Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

JunooN or Junoon (Intahaa-e-Deevaangi )

78 views
Skip to first unread message

san...@my-dejanews.com

unread,
Sep 20, 1998, 3:00:00 AM9/20/98
to
Aadaab every one Sethi Sahab nai bohat umdah mozoo chunaa hai :-) Ittifaqan
mere paas iss mozoo pai kuch aisai ashaar mojood haiN jo iss lafz yaa jazbai
ko aur bhi ujaagar kartai haiN :-) Ummeed hai aap sab ko pasand aayaiN gai
Khair andaish sana

Hai junoon-e-Ishq ajab junooN ,na khalish khalish ,na sukooN sukooN
Kabhi khaar vajh-e-nishat hai,kabhi phool vajh-e-malaal hai

this shair by Qabil ajmairi describes that how in this Kaifiyat ,one totally
loses his normal senses and reaches the height of deevangi that even a flower
(which by no means is harmful to a normal person ) can give the feelings of
sadness or depression to a lover in Junoon.


Naa raha junoon-e-rukh-e-vafaa ,yeh rasan yeh daar karo gai kiyaa
JinhaiN jurm-e-Ishq pai naaz thaa ,voh gunaah gaar chalai gayai

In this shair Faiz is mentioning this emotion as the height of faithfulness .


Faraz tere junooN kaa khayaal hai varnaa
Yeh kiyaa zaroor voh soorat sabhi ko piyaarii lagai

Here faraz is describing this jazb as an obsession that one has towards one's
beloved that she seems like the most beautiful person in the eyes of a lover
. The very famous saying "beauty is in the eyes of beholder " describes this
shair to the fullest .


and now just some random ashaars that not only contain this word in them ,
but also describe the various aspects of JunooN as it is portrayed in Urdu
shairii by various diffrent shoraa .I am not able to give the name of all
poets because I dont know all of them if someone does now of any of the
followings ,please be so kind to tell me and let send me the whole Ghazals if
they have them .

Khirad kaa naam junooN rakh diyaa ,junooN kaa khirad
Jo chahai aap kaa husn-e-karashmaa saaz karai

Josh-e-junooN kaa rang salaamat sab ko khabar ho jaye gi
Kitnai chehrai ham nai taraashai haath qalam ho jane tak

Ishq maiN kiyaa kiyaa mere junooN ki ,ki naa buraayee logoN nai
Kuch tum nai mujhai bad naam kiyaa kuch aag lagaayee logoN nai

Vohi junooN hai vohi koocha-e-malaamat hai
Shikast-e-dil pai bhi ,ehd-e-vafaa salaamat hai (Faraz)

-----== Posted via Deja News, The Leader in Internet Discussion ==-----
http://www.dejanews.com/rg_mkgrp.xp Create Your Own Free Member Forum

FHN55555

unread,
Sep 20, 1998, 3:00:00 AM9/20/98
to

Here are some more that I remember:

hamako junuu.N kyaa sikhalaate ho ham the pareshaa.N tum se ziyaadaa
chaak kiye hai.n hamane aziizo.n chaar garebaa.N tum se ziyaadaa
- Majrooh

diivaa.ngii-e-ishq ke baad aa hii gayaa hosh
aur hosh bhii aisaa ki diivaanaa banaa de
- Hafeez Jullundhary

faarig to na baiThegaa mahashar me.n junuu.N meraa
yaa apanaa garebaa.N chaak, yaa daaman-e-yazadaa.N chaak

- Iqbal

ma.nzil-e-Gam se guzaranaa to hai aasaa.N "Iqbal"
ishq to hai naam Khud apane se guzar jaane kaa


This is turning out to be a wonderful thread. Thank you Yogesh ji for starting
it, and to all others for their wonderful contributions.


Nita

Visit My Urdu Poetry Page:
http://www.geocities.com/Tokyo/Ginza/6631/index.html

kashif

unread,
Sep 20, 1998, 3:00:00 AM9/20/98
to
aik yeH bhi

abke junooN meiN koi fasla na rahe
daman kay chaak aur garbaaN kay chaak meiN
---- meer

kashif

--
---------------------------------------------------
fikr-e-maash, ishq-e-butaaN, yaad-e-raftagaaN
iss zindagi meiN ab koi kya kya kiyaa kare
*************************************************
Speak different-ly; speak Urdu

click for the difference http://www.urdustan.com
-------------------------------------------------

Raj Kumar Pathria

unread,
Sep 21, 1998, 3:00:00 AM9/21/98
to yse...@worldnet.att.net, san...@my-dejanews.com
san...@my-dejanews.com wrote:
>
> Aadaab every one. Sethi Sahab nai bohat umdah mozoo chunaa hai :-) Ittifaqan

> mere paas iss mozoo pai kuch aisai ashaar mojood haiN jo iss lafz yaa jazbai
> ko aur bhi ujaagar kartai haiN :-) Ummeed hai aap sab ko pasand aayaiN gai
> Khair andaish sana

yeh mauzoo' to nihaayat dil-pazeer hai aur mukhtalif memberaan-e-ALUP ne
khoob cheeda-cheeda ash'aar fraaham kiye hain. mujhe afsos hai ke main
is taraf jald dhyaan na de sakaa aur itni der mein sab achhchhe-achhchhe
she'r khaye-piye gaye! phir bhi, Yogesh Sahib, kuchh na kuchh to aap ki
khidmat mein pesh karoon ga hi. to yeh rahe kuchh an-jaane ash'aar is
mauzoo' par:

is josh-e-junoon ki kya kahiye, be-hoshi bhi be-chaini bhi
muddat se tumhaare deevaane na jaage hain na soye hain

kahaan kahaan na gaye hum junoon ke aalam mein
kaheen kaheen to farishton ne bhi salaam kiya

kya kya hua hai hum se junoon mein, na poochhiye
uljhe kabhi zameen se kabhi aasmaan se hum

aur aek qata' hai

junoon-e-shauq tal jaye to jaanen
khirad ka vaar chal jaye to jaanen
badal sakti hain taqdeeren, yeh maana
hamaara dil badal jaye to jaanen

baaqi kabhi phir.

Khair-andesh, Raj Kumar

Steve Almas

unread,
Sep 22, 1998, 3:00:00 AM9/22/98
to



Raj Sahab
Kuch dinon say iss qader masroofiat rahi keh Alup kay maosam-e-bahar kay nazara ko chala to ata tha laikin .....Poori tarah say mustafeed na ho saka.  Abhi kuch dinon say JunooN sa tari daekha to raha na gaya, aour waqt nikal kay rindon main shamil honay chala aaya. Iss maozoo per yoon to bohat kuch likha, aour parha bhi, laikin aapkay ashaar dill main uter say gaye. Khas taour per

Kya kya hooa hay ham say junoon main na poochiey
Uljhay kabhi zameen say kabhi aasmaan say hum

Bohat khoob kaha hay.

Apnay chand ashaar paish ker raha hoon, Jo shayed aasmaan ki bulandi say to ulajhanay say rahay haan magar junoon main zamein boas zaroor payeiy ga.

Junoon-e-ishq ki halat main kuch aisi hi hikaitain sarzad hoti hain jin ka zikr main nay apnay ashaar main samonay ki koshash ki hay.


Yeh kis pather say janay ham yeh dil apna laga baithay
Keh takraya tha sar laikin zakham seenay pay kha baithay

Janoon-e-ishq main yeh bhi hooa ham say tumharay ba'ad
Shaher ki ronaqon say door weeranay main ja baithay

Barhi jab tishnagi had say to aksar bay khiyali main
Uthay thay apnay ghar say aour maikhanay main aa baithay

Charag ham nay jalaya tha keh ghar main roshani hogi
Muqader daikhiye uss say hi ghar apna jala baithay

Mohabat main jo ham nay ker liya barh kar unhain sajda
Gharoor-e-husn main uss din say woh ban ker Khuda baithay


Baykhudi hay ya junoon hay kaoun janay kiya hay yeh
Un ki janib khud bakhud khichta chala jaaye hay dil



Junoon ki gharhiyan qarar kay din woh ratjagin ki haseen lali
Charagh aankhon main ham na koi sawal rakhein yeh waada ker lain


Agar uzr-e-masti say ham kam laitey
Junoon main na janay kisay tham laitay
Pila daitay ankhon say gar aik din woh
Kabhi hath main phir na ham jam laitay


Maray ishq kay junoon ko chahay kis nazar say daikhay
Meri chahaton ko chahay koi aour nam dayday
Tri zulf ki ghataein shanoon pay bikhar jayein
Meri zindagi main aasi ik aour sham dayday

Steve Almas

0 new messages