Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

aik kahani " na qabil-e- faramosh "

1,223 views
Skip to first unread message

arzoo

unread,
Feb 10, 2004, 3:00:07 PM2/10/04
to
Na qabil-e- faramosh


Choti si thi jab us ki ammi us kay haathoon ka piyala bana kay
kehtin " dua mango hum Allah miyan kay ghar phir say jain" aur wo
foran ankhain sakhti say meech kay hil hil kay is jumlay ki gardaan
karnay lagti ye janay baghair ke Allah miyan ka ghar kia hay ? kahaan
hay? kaisa hay?
paanch saal ki umar main usay to bas itna maloom tha ke is naey
shehar main us ki aik hi saheeli " gurya " thi jis ka ghar waisa hi
sabz rang ka hay jaisa ke us ki man pasand frok ka .

thori bari hoey to kitab ho ya Tv jahaan bhi nazer ata Us ki ammi
foran kehtin " Sna , ye daikho ye hay Allah miyan ka ghar " wo la
parwahi say tasweer ko daikh kay apni ammi kay chehray ko daikhnay
lagti jahaan na janay kia hota ke wo sochnay lagti ke us ki ammi ko
ye ghar kitna pasand hay , akhir kioon?

waqt kay saath saath is chotay say sawal main aur buhut say sawaloon
ka izafa hota gaia , her saal anay wali Baqr Eid pe Haj aur Qurbani
kay alfaaz aur muhallay main kisi Haji kay anay ya janay ki khabrain
,Aur sab say barh kay , 9 zil haj ko us ki ammi ka TV daikhnay ka
ishteyaaq , jaisay us kay ander tajasus aur shauq ki chingaryaan
roshan karnay lagta.

dasween kay imtehaan say farigh hoey to gurya kay saath mil kay
palmistry ka shauq paal liya ,ab bas her aik ka hath paker kay baith
jaati . pehlay apna phir gurya ka phir ammi papa ka , phir saari class
main sab larkyoon ka , aur kartay kartay khandaan main mashhoor ho
gaey . apnay tak aur larkyoon tak shughal laganay ki baat to usay bari
pasand thi laikin jab bhi wo apni khala bi kay ghar jati wo aik hi
sawal kartin " Sna baiti, a zara daikh mairay hath main Haj ki lakeer
hay ke nahi " us nay aaj tak kisi kitaab main Haj ki lakeer nahi parhi
thi laikin wo aisay hi natak kar kay keh daiti "haan khala bi buhut
bari lakeer hay Haj ki " aur phir khala bi hath khainch laitin aur
pursakoon si ho jatin. khala bi kay is sawal ki waja say us nay kaey
kitabain chaanin laikin Haj ki lakeer kahin nahi mili . phir usay
apni khala bi ki tarha kaey log milay jo yehi sawal kartay " mairay
haath pe Haj ki lakeer hay ?" us kay paas is ka jawaab kabhi na hota
. Haj ki lakeer kay muamay say tang aa kay us nay is shughal ko
khair baad keh diya .

College main gaey to is jaisay dunya aur bhi rangeen ho gaey , Allah
miyan kay ghar ki bajaey ab wo hazaar tareekhi jaghoon aur dunya ki
bay shumaar ala shaan emaratoon kay baray main parhnay lagi .
imartoon kay isi shauq ki waja say wo architecture main masters
karna chahti thi , college kay trips ka silsila bhi chalta raha aur
saath hi saath us kay kamray ki deewarain mukhtalif emartoon kay
posters say bharti rahin . aaj bhi wo abhi taj mehal ka khoobsoorat sa
poster laga rahi thi ke ammi ki awaz aey " Sna , gurya aey hay ."
jaldi say kursi say neechay utri , gurya kay anays say pehlay aina
daikha aur kursi jagah per rakhtay hi , darwazay pe khari Nida ko
garam joshi say salam kiya aur kaha " aray waah , aaj to eid kara di
tum nay " us nay galay miltay hoay kaha. " w , salaam . main nay socha
kabhi kabhi achanak bhi ana chahyay , ziada khushi hoti hay " Nida
baig maiz pe rakhtay hoay boli." to kia ho raha tha , " " aray wah
jaisay tum nay daikha hi nahi , ye daikho " us nay taj mehel kay
poster ki taraf ishara kartay hoay kaha . " waao ...that's nice"
kahaan say mara hay ?" Nida nay paas jatay hoay poocha ." maara nahi
yaar, khareeda hay pooray 75 rupay main" " maira khiyal hay ke dunya
main sirf 7 ujoobay hain laikin tumharay kamray main to hazaroon
ujooboon ki tasweerain lagi hain " Nida nay saray kamray ki deewaroon
per lagi , Eharaam-e- misr , Eiphel tower, Peica tower, WTC, Deewar-e-
cheen , Room aur Spain ki purani emartain, China Aur Pakistan ki
Dhair saari mashhoor-o- maroof emartoon ki choti bari hazaroon
tasweeroon per aik nazer dauratay hoay kaha . "Acha hay na kam az
kam tumharay bhaey jaan kay saRay hoay shauq say acha hay na jinhoon
nay dunya bhar ki garyaan saja rakhi hain dewaroon pe" Sna nay ankh
martay hoay khushgawaar mood main kaha . " Acha to kia tum un say
muqabla karti ho ""Nida nay maanee khaiz nazroon say daikhtay hoay
poocha ." main kahan , wo kartay hain mujh say muqabla " Sna nay
nazrain churatay hoay kaha aur saath hi poocha . " waisay japan ja kay
to buhut khush hoon gay ab" Nida nay qadray udasi say jawaab diya "
haan teen saal bad aein gay engeenering ki degree mukamal kar kay "
Sna nay usay chutki kaati aur hanstay hoay kaha " Aur aik added brand
new japani gaari aur japani gurya lay kay" aur saath hi donoon
hansnay lagin.

chaar saal ka arsa parhayi main . imtehanoon main aur dunya ki
emartoon ko sarahatay hoay kab guzra Sna ko pata bhi na laga . is
dauraan Nida ki shadi ho gaey aur khud us ka nikah Nida kay bhaey
Arsalaan kay saath ho gaia aur ab do mah baad wo rukhsat ho kay
halkay sabz rang kay man pasand ghar main janay wali thi . wo apnay
kamray ki dewaroon per say tasweerain utaar kay sanbhaal kay rakh
rahi thi ke us ki ammi nay daikha to poocha " Sna !! ye tum saath lay
jao gi kia" " haan ammi jaan ,, bhala ye main bhool sakti hoon ..maira
asaasa hain ye" us nay lambay say dibbay ko band kartay hoay kaha ."
tauba hay , bhala in emartoon main Allah jany tumhain kia nazer ata
hay , wahan bhi ja kay ye gand sajao gi dewaroon pe " us ki ammi nay
nagawari say kaha . " ammi jaan aap ki baiti Architect hay koey mazaaq
nahi ...in kay baghair ab mairi pehchaan nahi. " us nay baray fakher
say kaha." acha tum pe to junoon sa sawaar hay , suna hay Japaan main
aur bhi khoobsoorat emartain hain ," us ki ammi nay sochtay hoay kaha
" haan ammi Arsalaan bata rahy thay , bas mujhay wahaan janay dain
phir daikhna kaisay kaisay design karoon gi " , " Acha tumharay janay
kay baad hum tumhari chachi kay paas Jeddah ja rahay hain hain aur
wahaan umray karain gay aur Haj kar kay wapas aein gay " us ki ammi
nay bari khushi say bataia . Sna nay ammi ki ankhoon main chamak
daikhi to sochnay lagi ke ammi ko mairi rukhsati ka koey dukh nahi
laikin Haj ki kitni khushi hay.laikin saath hi usay ye baat
tasaleebakhs bhi lagi kam az kam ab usay ammi papa ki itni fikar nahi
rahy gi.

do maah baad rukhsat ho kay wo chand haftay Sabz ghar main rahi aur
phir Arsalaan kay saath japan chali aey . yahaan sharoo kay kaey
maheenay wo arsalaan kay saath mukhtalif jaghain daikhti rahi . phir
Arslaan ki company ki taraf say aik tour main wo log Itally bhi gaey
aur France bhi .dunya ko daikhnay kay saath saath usay ammmi papa kay
phone atay rahay . " kabhi Makkah ki fizaoon kay baray , kabhi
khana kaaba ki tareef kartay hoay aur kabhi madeenay raunaq kay
baray...wo sochti us kay seedhay saadhay waldain inhi do jaghoon ko
daikh kay itnay khush hain yahaan aa kay aaj ki duyna ki taraqi
daikhain to shaid sab bhool jain.

Shadi kay doosray hi saal Arsalaan nay aik din kaha " Sna , main
soch raha hoon is baar ammi dady ko Haj karwaoon ..tumhara kia khiyal
hay?" ...Haj kay naam pe jaisay ,,, wo sakit si ho gaey , phir boli "
haan kioon nahi , mujhay kia aetraaz ho sakta hay " phir maiz pe kisi
naqshay pe jhuk gaey. " mager maira khiyal hay ke Hum bhi jain ,
mauqa bhi hay aur ammi dady ko company bhi rahay gi " Arslaan nay
Sna kay haath say pencil pakartay hoay kaha. Sna ko aik dam kuch na
soojha , khoey khoey si boli" haan is say achi kia baat ho sakti hay
" .." bas phir tayari paker lo ", Arsalaan nay ghoom kay khushi say
kaha ... do mah baad wo Haj ki saari tayaroon kay saath jeddah
pohnchay jahan say Arsalan kay waldain ko saath liya aur haj kay
liyay rawana hoay .Sna aur Arsalaan nay Makkah jatay hoay dhair
saari kitaboon ko parha . Ehraam aur Haj kay saray arkaan ko
samjha . aur saas susar ki rahnumaey main Allahumma labaik parhtay
hoay hajyoon ki saf main shamil hoay.

Masjid al haram say kaafi pehlay hi sarak pe chaltay hoay itnay
rash aur hujoom main Sna nay logoon kay chehroon pe ajeeb sa junoon
daikha , jaisay maqnatees lohay ko khainchta hay usay laga , sab log
kahin khichay chalay ja rahay hain. Allahuma labaik ka wird kartay
hoay wo zameen ko daikh kay chalnay lagi ke Arsalaan nay ishara kar
kay kaha "Sna ,samnay daikho" Sna nay daikha ..sufaid marbal ki
phaili hoaey emarat charoon taraf hajyoon ka hujoom aur fiza main
" Allahuma labaik kay wird kay jadoo main laal choocnhoon walay mast
kabooter , us kay rongattay kharay ho gaey aur qadam ruk gaey,
bait-Allah main usay buhut pehlay hi Allah ka jalaal aur shaan ander
tak mehsoos hoey .Arsalaan nay us ka haath dady ko thamaia aur khud
apni ammi ka hath paker liya . Bait-al haram main dakhil hoay to
jaisay logoon ka sailaab beh raha ho Sna ki nazer jaisay jhapakna
bhool gaey us kay samnay khana kaabah tha . kalay rang kay ghulaaf
main dhaka hoa , khoobsoorat Ayaat say muzayan , us ka dimaghjaisay
shal sa ho gaia ho , usay nahi yaad kab Dady nay usay paker kay
chalatay hoay tawaf main ghaseet liya. phir jaisay us sailab main wo
behnay lagi , dady nay usay yaad karaia ke tawaaf main kia tasbeeh
karni hay . laikin us ki nazer markaz say na hat saki . hajr-e- aswad
kay samnay dady kay kehnay pe takbeer -e- tehreema kahi aur phir
usi markez kay gird behnay lagi . usay nahi yaad zameen pe qadam lagay
ke nahi ? kitna fasla tay hoa ? kaisay hoa? bas aik ajeeb si baykhudi
si thi jis main say her baar dady ko usay nikalna parta . aur aglay
rukan kay liyay samjhana parta .
muqam-e- ibraheem kay baray bhi dady nay usay bataia warna usay to
yaad na rehta .

tawaf kay baad saee kartay waqt bhi us ki nazer behak kay markaz pe
par jaati . too palatna bhool jaati . saee kay baad wo ammi kay saath
Zam zam ki taraf gaey . pehlay piyas bhujhaey phir zaiq mehsoos kiya
to usay laga ke nazer to paani ata hay laikin paani mehsoos kioon
nahi hota . koey nabeena aurat ankhoon pe laga rahi hay to koey apnay
bachy kay sir pe daal rahi hay . usay aik aik nal kay peechay
khawateen ki qatarain nazer ain . aik lamhay ko us nay socha lakhoon
ki taadaad main Haj aur aik Zam zam ka Kunwaan . aur phir hazaroon
saal purana . us kay rongattay phir kharay hoay . dimagh shal sa hoa
aur wo pagaloon ki tarah Zam zam kay paani kay cheentay monh pe
dalnay lagi. wo jaisay jaisay paani kay baray sochti rahi sirshaar
hoti rahi .wo to taqreeban poori bheeg hi chuki thi ke ammi nay kaha "
Sna , abhi kay liyay bas karo " kisi aur ki baari anay do." usay tab
ehsaas hoa ke usay to peechay khari ammi bhool hi gaey thin. wo
sharmindigi say jaldi say peechay hat gaey.
bait -al haram say mina jany lagay to bhi mur mur kay daikhti rahi .
Haj kay tamam manasik ada hotay rahay aur wo bhooli bhatki si
baykhaber si jaisay dunya bhool gaey ho. ammi dady aur Arsalaan ki
rah numaey na hoti to jaisay usay kuch soojhta hi na .maidaan
Araafaat main dhoop ki tamazet main nidhaal si kaifiyat main usay
mehsoos hoa . khali maidaan main kisi ala shaan emarat ka jadoo nahi
hay , aur sooraj ki hararat main rait kay zarray hain ya kuch pather
jo Allah ki tasbeeh biyan kartay hoay mehsoos ho rahy hain . darakht
aur insaan main abadat ka aik jaisa nasha tha jis kay agay Sna ko
kuch dikhaey na diya. kahan say peenay ko paani mil gaia , aur
kahaan say khanay ko khauraak kisi ko koey sar-o-kaar hi nahi jaisay
. Muzdalfa say kankaryaan uthatay waqt usay khiyal aaia ke ibadat
kay is hissay main kia lutf ho ga?
is sawal kay jawab main jab wo kankaryaan marnay gaey to daikha ke
jamaraat per kankaryaan aisay girrahi hain jaisay chakki main say
Aata . usay aur ammi ko Arsalaan aur dady aik jaga khara kar kay ,
aga gaey aur sab kay hissay ki kankaryaan maar kay aey . Sna ko
ajeeb sa shauq jaga , neechay giri hoey kankaryaan utha kay wo us
taraf phainknay lagi.

ab tak ki saari riazat kay dauraan usay neend ka ehsaas buhut kam
hoa , usay lagta tha jaisay us ka dimagh soay hoay bhi jaag raha hay .
Mina main qayam kay waqt albatta usay neend nay a liya , thakan ka
ehsaas jaga ye shaitaan ko kankaryaan marnay kay baad ka sakoon tha
shaid . Eid kay din naha dho kay , qurbaani kay baad , sab nay aik
doosray ko Haj ki mubarak di aur phir madeenay ki taraf chalay .
. tawaf al wida keh kay jab wo rukhsat honay lagi to jaisay sakoon
ka lafz yahin chore kay ja rahi ho . wo ronay lagi , ansoon main usay
yaad aaia ke itna to wo apni rukhsati kay waqt bhi nahi roey thi. usay
apni ammi ki ankhoon ki wo chamak yaad aa gaey jis nay unhain apni
baiti ki rukhsati bhula di thi. wo ye soch kay muskaey aur shukranay
ki dua mangaty hoay us nay Madeena munawara say anay waali hawa ko
khushi say mehsoos kiya .

masjid Nabwi ki hudood kab sharoo hoey Sna ko nahi maloom albatta
logoon kay bahao main chalti hoey wo jahan tak ander ja sakti thi
chalti gaey . thandi pursakoon fiza say jaisay thakay hoay hajyoon ka
massag ho gai aho aur wo phir say tar-o- taza ho gaey hoon.
masjid nabwi ki khoobsoorat naey tarz ki wasee emarat main hafta
bhar namazain ada kin aur rozana hi Us muqadas jaali ko daikhnay ki
hasrat barhti gaey. wahaan auratoon aur mardoon ka elehda intezaam
tha aur ziyarat kay makhsoos auqaat thay .phir aik din asar ki namaz
kay baad unhain mauqa mil hi gaia . wo sunherijalyoon ko daikhnay lagi
aur nazer ander tak na janay kia dhoondhti rahi . wahaan darood -o-
salaam ka zikar tha charoon taraf . log duain kar rahay thay nawafil
parh rahay thay . ammi kay kehnay pe nafal ada kiya aur darood parhany
lagi . aik konay main wo baithi logoon kay hujoom kay darmiyaan say
jalyoon kay ander chaey hoay sakoot ko mehsoos karnay lagi . us nay
ankhain band kar lin ke un kay kanoon main peechay baithi aik khatoon
ki hichkiyoon ki awaazain sunaey din. wo halka sa muri. ansoon say
nahaia hoa chehra , dua mangtay hoay kamptay hoay hath . kamptay hoay
alfaaz . us nay zara tairana nigah daali to saray alam ka yehi haal
tha . girgiratay hoey . roti hoey . jholyaan aur daman phailey hoey ..
mangti hoey dunya . us ka dil jaisay halaq main aa kay thehar gia ho.
aik lamhay ko usay kuch nahi soojha ke wo kia mangay ...phir jaisay us
ki ammi ki awaaz sunaey di " Sna dua mango. hum Allah miyan kay ghar
phir say jain " aur jaisay wo kam sin ban gaey ho aur hil hil kay
yehi dua mangti gaey .usay yaad aaia ke Khala bi Haj ki khawhish
liyay hi dunya say rukhsat ho gaey thin . ...khala bi kay chehray kay
saath usay kaey chehray yaad aa gaey aur wo un kay liyay dua mangti
gaey ...
madeenay ki pur- raunaq dukaonoon say khajoorain aur tasbyaan
khareedin kuch aur masjidoon ki ziaratain kin aur wapsi ki tayari
hoey . Haj kay chand dinoo main hi wo dhair saari tabdeeli kay saath
. wapas Jeddah aa gaey . jahaan say Zamzam ki saughaat liyay Ammi aur
dady kay saath Japan aa gaey.

Yahaan sab ki mubarkain milin , zam zam aur khajoorain bantin . aur
dawtain khaein. kisi nay usay Hajan kaha aur kisi nay khushqismat .
Zindigi jaisay us ki ab sharoo hoey thi . namaz ki pabandi kay saath
us nay dunay ki nit naey taraqi yafta emaroon say mehzooz hona chore
diya tha . wo aik qabil Architect thi ghar ko naey siray say muzayan
kiya .us kay office main ab aik say barh kay aali shaan masajid kay
posters thay , yehi haal ghar ka bhi tha . masjid nabwi kay
mukhtalif zavyay haray balb ki roshni main ghar main dakhil hotay hi
rah daari ki dewar pe tatreeb say lagay thay. aur ghar kay darmiyaan
.living main bait al haram ka nihayat hi khoobsoorat model tha .
aur is kay elawa aisa buhut kuch tha jin kay samany dunya jahaan
ki Architecture ki dunya hairaan aur mabhoot reh jati hay. aur kion
na hoon akhir ye dunya per azal say abad tak zinda rehnay wali
lazawaal emartain hain . jo ke kabhi dunya ka history nahi kehlain
gi.

teen saal ka arsa guzra , Sna ki baiti Eman chotay qadmoon say
bhagti hoey aey aur maan kay braber baith kay , us ki taqleed main
hil hil kay kuch mangny lagi . Sna nay us kay haath piyalay ki tarha
banaey aur kaha ke " Eman ... mangoo ke hum Allah miyan kay ghar
phir jain " ye keh kay Sna nay Eman ki hathaili ko daikha ...aur
halki si muskaan say socha ke Allah karay is kay haath main Haj ki
lakeer zaroor ho , amin.

Yashowanto N. Ghosh

unread,
Feb 10, 2004, 6:59:00 PM2/10/04
to
Arzoo saahiba, aadaab arz!

nayee kahaanee sunaane kaa bahut bahut shukriya! maasha Allaah
is baar bhee aap ne kyaa Khoob kahee hai---chhoTee see kahaanee
meiN aik duniyaa basaa kar rakh dee :) paRhte vaqt yooN lag
rahaa thaa k tamaam vaaqi'aat aaNkhoN ke saamne ho rahe haiN...
kahaanee kyaa hai, kisee film yaa Drame kaa asar rakhtee hai!!

manzar-kashee, character development vGh. hasb e ma'amool Khoob
haiN (mere kehne kaa matlab yeh hai k aa'inda ham aap kee
tehreeroN par likhte vaqt in baatoN kee alag daad na deN
ge---it is automatically understood that your stories will
have these qualities! :)) ).

qaabil e Ghaur hai k agarche kahaanee "third person" meiN kahee
gayee hai, sirf aik kirdaar ke dimaaGhee Haalaat/Khayaalaat
bayaan kiye gaye haiN (jaisaa k umooman "first person" meiN
kiyaa jaataa hai). is kaa asar bhee Khoob rahaa (aur mere
Khayaal se yeh kaam aasaan na hogaa, so is ke liye mubaarak-baad!)

chand aik "loose strings" reh gaye haiN---paRhne vaaloN ke zehn
meiN shaayad yeh savaal reh jaayeN ge k Sana ke vaalidain kaa
kyaa huaa aur Nida kaa kyaa huaa. Khair yeh baat shaayad ziyaadah
ma'yoob bhee naheeN.

unvaan (thoRaa-saa hee sahee) khaTak rahaa hai. "naa-qaabil e
faraamosh" tarkeeb Khoob hai, aur kahaanee meiN jin vaaqi'aat
kaa zikr hai voh yaqeenan naa-qaabil e faraamosh haiN, lekin
shaayad pooree kahaanee ke liye is se behtar unvaan milnaa
naa-mumkin naheeN ho gaa.

With best regards, aap kee aglee behtareen kahaanee kaa muntazir,

Jasho

a_r...@hotmail.com (arzoo) wrote in message news:<8d4dca1d.04021...@posting.google.com>...

Zoya

unread,
Feb 14, 2004, 11:19:16 AM2/14/04
to
a_r...@hotmail.com (arzoo) wrote in message
> Na qabil-e- faramosh
>
Arzoo Sahiba,

aap_kii kahanii pa.Dhii, bahut hii Khuub hai. ise pa.Dh kar mujhe to
aise mahsuus hua k aap Khud Haj kar ke aaii haiN, agar sach meiN aisaa
hai, to merii jaanib se mubaarak_baad qubuul kiijiiye. agar nahiiN, to
aap ke tassawur kii jitnii daad dii jaaye utnii kam hai.

ummiid hai k aaiNdaa bhii aap_kii kahaaniiaaN pa.Dhne ko miltii
raheNgii.

_______________Zoya

arzoo

unread,
Feb 20, 2004, 10:44:52 AM2/20/04
to
Adaab,

Zoya Aap ki daad aur tehsen ka shukriya , is baar main nay to nahi,
albatta mairay waldain nay kiya hay. un ki taraf say khair mubarak
.laikin inshallah kabhi na kabhi mairi baari bhi aey gi , aap dua
kijyay ga . Allah is baat ki sab ko taufeeq day . amin

aap ki daad ka aik baar phir teh-e- dil say shukriya .


zbi...@yahoo.com (Zoya) wrote in message news:<2e750db.04021...@posting.google.com>...

arzoo

unread,
Feb 20, 2004, 10:51:56 AM2/20/04
to
Adaab jasho ,

aap nay hamaisha ki tarha itna tafseeli jaiza liyay aur achi raey di
. main bhi aap kay parhnay aur" manzer " daikhnay waali aankh ko daad
daiti hoon .
bay shak aap nay jo point uthaia wo baja hay , sna kay waldain kay
sath kia hao ? aur us ki friend ka kia bana ? friend ki shadi ho gaey
thi kahani main aur " waldain apnay waten main hi rahay. " haan mujhay
aisichoti si detail bata daini chahyay thi . to kill the curiousity .
aap nay sahee mairi ghalti pakri.
main ainda muhtaat rahoon gi.inshallah

laikin in cheezoon ko danastan inore kiya , kioonke kahani ka asal
maqsad kuch aur tha .

Aap ka buhut shukriya , itna tafseeli jawab diya , acha lagta hay jab
kahani ka baghore jaiza liya ho kisi nay , kam az kam likhnay ka haq
ada hota hay .

umeed karti hoon ke ainda bhi aap ki raey mairay liyay guidance
muhaya karay gi . aap ka buhut shukriya.

arzoo


yasho...@yahoo.com (Yashowanto N. Ghosh) wrote in message news:<efffb540.04021...@posting.google.com>...

jala...@gmail.com

unread,
Apr 28, 2018, 1:56:00 AM4/28/18
to

zahid malik Malik

unread,
Dec 26, 2022, 9:15:19 AM12/26/22
to
0 new messages