Sheeshay kay ghar banaye thay ham nay naseeb kay
Pather diye to hath main jaa kaer raqeeb kay
Jiss nay hamaaray dill ki daoulat bhi bant di
Ghar kar diya hawalay aisay naqeeb kay
Dinn rat jiss nay kaatay hon maqtil ki rah main
Dukh uss say jaa kay poochiye gham ki saleeb kay
Woh dinn bhi kaya thay ham bhi miltay thay piyar say
Naaz ham nay bhi uthaye thay apnay habeeb kay
Bijli ki zad main aashian aaya hay jiss ka aaj
Naalay sunnay hain ham nay bhi uss andleeb kay
Beemariye dill ki dooa ALMAS kiss say lain
Bigrhay hooay hain tai'wer apnay tabeeb kay
Steve Almas
http://members.tripod.com/~AlmasS/index.html