On Wednesday, April 3, 2013 4:32:44 AM UTC-7,
vij...@gmail.com wrote:
> On Wednesday, 3 April 2013 01:43:47 UTC+1,
rpat...@yahoo.com wrote:
>
> > janaab-e-Vijay saahib ki mahabbat-aamez farmaa'ish par, maiN apni aek nayee Ghazal aap sabhi dostoN ki nazr kar rahaa hooN ---
>
>
>
> Raj sahib:
>
>
>
> meri guzaarish qubuul karne pe aap ka bohat shukriia. aur kyaa hii Khuubsoorat ghazal sunaaii hai aap ne.
*** aek ne kahii, duusre ne maanii
dono jaano brahm-gyaanii! :) ***
> Jaisa ki Anil sahib ne farmaya, radiif bohat Khuub lia hai aap ne. radiif laNba ho to sha'ir ko shayad mushkil pesh aati ho chuuN' ki she'r kaa kaafi baRaa hissa to radiif hii meN jazb ho jaata hai. baaqi ke she'r men nisbatan kamtar jagah bachtii hai izhaar-e-taKhayyul ke liie. iske do nataai'j hote haiN; ya to sha'ir behr ko laNba le letaa hai, ya asha'r kii ginatii kam ho jaati hai. is kii aik misaal, jis se merii baat wazeh hotii hai, Ustaad daaG kii voh dil paziir ghazal hai, jiska radiif hai: 'yeh kahaani phir sahii'. is ka behr bhii nisbatan kaafi laNbaa hai aur is ke asha'ar bhii taqriiban tiin-chaar hii haiN. (yeh ain mumkin hai ki asha'ar kaa shumaar ziaadah ho aur is kaa mujhe ilm na ho).
***huzoor, aap ne is radeef ki vus'at aur is baihr ki diqqit par jo ta'assuraat ataa farmaaye haiN, voh sar-aa-sar bajaa haiN. baa-vujood is ke, agar maiN ko'ii 10-12 ash'aar keh paaya hooN to us ki vajah kisi had tak "qaafiye ki faraaGhat" hai! aap agar Ghaur kareN to yahaaN qaafiye dhaRaa-dhaR namuudaar ho rahe haiN, albatta un qaafiyoN ke saath aek rachtaa-bastaa pehla misr'a ghaRnaa be-had mushkil hai!***
maqaam-e-shukr hai k, in haalaat meiN, meri yeh kaavish kisii had tak to kaar-gar rahii! :) ***
> aap ne radiif bhii laNbaa liia hai, behr bhii nisbatan chhoTaa hii raKKha hai aur she'r bhii 13 keh Daale haiN! mere nazdiik to aap ghazal paRhne se pehle hii mubaarakbaad ke haqdaar hai:-)
***shukriya, saahib! ***
> ghazal pe jaane se pehle aik baat aur. Ghulaam Ali ne aik baz'm meN kaha thaa (ki mazaa to jab hai) ki ghazal gaane meN mushkil ho lekin sunane meN lage na! aap kii ghazaleN bhii kucch aisii hii hotii haiN. jasie yeh ghazal, dekhne meN aasaan lgtii hai lekin haqiiqat yeh hai ki ham jaisoN ko is kaa aik she'r kehne meN bhii shayad zamaane lag jaaeN. aur aap ne DhaRaa DhaR 13 she'r keh Daale. bohat Khuub!
***aap naagaah dil chhoTa kar rahe haiN, Vijay saahib. mera to yeh Khayaal hai k agar aap bhi jii-jaan se koshish kareN to is zameen meiN aek achchhi-Khaassi Ghazal keh sakte haiN. zaraa koshish to keejiye, huzoor! :) ***
>
> > 2. DhuuNDtaa kaun hai, yeh to ma’aluum hai
> > laa-pata kaun hai, kuchh pata to chale!
> bohat Khuub. wah wah!
***daad ke liye mamnoon hooN, saahib! ***
>
> > 3. ik taraf aap haiN, ik taraf aa’ina
> > dekhtaa kaun hai, kuchh pata to chale! ;)
>
> Anil sahib ne ALUP pe aik laRii shuruu kii thii, aa'ina ke mauzuu pe. mujhe laga thaa ki is unwaan pe jitne bhii asha'r kahe jaa sakte haiN, voh keh diie gae haiN. lekin aap ne aik aur Khuubsuurat nazriia nikaala hai. bohat Khuub!
*** mere is nazriye ko savikaar karne ke liye aap ka baar-am-baar dhanya-vaad, Vijay saahib! is zimn meiN, maiN ne Anil saahib ko aisa hi aek aur she'r bhi sunaaya hai; albatta, ab aap ki Khidmat meiN janaab-e-Hairat Vaarsii ka aek she'r arz kar rahaa hooN jo she'r k maiN ne Khud un ke muNh se ba-tarannum sunaa thaa:
hairat-e-aa'ina huye Hairat
aa'ina ruu ke ruu-ba-ruu kar ke! ***
> > 4. mujh pe riNdii ka ilzaam vaajib, magar
>
> >
>
> > paarsaa kaun hai, kuchh pata to chale
>
> >
>
> bohat Khuub.
>
>
>
> > 5. be-vafaa maiN hi thaa, be-vafaa maiN hi hooN
>
> >
>
> > baa-vafaa kaun hai, kuchh pata to chale
>
>
>
> in do asha'ar meN (4 aur 5) agar doosra misraa ba-taur aik 'rhetorical' siwaal liia jaae to she'r aur bhii nikhar aata hai. (shayad aap ne bhii yihii socha ho).
>
> >
>
> > 6. aashnaa’ii ka da’ava to har ik ko hai
>
> >
>
> > aashnaa kaun hai, kuchh pata to chale
***ash'aar #4 aur 5 par aap ka farmaan bilkul bajaa hai k agar ham unheN "rhetorical" aNdaaz meiN paRheN to ziyaada lutf aaye ga --- albatta, sher #6 par yeh baat laagoo naheeN hoti (because this one, in my opinion, is too personal to be rhetorical)! ***
>
> > 7. yeh to maanaa k meraa ko’ii bhi naheeN!
> > aap kaa kaun hai, kuchh pata to chale!!! ;)
***jaa-e-hairat hai k aap ne is she'r ko be-dardi se nazar-aNdaaz kar diya hai, haalaaN-k aek mehfil meiN jahaaN maiN ne yeh Ghazal paRhii thii mujhe maximum daad is she'r par milii thii!
May be, because I had recited the second misr'a of this she'r with a suggestive wink! ;) ***
> > 8. aap ke dil meiN kal tak faqat maiN hi thaa
> > yeh “nayaa” kaun hai, kuchh pata to chale! ;)
>
> bohat acche, janaab. Ustaad Daag ka Khayaal mujhe yeh she'r paRh kar aaya thaa. (tumhaare Khat meN, nayaa ik salaam kis kaa thaa)
***aur mujhe yeh Khayaal aek 'mustanad shaa'ir' ke is she'r se aayaa tha:
mujh se un ki raNg-raliyaaN kyooN na hoN
aadamii un ko PURAANAA chaahiye! ;) ;) ;)***
> > 11. tuu mirii muurtii, maiN pujaarii tiraa!
> > yeh Khudaa kaun hai, kuchh pata to chale!!!
> This is so 'typical' qais. Bravo. I think only some can pull off using words like 'pujaarii' 'muurtii' in an Urdu ghazal.
***bajaa farmaaya aap ne, Vijay saahib, --- go k in alfaaz ko aek aek karke maiN pehle bhi barat chukaa hooN. albatta, yeh pehli baar hai k maiN ne in alfaaz ko yak-jaa bartaa hai. voh ash'ar the:
phir AARTII utaaro usii mast-e-naaz kii
saaGhar khanak uTheN jo use gungunaao to!
aur
tere aane ka bharosa to naheeN hai, phir bhii
ik PUJAARII ne diyaa dil ka jalaa rakkhaa hai!
albatta, haaliya sh'er ke duusre misr'e meiN jo fauqiyat maiN ne mehbooba ko Khudaa par di hai, voh fauqiyat bhi to qaabil-e-Ghaur hai! ***
> > 12. mere ash’aar sun kar, zaraa dekhnaa
> > jheNptaa kaun hai, kuchh pata to chale! ;)
> Another good one.
***you could have also said --- another 'typical qais'! :) ***
>
> > 13. log aashiq bhi haiN, log shaa’ir bhi haiN
> > Qais saa kaun hai, kuchh pata to chale! :)
>
> wah wah!
***shukriya, saahib!***
>
>
>
> Raj sahib, saarii kii saarii ghazal hii bohat acchhi lagii, lekin jin asha'r kii maiN ne nishaan dihii kii hai, voh Khusuusi taur pe acche lage.
***huzoor, aap ne to is Ghazal ke qareeb qareeb har she'r ko sarahaa hai, ab is se ziyaada tavaqqo ko'ii rakkhe bhi to kyaa?
Khair-aNdesh,
Raj Kumar