taqriib-an Dhaa'ii saal pahle maiN ne ek nazm "paanii meN" pesh kii
thii, jis kii paziiraa'ii janaab-i-Afzal Sahib ne in alfaaz meN kii
thii.
"... Actually, inane ghazals* with the same "paamaal" and "farsooda"
topics do not amuse me all that much these days. This is a most
welcome change. Even in the past, I have advocated posting of Urdu
poetry on other subjects --- and "qudrati nazaare"has been one of the
subjects I have urged in the past. ....'
aaj 'iid kaa din hai. is mubaarak din ko malHuuz-i-KHaatir awr Afzal
Sahib kii baat ko madd-i-nazar rakhte hu'e Josh kii nazm "albelii
subH" se maiN is silsile kaa aaGhaaz kartaa huuN. ummiid hai kih aap
log bhii is laRii meN shirkat kar ke merii himmat bandhaa'eN ge.
.........................................................................................................................
albelii subH
nazar jhukaa'e 'aruus-i-fitrat jabiiN se zulfeN haTaa rahii hai
saHar kaa taaraa hai zalzale meN ufaq kii lau thar-tharaa rahii hai
ravish-ravish naGhmah-i-tarab hai, chaman-chaman jashn-i-rang-o-buu
hai
tuyuur shaaKHoN pih haiN Ghazal-KHvaaN*, kalii-kalii gungunaa rahii
hai
sitaarah-i-subH kii rasiilii jhapaktii aaNkhoN meN haiN fasaane
nigaar-i-mah-taab kii nashiilii nigaah jaaduu jagaa rahii hai
tuyuur, bazm-i-saHar ke mutrib, lachaktii shaaKHoN pih gaa rahe haiN
nasiim, firdaus kii sahelii, guloN ko jhuulaa jhulaa rahii hai
kalii pih bele kii kis adaa se paRaa hai shabnam kaa ek motii
nahiiN yih hiire kii kiil pahne ko'ii parii muskuraa rahii hai
saHar ko madd-i-nazar haiN kitnii ri'aayateN chashm-i-KHuuN-fishaaN
kii
havaa biyaabaaN se aane vaalii, lahuu meN surKHii baRhaa rahii hai
shaluukaa pahne hu'e gulaabii, har ik subak paNkhaRii chaman meN
rangii hu'ii surKH oRhnii kaa, havaa meN palluu sukhaa rahii hai
falak par is taraH chhup rahe haiN hilaal ke gird-o-pesh taare
kih jaise ko'ii na'ii-navelii jabiiN se afshaaN chhuRaa rahii hai
khaTak yih kyoN dil meN ho chalii phir? chaTaktii kaliyo! zaraa
Taharnaa
havaa-i-gulshan kii narm-rau meN yih kis kii aavaaz aa rahii hai?
Josh
* Afzal Sahib, ham Ghazal se kitne hii "gurez" kareN, parinde phir
bhii "Ghazal-KHvaaN" haiN!!
Naseer