On Friday, July 31, 2020 at 11:16:49 AM UTC-7, Zoya wrote:
> On Friday, July 31, 2020 at 8:42:46 AM UTC-5, Raj Kumar wrote:
>
> RK sahib,
>
> aadaab,
>
> is ghazal kii farmaa'ish karne vaaloN kaa bhii shukriyah, aur aap kaa bhii shukriyah k aap ne ise Alup par dobaaraa post kiyaa. maiN ne yeh ghazal pehle nahiiN paRhii thii, daad qubuul kiijiye, puuri ghazal hii rang-e-Qais meiN hai.
***navaazish hai aap ki, Zoya sahiba, k aap ne is Ghazal ko pasaNd farmaayaa aur is ke aek aek she'r par apni raaye ka izhaar bhi kiyaa!***
> > matl’a arz hai:
> >
> > 1. din ho k raat, gardish-e-paimaana chaahiye
> > ghar meN nahiiN to paas hi mai-Khaana chaahiye
>
> Walking distance, you mean? Good idea. Safe. :)
***aap ki yeh "walking distance" vaali baat bahut pasaNd a'ii. ise paRh kar, be-saKhta haNsi aa ga'ii.*** :-)
> > 2. iimaaN bajaa, ‘ibaadat-o-Hamd-o-sanaa bajaa
> > phir bhii zaraa sa maslak-e-riNdaana chaahiye
>
> mujhe yeh she'r bahut pasand aayaa hai, aur Jigar yaad aa gaye:
>
> zaahid, yeh merii shoKhii-e-rindaana dekhnaa
> rahmat ko baatoN baatoN meiN behlaa ke pii gayaa!
***bahut Khuub she'r hai Jigar sahib ka. ise paRhne ke ba'ad, mujhe Khud apna she'r bhi achchha lagne lagaa hai!***
> > 3. jab aartii utaareN to masjid meN baiTh kar
> > paRhnii ho jab namaaz to but-Khaana chaahiye!
> I don't see you doing either! :-)
***Me neither! yeh to maHz aek paiGhaam hai vus'at-ul-nazarii ka --- agar kisii ki samajh meN aa sakay to!***
> > 4. fursat milii to ham bhi padhaareN ge “tuur” par
> > fil-Haal ham ko “jalva-e-jaanaana” chaahiye!
>
> Hmmm, "tumheN ghash aa gayaa to husn-e-jaanaaN kaun dekhe ga"?!
***bajaa farmaaya aap ne, Zoya sahiba. albatta, yahaaN ziyaada mazedaar baat to lafz "fil-Haal" meN hai!*** :-)
> > 5. begaana-vaar meri taraf dekhte ho kyaa
> > kyaa mujh ko bazm-e-naaz se uTh jaana chaahiye?
>
> Maybe! :-)
***chalo, yuuN hi sahii! agar aisa hu'aa to hamaare paas aur imkaanaat bhi haiN, jaise
maikade se uTh ke jaayeN ge to seedhe Khuld ko
TikTikii baaNdhe zamaana dekhtaa rah jaaye gaa!
[Qais]***
> terii mehfil se uThhaata ghair mujh ko kya majaal
> dekhtaa thaa maiN k tuu ne bhii ishaara kar diyaa!
***agar suurat-e-Haal aisi ho, phir to yihii kahnaa paRay ga:
"tuu nahiiN aur sahii, aur nahiiN aur sahii"*** :-)
> > 6. zauq-e-visaal hai to tirii chashm-e-mast ko
> > ik-aadh jaam aur abhi chhalkaana chaahiye
>
> Back to Jigar:
>
> piitaa baghair izn yeh kab thii mirii majaal
> dar-pardah chashm-e-yaar kii shah paa ke pii gayaa!
***yeh hu'ii na baat. kisi ne aap ko malika-e-ash'aar ka Khitaab yuuNhi to nahiiN de diya tha. :-)
B/W, I wonder if it should be "baGhair izn" or "baGhair-e-izn".***
> > 7. tuu jal-parii hai, Huur hai, yaa apsaraa ko’ii
> > yeh raaz aek roz to khul jaana chaahiye!
>
> Now this is Faraz:
>
> apsaraa thii na Huur thii na pari
> dilbari meiN magar ziyaada thii! :)
***kamaal ki baat hai k meri is Ghazal se aap ko kabhi Jigar ki aur kabhi Faraaz ki yaad aa'ii hai. yeh ziyaada-tar to aap ke maKhzan-e-she'r ki karaamaat hai aur thoRa-bahut jaaduu is Ghazal meN bhi hoga!*** :-)
> > 8. sun kar miraa kalaam, kahaa: “maiN to mar ga’ii”!
> > is baat par to ‘Qais’ ko mar jaana chaahiye!!!
>
> yeh marne maarne vaali baateN to aap Shoaib sahib se hii kiijiye ga, yeh mujhe samajh nahiiN aatiiN! :-)
***aap 'note' kareN k ham ne kabhi bhi "maarne" ki baat nahiiN kii, sirf "marne" ki kii hai. aur phir agar javaaz aisa ho jaisa maiN ne arz kiyaa hai, phir to marne hi meN raaHat hai!*** :-)
> du'a-e-mukarrar: jiite rahiiye aur likhte rahiye.
***Thanks, Zoya sahiba.
du'aa-go, Raj Kumar***