Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

Gustaaqaana Shairi

315 views
Skip to first unread message

Raza Ali Mir

unread,
Dec 1, 1999, 3:00:00 AM12/1/99
to

Huaa ye hukm, ke 'Kaifi' ko sang-saar karo
Maseeh baithe haiN chhup kar kahaN Khuda jaane

The impulse to make ironic remarks about
God or iconic figures in religion has added a
great rebellious tinge to Urdu poetry. I was
wondering if any other ALUPers would like to
share some nice poetic ways in which shairs have
taken potshots at God or organized religion.

I hasten to add that this does not imply any
disrespect for people's religous sentiment...
Indeed, only the devoted take the time to poke fun
of this kind...

Of course, I remember Faiz's

Ek fursat-e-gunaah mili, woh bhi chaar din
Dekhe haiN hum ne hausle parwardigaar ke

Likewise, Josh had a ruba'ii the last line
of which was

Allah ki woh vaada-qilaafi afsos
(forgotten the rest).


Any other memories?

Raza

Steve Almas

unread,
Dec 2, 1999, 3:00:00 AM12/2/99
to
Chand Ashaar hazir hain:
Shabab aaya kisi but per fida honay ka waqt aaya
Meri duniya main banday kay Khuda honay ka waqt aaya
( Pandat Hari Chand Akhtar )

Ilahi kaisi kaisi soortain too nay banayi hain
Keh her soorat kalaijay say laga lainay kay qabil hay
( Akbar AlaAbadi )

Khuda janay karay ga chak kis kis kay gireban ko
Ada say un ka chalnay main wo daman ka utha laina
( Jurrat )

Khuda ki qasam us nay khai jo aaj
Qasam hay Khuda ki maza aa gaya
( Dagh )

Main intezar karoon ga tera qayamat tak
Khuda karay keh qayamat ho aour too aaye
( Yousaf Zafar )

Alah ray bekhudi keh teray pass baith ker
Tera hi intezar kiya hay kabhi kabhi
( Naresh Kumar Shad )

Woh aayein ghar main hamaray Khuda ki qudrat hay
Kabhi ham un ko kabhi apnay ghar ko daikhtay hain
( Ghalib )

Gali main yar ki aaye Shad sab mushtaq baithay hain
Khuda janay wahan say hukm kis kay nam aaye ga
( Shad Azeem Abadi )

Wafa jis say ki bewafa ho gaya
Jisay but banaya Khuda ho gaya
( Hafeez Jalandhary )

Meray Khuda mujhay thorhi si zindagi day day
Udas meray janazay say ja raha hay koi
( Qamar )

Ya Rab parhi rahay meri ma'yit issi tarah
Baithay rahain woh ball pareshan kiye hooay
( Fani )

Khuda janay yeh kaisi rah guzar hay kis ki turbat hay
Woh jab guzray idhar say gir parhay do phool daman say
( Riaz Khair Abadi )

Sab kuch Khuda say mang liya tujh ko mang ker
Uthtay nahein hain hath meray iss duua kay ba'ad
( Akhtar Sherani )

Acha yaqeen nahein hay to kishti da'bo kay daikho
Ik to hi nakhuda nahein zalim Khuda bhi hay
( Qateel Shifai )

Khuda to milta hay insan hi nahein milta
Yeh cheez woh hay jo daikhi kahein kahein main nay
( Iqbal )

Kiya kiya na kiya Khuda nay janat main jatan
Aadam nay magar gunah kerkay chorha
( Josh MalehAbadi )

Zuban-e-hosh say yeh kufr sarzad ho nahei sakta
Main kaisay bin piye lay loon Khuda ka nam hay saqi
( Adam )

Bekhudi main ham to tera dar samajh kay jhuk gaye
Ab Khuda ma'loom woh ka'ba tha ya but khana tha
( Talib Bagpati )

Banda parwar main woh banda hoon keh behr-e-zindagi
Jis kay aagay sar jhuka doonga Khuda ho jaye ga
( Azad Insari )

Mehshar main ik sawal kiya tha kareem nay
Mujh say wahan bhi aap ki ta'reef ho gayi
( Adam )

Hooa hay char sajdon per yeh da'wa zahido tum ko
Khuda nay kiya tumharay hath janat baich daali hay
( Na Ma'loom )

Jis nay iss daor kay insan kiye hain paida
Wohi mera bhi Khuda ho mujhay manzoor nahein
( Hafeez Jalandhary )

Ya rab meray khuloos ki wa raftgi to daikh
Kis sadigi say tujh ki Khuda keh gaya hoon maien
( Adam )

Banday na hongay jitnay Khuda hain Khudai main
Kis kis Khuda kay samnay sijda karay koi
( Yas Yagana Changezi )

Zindagi bhar meray rastay ki rukawat jo bana
Main usi be jaan pather ko Khuda kehta raha
( Steve Almas )

Daikh ker ham ko bhanwer main maoj say lerhtay hooay
Woh kinaray per kharhay dad-e-wafa daitay rahay
Ham yahan bemari-e-dill say sakht majboor thay
Woh Maseeha ban aouron ko shifa daitay rahay
( Steve Almas )


Khair Andesh
Steve Almas

A Cassam

unread,
Dec 2, 1999, 3:00:00 AM12/2/99
to
Wah Steve Almas Saheb,

Aap ne to Raza Saheb ki farmaa'ish par ham sab ALUPers ko gustakhaana
ashaar ke poore ka poora khazaana hi hazir kar diya.
Aur saath saath shor'aa-e-karaam ke naam bhi.
Shukriyaa!

Abida Sultana

Naheed Rana

unread,
Dec 2, 1999, 3:00:00 AM12/2/99
to
Faiz hi ka aik aur sher...

mitt ja'ay gi mukhlook tu insaaf karo gay
munsif ho tu ab hashar utha kion nahi detay


Raza Ali Mir <ra...@emily.oit.umass.edu> wrote in message
news:824g2h$c...@emily.oit.umass.edu...

il_kh...@my-deja.com

unread,
Dec 3, 1999, 3:00:00 AM12/3/99
to
In article <3846293A...@escape.ca>,

Steve Almas <az...@escape.ca> wrote:
> Chand Ashaar hazir hain:
> Shabab aaya kisi but per fida honay ka waqt aaya
> Meri duniya main banday kay Khuda honay ka waqt aaya
> ( Pandat Hari Chand Akhtar )
>
> Ilahi kaisi kaisi soortain too nay banayi hain
> Keh her soorat kalaijay say laga lainay kay qabil hay
> ( Akbar AlaAbadi )

With due respect, I feel some of the ash'aar here
do not quite fall in the category of "Gustaakhaana"
shaa'iri. For instance, the above sher by Akbar.


>
> Khuda janay karay ga chak kis kis kay gireban ko
> Ada say un ka chalnay main wo daman ka utha laina
> ( Jurrat )

This one too.


>
> Khuda ki qasam us nay khai jo aaj
> Qasam hay Khuda ki maza aa gaya
> ( Dagh )
>
> Main intezar karoon ga tera qayamat tak
> Khuda karay keh qayamat ho aour too aaye
> ( Yousaf Zafar )
>
> Alah ray bekhudi keh teray pass baith ker
> Tera hi intezar kiya hay kabhi kabhi
> ( Naresh Kumar Shad )

And this one.


>
> Woh aayein ghar main hamaray Khuda ki qudrat hay
> Kabhi ham un ko kabhi apnay ghar ko daikhtay hain
> ( Ghalib )

This one too.


>
> Gali main yar ki aaye Shad sab mushtaq baithay hain
> Khuda janay wahan say hukm kis kay nam aaye ga
> ( Shad Azeem Abadi )

Even this.


>
> Wafa jis say ki bewafa ho gaya
> Jisay but banaya Khuda ho gaya
> ( Hafeez Jalandhary )
>
> Meray Khuda mujhay thorhi si zindagi day day
> Udas meray janazay say ja raha hay koi
> ( Qamar )

And this.


>
> Ya Rab parhi rahay meri ma'yit issi tarah
> Baithay rahain woh ball pareshan kiye hooay
> ( Fani )

This too.


>
> Khuda janay yeh kaisi rah guzar hay kis ki turbat hay
> Woh jab guzray idhar say gir parhay do phool daman say
> ( Riaz Khair Abadi )

This one too.

> > Any other memories?
> >
> > Raza


And now a sher by Ghalib :

Taa'at men ta rahe na mai-o-angabeeN ki laag
Dozakh men daal de koi le kar bahesht ko

And one more :

Bandagi men bhi woh aazaada-o-khudbeeN hain ke hum
Ulte phir aaye dar-e-Ka'aba agar wa na hua

Iqbal's "Shikwa" is full of poetic fulminations
against God, in particular the following sher :

Kabhi hum se kabhi ghairoN se shanaasaayi hai
Baat kehne ki nahiN tu bhi to harjaayi hai !!

Afzal


Sent via Deja.com http://www.deja.com/
Before you buy.

A Cassam

unread,
Dec 3, 1999, 3:00:00 AM12/3/99
to
From Nita's Urdu Poetry site:

jis din hua paThaan ke murGe kaa inteqaal
daawat ka maulvi ki tab aayaa use Khayaal

murdaar murG ki hui mullaa ko jab Khabar
saaraa badan sulag uThaa, Gaalib hua jalaal

kehne lage khilaaoge mujh ko haraam gosht?
tum ko naheeN zaraa bhi shariyat ka kuchh Khayaal

murdaar jaanwar to shariyat meiN hai haraam
jab tak na zibaah keejiye, hotaa naheeN halaal

fatwaa jab apnaa maulvi saahab sunaa chuke
jhunjhalaa ke Khan ne kiyaa tab un se ye sawaal

kaisi hai aap ki ye shariyat bataaiye
baNde ko kar diyaa hai Khudaa se bhi baa-kamaal?

Allah jis ko maar de, ho jaaye wo haraam
baNde ke haath jo mare, ho jaaye woh halaal?

Girgit Ahmedabadi

Khursheed Ahmed

unread,
Dec 3, 1999, 3:00:00 AM12/3/99
to

sub ki nazroN maiN ho Saaqi, yeh zaroori hai magar
sub pe saaqi ki nazar ho, yeh zaroori to nahiN
- Ibn-e-Inshaa

(Saaqi is used as symbol for God here)

(btw - I think GustaKhana should be spelled with 'Kh' not with 'q' - this
reflects the confusion many Hyderabadis make between q and Kh - a classic
example is "Khuda ki Khasam" :-))


A Cassam

unread,
Dec 3, 1999, 3:00:00 AM12/3/99
to
Khursheed Saheb,

bahuT khoob!

Welcome to the club....Raaj Kumaar Pathria Saheb ki "friendly
transliteration police" team meiN aap ki bharti mubarak ho :-)

Abida Sultana

Raza Ali Mir

unread,
Dec 3, 1999, 3:00:00 AM12/3/99
to

Qursheed Saheb,

being an atal-hyderabadi, I honestly have no idea what you are
referring to :-) i have been "toko'ed" by so many of learned
Urdu scholars, but my internalization of the language through
my local culture is so complete, that I can never make a
difference. Which Is why I never take any offence when my
North Indian friends substitute a "kaaf" for a qaaf" and a
"gaaf" for a "ghain"

Koi saagar dil ko behlaata nahin
Bekhudi mein bhi, kaaraar aata nahin


Charming indiscretions in a polyphonic world. Sabr keejiye.
(Sabar karo, miyaan).

Raza

rpat...@sciborg.uwaterloo.ca

unread,
Dec 3, 1999, 3:00:00 AM12/3/99
to Raza Ali Mir

Raza Ali Mir wrote:

> Qursheed Saheb,
>
> being an atal-hyderabadi, I honestly have no idea what you are
> referring to :-) i have been "toko'ed" by so many of learned
> Urdu scholars, but my internalization of the language through
> my local culture is so complete, that I can never make a
> difference. Which Is why I never take any offence when my
> North Indian friends substitute a "kaaf" for a qaaf" and a
> "gaaf" for a "ghain"
>
> Koi saagar dil ko behlaata nahin
> Bekhudi mein bhi, kaaraar aata nahin
>
> Charming indiscretions in a polyphonic world. Sabr keejiye.
> (Sabar karo, miyaan).
>
> Raza

bahut qoob, Rajaa Saab:

majaa aa gayaa aap ka qat paRh qar. magar, hajoor, jaraa ye to bataaiye ke
pehle misre men jo 'saagar' hai voh kaun sa saagar hai? kya yeh 'Hind mahaaN
saagar' hai ya koi aur? aur yeh bhi mumqin hai qe shaa'ir qa naam 'vidya
saagar' hai aur 'saagar' us ka taqallas hai?

bhai, jabaab jaldi dena qyon qe 'sabar' karna musqil ho rayaa hai!

qair-andesh, Raaz qumaar LOL, balqe ROTFL


Arshad

unread,
Dec 4, 1999, 3:00:00 AM12/4/99
to
In article <38475E67...@home.com>,
> Aur Jigar Saheb:
Yeh janaab shaiKh ka falsafa hai ajeeb tarah ka falsafa
jo yahaN piyo to haraam hai jo wahaN piyo to halaal hai
Khadim
Arshad

Arshad

unread,
Dec 4, 1999, 3:00:00 AM12/4/99
to
In article <829mk7$vq0$1...@nnrp1.deja.com>,
> Correction for second misra
Jo wahaN piyo to halaal hai' jo yahaan piyo to haraam hai
sorryto have been "Ghafil"

A Cassam

unread,
Dec 4, 1999, 3:00:00 AM12/4/99
to
Wah Raaj Kumar Ji!!

What a wonderful sense of humour you have !!

Abida Sultana

Khursheed Ahmed

unread,
Dec 4, 1999, 3:00:00 AM12/4/99
to
Aray Raza Saheb, aap to Khafaa ho gaye :-(. Bohat ma'zrat qwah hooN. Aap
apnaa lehjaa Khatayee na badaliye ga - is ka kuch aur hi 'charm' hai.
Hamaare bohat se Hyderabadi dost haiN jin se mustaKhil is mauzoo per cheRh
chaRh hoti hai. Lekin Khuda ki Khasam maiN unhaiN na badal saka.

Raaj Saheb, aap ne to bohat majedaar baat ki hai. 'kaaf', 'qaaf', 'seen',
'sheen' aur 'ze', 'je' ka 'confujen' aksar hotaa hai, khusoosan shumaali
Hindustan maiN. Lehaaza, Urdu ko salaamat rakhne ke liye yeh zaroori hai
ke hum log ek doosre ki islaah karte raheN.

Baraahe meharbaani is ka bura na maaniye ga!!

Khursheed

Arshad

unread,
Dec 5, 1999, 3:00:00 AM12/5/99
to
In article <3848602D...@home.com>,

A Cassam <aca...@home.com> wrote:
> Wah Raaj Kumar Ji!!
>
> What a wonderful sense of humour you have !!
>
> Abida Sultana
>
> rpat...@sciborg.uwaterloo.ca wrote:
> >
> > Raza Ali Mir wrote:
> >
> > > Qursheed Saheb,
> > >
> > > being an atal-hyderabadi, I honestly have no idea what you are
> > > referring to :-) i have been "toko'ed" by so many of learned
> > > Urdu scholars, but my internalization of the language through
> > > my local culture is so complete, that I can never make a
> > > difference. Which Is why I never take any offence when my
> > > North Indian friends substitute a "kaaf" for a qaaf" and a
> > > "gaaf" for a "ghain"
> > >
> > > Koi saagar dil ko behlaata nahin
> > > Bekhudi mein bhi, kaaraar aata nahin
> > >
> > > Charming indiscretions in a polyphonic world. Sabr keejiye.
> > > (Sabar karo, miyaan).
> > >
> > > Raza
> >
> > bahut qoob, Rajaa Saab:
> >
> > majaa aa gayaa aap ka qat paRh qar. magar, hajoor, jaraa ye to
bataaiye ke
> > pehle misre men jo 'saagar' hai voh kaun sa saagar hai? kya
yeh 'Hind mahaaN
> > saagar' hai ya koi aur? aur yeh bhi mumqin hai qe shaa'ir qa
naam 'vidya
> > saagar' hai aur 'saagar' us ka taqallas hai?
> >
> > bhai, jabaab jaldi dena qyon qe 'sabar' karna musqil ho rayaa hai!
> >
> > qair-andesh, Raaz qumaar LOL, balqe ROTFL
>

Raaz qumaar shahab
Bhai qamaal qar diya aap ne
qaaqshar
Arsad

A Cassam

unread,
Dec 6, 1999, 3:00:00 AM12/6/99
to
Agar koi banda /bandi is gustakh sher ka 'missing hisaa" fill in kar de
to baRhi meherbaani .

'meri tarah Khuda ka bhi khana kharaab hai'

aur kis shaa'ir ka sher hai ye?

Shukriyaa!

Abida Sultana

Khursheed Ahmed

unread,
Dec 6, 1999, 3:00:00 AM12/6/99
to
Abida Saheba:

Shaa'ir ka naam to nahiN maaloom lekin poora sher yeh hai:

Khush ho rahaaN hooN masjid-e-veeraN ko dekh ker
meri tarah Khuda ka bhi Khaana Kharaab hai

Khursheed

A Cassam

unread,
Dec 6, 1999, 3:00:00 AM12/6/99
to
Shukriyaa Khursheed Saheb !

Abida Sultana

A Cassam

unread,
Dec 6, 1999, 3:00:00 AM12/6/99
to
tainooN pataa lage hundi ki judaaii
tera vi "Rabba" yaar vichhde
phire labdaa tuN apreeN khudaai
tera vi Rabba yaar vichhde

Raza Ali Mir

unread,
Dec 6, 1999, 3:00:00 AM12/6/99
to
>Aray Raza Saheb, aap to Khafaa ho gaye :-(. Bohat ma'zrat qwah hooN.

Na Khafaa hooN, na be-wafa hooN :-)
Bhai, I was trying my own repartee. Keeping pace, as it were.
Does anyone remember that whole saying about Urdu, born in Delhi,
reached youth in Lucknow, fell ill in Hyderabad, and died in Madras.

But who can top Raj Saahib in his repartee
Phir us ke baad chiraaghonN meiN roshni na rahi.

R


Khursheed Ahmed

unread,
Dec 6, 1999, 3:00:00 AM12/6/99
to
On 6 Dec 1999, Raza Ali Mir wrote:

> Na Khafaa hooN, na be-wafa hooN :-)
> Bhai, I was trying my own repartee. Keeping pace, as it were.

Shukra hai ke aap ne 'Khafaa' ko 'Qafaa' nahiN likha - chaliye kuch to
islaah hui :-)

> Does anyone remember that whole saying about Urdu, born in Delhi,
> reached youth in Lucknow, fell ill in Hyderabad, and died in Madras.

Aur hamaari sheereeN Urdu zabaan phir se zinda ho gayee, duniya ke her
konay konay maiN, aap jesay kalaam feham logon ki wajaah se, aur ALUP ki
wajaah se.


Khursheed Ahmed

unread,
Dec 6, 1999, 3:00:00 AM12/6/99
to
On Mon, 6 Dec 1999, Raza Ali Mir wrote:

> aap se kaise khafaa ho sakta hoon! yeh to sirf
> jugal-banddhi hai, khayaalat ki.

Shukriya Raza Saheb - yeh dekh ker khushi hui ke aap ne lafz
'khafaa' to 'qafaa' nahiN likha. Chaliye kuch to islaah hui!!

> Khursheed saheb, a personal request. i think
> you seem to have a tremendous database of shaairi somewhere
> with you. would you please take the trouble of searching it
> for any signs of sahir's parchhaiyan? mamnoon.

Mere paas Sahir Ludhyanvi ki 'kulliyaat' (complete works) mojood hai jo ke
un ke inteqaal ke baad shaaye hui thi. MaiN zaroor aap ki pasandeeda
nazam us maiN talaash karooN ga, lekin waa'da nahiN karta ke us ko foran
transilterate ker ke ALUP maiN likh sakooN. Aap mujhe apna fax number
rawaana ker dijiye ga, aur maiN aap ko foran bazariya fax rawaana ker dooN
ga. Nita ke Urdu page maiN shaayad mojood ho.

Faqat,
Khursheed

Srinivas Ganti

unread,
Dec 8, 1999, 3:00:00 AM12/8/99
to
In article <82gqtm$r...@wilde.oit.umass.edu>,

ra...@wilde.oit.umass.edu (Raza Ali Mir) wrote:
> Does anyone remember that whole saying about Urdu, born in Delhi,
> reached youth in Lucknow, fell ill in Hyderabad, and died in Madras.
> Does anyone remember that whole saying about Urdu, born in Delhi,
> reached youth in Lucknow, fell ill in Hyderabad, and died in Madras.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
ALUP ke bhaa_ii_o.n aur bahano.n ko mera salaam,
Though my urdu skills are limited I couldn't resist posting this.
Vaise kabhi na kabhi to maidaan mein utarna padta hain:)
The language spoken in Hyderabad is typically a mixture of
Urdu,Hindi,English and Telugu.Misaal ki taur par ek parody sher
pesh-e-khidmat hai. Haal hi mein ek article ne Hyderabad ki puraanii
yaadein taaza kardi aur...

Mai.n aur meri tanhaai
aksar ye baate.n karte.n hai.n
ke "US" mei.n hota to aisa hota
aur "India" mei.n hota to vaisa hota

mai.n "Sun Solaris" pe hota
aur tum "IBM" pe hoti
mere "Forms" pe tum ha.nstii aur
mere "reports" pe hairaan hoti

tumhare "session" pe main ha.nstaa
aur "speed" pe ro deta
phir dono "Hoilday Inn" mei.n jaate
aur GOTU khaate... GOTU : Ghee Onion Tomatto Upma :)

magar aaj ye aalam hai ke na "GOTU" hai
aur na "GF" hai magar ye dil hai
aur keh raha hai ke "Future" yahi hai yahi kahi hai.....

Mai.n aur meri tanhaai ......
:)

Keep Smiling,
Srinivas.

0 new messages