ye puchchhe jab tumse koi mehzabeen
na takna arsh na ghoorna ye jameen
uski ankhon me bhi na dekhte reh jana
bas use chhune ka talashna koi bahana
chhute hi kisi had tak wo bikhar jaegi
poshida thi jo chahat ab ubar aaegi
ye wo pal hai jisme tum nazdiq a sakte ho
apne nadan ishq ko sach bata sakte ho
toot na jae sach sunke pehle use samjhana
baat deegar hai magar dhire se ye batana
ke duniya hai ye duniya me har ek gair hai
tujhe koi apna sa lage ye khuda ki khair hai
aj sach kuch bhi nahi afsane hazar bante hai
marz hai mohabbat saikdon beemar bante hai
faqat jismani hawas hoti hai khayalaton me
kya ladka kya ladki dosti se shuruaat karte hai
ye maan sakta hoon ke sab ek se nahi
dono dil ek jaise hon aisa bhi to nahi
kisi ek ke man me zaroor hawas hoti hai
is zamane me mohabbat isi bat pe roti hai
gar kahe wo is bat ka koi saboot to dikhana
use badalti neeyaton ki kahaniyan batana
puchna fir kya pyar shadi se pehle zaroori hai
nahi to shadi ke bad hone me kya majboori hai
kyon aadmi apne aage ka nahi jaanta hai
kisi aur ka ashiq ho hamsafar kaun chahta hai
mera bas itna kehna hai mujhe sun sako to
sach kadwa hai par hawas ko mohabbat na kaho
mohabbat karo apne walidain apne kam se
tazindagi ek ke raho hosh-o-eemaan se
aj josh-e-jawani hai koi kam aisa na karo
apne bare me ba-fakr auladon se na keh sako
jitna paq tumne apne walidain ko mana
wahi jazba apni auladon ko bhi dilana
sachchi mohabbat, haqiqat ya afsana
is sawal ka jawab hai faqat muskarana
--
Message posted using http://www.talkaboutpoetry.com/group/alt.language.urdu.poetry/
More information at http://www.talkaboutpoetry.com/faq.html
Sir,
I have started blog on ghazal. If you are poet and writing ghazals in
meters then you pls send us your five ghazals in uni. hindi and your
photograph and brief introduction and dont forget to mention the
behers in which ghazal is written this will help new poets to learn
about ghazal and its technique.You spread this blog to all readers and
if you are intereted in poetry you read ghazals and leave your
valuable comment. Pls help me to serve hindi.. our national language
and spread this blog and tell your friend to visit this link and here
is the link:
http://aajkeeghazal.blogspot.com/
I am waiting for your suggestion you can write me on
satpalg...@gmail.com
Thanks
Sat Pal