salam khak nasheenoN kay sauguaroN ka
ghareeb daytay haiN pursa tumharay piyaroN ka
salam un par jinhayN sharm khaye jaati hai
khulay saroN pay aseeri ki khaak aati hai
salam uss par jo zehmat kash-e salasal hai
museebatoN mayN imamat ki pehli manzil hai
salam bhaijtay haiN apni shahzadi par
keh jiss ko soNp gaye martay waqt ghar sarvar
musafirat mayN jisay bay-basi yeh dikhlai
nisar kar deay bachchay na bach saka bhai
aseer ho kay jisay shaamioN kay narghay mayN
husainiat hai sikhana ali kay lehjay mayN
sakeena bi bi tumharay ghulam hazir haiN
bujhay jo piass tow aankhoN kay jam hazir haiN
yeh sin yeh hashr yeh sadmay naye naye bi bi
kahaN pay baiThi ho khaimay tow jal gaye bi bi
taveel raat, baRi dair hai savairay mayN
kahaN ho shaam-e-ghareebaN kay ghup andhairay mayN
zameen-e-garm yateemi ki sakhtiaN bi bi
woh seena jiss par keh sowti theeN ab kahaN bi bi
janaab-e maadar-e bay-sheer ko bhi sab ka salam
ajeeb waqt hai kia dayN tasalliyoN ka payaam
abhi kalaijay mayN ik aag si lagi ho gi
abhi tow goad ki garmi na kam hui ho gi
nahiN andhairay mayN kuchH soojhta kahaN DhoonDhayN
tumhara chaand kahaN chHup gaya kahaN DhoonDhayN
na iss tarah koi khaiti hari bhari ujRi
tumhari maaNg bhi ujRi kokh bhi ujRi
nahiN la'eenoN mayN insaaN koi khuda hafiz
darinday aur yeh bay-varisi khuda hafiz
salam tum par rasooloN butool kay piyaroN
salam mehr-e-shahadat kay gird saiyaroN
salam mohsin-e-islam khasta-tan laasho
salam tum par shaheedoN kay bay-kafn laasho
bachay tow aglay baras ham haiN aur yeh gham phir hai
jo chal basay tow yeh apna salam-e-aakhir hai
(kalam: saiyad aal-e-raza)