii' but whereas Ghalib seems to be lamenting, your misr’a seems to reflect an exalted place of being.
***Thanks for pointing out the difference, Vijay saahib. I was indeed floating at a plane where there might have been a lot of ‘momins’ and ‘munkirs’ around me but I was too enthralled with myself to have noticed anyone else’s presence there!***
> 5. yeh kahaaN kaa aasmaaN thaa, yeh kahaaN kii Khuld thii?
>
> Huur-o-GhilmaaN the bahut, par aap saa ko’ii na thaa! ;)
bohat Khuub!
***shukria, once again!***
> 6. mujh ko kal baiThe-biThaaye le gayaa ko’ii kahaaN?
>
> jaan_ne vaale bahut the, aashnaa ko’ii na thaa!
bohat achhe. Contrast of 'acquaintances' and 'friends' in the second misr’a is very good.
***navaazish hai aap ki, saahib!***
Although the link between the first and second misra isn't immediately obvious, other than as a simple poetic device.
***Not a poetic device at all, Sir, ---- I, in fact, intended ash’aar # 6,7 and 8 to be read as a qit’a but, unfortunately, failed to place a “Q” sign here! That should clarify why the structure of the first misr’a of this she’r is as it is! ***
> 7. ham-navaala, ham-piyaala, ham-tareeqat, ham-libaas
>
> yeh to sab maujood the, par ham-navaa ko’ii na thaa!
bohat achhe. wah wah. aap ne 'koii na thaa' radiif bohat accha DhuuNDa hai. bohat imkaan paaida hote haiN is se aur aap ne in kaa faai'dah bhii bohat Khuub uThaaia hai.
***radeef to Ghazab ki hai hi, Vijay saahib, albatta is Ghazal ki taabaanii ka inhesaar sirf is ki radeef par hi naheeN, bal-k is ke qawaafii par bhi hai --- aur, is zimn meN, meri ‘choice’ yaqeenan zar-Khez saabit hu’ii hai!***
>
> 8. us hujoom-e-naaz meN yooN to ka’ii bah-naaz the
>
> jis pe dil aa jaaye, aisaa dil-rubaa ko’ii na thaa! ☹
bohat Khuub!
***shukriya, saahib!***
> 9. kal tirii mahfil meN raunaq bhii thi, veeraanii bhi thii!
>
> darjanoN shaa’ir the lekin Qais saa ko’ii na thaa!!! ☺
maqta aap kaa hamesha bohat accha hota hai, lekin yih zara sa merii ummidoN se kamtar raha. sirf is liie ki 'darjanoN' lafz, kam-az-kam mujhe, itna poetic nahiiN laga. pata nahiiN kyoN. nahiiN to 'maqta' bilkul 'Qais' ke darje ka hai!
***aap ki baat sar-aaNkhoN par, Vijay saahib. albatta, vaaq’ea yeh hai k maiN ne pehle yooN kahaa thaa
saiNkaRoN shaa’ir the lekin ----------
phir mehsoos kiyaa k “this number was rather unrealistic”, so I changed it to “darjanoN”. ab aap ki ‘observation’ ke pesh-e-nazar, dimaaGh ko phir se jaNjhoRnaa paRaa to yahii suujhii k is misr’e ko yuuN kahuuN to kaisaa rahe?
an-ginat shaa’ir the lekin -------
agar aap is tabaddul ko savikaar kareN to, Bhagvaan ki dyaa se, mera kaam aasaanii se tamaam ho jaaye!*** ;)
aik baar phir bohat bohat mubaarakbaad is behtariin ghazal pe aur aap ka bohat shukriia.
**You are welcome, Sir!
Khair-aNdesh, Raj Kumar***