I am amazed at display of tribal euphoria at killing of OBL. I
expected a reaction of relief rather than celebration, after all
nothing has changed on the ground. True, punishing him was necessary
for symbolism but this is like celebrating second spot in a two horse
race. Khair, here are my thoughts:
Yaqeen nahiiN hota
aksar woh shaKHs jo Khud
aik makkhi nahiiN maar saktaa
binaa palak jhapke
aKhbaar ki duuri se
qatl e aam ka lutf uTHaataa hai
haqiiqat to yeh hai
ziNdagi qareeb se hi mahsuus ki jaa sakti hai
us maasuum ki aaNkh meN jhaaNk kar
jiski ziNdagi abhi shuru hi huii ho
aur maaN ka saayaa uTh jaaye!
duniyaa kaa taanaa baanaa
aik naazuk jaal se hameN baaNdh kar rakhtaa hai
insaan ki fitrat hai,
use aik rahnumaa ki zaruurat hai
jo raah dikhaa sake
bataaye kahaaN jaanaa hai
kabhi afsos-naak ghalti ho jati hai
rahnumaa ‘Hitler’ yaa ‘Osama’ mil jaataa hai
well ghalib's attitude was a healthy one
chalta hooN thoDee door har ik tez rau ke saath
pehchaanta naheeN hooN abhee raahbar ko maiN
don't follow anyone blindly.
and Mirza Osama bin Ghalib said
anjaam tak hai pahuNchaa safar-e-rasan-o-daar meraa
KHatm ho gayaa qayaam-e-koh-o-GHaar meraa
hua mar k maiN na ruswa, kiya mujh ko GHarq-e-darya
na kabhii janaaza uTTha na kahiiN mazaar mera
jaNg saath laRe donoN ham ahmar-e-ruusii se
maiN teraa sipaahii thaa tuu sipah saalaar meraa
ahl-e-arab maiN thaa ab bahr-e-arab meN huuN
namkiin se paanii meN ab hai KHumaar meraa
kahuuN tum se maiN k kyaa hai, hijrat burii balaa hai
huaa baal bhii na baaNkaa sarhad ke paar meraa
banduuq haath meN thii aur biiwiyaaN thiiN aage?
hai jaantaa haqiiqat parvardigaar meraa
Ghalib ka hi aik she'r
kyaa taNg ham sitam zadgaaN ka jahaan hai
jis meN ki ek baizah e mor aasmaan hai
http://www.columbia.edu/itc/mealac/pritchett/00ghalib/138/138_01.html?urdu