Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

Ghazal: "yahaaN par chain kyaa..."

64 views
Skip to first unread message

Irfan Abid

unread,
Nov 14, 2021, 8:37:20 PM11/14/21
to
aadaab, dosto!

ek taazah Ghazal haazir-e-Khidmat hai. mulaahizah farmaaiye aur apnii raae se navaaziye.

Ghazal

yahaaN par chain kyaa, aaraam kyaa hai
bhalaa dunyaa meN in kaa kaam kyaa hai

bahaanaa hai bashar ke imtihaaN kaa
vagarnaa gardish-e-ayyaam kyaa hai

pareshaaN zihn aur bikhraa huaa ghar
husuul-e-maal kaa anjaam kyaa hai!

samajhnaa chaahiye insaaN ko ab to
ki aaKhir vaqt kaa paiGhaam kyaa hai

mire aage kahaaN aayaa vuh, saaqii
maiN kyaa jaanuuN Khushii kaa jaam kyaa hai

isii ko kehte haiN kyaa ishq, ai dil
yih bechainii sii sub'h-o-shaam kyaa hai?

divaanapan sazaa-e-ishq hai Khud
junuuN vaaloN pe ab ilzaam kyaa hai!

ye kehte kehte aa pahuNchaa kahaaN maiN
ki raah-e-ishq meN ik gaam kyaa hai

badal Daalii mirii taqdeer jis ne
na puuchho vuh Khayaal-e-Khaam kyaa hai

ziyaadah se ziyaadah chaNd sikke
mataa-e-fan kaa :Abid: daam kyaa hai

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Zoya

unread,
Nov 20, 2021, 10:03:45 AM11/20/21
to
On Sunday, November 14, 2021 at 7:37:20 PM UTC-6, Irfan Abid wrote:
> aadaab, dosto!
>
> ek taazah Ghazal haazir-e-Khidmat hai. mulaahizah farmaaiye aur apnii raae se navaaziye.

aadaab, Irfan sahib,

aap kii ghazal maiN ne chand roz qabl paRh lii thi, lekin kaam kii masruufiyat thi so javaab likhne meN zaraa taaKhiir ho gayi. daad qubuul kiijiye.

> Ghazal

Irfan sahib, aap ki yeh ghazal mujhe aap ke diigar taazah kalaam se zara alag lagi. is meN har sh'er ek 'independent thouhgt' rakhtaa hai, aur ruk kar sochne par majbuur kartaa hai. Nice. Thanks.

> yahaaN par chain kyaa, aaraam kyaa hai
> bhalaa dunyaa meN in kaa kaam kyaa hai

in kaa kaam to bahut hai, lekin yeh aaj kal zaraa kam kam hii nasiib hote haiN. :)

> bahaanaa hai bashar ke imtihaaN kaa
> vagarnaa gardish-e-ayyaam kyaa hai

Too much testing!

> pareshaaN zihn aur bikhraa huaa ghar
> husuul-e-maal kaa anjaam kyaa hai!

Irfan sahib, yeh voh she'r hai jo ek baar paRhne par mujhe yaad ho gaya thaa, aur pichhle ek hafte se mere zehn meN ghuum rahaa hai. Every time I go into my closet, I think, too many shoes, too many purses, too much of everything. I quit counting after 60 shoes and 30 purses! Oh and who can use over 50 lipsticks, especially on perpetually masked lips?!
All right sir, your she'r got me thinking, it is 'Fall cleaning' time! :-)

See, what unexpected good your poetry is doing! :-))

> samajhnaa chaahiye insaaN ko ab to
> ki aaKhir vaqt kaa paiGhaam kyaa hai

Trying to understand.

> mire aage kahaaN aayaa vuh, saaqii
> maiN kyaa jaanuuN Khushii kaa jaam kyaa hai

Your 'vuh' again! It took me a few seconds to absorb that this time around it is 'Khushii kaa jaam'. Irfan sahib, this is the third time it has happened to me while reading your recent kalaam. Is it just me, or is this something to think about??

> isii ko kehte haiN kyaa ishq, ai dil
> yih bechainii sii sub'h-o-shaam kyaa hai?

Not necessarily, could be something totally unrelated! :-)

> divaanapan sazaa-e-ishq hai Khud
> junuuN vaaloN pe ab ilzaam kyaa hai!

Interesting.

> ye kehte kehte aa pahuNchaa kahaaN maiN
> ki raah-e-ishq meN ik gaam kyaa hai

Yup, one milestone at a time.
There is no 'manzil', so enjoy the journey. :)

> badal Daalii mirii taqdeer jis ne
> na puuchho vuh Khayaal-e-Khaam kyaa hai

I will ask. 'vuh' kyaa hai Irfan sahib?

> ziyaadah se ziyaadah chaNd sikke
> mataa-e-fan kaa :Abid: daam kyaa hai

Well, the real 'daam' is 'daad', jo ek baar phir haazir hai, qubuul kiijiye.

> niyaazmand,
> Irfan :Abid:

Thanks Irfan sahib for keeping the group alive. It is particularly slow these days and your participation is even more valuable than usual.

_______Zoya

Irfan Abid

unread,
Nov 22, 2021, 11:36:21 AM11/22/21
to
On Saturday, November 20, 2021 at 10:03:45 AM UTC-5, Zoya wrote:
> On Sunday, November 14, 2021 at 7:37:20 PM UTC-6, Irfan Abid wrote:
> > aadaab, dosto!
> >
> > ek taazah Ghazal haazir-e-Khidmat hai. mulaahizah farmaaiye aur apnii raae se navaaziye.
> aadaab, Irfan sahib,
>
> aap kii ghazal maiN ne chand roz qabl paRh lii thi, lekin kaam kii masruufiyat thi so javaab likhne meN zaraa taaKhiir ho gayi. daad qubuul kiijiye.
>

Zoya sahiba, aadaab!

nazar-e-inaayat aur pazeeraaii kaa bahut bahut shukriya!

> > Ghazal
>
> Irfan sahib, aap ki yeh ghazal mujhe aap ke diigar taazah kalaam se zara alag lagi. is meN har sh'er ek 'independent thouhgt' rakhtaa hai, aur ruk kar sochne par majbuur kartaa hai. Nice. Thanks.
> > yahaaN par chain kyaa, aaraam kyaa hai
> > bhalaa dunyaa meN in kaa kaam kyaa hai
> in kaa kaam to bahut hai, lekin yeh aaj kal zaraa kam kam hii nasiib hote haiN. :)

bajaa farmaayaa aap ne. is she'r kaa tanziya andaaz bhii yahii kahne ke liye apnaayaa gayaa hai.

> > bahaanaa hai bashar ke imtihaaN kaa
> > vagarnaa gardish-e-ayyaam kyaa hai
> Too much testing!

True.

> > pareshaaN zihn aur bikhraa huaa ghar
> > husuul-e-maal kaa anjaam kyaa hai!
> Irfan sahib, yeh voh she'r hai jo ek baar paRhne par mujhe yaad ho gaya thaa, aur pichhle ek hafte se mere zehn meN ghuum rahaa hai. Every time I go into my closet, I think, too many shoes, too many purses, too much of everything. I quit counting after 60 shoes and 30 purses! Oh and who can use over 50 lipsticks, especially on perpetually masked lips?!
> All right sir, your she'r got me thinking, it is 'Fall cleaning' time! :-)
>
> See, what unexpected good your poetry is doing! :-))

As long as the unintended consequences are positive, I am fine. :)

> > samajhnaa chaahiye insaaN ko ab to
> > ki aaKhir vaqt kaa paiGhaam kyaa hai
> Trying to understand.

You are at least trying. Some people don't even try. :)

> > mire aage kahaaN aayaa vuh, saaqii
> > maiN kyaa jaanuuN Khushii kaa jaam kyaa hai
> Your 'vuh' again! It took me a few seconds to absorb that this time around it is 'Khushii kaa jaam'. Irfan sahib, this is the third time it has happened to me while reading your recent kalaam. Is it just me, or is this something to think about??

If you keep the context in mind, things might be a little clearer to you. If 'vuh' is the only subject mentioned and the she'r doesn't further elaborate it, chances are it refers to the mehboob/ma'shooq. That's not the case here. The meaning of the she'r is 'how can I tell what what happiness feels like when I never experienced it (vuh.)'

> > isii ko kehte haiN kyaa ishq, ai dil
> > yih bechainii sii sub'h-o-shaam kyaa hai?
> Not necessarily, could be something totally unrelated! :-)

For those suffering from high blood pressure, may be. :)

> > divaanapan sazaa-e-ishq hai Khud
> > junuuN vaaloN pe ab ilzaam kyaa hai!
> Interesting.

Thanks!

> > ye kehte kehte aa pahuNchaa kahaaN maiN
> > ki raah-e-ishq meN ik gaam kyaa hai
> Yup, one milestone at a time.
> There is no 'manzil', so enjoy the journey. :)

Not sure if you got the meaning so please let me elaborate. What's being said is 'I didn't see much risk in taking just one step on this path, but see where I am now!'

> > badal Daalii mirii taqdeer jis ne
> > na puuchho vuh Khayaal-e-Khaam kyaa hai
> I will ask. 'vuh' kyaa hai Irfan sahib?

Some things are prettier when they are hidden. :)

> > ziyaadah se ziyaadah chaNd sikke
> > mataa-e-fan kaa :Abid: daam kyaa hai
> Well, the real 'daam' is 'daad', jo ek baar phir haazir hai, qubuul kiijiye.
>

navaazish, karam, shukriya, mehrbaani!

> > niyaazmand,
> > Irfan :Abid:
>
> Thanks Irfan sahib for keeping the group alive. It is particularly slow these days and your participation is even more valuable than usual.
>
> _______Zoya
>

Always grateful for your patronage.

niyaazmand,
Irfan :Abid:
0 new messages