Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

adabii shaa3irii ba-muqaabila filmii shaa3irii

46 views
Skip to first unread message

Naseer

unread,
Dec 11, 2021, 11:16:44 AM12/11/21
to
dostaan-i-giraamii,

ummiid hai kih aap sab ba-xair-o-3aafiyyat hoN ge. ek taviil muddat se Afzal SaaHib is maHfil se Ghaa'ib haiN. Allah kare vuh saHiiH salaamat hoN.

kaafii dinoN se ko'ii aisii laRii shuruu3 nahiiN kii ga'ii jo baa3is-i-dilchaspii ho aur jis meN shirkat kunindagaan baHs-o-mubaaHisah kareN. chand roz pahle maiN ek Youtube video dekh rahaa thaa jo ek interview kii shakl meN thaa aur jin kii interview kii jaa rahii thii, vuh naamii-giraamii filmii shaxsiyyat, shaa3ir aur kahaanii-naviis Rajendra Krishan the. in se maiN nihaayat muta'ssar hu'aa. kyaa log the us zamaane ke aur kitnii mahaarat thii unheN Urdu zabaan meN!

ttps://www.youtube.com/watch?v=prncBtfGNEY

aap kii xidmat meN is interview se maiN ek do iqtibaasaat pesh kar rahaaN huuN.

"to un mushaa3iroN meN jab maiN ne pahlii Ghazal paRhii to us pih kuchh aisii daad milii kih phir us ke ba3d shaa3irii kaa daaman chhuuTaa nahiiN.." (2:20)"

"jii 3arse kii baat hai. Haafizah bhii kamzor ho gayaa hai. vaise bhii filmii giit likhte likhte aadamii shaa3irii bhuul jaataa hai. lekin phir bhii mujhe ek baRaa achchhaa matla3 yaad hai jis pih mujhe bahut daad milii thii. aur vuh matla3 hai..

kuchh is taraH vuh mere paas aa'e baiThe haiN
kih jaise aag se daaman bachaa'e baiThe haiN"

"film ke 3ilaavah to ab baateN mat puuchhiye. ab ziyaadah taur par film kii baateN puuchhiye kyoNkih battiis baras se film hii hamaaraa oRhnaa-bichhonaa hai. giit likhnaa, vazn meN bhii likhnaa, be-vaznii bhii likhnaa...tolah bhii paa'o bhii, ek misra3 ser bhar kaa to duusraa misra3 paa'o kaa. yih kaarobaarii majbuuriyaaN haiN!"

yih sun kar mere zihn meN ek do savaal ubhre. yih alag baat hai kih 3aam taur par filmii shaa3irii ko adabii shaa3irii se kam-tar hii samjhaa jaataa hai

1. "vaise bhii filmii giit likhte likhte aadamii shaa3irii bhuul jaataa hai". is se to yih zaahir hotaa hai kih filmii shaa3irii, shaa3rii ke zumre meN hii nahiiN aatii! kyaa yih darust hai?

2. kyaa vaaqi3ii filmii shaa3irii meN shaa3ir log vazn kaa xayaal nahiiN rakhte?

filmoN aur shaa3irii ke dil-daadah (Afzal SaaHib) maujuud nahiiN haiN aur nah hii is maHfil ke jaane-maane har-dil 3aziiz Shaa3ir Sarwar Raz SaaHib yahaaN haiN lekin baRe baRe mushaa3iroN ke chashm-diid gavaah aur maHfili-i-ALUP ke maHbuub aur muHtaram shaa3ir, Raj Kumar SaaHib aur un ke saath ba-yak waqt filmoN ke rasiyaa, guluu-kaar aur shaa3ir Irfan Abid SaaHib tashriif-farmaa haiN. merii mu'addabaanah guzaarish hai kih yih do Hazraat bi_lxusuus aur diigar aHbaab bi_l3umuum in savaalaat par kuchh raushanii DaaleN ge. nihaayat navaazish ho gii.

mujhe yaad hai kih Gopal Das Neeraj jo "kaarvaaN guzar gayaa" ke shaa3ir haiN, is meN unhoN ne lafz "3umr" ko "3umar" likhaa hai. is binaa par Raj Kumar SaaHib ne is gaane ko Urdu daa'ire se xaarij kar diyaa thaa. vuh apne ek interview meN farmaate haiN.."unhoN ne kahaa bhaa'ii. aap merii picture meN ek giit likho.." is jumle ko sun kar maiN bhii kuchh maayuus hu'aa lekin hameN yih nahiiN bhuulnaa chaahiye kih Neeraj SaaHib bunyaadii taur pih Hindi ke ek shaa3ir haiN.

https://www.youtube.com/watch?v=tQ07E761DVA&ab_channel=BroadcastImaging (5:15)

aaxir meN ek baat 3arz kartaa chaluuN. mere tajribe meN actor-log Urdu kaa shaaz-o-naadir hii zikr karte haiN lekin Jeevan SaaHib (Omkar Nath Dhar) is video meN farmaate haiN kih..

"mujhe sirf Urdu aur aNgrezii bhaashaa aatii hai..."

https://www.youtube.com/watch?v=HnOOHbMVhmU&ab_channel=AsheeshPandey (16:16)

Naseer

Irfan Abid

unread,
Dec 11, 2021, 12:03:18 PM12/11/21
to
Naseer sb, aadaab arz hai!

aap ne baRaa dilchasp mauzuu'a chheRaa hai. maiN jis qaabil huuN, is par zaruur kuchh arz karuuNgaa, lekin filhaal sirf ye kahne ke liye haazir huaa hooN ki abhii abhii "she'r-o-naGhma" silsile meN maiN ne ek paiGhaam chaspaaN kiyaa hai jo Rajinder Krishan kii baabat hai. Ghaaliban aap kii tahriir a'in us vaqt namuudaar huii jab maiN vuh paiGhaam raqam kar rahaa thaa. kya hasiin ittifaaq hai!

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Irfan Abid

unread,
Dec 23, 2021, 2:58:11 PM12/23/21
to
On Saturday, December 11, 2021 at 11:16:44 AM UTC-5, Naseer wrote:
Naseer sb, aadaab arz hai!

aap ke donoN savaaloN par Khaaksaar ke javaabaat haazir haiN.

aap ke pehle savaal kaa javaab dene se qabl yih tai karnaa zaruurii hai ki filmii aur adabii shaa’irii meN farq kaa paimaanah kyaa hai. agar paimaanah mavaad (content) hai, to guzre zamaanoN kii beshtar filmii shaa’irii adabii shaa’irii ke zumre meN shumaar kii jaa saktii hai. aaj kal kii filmii shaa’irii kii baat aur hai. lekin agar farq kaa paimaanah vazn hai, to guzre zamaanoN kii bhii beshtar filmii shaa’irii adabii shaa’irii ke zumre se Khaarij ho jaayegii. meraa Khayaal kai ki jab Rajinder Krishan ne farmaayaa ki "vaise bhii filmii giit likhte likhte aadamii shaa’irii bhuul jaataa hai" to un kaa ishaarah vazn kii jaanib hii thaa. to aaiye chalte haiN aap ke duusre savaal kii jaanib jo vazn kii baabat hai.

filmii giit do tarah se ban sakte haiN. ek to yih ki shaa’ir pehle giit likh le aur phir muasiiqaar dhun banaaye, aur duusrii yih ki pehle muasiiqaar dhun banaaye aur phir shaa’ir us par giit likhe. pehlii tarah meN to shaa’ir vazn meN likh saktaa hai, lekin duusrii tarah meN vazn meN likhnaa mushkil hai. vajh yih hai ki dhun meN suroN kii tartiib aksar bahuur se mel nahiiN khaatii. kisii maKhsuus raag meN suroN kii ek aam tartiib hotii hai, lekin us meN ma’muulii tabdiilii kar ke mausiqaar muKhtalif tarah se suroN ko tartiib de skataa hai. is tartiib meN kitne suroN ke baad Thaharnaa hai, is kaa koii aalamgiir usuul nahiiN hai. lihaazah dhun meN ek satr chhoTii ho saktii hai aur duusrii lambii. shart sirf yih hai ki sur ek maKhsuus taal meN adaa hoN. niiz yih ki taal ki zaruurat ke mutaabiq suroN ko der tak KheNchaa jaa saktaa hai, jab ki vazn meN kisii aavaaz ko had se ziyaadah lambaa karne kii ijaazat nahiiN hai. Gharaz yih ki dhun banne ke baad vazn meN likhnaa mushkil hai.

vazn meN likhii huii shaa’irii ko bilaa shub.ha dhun meN piroyaa jaa saktaa hai kyoN ki bahuur kii taKhliiq taal ko nazar meN rakhte hue kii gayii hai. lekin is se mausiqaar kii aazaadii majruuh hotii hai. vazn meN likhii huii shaa’irii kii dhun banaate vaqt mausiiqaar suroN ko apnii marzii se har jagah nahiiN toR saktaa kyoN ki sutuur kii lambaaii ka tayauun bahr kartii hai. bahuur taal par bhii asar.andaaz hotii haiN aur kuchh bahuur ko ek do maKhsuus taaloN ke ilaavah kisii aur taal meN baaNdhnaa mumkin haiiN hotaa. yahii vajh hai ki beshtar mausiqaar koshish karte haiN ki vuh dhun pehle banaa leN aur phir shaa’ir apnaa kaam kare. jahaaN tak mujhe ilm hai, taqriiban har shaa’ir ne is rivaayat ko tasliim bhii kiyaa hai, sivaa Sahir Ludhiyanvi ke. Sahir sb vaahid shaa’ir haiN jinhoN ne hameshaa geet pehle likhaa, aur vazn meN likhaa, aur us kii dhun baad meN banii.

niyaazmand,
Irfan :Abid:
0 new messages