KhaRaa Dinner
---------------
Syed Mohammad Jafri
KhaRaa Dinner hai Ghareeb-ud-dayaar khaate haiN
bane huwe shutar-e-bemahaar khaate haiN
aur apnee mez par hokar savaar khaate haiN
kuchh aisee shaan se jaise udhaar khaate haiN!
shikam Ghareeb kee yooN First Aid hoti hai
Dinner ke saaye meN faujee parade hoti hai
khaRe haiN mez kinaare jo ek pet liye
unhee ne kofte apne liye lapet liye
idhar udhar ke jo khaane the sab samet liye
khaRaa tha peechhe so maiN rah gayaa palet liye!
ye mez ho gayee khaalee ab aur kyaa hogaa
"pulao khaayeNge ahbaab, faateha hogaa"
thi ek murGh ki Taang aur raqeeb le bhaagaa
mera naseeb bhi jaagaa pe der meN jaagaa
kabaab uThaaya to is meN lipat gayaa dhaagaa
Dinner ye kyaa ki na peechha hai jiska na aagaa!
ye kyaa Khabar thi maiN aayaa tha jab Dinner khaane
"haqeeqatoN ko saNbhaale huwe haiN afsaane"
haqeeqatoN ka na kahna zamaana-saazi hai
ye shaKhs dekhne meN jo baRaa namaazi hai
yahee uRaayegaa murGhi jo moTi taazi hai
Dinner ye kyaa hai ye ghuR-dauR ki si baazi hai!
lagaayee bhook meN mahmez jisne paar huwa
naheeN to meri tarah se Dinner meN Khwaar huwa
vo ek mez Khwaateen gard saf aaraa
laboN se unke ravaaN guftagoo ka favvaaraa
maiN ek goshe meN sahma khaRaa hooN bechaaraa
ki ye hateN to uThaa'ooN maiN naan ka paaraa
aseer-e-halqa-e-KhoobaaN jo murGh-o-maahee haiN
to ham shaheed-e-sitam haaye kam nigaahee haiN
-------