Jab kahaa gaisoo ka bosa deejiye, dil leejiye
Hans ke bolay aap ko sauda hai, mus'hil leejiye
[Sauda= junoon. mus'hil = laxative]
----------------------------
main huaa rukhsat un se ai Akbar
Wasl ke ba'ad "THANK YOU" keh kar.
-----------------------------
Wasl ka us but-e-khud been se HINT kahaan
Sirf bosey men bhalaa SELF-GOVERNMENT kahaan.
---------------------------
Haqeeqi aur majaazi shaa'eri men farq yeh paayaa
Keh wuh jaame se baaher hai, yeh paajaame se baaher hai.
[Haqeeqi: Real (here it means Sufi or mystic). Majaazi: unreal (worldy)
Jaame se baaher: Proud. paajaame se baaher: you know the meaning]
----------------------------------------
Bahut shauq hai angrez ban'ney ka
To chehre peh apne GILETTE keejiye
Ajal aaee Akbar, gayaa waqt-e-bahs
Ab IF keejiye aur na BUT keejiye.
----------------------------------
Aisa shauq na karna Akbar
Gorey ko na banaana saala
Bhaai rang yehi hai achcha
Ham bhi kaale, yaar bhi kaala
-----------------------------
Kehti hai za raah-e-kubr mujh se wuh GIRL
Kiaa tujh se miloon, kaheen ka tu DUKE na EARL
[za raah-e-kubr: out of pride]
Akbar ne kahaa dikhaa ke daagh-e-dil-o-ashk
Hai mairi girah men bhi yeh RUBY aur yeh PEARL.
Kothi men jama' hai na DEPOSIT hai BANK men
Qallash kar diyaa hai mujhey do chaar THANKS men.
----------------------
Har chand keh hai MISS ka LAVENDER bhi bahut khoob
Begum ka magar tar-ehenaa aur hi kuchh hai
---------------------
BOOT DAWSON ne banaayaa, main ne ik mazmoon likhaa
Mulk men mazmoon na phailaa aur joota chal gaya.
---------------------
COLLEGE men dhoom mach rahi hai "PASS PASS" ki
'uhdon se aa rahi hai sadaa "door door" ki.
['uhdon, from 'uhdah = position, job.]
---------------------------------
Qaum ke gham men DINNER khaata hai hukkaam ke saath
Ranj LEADER ko bahut hai, magr aaraam ke saath.
------------------------------
Mazhab ne pukaara, ai Akbar Allah nahin to kuchh bhi nahin
Yaaron ne kahaa yeh qaul ghalat hai, tankhaah nahin to kuchh bhi nahin.
-----------------------------
Jamil.
-----------== Posted via Deja News, The Discussion Network ==----------
http://www.dejanews.com/ Search, Read, Discuss, or Start Your Own
Thank you Jamil Sahib for posting so many ash'aar of
Akbar. I confess I had not heard/read a few of them.
>
> Qaum ke gham men DINNER khaata hai hukkaam ke saath
> Ranj LEADER ko bahut hai, magr aaraam ke saath.
I thought this was one of the shers posted by me. But
now that you have posted it, it is like "qand-e-mukarrar" !!
After all, "dinner" must include some dessert !
A couple of shers, of contrasting styles :
Shauq-e-Laila-e-CIVIL SERVICE ne is Majnoon ko
Itna dauRaaya langoti kar diya patloon ko
And
Aarzoo dil men hai ik shaKhs se milne ki bahut
Naam kya looN koi Allah ka banda hoga
Afzal
"Akbar" dabe nahii.n kisii sultaa.N kii fauj se
lekin shahiid ho gaye begam kii nauj se
[nauj = nok-jho.Nk]
chho.D LITERATURE ko apanii HISOTRY ko bhuul jaa
sheKh-o-masjiid se ta'alluq tark kar, SCHOOL jaa
chaar din kii zi.ndagii hai, koft se kyaa faayedaa
khaa DOUBLE-ROTI, CLERK-ee kar, Khushii se phuul jaa
A spoof on Sauda's ghazal "gul phe.Nke hai Gairo.n kii taraf balqi samar
bhii":
gul phe.Nke hai EUROPE kii taraf balqi samar bhii
ai NATURE-o-SCIENCE bhalaa kuchh to idhar bhii
aGayaar to duniyaa hai uThaaye huye sar par
ham baiThe hai.n is tarah ki uThataa nahii.n sar bhii
aGayaar to rag-rag se hamaarii huye vaaqif
ham vo hai.n ki paate nahii.n us but kii kamar bhii
jihar saahab udhar daulat, jidhar daulat udhar cha.ndaa
jihar cha.ndaa udhar HONOUR, jidhar HONOUR udhar ba.ndaa
I am sure others will also contribute to this delightful thread. :-)
NIta
In article <7dcp0l$q11$1...@nnrp1.dejanews.com>,
nawat...@my-dejanews.com wrote:
> Thank you Jamil sahab for so many ashaar by Akbar Allahabadi. Here are a few
> more by this master of satire and wit:
> ..............
> ..............
> ..............
> I am sure others will also contribute to this delightful thread. :-)
>
> NIta
-----------------
This is indeed a delightful thread on the poetry of Akbar Illahabadi who, by
all accounts, was not only a master of wit and humour but also a brilliant
satirist. Here are a few more of his gems that, I think, haven't appeared on
ALUP so far.
1. First of all, one of my top favourites:
[mar'oob hona = (kisi ke) ro'b mein aana)
mar'oob ho gaye hain vilaayat se shaikh ji
ab sirf mana' karte hain desi sharaab ko!
2. Here is another dig at 'shaikh ji', in which the poet takes his satire to
an unprecedented height:
raat ko shaikh ji masjid mein naheen jaate hain
goya darte hain ke baitha na ho Allaa-h kaheen!
3. The next one is relatively mild:
qasd-e-haj kar to liya hai shaikh ne
ooNt'ni ka par kiraaya kaun de?
4. Here is a qata' by Akbar that often comes to my mind when I happen to be
visiting the local temple and watch some ladies singing bhajans in the praise
of God. Their style of singing is such that I can't help recalling this
qata'. Please note the satire in the first she'r and humour in the second:
jo apni chaar-deevaari mein maanind-e-uqaabi hain
(= eagle-like)
chali aayee hain is taqreeb par woh qumriyaaN ban kar
(occasion) (doves)
inheN zauq-e-ibaadat bhi hai aur gaane ki aadat bhi
nikalti hain du'aayeN in ke munh se thumriyaaN ban kar
5. Here is a remarkable blend of wit and reality:
hijr ho ya ke vasl, ai Akbar!
jaagna saari raat mushkil hai
6. And, finally, an example of a 'deep insight' into the difference between
Eastern and Western cultures:
puraani raushni mein aur nayee mein farq itna hai
ise kashti naheen milti, use saahil naheen milta!!!
---------------
khair-andesh, Raj Kumar
yaad-dihaani: chaahe aap ki tehreer Urdu main ho ya Angrezi mein,
baraah-e-mehrbaani koshish karen ke kam-az-kam aap ka UNVAAN (yaa'ni
title/subject) Urdu mein ho. aap ne dekha hi hoga ke bahut se bhai-behan is
tajveez par amal kar rahe hain aur aisa karne se woh 'oot-pataang' postings
kuchh kam hone lagi hain!
Please keep this practice up!!! R.K.
Here is a qata' (or qita' as it is also pronounced) by Akbar Illahabadi.
Jamil.
------------------------------
Khuda Hafiz musalmaanon ka Akbar
Mujhay to in ki khush-haali se hai yaas
[yaas: despair, hopelessness]
Yeh aashiq shaahid-e-maqsood ke hain
Na jaayen ge wa-laikan sa'ee ke pass
[shaahid-e-maqsood: desired beloved. Sa'ee= effort]
Sunaa'oon tum ko ik farzi lateefa
keeya hai jis ko main ne zeb-e-qartaas
[Qartaas= paper]
Kahaa majnoon se yeh Laila ki maan ne
Keh baitaa tu agar kar le M.A. pass
To fauran biyaah doon Laila ko tujh se
bilaa waqt main ban jaa'oon tairi saas
Kahaa majnoon ne yeh achhi sunnai
kujaa aashiq, kujaa college ki bakwaas
Kujaa yeh fitrati josh-e-tabee'at
Kujaa thoonsi hooee cheezon ka ihsaas
BaRi bee aap ko kiyaa ho gayaa hai
Hiran par laadi jaati hai kaheen ghaas?
Yeh achhi qadr-daani aap ne ki
Mujhay samjhaa hai koi Harchan Daas?
[Harchan Daas= a proper name]
Dil apnaa khoon karne ko hoon maujood
Nahin manzoor maghz-e-sar ka aamaas
[aamaas= swelling]
Yehi thehri jo shart-e-wasl-e-Laila
To iste'efaa meraa baa hasrat-o-yaas.
[iste'efaa= resignation]
--------------------
In article <7di3pf$ete$1...@nnrp1.dejanews.com
Umang
ahm...@noka.ub.bw wrote:
>
>
> Here is a qata' (or qita' as it is also pronounced) by Akbar Illahabadi.
>
> Jamil.
>
>
apni gHair-haazri ke liye maafi chahta hooN.
duniya ne teri yaad se begaana kar diya
tujh se bhi dil-fareb haiN gHam rozgaar ke
to janaab, maiN gHam-e-rozgar meN mubtala tha. rahi baat umang sahib ke
sawaal ki , log to samajh rahe hoNge ke iss sawaal ki wajah se meN nazar
nahiN aa raha lekin aisi baat nahiN.
'jab pyar kiya to Darna kya?' ;-)
to janaab maiN iqraar karta hooN ke mujhe ishq hai.
kya kaha? kya naam hai?
achha chaliye, bata deta hooN, uska naam hai MADHUBALA.
aap log haNs sakte haiN magar ye sach hai. aap yahaaN click kar ke dekh
leN
http://www.urdustan.com/kashif/
ab to yaqeen aaya!
haaN ab aap yahi kaheNge na ke kahaaN madhubala aur kahaaN maiN. to
sahib;
aashiqoN meN rasm-e-aish-e-deenwi raayej nahiN
qais kab dulha bana, laila kahaaN biyaahi gayi
--- akbar allahabadi
kHair,
uss posting ka maqsad tha 'ishq' ke mauzoo par kuchh discussion karna.
chuN ke iss bazm meN urdu ki ishqiya shayari ka ghalba hai isliye. is
liye shayari samajhne ke liye ishq ko pahle samjhna paRhega.
inqilaab aur islaam par postings ke liye intezaar kareN.
kuchh masrufiat ki wajah se maiN maah-e-June tak ke liye ijaazat
chahooNga. gaah-e-bagaaahe apni surat dikha diya karooNga, lekin wada
nahiN karta.
--
faqat
kashif
+===+===+===+===+===+===+===+===+===+===+===+===+==+
kaha maiN, yuN to mil jaate ho aakar baad muddat ke
agar chaho to ye kya tum se aksar ho nahiN sakta
--- Dard
*****************************************************
http://www.urdustan.com :Urdu's home on the net
+===+===+===+===+===+===+===+===+===+===+===+===+===+