Babar Imam
unread,Oct 28, 2013, 4:28:13 AM10/28/13You do not have permission to delete messages in this group
Either email addresses are anonymous for this group or you need the view member email addresses permission to view the original message
to
ek din ju behr-e faati'ha ek bint-e mehr-o mah
pahunchi nazar jhukaaye hue soo-e khaankah
zuhaad ne uthaayi jhijhak'tay hue nigaah
hoontoon mein dab ke toot gai zarb-e laa'illah
barpa zameer-e zuhd mein kuhraam ho gaya
imaan, diloon mein larzaa bar-andaam ho gaya
yoon aayi her nigaah se awaaz-e al'amaan
jesay koi pahaar pe aandhi mein de azaan
dharkay wo dil ke rooh se uthnay laga dhuwaan
hilnay laggi shai'yookh ke seenoon pe daarhiyaan
parto-faghaan ju jalwa-e jaanana ho gaya
her murg-e khuld, husn ka pervaana ho gaya
uss aafat-e zamana ki sarshaariyaan na pooch
nikhray hue shabab ki baydaariyaan na pooch
rukh pe huwaa-e shaam ki gul'baariyaan na pooch
kakul ki her qadam pe fasoon kaariyaan na pooch
aalum tha wo kharaam mein uss gul-azaar ka
goya nazool rehmat-e perwardigaar ka
gardan ke looch mein kham-e choogaan liye hue
choogaan ke khum mein goye dil-o jaan liye hue
rukh pe latoon ka abbr-e pareshaan liye hue
kafir ghata ki chhaaon mein quraan liye hue
aahista chal rahi thi aqeedat ki rah se
ya lau nikal rahi thi dil-e khaankah se
aankhoon mein aag ishwa-e aahun gudaaz ki
lehrein her ek saans mein saylaab-e naaz ki
paltein huva ke dosh pe, zulf-e daraaz ki
aainay mein damak rukh-e aaina saaz ki
aaghosh-e mehr-o mah ki goya palli hui
saanchay mein aadmi ke gulabi dhali hui
sawan ka abbr, kakul-e shab'ghoon ke daam mein
maujein sharab-e surkh ki aankhoon ke jaam mein
rang-e talooh-e subh, rukh-e laala'faam mein
chalta hua shabaab ka jaado kharaam mein
insaaN tou kya yeh baat pari ko milli nahin
aisi toh chaal kabk-e'dari ko milli nahin
doobi hui thi junbash-e mizgaan shabab mein
ya dil dharak raha tha muhabbat ka khwaab mein
chehray pe tha arq ya nammi thi gulaab mein
ya oas moti'ye pe shab-e mahtaab mein
aankhoon mein keh rahin thein yea maujein khummar ki
yoon bheegti hein chandni raatein bahaar ki
haath uss ne faatiha ko uthaye ju naaz se
aanchal dhalak ke reh gya zulf-e daraaz se
jadoo tapak para nigah-e dil'nawaz se
dil dehl gaye jamal ki shaan-e nyaaz se
parhtay hi faatiha ju wo ek simmut phir gayee
ek peer ke tau haath se tasbeeh girr gaayee
faarigh hoi dua se ju wo mish'le harum
kaanpa laboon pe saaz-e aqeedat ka zayr-o bum
honay laggi ravaana ba andaaz-e mauj-e yum
ungraai aa chali tou behknay lagay qadam
ungrai fart-e sharam se yoon tootnay laggi
goya sanam kaday mein kiran phootnay laggi
her chehra cheekh utha ke tere saath jaayein gay
ay husn! teri rah mein dhooni ramaayein gay
abb es jagah se apna musalah uthayein gay
qurbaan gaa-e kufr per imaan charhayein gay
khatay rahe fareb buht khaankah mein
abb sajda rayej hoon gay teri baargaah mein
suraj ki tarah zuhd ka dhalnay lagga gharoor
pehloo-e aajizi mein machalnay lagga gharoor
reh reh ke kervatein si badalnay lagga gharoor
rukh ki jawan lo se pighalnay lagga gharoor
imaan ki shaan ishq ke saanchay mein dhul gai
zanjeer-r zuhd surkh hoi, aur gal gai
pal bhar mein zulf-e laila-e tamkeen biggur gai
dam bhur mein paarsaai ki basti ujjar gai
jis ne nazar uthaye, nazar rukh pe gar gai
goya her ek nigaah mein zanjeer par gai
tofaan-e aab-o rang mein zuhaad kho gaye
saaray kabootaraan-e harum zibah ho gaye
zahid, hadood-e ishq-e khudda se nikal gaye
insaan ka jamal ju dekha phissal gaye
thunday thay lakh, husn ki garmi se jal gaye
kirnein parein tau barf ke tooday pighal gaye
al'qissa deen, kuffr ka deevana ho gaya
kaabah zara si der mein but khaana ho gaya....