ye waaqiyaa bohat purana hai
lakhoN baras purana
us waqt insaan ki hasti
uska rutba wajuud meN nahiiN tha
baRe jaanwar choToN ko jibah karte
hazam kar Daalte
ye silsila yuN hi chalta rahtaa
ek roz Brahmaji is ennui se uktaa gaye
kuch naya karne ke KHayaal se
unhoNne ek naye creature ko maKHlooq kiya
miTTi se insaan ko gaRhaa
har tarah se ek umda hasti ko janam diya
use bepanaah aql-o-Ta'aqat se navaaza
woH diniya aur jannat fatah karne
ka samaan
ban.ne waali shai thi
sab ho jaane par Brahmji ne
miTTi ke putle meN jaan Daalne ki sochi
behtareen Operating System Human 1.0.0
load karna shuru kiya
Indra unki ye harkat dekh rahaa thaa
woh Dar se kaaNpne lagaa
use jannat apne haaThon se nikalti nazar aayi
Rambha ko fauran talab kiya
samjhaya ke Brahmaji ko
kuch lamhoN ke liye distract kare
aur aisaa hi hua
Rambha Brahmaji ko distract karne men kaamyaab rahi
apne raqs meN uljha diya
mauqa pa kar Indra ne "Ego Virus"
insaan meN introduce kar diya
natiza aapke saamne hai
- Mukhtalif