jaisa k iss thread ke unwaan se zaahir hai maiN yahaan par kuchh
shaa'iraat kaa kalaam pesh karne kaa iraadah rakhti hooN. aap bhii iss
thread meN kisi shaaira kaa kalaam jo aapko pasand ho post kar sakte
haiN - Ghazal, nazm, qata, she'r jo bhii aap chaaheN!
abhi do-ek din pehle Naseer Sahab ne ek guzashtah thread meN post kii
gaii nazm "kash-makash" ke liye ye link
http://groups.google.com.au/group/alt.language.urdu.poetry/browse_frm...
faraaham kiya thaa to iss nazm se mujhe Samina Raja ki ek Ghazal kaa
matla yaad aagaya, to chaliye aaj yehii Ghazal pesh karti hooN:
ab mire dehaan meN uss shaKhs ka chehraa bhii nahi
meN use bhool chukii hooN magar aisaa bhii nahi
roz holay se dareecha mira kyoN khultaa hai?
koi aahat, koi dastak, koi jhoNkaa bhii nahi
ghar banaaeN ge kabhi ham bhii kinare daryaa
aaj go ham ko mayassar koii qatra bhii nahi
aap kaa shehr hai yaa shehr-e-tamanna hai, yahaaN
aagae aur dam-e-waapsiiN rasta bhii nahi
woh agar rooth bhii jaae tu manaa looN gi use
itna payaraa hai wo jis se koii rishta bhi nahi
dil meN barsoN se samete hooN maiN gehraa saagar
aur bas meN mire haalaat kaa daryaa bhii nahi
Samina Raja
...............................
Regards,
Zuhra
qaari'iin kii KHaatir agar aap Samina Raja ke baare meN kuchh
ma'luumaat bhii pesh kar deN to achchii baat ho gii. agar ho sake to..
KHair-andesh,
Naseer
> "woh agar rooTh bhi jaaye tau manaa looN gi usay
> itna payaraa hai woh jis se ko`ii rishtah bhi nahiiN"
>
> ----------------------------------------------------------------------------------------
>
> Waa..h!
>
> ================================================
Leejiye, ab Haazir-e-Khidmat hai,
SheHnaaz “Noor” ki ik Ghazal,
(jo unn ke dil-kash tarannum meN, piChhle saal, AliGhaR alumni ke
saalanah mushaa`ire meN sun_ne kaa mauqaa milaa thaa)
Ghazal
muHabbat laaye ab sauGhaat ko`ii
badal de suurat-e-Haalaat ko`ii
ye kaisaa iKhtiyaar-e-zindagi hai
din apna hai, nah apni raat ko`ii
Ghubaar-aaluud subH-e-shahr-e-jaaN hai
safar meN qaafilah thaa raat ko`ii
maiN jo kuChh huuN, tiri hi zaat se huuN
miri apnii nahiiN hai zaat ko`ii
maiN baar-e-Gham uThaa saktii huuN tanhaa
mire shaane pe rakh de haat ko`ii
maiN ojhal ho gayii maaN ki nazar se
galee meN aa`ii jab baaraat ko`ii
zameen-e-dil baRii zarKhez thii, “Noor”
baras jaatii agar barsaat ko`ii
~Shehnaaz “Noor”
==================================================
Daakoo
kal raat mira beTaa mire ghar
chehre pe manDhe Khaakee kapRa
bandooq uThaa’e aa ponhchaa
nau-umri ki surkhi se rachi
usski aankheN maiN jaan gaii
aur bachpan ke sandal se manDhaa
uss kaa chehra pehchaan gaii
wo aayaa thaa khud apne ghar
ghar ki cheezeN le jaane ko
ankahi, kahi manwaane ko
baatoN meN doodh ki Khushboo thi
jo kuchh bhi saint ke rakhkha thaa
maiN saaari cheezeN le aaii
ek laal-e-badaKhshaaN ki chiRyaa
sone kaa haathi chhooTa saa
chaandi ki ik nanhi taKhti
resham ki phool bhari Topi
atlas kaa naam likha juzdaan
juzdaan meN lipTa ek qur`an
par woh kaisaa deewaanaa thaa
kuchh toR gayaa, kuchh choR gayaa!
aur le bhi gayaa hai woh to kyaa
lohe ki bad-soorat gaaRi?
petrol ki boo bhi aaye gii
jis ke pehiye bhi rubber ke haiN
jo baat nahiN kar paa’e gii!
bachcha phir aakhir bachcha hai!
Zahra Nigah
.....................
Samina Raja ek mash'hoor shaaira haiN Pakistan se. unke baare meN
Wikipedia link aap sab ke liye pesh hai:
http://en.wikipedia.org/wiki/Samina_Raja
Naseer saahab, agar ab aap bhii Abul Inshaa ke baare meN, jin kaa
kalaam aap aajkal post kar rahe haiN, ALUPers ke liye thoRa-bohat
ma'luumaat pesh kar sakeN to nawaazish hogi :)
..................
BGM saahab,
bohat shukria Shehnaz Noor ki Ghazal share karne ke liye, ummeed hai
aap aaindah bhii iss thread meN shirkat karte raheN ge.
Zuhra
Bilaa-jawaaz rakheN Khud ko be-qaraar bhi kyuuN
Jo tuu nahiiN hai, to phir tera intezaar bhi kyuuN
akelepan ka safar jab mira muqaddar hai
tau phir, ai wa`adah-shikan, teri reh-guzaar bhi kyuuN
usay gaNwaa ke raho ab Khizaa`oN ki zad meN
Jo woh nahiiN hai, to phir mausam-e-bahaar bhi kyuuN
agar bhulaaye hu`e us ko aik umr hu`ii
tau phir yeh aaj tabeeyet hai sogwaar bhi kyuuN
woh jin laboN peh yaqeenee wafaa mehek nah sakay
Phir un ke lams ki Khwaahish ho aik baar bhi kyuuN
Jab us ko shauq thaa rastoN ki dhool honay kaa
Palat ke dekhtaa jaataa thaa baar baar bhi kyuuN
~Noshi Gilani
=========================================================
> maiN ojhal ho gayii maaN ki nazar se
> galee meN aa`ii jab baaraat ko`ii
bahut achchhaa shi'r hai.
Ghazal pesh karne par shukriyah qubuul kiijiye.
Naseer
> ==================================================
Zuhar Sahiba, aadaab.
bahut achchhii nazm pesh kii hai aap ne. shukriyah.
ek lafz kii samajh nahiiN aa'ii.."saint"??
Naseer
Ummid hai aap ko pasand aayegi.
(Is ki Khaas kaafiyabandii qaabil-e-Ghaur hai)
Ghazal
Hayaat! tere / naye taqaaze, / hameN tau be-maut / maar deNge
zaraa ye qarz-e-/ jahaaN chukaa leN, / tau qarz-e-hastii / utaar deNge
milegi fursat / Gham-ejahaaN se, / tau unn ki zulfeN / saNvaar deNge
khizaaN rutoN se, / jo bach raheNge, / woh phuul ham un / pe vaar
deNge
jo waqt-e-rukhsat,/ qaraar-e-jaaN ki / dua`a se ham ko / navaazte ho
qaraar-e-jaaN! / uss dua`a pe ham bhi,/ tumhe, dua`a-e / -qaraar deNge
kahiiN havaaoN / ka ishtiaarah, / kahiiN kisii dard kaa ishaarah
sunaa hai woh ruu- / e-fikr-o-fann ko, / hamaare Gham se / nikhaar
deNge
kisii ke guldasta /-e-muhabbat se bas / yeh paiGhaam mun / salik thaa
yeh niim- vaa,Nar/gisii shaguufe,/ saleeka-e-intezaar deNge
yeh furqatoN ke / azaab mausam, / kahiiN tumhe be- / yaqiiN na kar deN
hameN tau jaanaaN! / ye hijr ke din / guzaarne haiN,/ guzaar deNge
samandaroN ke / safar se pehle, / wo qariya-e-jaaN / se ho ke guzre
hawaa-e-shab ko / payaam, ham bhi,/ ba naam-e-shahr-e / -nigaar deNge
'sabaa' ke paikar / ko, phir ko`ii zaKhm-/ -e-aarzuu se / sajaa gayaa
hai
chalo`, Ganiimat / hai, aur kuChh din,/ yeh gul, fareb-e- / -bahaar
deNge
~Dr. Sabiha 'sabaa'
=========================================================
meraa Khayaal hai, Naseer saahib, k Zuhra saahiba ki muraad "seNtne"
se thi. seNt ke rakhnaa, ya'ani saNbhaal ke rakhna, bachaa ke/sameT
ke rakhna, wG.
-UVR.
sunaa hai....
sunaa hai jangaloN kaa bhii koii dastoor hotaa hai
sunaa hai sher kaa jab pet bhar jaae
to woh hamlah nahi karta
darkhtoN kii ghanii chhaoN meN jaa kar let jaataa hai
hawaa ke tez jhonke jab daraKhtoN ko hilaate haiN
to mainaa apne bachche chhoR kar
kavve ke anddoN ko paroN se thaam leti hai
sunaa hai ghoNsle se koii bachcha gir paRe to
saaaraa jungle jaag jaataa hai
sunaa hai jab kisi naddi ke paani meN
ba’e ke ghoNsle kaa gandamii saayaa laraztaa hai
to naddi ki ro-pehli machhliyaaN usko paRosii maan leti haiN
koii tofaan aa jaa’e
koii pul toot jaa’e
to kisi lakRi ke taKhte par
gulehri, saanp, bakri aur cheetah, saath hote haiN
sunaa hai jangaloN kaa bhii koii dastoor hota hai!
Khuda-wandah, jaleel o mot’abr, daanaa o beena, munsaf o akbar
mire iss shehr meN
ab jangaloN hii kaa koii qanoon naafiz kar!
Zahra Nigah
..........................................
shukria BGM saahab Ghazals ke liye. aur Noshi Gilani kii Ghazal ke
dosre she'r se Ghaalib kaa ek she'r yaad aaya, pesh karti hooN:
wafaa kesi, kahaN ka ishq, jab sar phoRnaa Thehraa
to phir ae saNgdil, teraa hii sang-e-aastaaN kyoN ho?
Zuhra
aamiin! laa-qaanuuniyat se jangal kaa qaanuun bihtar hai. bahut
achchii nazm pesh kii hai aap ne.
Naseer
tashngii merii taqdeer hai, meraa baadal salaamat rahe!
ko`ii saayaa nahiiN hai to kyaa, sar pe aanchal salaamat rahe!
tere Gham, zindgaanii ke Gham, apne Gham aur zamaane ke Gham!
itne aansuu hoN jab aankh meN, kaise kaajal salaamat rahe?!
be gharoN kaa sahaara hai woh, raat bhar ko hamaara hai woh,
hai parindoN ke lab peh dua'a, apnaa peepal salaamat rahe!
us ne KhushiyaaN bhii dii haiN mujhe, bhiigii aankhoN ka shikvah
nahiiN!
mere aansuu salaamat raheN meraa paagal salaamat rahe!!
dasht-e-Gham meN sulagte rahe, phir bhi 'NikHat' mehakte rahe!
saaNp daaman se lipTe raheN, shaaKh-e-sandal salaamat rahe!!
~Naseem NikHat
=========================================================
(coutesy;- Zoya)
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
> aaj Zahra Nigah kii ek aur nazm pesh karoN gii.
> Zuhra
Zuhra jii,
aap kii post kii huii Zahra Nigah kii donoN nazmeN mere liye nayi
haiN, aur mujhe bahut pasand aayi haiN. bahut bahut shukriyah. mere
paas Zahra Nigah kaa koii bhii sh'eri majmua nahiiN hai, aur ek arse
se soch rahii huuN k kahiiN se mangvaauuN. jab tak aisaa hotaa hai,
ummiidd kartii huuN k aap in kaa kuCc aur kalaam bhii yahaaN pesh
kareN gi.
shukriyah.
__Zoya
(Inn kaa kehne kaa andaaz kuChh kuChh Parveen Shaakir se milta hai?
Yaa yeh sirf mera hi Khayaal hai!)
Ghazal
biChhaRnaa thaa, bahot pehle biChhaRte
yeh rastaa aaKhirii thaa, saath chalte
milay thay raah meN apne-paraaye
kaheeN rukte, kisii se baat karte
ab aankheN Khushk-saali kaa nishaaN haiN
yeh baadal raat din kab tak baraste
badalte mausam`oN meN khiRkiy`oN se
bahot logoN ko dekhaa saath chalte
dhuwaaN hai roz-o shab, dam ghuT rahaa hai
tum aa jaate tau meHr-o maH nikalte
nah milte tum tau vehshat meN guzartii
dar-o deewaar ke phande nah paRte
akele meN Ghazal kehne ko keh lee
mua`anii jab woh sunte , tab nikalte
~Zahra Nigah
=======================================================
MaiN ne yeh Ghazal unn ke dil-kash tarnnum meN sunii tau Bahot pasand
aayii..
Ghazal
mujhe tan se ziyaada, uss ka mann achchhaa lgaa thaa
aur uss ki shakhsiyat kaa baaNkpan achchhaa lagaa thaa
Gharaz mujh ko nahiin thii zaahirii surat se uss ki
mujhe tau sirf andaaz-e-suKhan achchhaa lagaa thaa
wo siidhii baat bhi kartaa thaa aksar shaa`irii meN
mujhe uss kaa yehii deevaanapan achchhaa lagaa thaa
zamaanaa keh rahaa thaa uss ke baare meN fasaane
magar mujh ko tau uss kaa har chalan achchhaa lagaa thaa
dhanak ke rang hi bhaate haiN aksar laRkiyoN ko
mujhe tau eik saadaa pairhan achchhaa lagaa thaa
bane alfaaz aNgaare tau ab hairaan huuN maiN
k uss lehje kaa mujh ko dheemaapan achchhaa lagaa thaa
mire baaloN ki chaaNdii se gurezaaN aaj hai wo
jise kal mera chaaNdii saa badan achchhaa lagaa thaa
wo jis dam uss ne mujh se khailne ko chaaNd maaNgaa
mujhe bachche ka apne, bholpan achchhaa lagaa thaa
pariindaa laut ke vaapas qafas meN aa gayaa hai
jise phailaa huvaa neelaa gagan achchhaa lagaa thaa
~Mona Shahaab (Maryland, U.S.A)
[Unn ki kitaab ~Sadaa jab lauT ke aayii~ se]
==========================================================
> Zuhra jii,
>
> aap kii post kii huii Zahra Nigah kii donoN nazmeN mere liye nayi
> haiN, aur mujhe bahut pasand aayi haiN. bahut bahut shukriyah. mere
> paas Zahra Nigah kaa koii bhii sh'eri majmua nahiiN hai, aur ek arse
> se soch rahii huuN k kahiiN se mangvaauuN. jab tak aisaa hotaa hai,
> ummiidd kartii huuN k aap in kaa kuCc aur kalaam bhii yahaaN pesh
> kareN gi.
Actually, mere paas bhi Zahra Nigah ki koi kitaab nahi hai. bas thoRa
bohat unheN paRha yaa sunaa hai, magar jab bhii unkaa kalaam nazar se
guzra hai, pasand aayaa hai. mere paas unki jo chand nazmeN aur
GhazaleN haiN wo zaroor aapke liye post karooN gi. unke baare meN ek
link bhii pesh kar rahi hooN:
http://65.175.69.196/wps/wcm/connect/dawn-content-library/dawn/in-paper-magazine/books-and-authors/ink-paper-think#
....................................
BGM saahab,
ek baar phir aapka shukria iss thread/mauzu meN dilchaspi lene ke liye
aur Mona Shahaab aur Sabiha Sabaa ke kalaam se muta'araf karwaane ke
liy bhii.
Zuhra
...........................
aur ab zahra Nigah ki nazm:
dosti kaa samandar
dosti kaa ik samandar
an-ginat saahil wafaa ke
apne siine meN chhupaa’e
jaane kab se beh rahaa thaa
daf'atan
ik mauj ubhri
motioN k roop meN
dhalte hue alfaaz, jumle
Khud-ba-Khud dil se uThe
lab tak ga’e
dil ka har ik bojh
lafzoN ne uThaayaa!
fikr ka har lamha
ik jumle se Takraayaa
bikhar k kho gayaa
Gham ka rezah rezah
kuch baatoN ki ro meN beh gaya.........
Zahra Nigah
Leejiye, ik aur Ghazal, Zahra Nigaah ki, abhi abhi haath lagii hai,
pesh-e-Khidmat hai.
Ik deegar mehfil meN, 2005 meN Chhapii thii,(Courtesy: Balvinder
Singh)
Ghazal
Chhalak rahee hai mai-e-naab, tishngee ke liye
saNvar rahee hai tiri bazm, barhamee ke liye
naheeN-naheeN, hameiN ab teri just-joo bhi naheeN
tujhe bhi bhuul gaye ham, tiri Khushee ke liye
jahaan-e-nau ka tasavvur, Hayaat-e-nau ka Khayaal
baRe fareb diye tum ne bandagee ke liye
kahaaN ke ishq-o-muHabbat, kidhar ke hijr-o-visaal
abhee to log taraste haiN zindagee ke liye
jo zulmatoN meN hovaidaa ho qalb-e-insaaN se
ziyaa-navaaz woh sholaa hai teergii ke liye
nah manziloN ki tamannaa, nah rah-guzar ki talaash
nah jaane kis peh bharosaa hai rahbaree ke liye
jo kar rahe haiN pas-e-pardah, dushmanee ab-tak
baRe Khuluus se aaye thay dostee ke liye
~Zahra Nigah
==========================================================
niiNdoN ke des jaate ko'ii KHvaab dekhte
lekin diyaa jalaane se fursat nahiiN milii
tujh ko to KHair shahr ke logoN kaa KHauf thaa
awr mujh ko apne ghar se ijaazat nahiiN milii
phir iKHtilaaf-i-raae kii suurat nikal paRii
apnii yahaaN kisii se 'aadat nahiiN milii
be-zaar yuuN hu'e kih tere 'ahad meN hameN
sab kuchh milaa sukuun kii daulat nahiiN milii
Noshi Gilani
............................................................................
Naseer
munsifoN! saliiboN par faisale nahiiN hote
be-sabab baGhaavat ke saanihe nahiiN hote
jhuuTh aur sadaaqat ki jang to azal se hai
phir bhii sach pe jeene ke Hausale nahiiN hote
soach kar judaa honaa, phir k mil na paayeNge
kyuuN k is zamaane meN mo`jeze nahiiN hote
jo bhii thay gile-shikave, duur kar ke jaanaa thaa
kam se kam biChhaRane par, dil bure nahiiN hote
chaand se kahaa ham ne, tum hii raat bhar jaago
ham se uss ki yaadoN meN rat_jage nahiiN hote
~Zakia "Ghazal"
=================================================
B.G.M Sahib, salaam 'arz hai.
Thank you for presenting Zakia Ghazal's Ghazal. A couple of
corrections are necessary.
munsifo!
jhuuT
................................
Naseer
KuChh din hu`e unn ki eik Ghazal yahaaN pesh karnaa chaahtaa thaa,
magar Urdu rasm-ul-Khat ki jaankaari mire paas itni achChhii nahiiN
hai, is liye aaj kuChh koshish kar ke yahaaN likh rahaa huuN. Ummid
kartaa huuN aap aGhlaat ki nishaandihi kar deNge.
Ghazal
kis qadar gumraah thay ham kyaa nah kyaa kehte rahe
muddatoN tak eik pat`thar ko Khuda kehte rahe
ham tujhe DhuunDaa kiye, har raah par har mo`R par
tuu nah mil paayega, dil ko baarhaa kehte rahe
vaa-ye naa kaamii, k woh ik shakhs bhi meHram nah thaa
jis ko ab tak zindagi kaa aasraa kehte rahe
Duubne waalaa tau kosoN duur jaa pahuNchaa magar
ahl-e-saaHil der tak Haafiz Khuda kehte rahe
woh tau unn kaa zarf thaa, aur yeh hamaaraa Hausalah
zulm woh karte rahe, ham marHabaa kehte rahe
dekh leN woh aasmaaN ki qahr aaluudah-nazar
aah ko meri jo aah-e-naarasaa kehte rahe
dard-o-Gham, ranj-o-alam, aah-o fuGhaaN thay mere saath
aap phir kaise mujhe tanhaa, bhalaa, kehte rahe?
bijliyaaN jo aayiiN thiiN chilman jalaane ke liye
unn ko bhi ham zer-e-daamaaN kaa diya kehte rahe
yuuN gaye, muR kar nah dekhaa, raahi-e-mulk-e-`adam!
dekhiye! mat jaay`iiye!! ham barmalaa kehte rahe
zindagi meN ham ne paiham iss qadar kaaye fareb
har qadam par rahzanoN ko rahnumaa kehte rahe
sun_ne waale tau nah jaane kaun se aalam meN thay
Najmah! Apne she`r par ham marHabaa kehte rahe
~Najmah Ansar “Najmah” (wesr Yorkshire, U.K.)
[ unn ki kitaab, “Zakhm-e-aHsaas” se]
==============================================
BGM saahab, Ghazal pesh karne ke liye bohat shukria. vaise, sher # 2
meN lafz DhooNDne se mujhe Majeed Amjad kaa ek she'r yaad aayaa:
tum phir na aa sako ge bataanaa to thaa mujhe
tum dooor jaa ke bas gae, maiN DhooNDtaa phiraa
aur ab Zehra Nigah ki ek muKhtasar nazm:
mujhe fursat hii fursat hai
mujhe fursat hii fursat hai
sawere jald uThnaa hai
na shab ko der se sonaa
kahiiN baahar nahiiN jaanaa
kisii se bhii nahiiN milna
na koii fikr laahaq hai
na koii yaad baaqi hai
magar ye aaKhri misra
zaraa saa jhooT lagta hai!
Zehra Nigah
.............................................
> BGM saahab, Ghazal pesh karne ke liye bohat shukria. vaise, sher # 2
> meN lafz DhooNDne se mujhe Majeed Amjad kaa ek she'r yaad aayaa:
>
> tum phir na aa sako ge bataanaa to thaa mujhe
> tum dooor jaa ke bas gae, maiN DhooNDtaa phiraa
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Shukriya.
ab leejiye is laRii men ik aur izaafah.
Ghazal
aHsaas dil meN, jazboN meN shiddat usii ki hai
har shay meN noor hai ye inaayat usii ki hai
daanishwaraN-e-sheher meN meri bisaat kyaa
mujh meN nihaaN jo hai, wo zaHaanat usii ki hai
ye lafz- lafz uss ke haiN, sab fann usii kaa hai
meri ye shaa`iirii bhi amaanat usii ki hai
yuuN to Haseen log bhi meHfil meN haiN, magar
chehraa usii kaa hai, qad-o-qaamat usii ki hai
wo bhi to lauT aataa hai har ik safar ke b`aad
maiN kyaa karooN, mujhe bhi to aadat usii ki hai
maiN ik Darii si, sehmi si, laRki thii aam sii
ye Hauslah usii kaa hai, himmat usii ki hai
- Dr. Naseem Nikhat
-----------------------------------------(courtesy: Balvinder Singh)
=====================================================
mulaaim, garm, samjhote ki chaadar
yeh chaadar maiN ne barsoN meN buni hai
kahiiN bhi sach ke gul-booTe nahiiN haiN
kisi bhi jhooT ka TaaNka nahiN hai
isi se maiN bhi tan Dhak looNgi apna
isi se tum bhi aasooda raho ge
na Khush hoge , na pazhmurdah rahoge
isi ko taan kar ban jaaye gaa ghar
bichhaa leN ge to khil uThThe gaa aangan
uThaa leN ge to gir jaaye gi chilman
Zehra Nigah
...............................................
mujhe mehsoos hota hai
jahaaN maiN aaNkh jhapkooN gi
wahiiN par haadesa hoga
Noshi gilani
.....................