aik zamaanah thaa kih darj-e zail Ghazal eurdubazaar site kii
zaib-o-ziinat huvaa kartii thii ab to vuh site hii Allaah ko
pyaaraa ho chukaa :( maiN yih Ghazal yaaN par post kar
detaa huuN ummiid hai kih aap ise pasand farmaayeN ge :)
____________________________
sun to sahii jahaaN meN hai teraa fasaana kyaa
kahtii hai tujh ko Khalq-e Khudaa Ghaa'ibaana kyaa
kyaa kyaa ulajhta hai tiri zulfoN ke taar se
baKhyah-talab hai siinah-e sad-chaak-e shaana kyaa
zer-e zamiiN se aata hai jo gul so zar-ba-kaf
QaaruuN ne raaste meN luTaayaa Khazaana kyaa
uRtaa hai shauq-e raahat-e manzil se asp-e 'umr
mahmiiz kahte haiN kise aur taazyaana kyaa
ziinah sabaa ka DhuuNDhti hai apni musht-e Khaak
baam-e baland-e yaar ka hai aastaana kyaa
chaaroN taraf se suurat-e jaanaaN ho jalva-gar
dil saaf ho tiraa to hai aa'iina-Khaana kyaa
sayyaad asiir-e daam-e rag-e gul hai 'andaliib
dikhlaa rahaa hai chhup ke use daam-o-daana kyaa
tabl-o-'alam na paas hai apne na mulk-o-maal
ham se Khilaaf ho ke kare gaa zamaana kyaa
aatii hai kis tarah se mirii qabz-e ruuh ko
dekhuuN to maut DhuuNDh rahii hai bahaana kyaa
hotaa hai zard sun ke jo naa-mard mudda'ii
Rustam ki daastaaN hai hamaaraa fasaana kyaa
be-yaar saaz-daar na hove ga gosh ko
mutrib hameN sunaata hai apnaa taraana kyaa
sayyaad gul-Ghadaar dikhaataa hai sair-e baaGh
bulbul qafas meN yaad kare aashiyaana kyaa
tirchhii nigah se taa'ir-e dil ho chukaa shikaar
jab tiir kaj paRe ga uRe gaa nishaana kyaa
be-taab hai kamaal hamaaraa dil-e haziiN
mihmaaN-saraa'e jism ka ho gaa ravaana kyaa
yuuN mudda'ii hasad se na de daad to na de
"Aatish" Ghazal yih tuu ne kahii 'aashiqaana kyaa
________________________________
du'aa go
LL
kitaabat kii aGhlaat:
late_l...@yahoo.com wrote:
>
> uRtaa hai shauq-e raahat-e manzil se asp-e 'umr
> mahmiiz kahte haiN kise aur taazyaana kyaa
>
"...*mihmiiz* kahte haiN kise..."
>
> sayyaad gul-Ghadaar dikhaataa hai sair-e baaGh
> bulbul qafas meN yaad kare aashiyaana kyaa
>
"*sayyaad-e gul-'azaar* dikhaataa hai..."
du'aa go,
LL
:( lekin achhee Khabar ye hai, LL saahib, k kal hee main ne us site ke
home page par kaam kiyaa hai aur aik 'adad aazmaaishee design taiyyaar
kar liyaa hai. dekhi'ye, mujhe ummeed hai k chand maah ke andar andar
eurdubazaar.com phir aap ke saamne ho jalva-afroz gee.
___________________________
> sun to sahii jahaaN meN hai teraa fasaana kyaa
> kahtii hai tujh ko Khalq-e Khudaa Ghaa'ibaana kyaa
>
> kyaa kyaa ulajhta hai tiri zulfoN ke taar se
> baKhyah-talab hai siinah-e sad-chaak-e shaana kyaa
vaah, kyaa kehne! shaane ke sad-chaak hone kaa mazmoon naadir hai.
> zer-e zamiiN se aata hai jo gul so zar-ba-kaf
> QaaruuN ne raaste meN luTaayaa Khazaana kyaa
>
> uRtaa hai shauq-e raahat-e manzil se asp-e 'umr
> mahmiiz kahte haiN kise aur taazyaana kyaa
Ghalib kaa karishmaatee she'er yaad aataa hai:
rau meN hai raKhsh e umr kahaaN dekhi'ye thame
ne haath baag par hai na paa har rikaab meN
> ziinah sabaa ka DhuuNDhti hai apni musht-e Khaak
> baam-e baland-e yaar ka hai aastaana kyaa
>
> chaaroN taraf se suurat-e jaanaaN ho jalva-gar
> dil saaf ho tiraa to hai aa'iina-Khaana kyaa
is she'er meN to vaazih taur par Mir se istifaada kiyaa hai, "moonh
nazar aataa hai deevaaroN ke beech."
> sayyaad asiir-e daam-e rag-e gul hai 'andaliib
> dikhlaa rahaa hai chhup ke use daam-o-daana kyaa
>
> tabl-o-'alam na paas hai apne na mulk-o-maal
> ham se Khilaaf ho ke kare gaa zamaana kyaa
jahaaN tak mujhe yaad paRtaa hai, pehle misre meN "tabl o 'alam *hee*
paas ..." hai. aap ke paas deevaan e Aatish kaa jadeed edition maujood
hai, zaraa dekh kar bataa dejeeye gaa.
doosree baat ye k mere Khayaal se pehle misre meN Ghaliban "milk o
maal" hai. milk = milkeeyat = possessions.
> aatii hai kis tarah se mirii qabz-e ruuh ko
> dekhuuN to maut DhuuNDh rahii hai bahaana kyaa
>
> hotaa hai zard sun ke jo naa-mard mudda'ii
> Rustam ki daastaaN hai hamaaraa fasaana kyaa
>
> be-yaar saaz-daar na hove ga gosh ko
> mutrib hameN sunaata hai apnaa taraana kyaa
>
> sayyaad gul-Ghadaar dikhaataa hai sair-e baaGh
> bulbul qafas meN yaad kare aashiyaana kyaa
aap ne doosree post meN pehle misre ke lafz kee islaah-shuda shakl
"gul-'azaar" likhee hai lekin meraa Khayaal se durust imlaa "gul
'izaar" (gulaab-chehra), hai, ya'anee "'ain" maksoor hai na k maftooh.
az raah e karam dekh leejiye gaa.
> tirchhii nigah se taa'ir-e dil ho chukaa shikaar
> jab tiir kaj paRe ga uRe gaa nishaana kyaa
Ghalib: ko'yee mere dil se poochhe tire teer e neem-kash ko
> be-taab hai kamaal hamaaraa dil-e haziiN
> mihmaaN-saraa'e jism ka ho gaa ravaana kyaa
Ghaliban "mihmaaN-saraa'e jism" --> "mihmaaN saraa'e jism," ya'anee
saraa e jism kaa mehmaaN.
> yuuN mudda'ii hasad se na de daad to na de
> "Aatish" Ghazal yih tuu ne kahii 'aashiqaana kyaa
Aatish us daur ke 'aam mizaaj ke bar'aks nishaatiya shaa'ir the. un ke
mizaaj meN aik jangjoo-pan paayaa jaataa thaa. chunaanche mushaa'iroN
meN talvaar baandh kar shirkat kiyaa karte the :) daroGh bar gardan e
MH Aazad! :) yehee hareefaana rang is Ghazal ke 10veN she'er aur maqte
meN numaayaaN hai.
duvam, Ghazal meN naa-ummeedee aur maayoosee kaa Ghalba naheeN hai:
Khaas taur par asp e umr vaale she'er kaa Ghalib ke she'er se taqaabul
kar leeji'ye.
maiN samajhtaa hooN k "hazaar-haa shajar e saaya-daar raah meN hai"
vaalee Ghazal ke saath saath ye Ghazal Aatish kee 'umda tareeN GhazaloN
meN shumaar kee jaa saktee hai.
aadaab arz hai,
Zafar
Mohtaram ...... Saheb,
Meri yeh 'aajizaana darKH(w)ast hai ke aap yeh
"LL" ka laqab chhoR deN. Munaasib naheeN m'aloom
hota ke aap jaise ALUP~contributor ke liye "LL"
jaise alfaaz ka it'emaal kiya jaaye. Agar aap bura
na maaneN to maiN aapko "Alive & Kicking" Saheb keh kar
muKHaatib karooN ! MaiN KHud to ab "Hanging~On" kee
category men aa gaya hooN !
Gul~'azaar = MaiN bhee is lafz ka yehi talaffuz karta
aaya hooN. HaaN, ek baar Zafar Saheb ne mujhe bataaya tha
ke saheeh talaffuz "Gul~'izaar" hai. Mere pas-oppesh par
unhoN ne apni baat dohraayee bhee thi. Meri aap donoN
hazraat (aur deegar ALUPers) se guzaarish hai ke is lafz
ke saheeh talaffuz par raushni DaaleN.
Afzal
About "Gul~'azaar" : Strange coincidence that our posts on this
point were sent within a minute of each other.
To the two ghazals mentioned by you ("..fasaana kya" and
"...raah men hai"), permit me to add a third :
Maut maaNgooN to rahe aarzoo-e-KH(w)aab mujhe
Doobne jaooN to dariya mile paayaab mujhe
I thinK some ALUPers may be aware that, in my youth, I was quite
fond of seeing films. (I still see them but not all that
often.) And when my friends would be undecided about which
film to see, I would often recite this sher of Aatish :
Safar hai shart, musaafir~nawaaz bohtere
Hazaar~ha shajar-e-saaya~daar raah men hai !
Afzal
agarche mujhe aiteraaf hai k mere 'ilm kaa "qadd" aap (aur
Zafar saahib donoN) ki nisbat bahut, yaani bahut hi, chhoTaa
hai, magar phir bhi is zimn meN 'arz hai k Zafar saahib ki
baat bajaa ma'aloom paRti hai.
luGhaat[1] kaa yeh qaul hai lafz 'ain-zaal-alif-re, ba ma'ani
face, cheek, waGhairah kaa saheeh talaffuz *'izaar* hee hai.
lihaaza "gul-'izaar" hi ko saheeh qaraar paataa hai.
-UVR.
[1] References: "Feroz ul Lughat", Platts' and Maulvi Abdul
Haq's (Urdu) and Steingass' (Persian) dictionaries.
UVR Saheb,
Bahut bahut shukriya.
Is men "qad" kee kya baat hai ? Yeh aksar dekhne
men aaya hai ke agar aap bachpan men koi cheez
(maslan kisee lafz ka talaffuz) GHalat seekh leete
haiN to wohi baat yaad rah jaati hai. Aur yahaaN
mere paas to koi kitaabeN ya dictionaries bhee
naheeN haiN.
Ek baar phir mera shukriya qubool farmaaiye.
Afzal
Afzal A. Khan wrote:
>
> Meri yeh 'aajizaana darKH(w)ast hai ke aap yeh
> "LL" ka laqab chhoR deN. Munaasib naheeN m'aloom
> hota ke aap jaise ALUP~contributor ke liye "LL"
> jaise alfaaz ka it'emaal kiya jaaye. Agar aap bura
> na maaneN to maiN aapko "Alive & Kicking" Saheb keh kar
aap kaa hukm sar-aaNkhoN par---maiN ab se "Alive & Kicking"/"A&K"
likkhaa karuuN gaa :)
'arz hai kih maiN Khvud apne naam se is bazm meN shirkat kiyaa
kartaa thaa koii majbuurii hai kih ab mujhe "alias" darkaar hai :(
> muKHaatib karooN ! MaiN KHud to ab "Hanging~On" kee
> category men aa gaya hooN !
Huzuur yih aap kyaa farmaa rahe haiN!
>
> Gul~'azaar = MaiN bhee is lafz ka yehi talaffuz karta
> aaya hooN. HaaN, ek baar Zafar Saheb ne mujhe bataaya tha
> ke saheeh talaffuz "Gul~'izaar" hai. Mere pas-oppesh par
> unhoN ne apni baat dohraayee bhee thi. Meri aap donoN
> hazraat (aur deegar ALUPers) se guzaarish hai ke is lafz
> ke saheeh talaffuz par raushni DaaleN.
>
yih lafz is se pahle merii nazar se nahiiN guzraa
maiN ne du-baarah luGhaat kaa ruKh kiyaa to ma'luum huvaa
kih "gul-'izaar" hii sahiih hai aik dil-chasp nuktah yih hai kih
ba'z luGhaat meN "gul-'uzaar" kaa bhii zikr (ba-taur-e Ghalatu'l
'aam) aataa hai maslan: "...improp. "gul-'uzaar"..." (Shakespear)
"...bar-vazn-e "kitaab" sahiih bar-vazn-e "guzaar" Ghalat..." (Nuuru'l
L.)
du'aa kaa taalib
aap kaa A&K
janaab-e-A&K sb:
ba sad ehteraam 'arz hai k aisi "majboori" se nibaTne ke shaayad
aur bhi raaste ho sakte the, aisaa (manhoos) laqab "choose"ne ki
koi zaroorat thi? koi bhalaa-saa naam bhi to rakhaa jaa sakta
haa. yeh kyaa k "nazar cheel ki, naam soordaas!" [see 1]. Khair,
der aayad durust aayad. ab to aap aur ta'ammul na kareN aur
fauran koi achchhaa saa Urdu/Farsi/Arabi/Angrezi lafz DhooND
kar use apna taKhallus kar leN. maslan: 'Arif iNTarneTwee"! :)
-UVR.
[1] Converse of "aaNkh kaa andhaa, naam nayansukh" LOLOL!
Zafar wrote:
> late_l...@yahoo.com wrote:
> > dosto aadaab :)
> >
> > aik zamaanah thaa kih darj-e zail Ghazal eurdubazaar site kii
> > zaib-o-ziinat huvaa kartii thii ab to vuh site hii Allaah ko
> > pyaaraa ho chukaa :(
>
> :( lekin achhee Khabar ye hai, LL saahib, k kal hee main ne us site ke
> home page par kaam kiyaa hai aur aik 'adad aazmaaishee design taiyyaar
> kar liyaa hai. dekhi'ye, mujhe ummeed hai k chand maah ke andar andar
> eurdubazaar.com phir aap ke saamne ho jalva-afroz gee.
bhaa'ii yih to aap ne baRii achchhii Khabar sunaa'ii :) mujh ko
shadiid intizaar rahe gaa :)
> >
> > chaaroN taraf se suurat-e jaanaaN ho jalva-gar
> > dil saaf ho tiraa to hai aa'iina-Khaana kyaa
>
> is she'er meN to vaazih taur par Mir se istifaada kiyaa hai, "moonh
> nazar aataa hai deevaaroN ke beech."
maiN "reference" ke taur par Miir kaa puuraa shi'r likh rahaa huuN:
chashm ho to aa'inah-Khaanah hai dahr
muNh nazar aataa hai diivaaroN ke biich
> >
> > tabl-o-'alam na paas hai apne na mulk-o-maal
> > ham se Khilaaf ho ke kare gaa zamaana kyaa
>
> jahaaN tak mujhe yaad paRtaa hai, pehle misre meN "tabl o 'alam *hee*
> paas ..." hai. aap ke paas deevaan e Aatish kaa jadeed edition maujood
> hai, zaraa dekh kar bataa dejeeye gaa.
>
> doosree baat ye k mere Khayaal se pehle misre meN Ghaliban "milk o
> maal" hai. milk = milkeeyat = possessions.
Ghalatii kii nishaan-dihii kaa shukriyah! is nusKhe meN misra' yuuN
hai:
tabl-o-'alam na paas hai apne na milk-o-maal
>
> aap ne doosree post meN pehle misre ke lafz kee islaah-shuda shakl
> "gul-'azaar" likhee hai lekin meraa Khayaal se durust imlaa "gul
> 'izaar" (gulaab-chehra), hai, ya'anee "'ain" maksoor hai na k maftooh.
> az raah e karam dekh leejiye gaa.
bilkul durust "gul-'izaar" hii sahiih hai
> > be-taab hai kamaal hamaaraa dil-e haziiN
> > mihmaaN-saraa'e jism ka ho gaa ravaana kyaa
>
> Ghaliban "mihmaaN-saraa'e jism" --> "mihmaaN saraa'e jism," ya'anee
> saraa e jism kaa mehmaaN.
Ohh! aik baar phir shukriyah :)
>
> > yuuN mudda'ii hasad se na de daad to na de
> > "Aatish" Ghazal yih tuu ne kahii 'aashiqaana kyaa
>
> Aatish us daur ke 'aam mizaaj ke bar'aks nishaatiya shaa'ir the. un ke
> mizaaj meN aik jangjoo-pan paayaa jaataa thaa. chunaanche mushaa'iroN
> meN talvaar baandh kar shirkat kiyaa karte the :) daroGh bar gardan e
> MH Aazad! :) yehee hareefaana rang is Ghazal ke 10veN she'er aur maqte
> meN numaayaaN hai.
>
> duvam, Ghazal meN naa-ummeedee aur maayoosee kaa Ghalba naheeN hai:
> Khaas taur par asp e umr vaale she'er kaa Ghalib ke she'er se taqaabul
> kar leeji'ye.
bajaa irshaad :) kuchh 'arsah qabl Yogesh saahab Ghaalib ke kalaam
meN "a truly happy couplet" kii talaash meN the Aatish kii Kulliyaat
dekhiye to aksar ash'aar "truly happy" nazar aate haiN :)
maiN ne maujuudah Ghazal kii zamiin meN aik aur shi'r sun rakkhaa hai:
MajnuuN ki sar-guzisht nihaayat huvii pasand
ai dost be-asar tha hamaaraa fasaana kyaa
shaa'ir kaa naam ab zahn se utar gayaa hai agar kisii dost ke paas
puurii Ghazal maujuud ho to zaruur 'inaayat farmaa'eN
>
> maiN samajhtaa hooN k "hazaar-haa shajar e saaya-daar raah meN hai"
> vaalee Ghazal ke saath saath ye Ghazal Aatish kee 'umda tareeN GhazaloN
> meN shumaar kee jaa saktee hai.
>
maiN aik-do din meN yih Ghazal, aur duusrii jis Ghazal kaa Afzal
saahab ne zikr kiyaa hai (maut maaNguuN to rahe aarzu-e Khvaab
mujhe), donoN paish kartaa huuN :)
is qadar tafsiil se tashriih farmaane kaa shukriyah! du'aa go
A&K
Khatt kaa shukriyah :) maiN fi'lhaal "A&K" hii ban jaataa huuN :))
aik puraanaa vaaqi'ah hai kih jin dinoN maiN ne mashq-e
Ghazal-Khvaanii shuruu' kii thii Sarwar saahab ne meraa
aik taKhallus bhii muqarrar kar diyaa thaa :) laikin ab vuh
"naqsh-o-nigaar-e taaq-e nisyaaN" hii ho kar rah gayaa hai
du'aa go
A&K
jab aap is bazm ko gulzaar kar rahe haiN to hamaari raaye meN to aap
apna takkhalus "gul-izaar" hi rakh len
Janaab Hawa Saheb,
Yeh to aap ko 'ilm hee hai ke "gul~andaam" ya "gul~'izaar"
jaise alfaaz m'ashooq/mehbooba ke liye ist'emaal kiye jaate
haiN. Aur yahaaN mu'aamla kisee "lady poster" ka to yaqeenan
naheeN hai. Ek baat aur GHaur karne ke laaiq hai : agar kisee
"lady poster" ka mu'aamla bhee hota to kyaa aap sochte haiN ke
woh mohtarama is tarah ka laqab iKHtiyaar karteeN ? Shaaid aap
bhee "Net" par kisee ko is "KHitaab" se naheeN nawaazte.
Afzal
chaleN, meree baat kaa na sahee, UVR saahib kee sanad kaa to aap ko
yaqeen aayaa. :) vaise, ho saktaa hai k aap ke ta'aamul kee aik vajh
gul-'izaar ke roomaanvee tasavvuraat ke bar-aks lafz izaar (alif, ze,
alif, re = paajaamaa :) kaa "Ghair-shaa'iraana" image ho! LoL
More seriously, aik vajh roomnaavee daastaan Azara-Wamiq kee heroine
bhee ho saktee hai jo aaj bhee Khawaateen kaa aik maqbool 'first-name'
hai.
btw, ye farmaa'iye gaa k kyaa Hindo-Pak meN is daastaan par ko'yee film
bhee banee hai yaa naheeN.
aadaab arz hai,
Zafar
> More seriously, aik vajh roomnaavee daastaan Azara-Wamiq kee heroine
> bhee ho saktee hai jo aaj bhee Khawaateen kaa aik maqbool 'first-name'
> hai.
>
> btw, ye farmaa'iye gaa k kyaa Hindo-Pak meN is daastaan par ko'yee film
> bhee banee hai yaa naheeN.
>
> aadaab arz hai,
>
> Zafar
Wamiq Azra 1946, produced by Hind Pictures.
cast: Swarnlata, Nazir
MD: A R Qureshi
Kali Hawa wrote:
>
> jab aap is bazm ko gulzaar kar rahe haiN to hamaari raaye meN to aap
> apna takkhalus "gul-izaar" hi rakh len
Khatt kaa shukriyah :)) jaisaa kih Afzal saahab ne farmaayaa hai,
gul-'izaar (=Rosy-cheeked) 'umuuman ma'shuuq ke liye musta'mil
hai na kih 'aashiq ke liye :)
sunaa hai kih 'Arabii meN 'izaar kaa matlab daaRhii hai (Urduu/Faarsii
vaaloN ne is lafz ke ma'aanii badal kar ruKhsaar, paikar vGh. banaa
liyaa hai) laikin merii daaRhii bhii gul-faam nahiiN :))
du'aa go
A&K
> Janaab Hawa Saheb,
>
> Yeh to aap ko 'ilm hee hai ke "gul~andaam" ya "gul~'izaar"
> jaise alfaaz m'ashooq/mehbooba ke liye ist'emaal kiye jaate
> haiN. Aur yahaaN mu'aamla kisee "lady poster" ka to yaqeenan
> naheeN hai. Ek baat aur GHaur karne ke laaiq hai : agar kisee
> "lady poster" ka mu'aamla bhee hota to kyaa aap sochte haiN ke
> woh mohtarama is tarah ka laqab iKHtiyaar karteeN ? Shaaid aap
> bhee "Net" par kisee ko is "KHitaab" se naheeN nawaazte.
>
>
> Afzal
is faux pas ke liye ma'afi chataa huN, Gul-izaar nahi to Gulzar sahi!
Yahaan maiN saKHt zameen par huN!!
aadaab arz hai
Hmm, interesting. I don't believe I've seen the phrase 'solid ground'
used in this manner in Urdu/Hindi (spoken or written) earlier.
-UVR.
Actually "zameeN saKHt hai" is normally used in the sense
of "woe is me". A case of a faux pas "verse"-compounded ?
Afzal
Kali Hawa
janaab Urzung saahib:
ma'aloomaat kee faraahamee kaa bahut bahut shukriya.
Zafar