Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

ALUP per aik Ghazal

95 views
Skip to first unread message

Syed Ghazi Akailvi

unread,
Mar 6, 2000, 3:00:00 AM3/6/00
to

Khawateen o Hazraat,

I have not posted to ALUP much before; however, I have really enjoyed
visiting ALUP for a while. I have noticed that some recent
conversations on the group, regarding Irfan Sahib's posts, have been a
little harsher than the group's norm. As I was thinking about these
things, I ended up writing a few lines of poetry about what ALUP is and
what it means to us. I hope you would enjoy the following. Your
comments and/or corrections are welcome. Urz kiya hai:

ALUP KIYA HAI?

ALUP ek mehfil-e-sher o sukhan hai
Ye Internet pe Urdu ka watan hai

Parastaaran-e-Urdu phool ban ker
Mahektay hain jahan ye woh chaman hai

Yahan akhlaaq ki farman-ravi hai
Yahan narmi ke sikke ka chalan hai

Yahan shaestagi hai Lukh-nau ki
Yahan arz-e-Deccan ka baankpan hai

Kabhi aa ker yahan bai-tho tho Ghazi
Yahan din raat dars-e-ilm-o-fun hai

With best wishes to all,

Ghazi Akailvi


na...@my-deja.com

unread,
Mar 11, 2000, 3:00:00 AM3/11/00
to
Are ghazi sahab aap ne to bahut hi dhunwa-dhaar entry mari hai janab :-
)) wah wah maza aa gaya. Kya sahi akkasi ki hai aap ne ALUP ki. Raj
sahab sun rahe hain na ..... abhi tak to ALUP par URDU ki bateN hoti
thiN ab ALUP par ALUP ki bhi bateN hoNgi :-)) I like it.

-Najam

In article <38C48BFD...@skypoint.com>,


Sent via Deja.com http://www.deja.com/
Before you buy.

Khursheed Ahmed

unread,
Mar 12, 2000, 3:00:00 AM3/12/00
to
Bohat khoob, Ghazi Saheb, baRi khoobsoorat ghazal likhi hai aap ne ALUP
per. Aap ka andaz-e-bayaN qaabil-e-taareef hai. Aap ne ALUP li mehfil ka
sahih naqsha apni ghazal maiN pesh kiya hai. Mubarek ho...

Shukriya,
Khursheed

On Mon, 6 Mar 2000, Syed Ghazi Akailvi wrote:

>
> Khawateen o Hazraat,
>
> I have not posted to ALUP much before; however, I have really enjoyed
> visiting ALUP for a while. I have noticed that some recent
> conversations on the group, regarding Irfan Sahib's posts, have been a
> little harsher than the group's norm. As I was thinking about these
> things, I ended up writing a few lines of poetry about what ALUP is and
> what it means to us. I hope you would enjoy the following. Your
> comments and/or corrections are welcome. Urz kiya hai:
>
> ALUP KIYA HAI?
>
> ALUP ek mehfil-e-sher o sukhan hai
> Ye Internet pe Urdu ka watan hai
>
> Parastaaran-e-Urdu phool ban ker
> Mahektay hain jahan ye woh chaman hai
>
> Yahan akhlaaq ki farman-ravi hai
> Yahan narmi ke sikke ka chalan hai
>
> Yahan shaestagi hai Lukh-nau ki
> Yahan arz-e-Deccan ka baankpan hai
>
> Kabhi aa ker yahan bai-tho tho Ghazi
> Yahan din raat dars-e-ilm-o-fun hai
>
> With best wishes to all,
>
> Ghazi Akailvi
>
>

> Khursh Ahmed, PhD E-Mail: ah...@mcmaster.ca
> 96 Haddon Ave. North Home Office: (905) 529-2694
> HAMILTON, ON, L8S 4A5 Cell: (905) 979-9696
> Canada Fax: (905) 529-7095


rajkp...@my-deja.com

unread,
Mar 12, 2000, 3:00:00 AM3/12/00
to
In article <8ad3ra$da$1...@nnrp1.deja.com>,
na...@my-deja.com wrote:

> Are ghazi sahab aap ne to bahut hi dhunwa-dhaar entry mari hai
> janab :-
> )) wah wah maza aa gaya. Kya sahi akkasi ki hai aap ne ALUP ki. Raj
> sahab sun rahe hain na ..... abhi tak to ALUP par URDU ki bateN hoti
> thiN ab ALUP par ALUP ki bhi bateN hoNgi :-))

sun rahaa hooN, Najam Sahib, sun rahaa hooN. ab aap tavaqqo' rakhte
haiN ke khaaksaar bhi isi zameen meiN kuchh kahe. Isn't it?
to, leejiye huzoor, Ghaazi Sahib ki taqleed meiN, mehfil-e-ALUP par
mere mushaahidaat (= observations) bhi sun leejiye. arz hai:

1. ba-zaahir mehfil-e-she'r-o-sukhan hai
haqeeqat meiN ALUP apna vatan hai!

2. haiN is ke paasbaaN Khursheed Sahib
khizaaoN se mubarra yeh chaman hai!
(= free of autumns)

3. yahaaN koi naheeN 'Abdul Muhammad'
na koi 'Ram Singh' na 'Ram Dhan' hai!

4. yahaaN ma'adoom hai jinsi tafaavat
(non-existent) (sexual discrimination)
yahaaN shaana-ba-shaana mard-o-zan hai

5. yahaaN par muskuraati hai Tabassum
yaheeN par Aabida bhi khanda-zan hai

6. chhalakte haiN yaheeN saaghar Sanaa ke
yaheeN par Aayesha mast-e-sukhan hai

7. yaheeN se Chaandni nikli thi ik din
yaheeN Naaheed si ghuncha-dahan hai

8. yaheeN Neeta ne ki mo'jiz-nigaari
khudaa rakhkhe, adab se kya lagan hai!

9. yaheeN par haiN anaadil ke taraane
yaheeN hangaama-e-zaagh-o-zaghan hai

[anaadil = plural of andaleeb; hence, bulbuleiN;
zaagh-o-zaghan = cheel-kauvve, kites and crows].

kehne ka matlab yeh hai ke "is chaman meiN, har qism ke parinde apni
apni boliyaaN bolne ka haq rakhte haiN". magar mujhe khadsha hai ke
kuchh log yeh na samajh baiTheN ke --- is she'r ka pehla misra to
khwaateen ke liye hai aur doosra mard hazraat ke liye! ROTFL

agle ash'aar meiN, ishaara is baat ki taraf hai ke, jahaaN Ghaazi Sahib
ne Lakhnau aur Dakan ka zikr baRe chaao se kiya hai, vahaaN 'hamaare
ilaaqe' ka naam tak naheeN liya! is 'naa-insaafi' ko madd-e-nazar
rakhte hue, khaaksaar ka kehna hai:

10. yehi 'aihl-e-zabaaN' ka hai 'akhaaRa'
yehi PunjaabiyoN ki 'anjuman' hai!!!

11. yaheeN Ghaalib ki naghma-khwaaniyaaN haiN
yaheeN Iqbaal ka vird-e-sukhan hai!!!

12. yaheeN par tazkire fehm-o-zakaa ke
yaheeN par Qais ka deevaana-pan hai!!!

khair-aNdesh, Raj Kumar

Amit Malhotra

unread,
Mar 12, 2000, 3:00:00 AM3/12/00
to
Kya baat hai!!!

itnii behtariin ghazal aap ne likh dii Ghazi saahib, aur phir Raj Kumar
Sahib ne bhii kyaa baat kahii!! Khursheed Sahib, lagtaa hai aapko ye donoN
ghazleiN ab apne "Monthly Reminder" ke saath saath 'attach' kar ke bhejnii
paRegii!
maiN to soch rahaa huN ke ALUP kii ek website banaa hii duN... archives ke
saath!!

kyaa khayaal hai aap sab logoN kaa?

Sincerely,
Amit Malhotra

Syed Ghazi Akailvi <aka...@skypoint.com> wrote in message
news:38C48BFD...@skypoint.com...

Amit Malhotra

unread,
Mar 12, 2000, 3:00:00 AM3/12/00
to
Respected Raj Kumar Sahib,

bahut khuub ghazal kahii aapne!! :-))
Especially, I am glad that you inserted "hamaaraa ilaaqaa" also in your
ghazal.. :-)))

> 12. yaheeN par tazkire fehm-o-zakaa ke
> yaheeN par Qais ka deevaana-pan hai!!!

aur is "Qais" ke deevane-pan ne hii is mehfil-e-sh'er-o-sukhan ko chaar
chaaNd lagaa diye haiN!
note kijiye.. aapkii ghazal (kis saliiqe...) ke baad, kitne hii log bol
paRe.. Hashmat sahib ne ek sh'er arz kiyaa, winter meiN ham Canadians kii
haalat par, aur phir Sana sahiba ne kyaa khuubsuurti se ham internet
waasiyoN ke upar ghazal likh dii!
uske baad Gaazi sahib ne ALUP par bahut umdaa ghazal pesh kii jiskii zamiin
meiN aapne kya baat kah Daalii!
saath hi meiN aapne ek aur khuubsuurat sh'er arz kiya, jis par Ayeshaa jii
ne chand bahut hii khuubsuurat ash'aar ALUPers ke liye farmaaye...
vaa'qii aapne kaafii 'namaziioN' ko jagaa diyaa! :-) aur Khudaa khair kare,
aur bhii naa jaane kitne jaag paReiNge.. the more the merrier...


Shukriyaa :-)

Sincerely,
Amit Malhotra


Vivek

unread,
Mar 12, 2000, 3:00:00 AM3/12/00
to Amit Malhotra

hamaarii vote ALUP ke liye website ke haq meiN hai.

On Sun, 12 Mar 2000, Amit Malhotra wrote:

:-)Kya baat hai!!!
:-)
:-)itnii behtariin ghazal aap ne likh dii Ghazi saahib, aur phir Raj Kumar
:-)Sahib ne bhii kyaa baat kahii!! Khursheed Sahib, lagtaa hai aapko ye donoN
:-)ghazleiN ab apne "Monthly Reminder" ke saath saath 'attach' kar ke bhejnii
:-)paRegii!
:-)maiN to soch rahaa huN ke ALUP kii ek website banaa hii duN... archives ke
:-)saath!!
:-)
:-)kyaa khayaal hai aap sab logoN kaa?
:-)
:-)Sincerely,
:-)Amit Malhotra
:-)
:-)Syed Ghazi Akailvi <aka...@skypoint.com> wrote in message
:-)news:38C48BFD...@skypoint.com...
:-)>
:-)> Khawateen o Hazraat,
:-)>
:-)> I have not posted to ALUP much before; however, I have really enjoyed
:-)> visiting ALUP for a while. I have noticed that some recent
:-)> conversations on the group, regarding Irfan Sahib's posts, have been a
:-)> little harsher than the group's norm. As I was thinking about these
:-)> things, I ended up writing a few lines of poetry about what ALUP is and
:-)> what it means to us. I hope you would enjoy the following. Your
:-)> comments and/or corrections are welcome. Urz kiya hai:
:-)>
:-)> ALUP KIYA HAI?
:-)>
:-)> ALUP ek mehfil-e-sher o sukhan hai
:-)> Ye Internet pe Urdu ka watan hai
:-)>
:-)> Parastaaran-e-Urdu phool ban ker
:-)> Mahektay hain jahan ye woh chaman hai
:-)>
:-)> Yahan akhlaaq ki farman-ravi hai
:-)> Yahan narmi ke sikke ka chalan hai
:-)>
:-)> Yahan shaestagi hai Lukh-nau ki
:-)> Yahan arz-e-Deccan ka baankpan hai
:-)>
:-)> Kabhi aa ker yahan bai-tho tho Ghazi
:-)> Yahan din raat dars-e-ilm-o-fun hai
:-)>
:-)> With best wishes to all,
:-)>
:-)> Ghazi Akailvi
:-)>
:-)
:-)
:-)

~~~
"Hold fast to dreams, for if dreams die, life is a broken winged
bird that cannot fly."
-Langston Hughes
~~~
gu...@tamu.edu http://ee.tamu.edu/~vivekgu/

A Cassam

unread,
Mar 13, 2000, 3:00:00 AM3/13/00
to

Amit Malhotra wrote:

> maiN to soch rahaa huN ke ALUP kii ek website banaa hii duN... archives ke

> saath!!


>
> kyaa khayaal hai aap sab logoN kaa?

Aadaab Amit Saheb,

Neki aur poochh poochh ?????????

Abida Sultana

na...@my-deja.com

unread,
Mar 13, 2000, 3:00:00 AM3/13/00
to
Bahut khoob raj sahab dhunwadhar entry ka dhunwadhar jawab :-)) bahut
ache. Lekin thodi na insafi ho gayi.. yoon to aap samajh hi gaye honge
lekin phir bhi .......bata deta hoon.

pahle baat to ye ki aap ke ye asha'ar padh kar mujhe majaz sahab ki woh
nazm yaad aa gayi jis mein unhon ne kaha tha

"parween se ki hai sargoshi, naheed se rishte jode hain" :-))

ap bandooq aap ki taraf:-

> 5. yahaaN par muskuraati hai Tabassum
> yaheeN par Aabida bhi khanda-zan hai

> 6. chhalakte haiN yaheeN saaghar Sanaa ke
> yaheeN par Aayesha mast-e-sukhan hai

> 7. yaheeN se Chaandni nikli thi ik din
> yaheeN Naaheed si ghuncha-dahan hai

> 8. yaheeN Neeta ne ki mo'jiz-nigaari
> khudaa rakhkhe, adab se kya lagan hai!

yahan tak to main soch raha tha ki sari khawaateen to ek ek karke ho
gayiN ab shayad mundoN (panjabi mein) ka naam shuru ho lekin aap ne to
kahani hi ulat di.

> 9. yaheeN par haiN anaadil ke taraane
> yaheeN hangaama-e-zaagh-o-zaghan hai

> [anaadil = plural of andaleeb; hence, bulbuleiN;
> zaagh-o-zaghan = cheel-kauvve, kites and crows].

> magar mujhe khadsha hai ke kuchh log yeh na samajh baiTheN ke


> is she'r ka pehla misra to
> khwaateen ke liye hai aur doosra mard hazraat ke liye! ROTFL

Ye ghalat baat hai, pahle to zaagh-o-zaghan kahte hain aur phir khadsha
bhi zahir kar diya ki ab koi feel bhi na kare *-)

> 12. yaheeN par tazkire fehm-o-zakaa ke
> yaheeN par Qais ka deevaana-pan hai!!!

Chaliye koi baat nahiN. HameiN to bas ye Qais ka deevaana-pan hi
chahiye, usi meiN bahut kuch seekhne ko mil jata hai. :-)) Meri to yahi
dua hai ki ye deevaana-pan kabhi khatam na ho.


-Najam

tab...@my-deja.com

unread,
Mar 13, 2000, 3:00:00 AM3/13/00
to
Najam saheb aap ki isted'aa ke jawaab mein Raj kumar saheb itni
zabardast ghazal keh di, ab aap ko koi shikaayat nahi karni chahiye :-)

Waise bhi yeh ghazal jaisi lateef sukhan-e-adab main khuwaateen ke naam
hi aa sakte hain :-) agar mardon ke naam le kar qaseeda to likha ja
sakta magar ghazal nahi :-)

-tabassum

In article <8aikbh$k1h$1...@nnrp1.deja.com>,

--
tabassum

has...@my-deja.com

unread,
Mar 13, 2000, 3:00:00 AM3/13/00
to

> 3. yahaaN koi naheeN 'Abdul Muhammad'
> na koi 'Ram Singh' na 'Ram Dhan' hai!
________________________________________________________________________

Adab:

aap ne yeh naam 'Abdul Muhammad' jo (farzii hi sahii!) iste'ymaal kiya
hai woh kaafii a'jeeb-o-gHariib saa hai kyuuNki aaj tak maiN nay aisaa
nahiiN sunaa hai. uskii vajeh yeh hai ki 'Abd' ka matlab hua 'bandah'
ya 'slave'. MusulmanoN meiN yeh naam Abdul Muhammad kii bajaaye Abd-ul-
Allah (Abdullah) rakkha jaataa hai. uskii eik aur vajeh yeh hai kii
Muhammad (p.b.u.h) ka koyii banda ya 'slave' nahiiN hota. 'Mohammad'
ya 'Ahmad' ke naam a'laahedah, a'laahedah ya saath-saath rakkhay jaa
saktay haiN ya phir ezaafii naam kay taur per bhii rakkha ja saktaa hai.

yeh shay'r raqm kartay huye aapke zehn meiN kya thaa uskaa to mujhay
i'lm nahiiN lekin agar aap iska izhaar kareiNge to a'in navazish hogii.

Faqat khaaksar

Hashmat

rajkp...@my-deja.com

unread,
Mar 14, 2000, 3:00:00 AM3/14/00
to
In article <8ajuqa$l04$1...@nnrp1.deja.com>,
has...@my-deja.com wrote:

> > 3. yahaaN koi naheeN 'Abdul Muhammad'
> > na koi 'Ram Singh' na 'Ram Dhan' hai!
>
________________________________________________________________________
>
> Adab:
>
> aap ne yeh naam 'Abdul Muhammad' jo (farzii hi sahii!) iste'ymaal kiya
> hai woh kaafii a'jeeb-o-gHariib saa hai kyuuNki aaj tak maiN nay aisaa
> nahiiN sunaa hai. uskii vajeh yeh hai ki 'Abd' ka matlab hua 'bandah'
> ya 'slave'. MusulmanoN meiN yeh naam Abdul Muhammad kii bajaaye

> Abdul-


> Allah (Abdullah) rakkha jaataa hai. uskii eik aur vajeh yeh hai kii
> Muhammad (p.b.u.h) ka koyii banda ya 'slave' nahiiN hota. 'Mohammad'
> ya 'Ahmad' ke naam a'laahedah, a'laahedah ya saath-saath rakkhay jaa
> saktay haiN ya phir ezaafii naam kay taur per bhii rakkha ja saktaa
> hai.
>
> yeh shay'r raqm kartay huye aapke zehn meiN kya thaa uskaa to mujhay
> i'lm nahiiN lekin agar aap iska izhaar kareiNge to a'in navazish
> hogii.

Hashmat Sahib:

I composed this ghazal in a single afternoon. Considering the amount of
material included, I had no time to reflect on the point you have made;
in fact, even if I had reflected a little more, I might have missed it.
My aim was to employ a 'farzi' name, which does not overlap with the
names that normally appear on ALUP. And, since the names in the second
misra employ the word 'Ram', I thought that this name should likewise
employ the name of the Prophet. That is all!

Now, after the light you have shed on this matter, I'll readily change
this name to ----- (let's say) ----- Arif Muhammad or Manzoor Ahmed or
---- anything like that which fits the meter. Any thoughts, please?

vaise, aap ne yeh to bataaya hi naheeN ke aap ko baaqi ke gayaarah
ash'aar kaise lage? ho sakta hai aap bhi, Najam Sahib ki tarah, maayoos
hooN (balke naaraaz hoN) ke maiN ne, is ghazal meiN, aap ka
ism-e-shareef kiyooN naheeN barta! Is that true? :-))

khair-aNdesh, Raj Kumar

rajkp...@my-deja.com

unread,
Mar 14, 2000, 3:00:00 AM3/14/00
to

In article <8aikbh$k1h$1...@nnrp1.deja.com>,
na...@my-deja.com wrote:

> Bahut khoob, raj sahab. dhunwadhar entry ka dhunwadhar jawab :-))
> bahut
> achhe. Lekin thodi na-insafi ho gayi.. yoon to aap samajh hi gaye


> honge
> lekin phir bhi .......bata deta hoon.
>

> pahli baat to ye ki aap ke ye asha'ar padh kar mujhe Majaz sahab ki


> woh
> nazm yaad aa gayi jis mein unhon ne kaha tha
>

> "parveen se ki hai sargoshi, naheed se rishte jode hain" :-))

Najam Sahib:

Thank you very much for your kind reference to that beautiful nazm by
Majaaz --- magar, yaqeen jaaniye huzoor, ham ne na to kisi se
sargoshiyaaN ki haiN aur na hi kisi se rishta joRa hai. haaN, thoRa-
bahut sar zaroor phoRa hai! :-))

> ab bandooq aap ki taraf:-

khudaa khair kare!

> > 5. yahaaN par muskuraati hai Tabassum
> > yaheeN par Aabida bhi khanda-zan hai
>
> > 6. chhalakte haiN yaheeN saaghar Sanaa ke
> > yaheeN par Aayesha mast-e-sukhan hai
>
> > 7. yaheeN se Chaandni nikli thi ik din
> > yaheeN Naaheed si ghuncha-dahan hai
>
> > 8. yaheeN Neeta ne ki mo'jiz-nigaari
> > khudaa rakhkhe, adab se kya lagan hai!
>

> yahan tak to main soch raha tha ke saari khawaateen to ek ek karke ho


> gayiN ab shayad mundoN (panjabi mein) ka naam shuru ho lekin aap ne to

> kahani hi ulaT di.

Najam bhaai, is baat ka javaab to hamaari azeeza, Tabassum, ne
ba-khoobi de diya hai. un ka kehna hai ke "agar ghazal meiN mardoN ki
ta'areef karne lageN to voh ghazal hi kya rahi --- voh to qaseedah ban
gayee"! aur yahaaN, ba-qaul-e-Iqbal, yeh haal hai ke

maiN ghazal-go hooN, qaseede to naheeN keh sakta
kya karooN, lehja-e-darbaar kahaaN se laaooN???

phir bhi, maiN ne socha ke aap jaise 'mukhlis dost' ko kisi na kisi
tarah to is ghazal meiN 'accommodate' karna hi chaahiye. mujhe, aisa
karne ka bas aek hi tareeqa soojha ------ voh yeh ke maiN, kuchh der ke
liye, yeh tasavvur kar looN ke aap 'Najam Sahib' naheeN, balke
'Najma Sahiba' haiN! I think you got it!!!

aisa sochte hi, aek she'r fauran raast hua, jo ke is ghazal meiN
ba-khoobi fiT hota hai; aap ise, is ghazal ka she'r # 8a samajh sakte
haiN.
Are you ready? she'r arz hai:

yaheeN Najma ne ki jalva-numaai
qasam bhagvaan ki, kya gul-badan hai! LOL, balke ROTFL

mujhe ummeed hai ke, jahaaN 'Najam bhai-jaan' hamaari ghazal se maayoos
huye the, vahaaN 'Najma bhabhi' to hamaare is she'r se zaroor khush hui
hoN gi! :-))

na...@my-deja.com

unread,
Mar 14, 2000, 3:00:00 AM3/14/00
to

> Najam bhaai,
Bhai bana kar itna samman! aji maiN to aap ke bete ke baraabar hooN
janab.

> is baat ka javaab to hamaari azeeza, Tabassum, ne
> ba-khoobi de diya hai. un ka kehna hai ke "agar ghazal meiN mardoN ki
> ta'areef karne lageN to voh ghazal hi kya rahi --- voh to qaseedah ban
> gayee"! aur yahaaN, ba-qaul-e-Iqbal, yeh haal hai ke
>
> maiN ghazal-go hooN, qaseede to naheeN keh sakta
> kya karooN, lehja-e-darbaar kahaaN se laaooN???
Raj sahab, baat to waise aap aur tabassum sahiba ki bilkul sahi hai ki
ghazal mein mardoN ki tareef qaseedah bana degi.
lekin baat ALUP ki thi janab, ghazal ki nahiN.
waise aksar sha'eraat apne alfaaz mein zikr yooN bhi kar jati haiN.
bas yeh hoa keh us ne takalluf se baat kee
aur ham ne rote rote dopaTay bHigo da'e (Parveen Shakir)
woh chaand ban ke mere satH satH chalta raha
maiN uski hijr kee raatooN meiN kab akailee ho'ee (Parveen Shakir)
Baharhaal main is baat se poori tarah muttafiq hooN ki ghazal mein
sajti to khawateen hi haiN. Aur yoon bhi un ka zikr na hota to itni
maqbooliyat milti bhala ? *lol*

> phir bhi, maiN ne socha ke aap jaise 'mukhlis dost' ko kisi na kisi
> tarah to is ghazal meiN 'accommodate' karna hi chaahiye.
"mukhlis dost"! ab to allah khair kare pata nahin kaise accomodate
kareNge ?

> yaheeN Najma ne ki jalva-numaai
> qasam bhagvaan ki, kya gul-badan hai! LOL, balke ROTFL
*LOL* Shayad kahiN ek baar aur maiN zikr kar chuka hooN ki
"maiN ne socha tha. par itni door tak socha na tha" *LOL*
Lijiye Kishwar naheed ki ek ghazal suniye jo isi subject par hai:-)
--------------
Hasrat hai tujHe saamne beTHe kabHee daikHooN
maiN tujH se mukhatab hooN tirra Haal bHee poochooN
dil meiN hai mulaaqat kee khuwahish kee dabee Aag
mehndee lage hatHooN ko chupa kar kahaaN rakHooN
jis naam se too ne mujHe bachpan se pukaara
Ik umr guzarne peh bHee woh naam na bHoolooN
too ashk hee ban ke mirree AankHooN meiN sama ja
meiN Aaina dekHooN to tirra a'ks bHee dekHooN
poochooN kabHee ghunchoN se sitarooN se hawa se
tujh se he magar Aa ke tirra naam na poochooN
ae meree tammana ke sitare to kahaN hai
to aa'e to yeh jism shab-e-gham ko na soonpooN
-----
-Najam

na...@my-deja.com

unread,
Mar 14, 2000, 3:00:00 AM3/14/00
to

> vaise, aap ne yeh to bataaya hi naheeN ke aap ko baaqi ke gayaarah
> ash'aar kaise lage? ho sakta hai aap bhi, Najam Sahib ki tarah,
maayoos
> hooN (balke naaraaz hoN) ke maiN ne, is ghazal meiN, aap ka
> ism-e-shareef kiyooN naheeN barta! Is that true? :-))
>
> khair-aNdesh, Raj Kumar
>

Aji Raj sahab aap mind mat kijiye, maiN naraaz nahiN hooN ki aapne mera
naam include nahiN kiya. Woh to bas yooN hi thoda..... :-))

Khursheed Ahmed

unread,
Mar 14, 2000, 3:00:00 AM3/14/00
to
Mohtram Raj Saheb:

Aap ne jis khoobsoorat alfaz maiN ALUP ka naqsha kheNcha hai us ka jawaab
nahiN hai. Aap to ustaadoN ke ustaad haiN, aur aap ke fikr-o-fun ki
tareef karna suraj ko chiraaGh dikhaana hai. Lekin hazrat, aap ne
khawateen aur chand hazraat ko itni izzat di aur baqeeha mard llogoN ko
cheel kawwa bana diya!! Aap ka mizaah bhi qaabil-e-tareef hai.

Yaqeenan ALUP per likhi gayee donoN ghazloN ko ALUP/FAQ maiN shareek
karana chaahiye...

Shukriya,

Faqat,
Khursheed

> 9. yaheeN par haiN anaadil ke taraane
> yaheeN hangaama-e-zaagh-o-zaghan hai
>
> [anaadil = plural of andaleeb; hence, bulbuleiN;
> zaagh-o-zaghan = cheel-kauvve, kites and crows].
>

> kehne ka matlab yeh hai ke "is chaman meiN, har qism ke parinde apni

> apni boliyaaN bolne ka haq rakhte haiN". magar mujhe khadsha hai ke
> kuchh log yeh na samajh baiTheN ke --- is she'r ka pehla misra to

Vijay S. Bajwa

unread,
Mar 14, 2000, 3:00:00 AM3/14/00
to
rajkp...@my-deja.com wrote:
[ text deleted ]

> 10. yehi 'aihl-e-zabaaN' ka hai 'akhaaRa'
> yehi PunjaabiyoN ki 'anjuman' hai!!!
>

Yeh akhaaRa PunjabiyoN ka hona chahiye tha!

>
> 11. yaheeN Ghaalib ki naghma-khwaaniyaaN haiN
> yaheeN Iqbaal ka vird-e-sukhan hai!!!
>

Kirpa kar ke vird ke mani batayeiNge? Yeh "mast mast"
qawwali meiN bhi aata hai. Shukria!

> 12. yaheeN par tazkire fehm-o-zakaa ke
> yaheeN par Qais ka deevaana-pan hai!!!
>

Nice touch!

>
> khair-aNdesh, Raj Kumar


>
> Sent via Deja.com http://www.deja.com/
> Before you buy.

--
Vijay S. Bajwa
This message best viewed with a monitor and a computer
---------1---------2---------3---------4---------5---------6---------7---------8

vbajwa.vcf

has...@my-deja.com

unread,
Mar 14, 2000, 3:00:00 AM3/14/00
to

> vaise, aap ne yeh to bataaya hi naheeN ke aap ko baaqi ke gayaarah
> ash'aar kaise lage? ho sakta hai aap bhi, Najam Sahib ki tarah,
maayoos
> hooN (balke naaraaz hoN) ke maiN ne, is ghazal meiN, aap ka
> ism-e-shareef kiyooN naheeN barta! Is that true? :-))
>
> khair-aNdesh Raj Kum
________________________________________________________________________

mohtaram Raj sahab:

Adab,

ajii nahhiN sahab, maiN in badii-badii baatoN ke honay kay dauraan maiN
chhotii-chotii baatoN qat'ayii buraa manaanaa to dar-kinaar meraa
khyaal bhii iskii taraf nahiiN gayaa, balkii

aap nay yaad dilaayaa to mujhay yaad aayaa!

ab dekhiiye kis mushkil maiN paR gaye haiN aap. khair, chaliiye maiN
suljhaa deta huuN woh guthhii, haalaaNki 'MUSHKIL-KUSHA' ka laqab to
maiN nay aap ko diyaa huaa hai! YOU ARE OFF-the-HOOK!!

meraa maslak hai 'SULEH-KUL'! is lafz-e-'suleh' per mujhay Altaaf
Husain Haali ka yeh shay'r yaad aagaya!

.....suleh meiN hai chheR laRaaii kii!

ab to aap phir usii mushkil maiN phaNs gaye! khair, aap 'muqarrar' to
kaheiNge hii, lihaazaah maiN phir keh detaa huuN ki, YOU ARE OFF-the-
HOOK!!!

faqat khaaksaar,

Hashmat

rajkp...@my-deja.com

unread,
Mar 15, 2000, 3:00:00 AM3/15/00
to
In article <38CE8B78...@iscp.telcordia.com>,

"Vijay S. Bajwa" <vba...@iscp.telcordia.com> wrote:

> rajkp...@my-deja.com wrote:

> > 10. yehi 'aihl-e-zabaaN' ka hai 'akhaaRa'
> > yehi PunjaabiyoN ki 'anjuman' hai!!!
> >
>
> Yeh akhaaRa PunjabiyoN ka hona chahiye tha!

Vijay Sahib:

aap to baRe bhole nikle! janaab, yeh alfaaz jo 'inverted commas' meiN
Daale gaye haiN, in ka iste'maal deedah-daanistah hai! maiN ne, jaan-
boojh kar, 'aihl-e-zabaaN' ke liye 'akhaaRa' ka lafz barta hai aur
'saaDE-tuhaaDe' vaaste 'anjuman' ka. is 'shoshe' ki vajah bhi sun
leejiye:

Hindi meiN aek term hai 'Indra-sabha'; Urdu vaale use 'Indar ka
akhaaRa' kehte haiN. goya, 'akhaaRa' aihl-e-zabaaN ka lafz hai ---
agarche bolne aur sun'ne meiN zaraa akhkhaR sa hai! is liye, maiN ne
ise pehle misre meiN jaR diya.

ba-khilaaf is ke, 'anjuman' baRaa shusta (ya'ani-ke, dhula-dhulaaya)
lafz hai; maiN ne ise doosre misre meiN lagaa diya.......is liye ke,
aek to baRaa khoobsoorat qaafiya mil gayaa (aur doosre yeh ke Punjaabi
log, agarche aihl-e-zabaaN naheeN haiN, magar Urdu-daan to ho sakte
haiN)!

In short, it was a bit of a teaser!

> > 11. yaheeN Ghaalib ki naghma-khwaaniyaaN haiN
> > yaheeN Iqbaal ka vird-e-sukhan hai!!!
> >
>
> Kirpa kar ke vird ke mani batayeiNge? Yeh "mast mast"
> qawwali meiN bhi aata hai. Shukria!

vird = recitation, especially a repetitive one......
jaise kisi aayat ko, ya kisi shalok ya mantra ko, log baar-baar paRhte
haiN; aise "style of recitation" ko 'vird' kehte haiN. sanad ke taur
par do misaaleN haazir haiN.

Maulana Haali, apni nazm 'mehnat ki barkateN' meiN farmaate haiN ke
agar aihl-e-yaqeeN ne mehnat na ki hoti to

sitaara shari'at ka taabaaN na hota
masaajid meiN yooN vird-e-Qur'aaN na hota

aur Munshi Tilok Chand MehrooM, Swaami Daya Nand par tabsara karte
huye, farmaate haiN ke

vird-e-zabaaN richaayeN raheeN Ved-paak ki
lab par sadaa du'aayeN raheeN Ved-paak ki

> > 12. yaheeN par tazkire fehm-o-zakaa ke
> > yaheeN par Qais ka deevaana-pan hai!!!
> >
>
> Nice touch!

Thanks!

khair-aNdesh, Raj Kumar

rajkp...@my-deja.com

unread,
Mar 15, 2000, 3:00:00 AM3/15/00
to
In article <Pine.HPX.4.21.0003132220210.5042-
100...@fhs.csu.McMaster.CA>,

Khursheed Ahmed <ah...@fhs.csu.McMaster.CA> wrote:
> Mohtram Raj Saheb:
>

> Aap ne jin khoobsoorat alfaz maiN ALUP ka naqsha kheNcha hai us ka
> jawaab
> nahiN hai. Aap to ustaadoN ke ustaad haiN, aur aap ke fikr-o-fan ki


> tareef karna suraj ko chiraaGh dikhaana hai. Lekin hazrat, aap ne

> khawateen aur chand hazraat ko itni izzat di aur baqeeha mard logoN ko


> cheel kawwa bana diya!! Aap ka mizaah bhi qaabil-e-tareef hai.

Khursheed Sahib:

Thanks for your kind words.......
magar, huzoor, yeh 'zaagh-o-zaghan' vaali baat to sirf is liye kahi thi
ke "ALUP par masaavaat (= equality) ka raaj hai. is liye, yahaaN par
har qism ke parindoN ko apni apni boliyaaN bolne ka haq haasil hai". ab
yeh aur baat hai ke aihl-e-duniya bulbuloN ka chehchahaana to be-had
pasand karte haiN magar kauvvoN ki kaayeN-kaayeN se bezaar hote haiN!
phir bhi, har aek ko apni apni haaNkne ka mauqa to milta hai!

vaise, is tarkeeb ka aek bahut baraa faa'ida to yeh hua ke mujhe aek
mauzooN qaafiya mil gayaa. doosre, 'anaadil' ke saath 'adabi muqaabila'
bhi ho gayaa. :-))

Just for the record, mujhe is bandish ka khayaal Mirza Sauda ki
mash'hoor nazm 'mukhammis shaihr-aashob' se aaya tha. us nazm meiN,
Dilli ki veeraani ka naqshaa khaiNchte huye, aek jagah farmaate haiN:

machi hai zaagh-o-zaghan se ab is chaman meiN dhoom
guloN ke saath jahaaN bulbuleiN kareN theeN kalol
[kalol karna = to play, to have fun and frolic].

> Yaqeenan ALUP per likhi gayee donoN ghazloN ko ALUP/FAQ maiN shareek
> karana chaahiye...

I don't know if you'll really do so, but if you do please make two
corrections in my ghazal.

1. Abdul Muhammad ---> Aarif Muhammad

2. jahaaN maiN ne likha hai --- "yaheeN Naaheed si ghuncha-dahan hai",
vahaan
ghuncha-dahan ---> sheereeN-dahan, which would be more appropriate in
the context of ALUP.

achhchha, to ab ijaazat deejiye.

khair-aNdesh, Raj Kumar

P.S. haaN, aur voh supplemetary she'r, jo maiN ne 'Najma bhabhi' ke
liye kahaa tha, use fil-haal is ghazal se baahar hi rehne deejiye
ga! :-))

san...@my-deja.com

unread,
Mar 16, 2000, 3:00:00 AM3/16/00
to aka...@skypoint.com
mohtaram Lonely sahab I mean akailvi sahab

God knows I am hoping I am reading it correctly :-))

mashaallah , subhaan allah , bohat khoob , aap ki ghazal ne to hamare
alup ke liye taraane ka saa kaam kiyaa hai , aur yeh aap , hamare group
pe post kiyooN nahiN karte :-(( aap jese "gohar " jin ke jab khulte
haiN "gohar" to ban jate haiN " " I ran out of qafiye :-(( sorry


LOL

hai koi jo iss khali jaghaa to pur kare ??

dosto , bhaiyo , behno ???

aik daavat e aam hai :-))

all jokes aside ,

aap ki ghazal nihayat umda thee aur maiN ummeed karti hooN ke aap
aaindah bhi apna kalaam alup maiN post karte rahaiN ge .

khair andaish

Sana


In article <38C48BFD...@skypoint.com>,
Syed Ghazi Akailvi <aka...@skypoint.com> wrote:
>
> Khawateen o Hazraat,


>
> I have not posted to ALUP much before; however, I have really enjoyed

> visiting ALUP for a while. I have noticed that some recent

> conversations on the group, regarding Irfan Sahib's posts, have been a

> little harsher than the group's norm. As I was thinking about these

> things, I ended up writing a few lines of poetry about what ALUP is
and

> what it means to us. I hope you would enjoy the following. Your

> comments and/or corrections are welcome. Urz kiya hai:
>

> ALUP KIYA HAI?


>
> ALUP ek mehfil-e-sher o sukhan hai

> Ye Internet pe Urdu ka watan hai
>

> Parastaaran-e-Urdu phool ban ker


> Mahektay hain jahan ye woh chaman hai
>

> Yahan akhlaaq ki farman-ravi hai

> Yahan narmi ke sikke ka chalan hai
>

> Yahan shaestagi hai Lukh-nau ki

> Yahan arz-e-Deccan ka baankpan hai
>

> Kabhi aa ker yahan bai-tho tho Ghazi

> Yahan din raat dars-e-ilm-o-fun hai
>

> With best wishes to all,
>

> Ghazi Akailvi

san...@my-deja.com

unread,
Mar 16, 2000, 3:00:00 AM3/16/00
to
mohtaram RajKumar Sahab

aadaab

maazrat chahti hooN ke aap ki iss qadar besh bahaa ghazal yaa "
qadeedah e alup " yaa " tarana e alup " pe meri nigah , itni taakheer
se paRi . lekin jab paRi to be ikhtiyaar ash ash kar uththi ,(yeh urdu
ka lafz hai ,enlish ka nahiN ) bohat khoobsoorat aur mutarannam kalaam
hai , daad to deni hi paRe gi , khaas tor pe voh cheel kavvoN valaa
shair to qabil e inaam hai , agar maiN kahiN ki malkaa hoti to aap ko
talaai asharfiyoN maiN tulvaa deti

hazrat nooh ki kashti ki yaad dilaa di aap ne to , jahaN tamaam janvar
apni apni boliyaaN bol rahe the :-))

magar chooN ke aisaa kuch nahiN hai iss liye sirf khali khooli daad se
hi kaam chalaana paRe gaa , vese aap duaa kijiye , ho sakta hai ,
khudaa mehrbaan ho aur ham bhi kisi qabil ho hi jaeN :-))

ghazal be had khoobsoorat hai , aur tamaam badishaiN bhi haseen , aik
baat batana chahooN gi , I am prettu sure that you are aware of it ,
go ke chotaa moonh aur baRi baat hai , magar chooN ke informational hai
iss liye post kar rahi hooN ke alup ke tamaam sathi iss se istifaadah
kar sakaiN :


3. yahaaN koi naheeN 'Abdul Muhammad'
> na koi 'Ram Singh' na 'Ram Dhan' hai!


iss shair maiN jo aap ne istilaah istimaal ki hai , " abdul muhammad "
go ke yeh bohat jach rahi hai ,aur munasib bhi hai lekin yeh kehna
chahooN gi ke

yeh asoolan durust nahiN hai , aur uss ki vajhaa yeh hai ke , abdul ka
matlab hai" bandah" aur bandah voh hota hai jo bandagi kare , yani ke
ibaadat kare .

aap iss istalaah ko jab bhi daikhaiN ge , hamaisha khudaa ta'aalaa ke
naam ke saath daikhaiN ge , kabhi kisi insaan ke naam ke saath nahiN
daikhaiN ge , reason being , we muslim believe in ke sirf khudaa hi
bandagi ke laaiq hai , iss liye you would never see it as " abdul
mohammad "(as long as the person who is naming , is aware of it ) but
you will very often see it as " abdul qadir " aur " abdullah " or any
of the 99 names , jo allah ta'aala ke sifaati naam haiN , jese "
rehmaan " " raheem " razzaq " vaghairaa .

yahaaN maiN yeh bhi bayaan karnaa chahooN gi ke agar kisi khatooN ka
yeh naam ho tu us ke liye " amtul " ka lafz istimaal ho gaa aur aur ka
matlab hoga " bandi " ibaadat karne vali

ab aage chalte haiN

arbi zabaaN maiN iss lafz ke maa'aani yaani " abad " ke maani aik
servant,or devotee , ke bhi haiN , aap ne ghaliban yahaaN yeh lafz usi
maanoN maiN istimaal kiyaa hai.

vese to allah jane log kese kese naam rakh lete haiN :-)) , kuch logoN
ka naam mehboob bhi hotaa hai , hamare apne college main hamre lab
assistance ka naam " mehboob " thaa , ab zahir hai ke ham unhaiN
mehboob bhai keh kar pukaarte the , aik din meri saheli ne mujh se "
intahaaee shareer " sargoshi maiN kahaa , are vah mehboob bhi keh
rahi ho aur bhai bhi :-)))

isi tarhaa namoN ki baat pe aik misaal yaad aa gaee

paRhe na likhkhe , naam mohammad fazil :-))

ab isi baat pe aik latifaa yaad aa gayaa , :-))

bohat dinoN se chup thi naa , ab saari kasar poori kar rahi hooN :-))

mullah naseer uddin , kisi gaaoN se guzar rahe the , aik shakhs ne un
ko rok kar kahaa , are bhaai , zaraa yeh khat to paRh dainaa , mulaah
naseer ud din intahee thake hooe the , to taalne ke liye keh diya bhaai
mujhe paRhnaa nahiN aataa , uss shakhs ne be yaqeeni se un ki taraf
daikha aur tanziyaa andaaz maiN un ki pagRi ki taraf ishaaraa kiyaa aur
kahaa itnaa baRa paggaR sar pe rakhkhaa hooaa hai aur paRhna nahiN
aataa

mulaah naseer uddin ne apna paggaR utaar ke uss ke sar par rakhte hooe
kahaa " achhchha bhai agar pagRi pehen'ne se paRhnaa aataa hai , to tum
khud paRh lo "


:-))

ab aik aur lateefa yaad aa gaya :-)

aik shakhs ke haaN bachche ki vilaadat hooee , uss ne apne aik dost se
poochaa , batao bachche kaa kiyaa naam rakhkhooN , uss ne poochaa dosre
bachchoN ke kiyaa naam haiN

voh bolaa " muqtadar allah , akbar allah , gohar allah ....... "

abhi voh bataa hi raha thaa ke uss kaa dost bol uthaa

" bas kar allah " rakh do , intahaaee munaasib rahe gaa

achhchha ab ijaazat dijiye

khair andaish

Sana


In article <8aggj9$6ck$1...@nnrp1.deja.com>,


rajkp...@my-deja.com wrote:
> In article <8ad3ra$da$1...@nnrp1.deja.com>,
> na...@my-deja.com wrote:
>
> > Are ghazi sahab aap ne to bahut hi dhunwa-dhaar entry mari hai
> > janab :-
> > )) wah wah maza aa gaya. Kya sahi akkasi ki hai aap ne ALUP ki. Raj
> > sahab sun rahe hain na ..... abhi tak to ALUP par URDU ki bateN hoti
> > thiN ab ALUP par ALUP ki bhi bateN hoNgi :-))
>
> sun rahaa hooN, Najam Sahib, sun rahaa hooN. ab aap tavaqqo' rakhte
> haiN ke khaaksaar bhi isi zameen meiN kuchh kahe. Isn't it?
> to, leejiye huzoor, Ghaazi Sahib ki taqleed meiN, mehfil-e-ALUP par
> mere mushaahidaat (= observations) bhi sun leejiye. arz hai:
>
> 1. ba-zaahir mehfil-e-she'r-o-sukhan hai
> haqeeqat meiN ALUP apna vatan hai!
>
> 2. haiN is ke paasbaaN Khursheed Sahib
> khizaaoN se mubarra yeh chaman hai!
> (= free of autumns)
>

> 3. yahaaN koi naheeN 'Abdul Muhammad'
> na koi 'Ram Singh' na 'Ram Dhan' hai!
>

> 4. yahaaN ma'adoom hai jinsi tafaavat
> (non-existent) (sexual discrimination)
> yahaaN shaana-ba-shaana mard-o-zan hai
>

> 5. yahaaN par muskuraati hai Tabassum
> yaheeN par Aabida bhi khanda-zan hai
>
> 6. chhalakte haiN yaheeN saaghar Sanaa ke
> yaheeN par Aayesha mast-e-sukhan hai
>
> 7. yaheeN se Chaandni nikli thi ik din

> yaheeN Naaheed si ghuncha-dahan hai
>

> 8. yaheeN Neeta ne ki mo'jiz-nigaari
> khudaa rakhkhe, adab se kya lagan hai!
>

> 9. yaheeN par haiN anaadil ke taraane
> yaheeN hangaama-e-zaagh-o-zaghan hai
>
> [anaadil = plural of andaleeb; hence, bulbuleiN;
> zaagh-o-zaghan = cheel-kauvve, kites and crows].
>
> kehne ka matlab yeh hai ke "is chaman meiN, har qism ke parinde apni
> apni boliyaaN bolne ka haq rakhte haiN". magar mujhe khadsha hai ke
> kuchh log yeh na samajh baiTheN ke --- is she'r ka pehla misra to
> khwaateen ke liye hai aur doosra mard hazraat ke liye! ROTFL
>

> agle ash'aar meiN, ishaara is baat ki taraf hai ke, jahaaN Ghaazi
Sahib
> ne Lakhnau aur Dakan ka zikr baRe chaao se kiya hai, vahaaN 'hamaare
> ilaaqe' ka naam tak naheeN liya! is 'naa-insaafi' ko madd-e-nazar
> rakhte hue, khaaksaar ka kehna hai:
>

> 10. yehi 'aihl-e-zabaaN' ka hai 'akhaaRa'
> yehi PunjaabiyoN ki 'anjuman' hai!!!
>

> 11. yaheeN Ghaalib ki naghma-khwaaniyaaN haiN
> yaheeN Iqbaal ka vird-e-sukhan hai!!!
>

> 12. yaheeN par tazkire fehm-o-zakaa ke
> yaheeN par Qais ka deevaana-pan hai!!!
>

> khair-aNdesh, Raj Kumar

Vijay S. Bajwa

unread,
Mar 16, 2000, 3:00:00 AM3/16/00
to
rajkp...@my-deja.com wrote:

>
> I don't know if you'll really do so, but if you do please make two
> corrections in my ghazal.
>
> 1. Abdul Muhammad ---> Aarif Muhammad

I know Hashmat Sahib had explained why Abdul Muhammad is not
a real name (most of which went above my head), but isn't it a
fact that the famous (or infamous) black muslim leader in the US
is named Khalid Abdul Muhammad?

vbajwa.vcf

san...@my-deja.com

unread,
Mar 16, 2000, 3:00:00 AM3/16/00
to
bohat naik khayaal hai aap ka amit sahab

aur buzurg kehte haiN

naik kaam maiN dair kesi ???

aap zaroor shroo kijiye alup ki website , I am sure it will be a huge
success .

Sana

In article <DhUy4.349$Fk3....@weber.videotron.net>,
"Amit Malhotra" <in...@zonecom.com> wrote:
> Kya baat hai!!!


>
> itnii behtariin ghazal aap ne likh dii Ghazi saahib, aur phir Raj
Kumar

> Sahib ne bhii kyaa baat kahii!! Khursheed Sahib, lagtaa hai aapko ye
donoN

> ghazleiN ab apne "Monthly Reminder" ke saath saath 'attach' kar ke
bhejnii

> paRegii!


> maiN to soch rahaa huN ke ALUP kii ek website banaa hii duN...
archives ke
> saath!!
>
> kyaa khayaal hai aap sab logoN kaa?
>

> Sincerely,
> Amit Malhotra
>
> Syed Ghazi Akailvi <aka...@skypoint.com> wrote in message
> news:38C48BFD...@skypoint.com...


> >
> > Khawateen o Hazraat,
> >
> > I have not posted to ALUP much before; however, I have really
enjoyed
> > visiting ALUP for a while. I have noticed that some recent
> > conversations on the group, regarding Irfan Sahib's posts, have
been a
> > little harsher than the group's norm. As I was thinking about these
> > things, I ended up writing a few lines of poetry about what ALUP is
and
> > what it means to us. I hope you would enjoy the following. Your
> > comments and/or corrections are welcome. Urz kiya hai:
> >
> > ALUP KIYA HAI?
> >
> > ALUP ek mehfil-e-sher o sukhan hai
> > Ye Internet pe Urdu ka watan hai
> >
> > Parastaaran-e-Urdu phool ban ker
> > Mahektay hain jahan ye woh chaman hai
> >
> > Yahan akhlaaq ki farman-ravi hai
> > Yahan narmi ke sikke ka chalan hai
> >
> > Yahan shaestagi hai Lukh-nau ki
> > Yahan arz-e-Deccan ka baankpan hai
> >
> > Kabhi aa ker yahan bai-tho tho Ghazi
> > Yahan din raat dars-e-ilm-o-fun hai
> >
> > With best wishes to all,
> >
> > Ghazi Akailvi
> >
>
>

rajkp...@my-deja.com

unread,
Mar 17, 2000, 3:00:00 AM3/17/00
to

In article <8aqkqi$fij$1...@nnrp1.deja.com>,
san...@my-deja.com wrote:

> aap jese "gohar " jin ke jab khulte
> haiN "gohar" to ban jate haiN " " I ran out of qafiye :-(( sorry
>
> LOL
>

> hai koi jo is khaali jaghaa to pur kare ??


>
> dosto , bhaiyo , behno ???
>
> aik daavat e aam hai :-))

Namashkaar, Sanaa ji.

aap ka prem-poorvak patt'r paRh kar hameN haardik parsannata hui! :-))

magar kya kareN? ham na to aap ke bhaai haiN aur na hi aap ki behn.
baaqi rahaa 'dosti ka rishta', to aek she'r aap ki shaan meiN arz hai:

dostoN ke lutf-e-be-had ne kahaaN pahuNchaa diyaa!
koi lafz-e-dost kehta hai to gabhraata hooN maiN!!!!!!!!!!!!!

khair, chhoRiye in baareekiyoN ko aur aaiye haqeeqi duniya ki taraf.

kya kahaa aap ne?

"aap jaise gauhar,
jin ke jab khulte haiN jauhar, to ban jaate haiN ------- "?

The answer is --- shauhar!

ab laaiye hamaara in'aam!

khair-aNdesh, Raj Kumar

A Cassam

unread,
Mar 17, 2000, 3:00:00 AM3/17/00
to
Aadaab moh'ziz bhaiyoN, behnoN aur aziz dostoN :-)

wah wah! kya kehna is rang-e-mehfil-e-Alup ka.

Aek taraf Hashmat 'bhaijaan' ki mushkil mushkil lafzoN se bharpoor
postings, to doosri taraf Sana Sahiba aur Raaj Kumar Saheb donoN ke
maze'daar kalaam aur aapas ki chheR chhaaR :-))

Phir Ayesha Ji ke kalaam aur un par Raaj Kumar Saheb ke 'prompt
constructive comments'. Aur Ghazi Saheb ka ALUP par ALUP ke baare meiN
kalaam!

aap tamaam anaadil, bulbuloN, zaagh-o-zaghan, cheel kawwe waghera
waghera ka bahut bahut shukriya. Aap sab ke dam se hi to ye rangeen
mehfil aabaad hai . ham jaise tifl-e-maktab/mubtadi/nau-mashq ki tafreeh
ke liye itne dheR saare samaan!!!!!!!!!!!!!!!

LOL!!!

Cheers!!

A Cassam

unread,
Mar 17, 2000, 3:00:00 AM3/17/00
to
Aadaab moh'ziz bhaiyoN, behnoN aur aziz dostoN :-)

wah wah! kya kehna is rang-e-mehfil-e-Alup ka.

Aek taraf Hashmat 'bhaijaan' ki mushkil mushkil lafzoN se bharpoor
postings, to doosri taraf Sana Sahiba aur Raaj Kumar Saheb donoN ke
maze'daar kalaam aur aapas ki chheR chhaaR :-))

Phir Ayesha Ji ke kalaam aur un par Raaj Kumar Saheb ke 'prompt
constructive comments'. Aur Ghazi Saheb ka ALUP par ALUP ke baare meiN
kalaam!

aap sab sab anaadil, bulbuloN, zaagh-o-zaghan, cheel kawwe waghera


waghera ka bahut bahut shukriya. Aap sab ke dam se hi to ye rangeen
mehfil aabaad hai . ham jaise tifl-e-maktab/mubtadi/nau-mashq ki tafreeh
ke liye itne dheR saare samaan!

LOL!!!

Cheers!!

Abida Sultana

A Cassam

unread,
Mar 17, 2000, 3:00:00 AM3/17/00
to
Aadaab moh'ziz bhaiyoN, behnoN aur aziz dostoN :-)

wah wah! kya kehna is rang-e-mehfil-e-Alup ka.

Aek taraf Hashmat 'bhaijaan' ki mushkil mushkil lafzoN se bharpoor
postings, to doosri taraf Sana Sahiba aur Raaj Kumar Saheb donoN ke
maze'daar kalaam aur aapas ki chheR chhaaR :-))

Phir Ayesha Ji ke kalaam aur un par Raaj Kumar Saheb ke 'prompt
constructive comments'. Aur Ghazi Saheb ka ALUP par ALUP ke baare meiN
kalaam!

aap tamaam anaadil, bulbuloN, zaagh-o-zaghan, cheel kawwoN waghera


waghera ka bahut bahut shukriya. Aap sab ke dam se hi to ye rangeen
mehfil aabaad hai . ham jaise tifl-e-maktab/mubtadi/nau-mashq ki tafreeh

ke liye itne dheR saare samaan!!!!!!!!!!!!!!!

LOL!!!

Cheers!!

A Cassam

unread,
Mar 17, 2000, 3:00:00 AM3/17/00
to
Aadaab moh'ziz bhaiyoN, behnoN aur aziz dostoN :-)

wah wah! kya kehna is rang-e-mehfil-e-Alup ka.

Aek taraf Hashmat 'bhaijaan' ki mushkil mushkil lafzoN se bharpoor
postings, to doosri taraf Sana Sahiba aur Raaj Kumar Saheb donoN ke
maze'daar kalaam aur aapas ki chheR chhaaR :-))

Phir Ayesha Ji ke kalaam aur un par Raaj Kumar Saheb ke 'prompt
constructive comments'. Aur Ghazi Saheb ka ALUP par ALUP ke baare meiN
kalaam!

aap tamaam anaadil, bulbuloN, zaagh-o-zaghan, cheel kawwoN waghera
waghera ka bahut bahut shukriya. Aap sab ke dam se hi to ye rangeen
mehfil aabaad hai . ham jaise tifl-e-maktab/mubtadi/nau-mashq ki tafreeh
ke liye itne dheR saare samaan!!!!!!!!!!!!!!!

LOL!!!

Cheers!!

Abida Sultana

rajkp...@my-deja.com

unread,
Mar 18, 2000, 3:00:00 AM3/18/00
to

In article <8aqn2l$h5a$1...@nnrp1.deja.com>,
san...@my-deja.com wrote:

> mohtaram RajKumar Sahab
>
> aadaab
>
> maazrat chahti hooN ke aap ki is qadar besh bahaa ghazal yaa "


> qadeedah e alup " yaa " tarana e alup " pe meri nigah , itni taakheer
> se paRi . lekin jab paRi to be ikhtiyaar ash ash kar uththi ,(yeh urdu

> ka lafz hai ,english ka nahiN ) bohat khoobsoorat aur mutarannam


> kalaam
> hai , daad to deni hi paRe gi , khaas tor pe voh cheel kavvoN valaa

> shair to qabil e inaam hai. agar maiN kahiN ki malikaa hoti to aap ko
> tilaai asharfiyoN maiN tulvaa deti!

kya kahaa? ----- agar aap kaheeN ki malika hoteeN to hameN tilaa'i
ashrafiyoN meiN tulvaa deteeN? baat to mazedaar hai, Sanaa ji, magar
aap jaanti hi hoN gi ke aisi hi baat par Faarsi ke mash'hoor shaa'ir
Firdausi ka kya hashr hua tha! haakim-e-vaqt ne Shaah-naama likhne ko
kahaa, is va'ade par ke aek aek she'r par aek sone ki ashrafi mile gi.
jab Shaah-naama mukammil hua to, ahrafiyoN ki bajaaye, aam sikke pesh
karne lage. Firdausi ka to, jaise, dil hi TooT gayaa!

is kahaani ke madd-e-nazar, achhchha hi hua ke aap kaheeN ki malika
naheeN haiN, varna aaj hamaara bhi vuhi haal hota! :-((

vaise, ghaur se dekha jaaye to aap, agarche kisi mumlikat ki malika
naheeN hai magar, kuchh ALUPers ke diloN ki malika to haiN hi! :-))
magar vaazeh rahe ke khaaksaar us 'zumre' meiN naheeN hai! LOL

> ghazal be had khoobsoorat hai , aur tamaam badishaiN bhi haseen , aik

> baat bataana chahooN gi , I am pretty sure that you are aware of it.

> 3. yahaaN koi naheeN 'Abdul Muhammad'
> > na koi 'Ram Singh' na 'Ram Dhan' hai!
>

> is shair maiN jo aap ne istilaah istimaal ki hai , " abdul muhammad "
> go ke yeh bohat jach rahi hai ,aur munaasib bhi hai lekin yeh kehna
> chahooN gi ke
> yeh asoolan durust nahiN hai.

maiN is baat se vaaqif naheeN tha. maiN ne to yeh naam khud hi ghaRaa
tha --- as an equivalent of Ram Das (jo ke HinduoN meiN aam iste'maal
hota hai). magar, aap ki post se pehle hi, yeh baat Hashmat Sahib ne
vaazeh kar di thi aur maiN ne yeh naam 'Aarif Muhammad' se badal diya
tha.

> vese to allah jane log kese kese naam rakh lete haiN :-)) , kuch logoN
> ka naam mehboob bhi hotaa hai , hamare apne college main hamre lab
> assistance ka naam " mehboob " thaa , ab zahir hai ke ham unhaiN
> mehboob bhai keh kar pukaarte the , aik din meri saheli ne mujh se "

> intahaaee shareer " sargoshi maiN kahaa , are vah! mehboob bhi keh


> rahi ho aur bhai bhi :-)))

aap ko shaa'id pataa ho ya na ho, magar Urdu nasr meiN aek saahib huye
haiN jin ka naam tha 'aashiq hussain baTaalavi'! shukr keejiye ke voh
aap ke lab asssistant na huye, varna kaise bulaateeN unheiN aap? -----
"aashiq bhai! hamaari stop watch naheeN chal rahi" LOL

vaise, koi samajh-daar paas khaRaa ho to aap se poochhe ke
"Sanaa ji, jis cheez ka naam hi 'stop watch' hai voh bhalaa chale gi hi
kiyooN"? ROTFL


> isi tarhaa namoN ki baat pe aik misaal yaad aa gaee
>
> paRhe na likhkhe , naam mohammad fazil :-))

aur hamaae haaN kehte the

paRhe na likhkhe, naam Vidya Saagar!

> ab isi baat pe aik latifaa yaad aa gayaa , :-))
>
> bohat dinoN se chup thi naa , ab saari kasar poori kar rahi hooN :-))
>
> mullah naseer uddin , kisi gaaoN se guzar rahe the , aik shakhs ne un
> ko rok kar kahaa , are bhaai , zaraa yeh khat to paRh dainaa , mulaah
> naseer ud din intahee thake hooe the , to taalne ke liye keh diya
> bhaai
> mujhe paRhnaa nahiN aataa , uss shakhs ne be yaqeeni se un ki taraf
> daikha aur tanziyaa andaaz maiN un ki pagRi ki taraf ishaaraa kiyaa
> aur
> kahaa itnaa baRa paggaR sar pe rakhkhaa hooaa hai aur paRhna nahiN
> aataa
>
> mulaah naseer uddin ne apna paggaR utaar ke uss ke sar par rakhte hooe
> kahaa " achhchha bhai agar pagRi pehen'ne se paRhnaa aataa hai , to
> tum
> khud paRh lo "

bahut khoob lateefa hai, shukriya!

dekhiye, aaj to aap ne ALUP par 'jaam pe jaam' lunDhaa diye. goya, maiN
ne jo misra' aap ki khaatir kahaa tha

chhalakte haiN yaheeN saaghar Sanaa ke

aap ne us misre ki aabroo rakh li!!!

bahut bahut du'aaoN ke saath,
aap ka Sanaa-khwaaN :-))

has...@my-deja.com

unread,
Mar 19, 2000, 3:00:00 AM3/19/00
to

> is kahaani ke madd-e-nazar, achhchha hi hua ke aap kaheeN ki malika
> naheeN haiN, varna aaj hamaara bhi vuhi haal hota! :-((
________________________________________________________________________

mohtaram Raj sahab aur mohtaramah Sana Ali saheba:

Raj sahab sahiih keh rahe haiN! kyuuNki maiN aap ki tavajjeh is
haqiiqat kii taraf gHaseetna (markuuz) chaahtaa huuN jiss se iski IRONY
aur bhii gambheer hojaatii hai!

Firdausii ko jab dili sadmah pahoNchaa aur bahot gHosse meiN aaye to
puura ka puraa 'diivaan' hii ba-muqaabil 'SHAH-NAAMAH' likh daalaa
jisko ba-alfaaz-e-digar 'HIJW' ke naam se jaanaa jaataa hai aur jis
meiN JI-BHAR ke 'la'an-Ta'an' kii thii us ShehNshaah kii!!!

I'm sure Sana Ali saheba would NOT have done that and you, RAJ SAHAB,
just got a REPRIEVE!!! Wasn't that INTERESTING!

faqat khaaksaar

Hashmat

san...@my-deja.com

unread,
Mar 20, 2000, 3:00:00 AM3/20/00
to
aadaab everyone

and special aadaab to hashmat sahab and rajkumar sahab

jahaaN tak mujhe ilm hai , iss firdousi vale qisse kaa .

to uss kaa anjaam yeh huaa thaa , ke jab baadshaah ko pataa chalaa ke
firdosi ko sone ki asharfiyaaN matloob theeN ,chandi ki nahiN , to uss
ne kahaa , chalo , yeh konsi baRi baat hai , ab chahe uss ne hijv ,
likh bhi daali hai , magar ham to baadshaha haiN , hamaraa kaam to
navazna hai , ( halaaN ke navazne vali zaat to sirf khudaa ki hai ) ,
to chalo sone ki hi bhijvaado , magar jab voh asharfiyaaN bhijvaee
gaeeN to aik taraf se voh asharfiyaaN pohnceeN aur doosri taraf se
firdousi ka janaza niklaa .

kiss qadar ajeeb dastoor hai iss duniyaa kaa

jeete ji shairoN ko , poocha nahiN jataa , aur bechaare jab ,iss
duniyaa se chale jate haiN to un ke naam ka dankaa bajtaa hai .

faraaz ne kiyaa khoob kahaa hai :

uss ke qadmoN maiN barsaiN ge nasloN ki tehseen ke phool
shair iss se qabl magar ghalib ki tarhaa marhoom to ho

khair andaish

Sana

In article <8b3g4u$2sr$1...@nnrp1.deja.com>,

0 new messages