Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

dost hota nahi her...........afsana

28 views
Skip to first unread message

arzoo

unread,
Mar 23, 2004, 1:23:15 PM3/23/04
to
Dost....hota nahi her haath milanay wala .

Raat kay bara baj chukay thay , wo Amreeka kay shehar new york ki
mashhoor street " time square " main , bad hawas aur gum sum sa shal
say qadmoon kay saath chal raha tha .jab bhi wo buhut akaila hota to
yahaan ki roshnyoon main khud ko samonay ki koshish karta . laikin aaj
to jaisay wo ird gird ki rangeen aur roshan dunya say bay niyaz tha ,
reh reh kay us kay kanoon main aik awaaz ubhar rahi thi " yaar tumhain
, hamari dosti ka wasta , mairay haal pe reham karo .....us larki ka
khiyal dil say nikal do kioonke tumhain shaid pata nahi , pichlay
haftay hum donoo ki mangni ho gaey hay".ye filmi dialog thay jo wo
kuch dair pehlay daikh kay aaia tha , laikin wo soch raha tha ke
filmain hamari zindigi say churaey hoay waqaeaat hi hoti hain kioonke
aisa aik waqaia to us kay saath bhi paish aaia jab us kay jigri dost
aur chacha zaad bhaey Asad ka nikah us ki phuphi zaad Tanya say howa .
go is baat ko arsa guzar gaia laikin aaj ki film usay phir peechay lay
gaey .
usay aaj bhi Asad kay alfaaz ko goonj sunaey daiti thi , " Bilal ,
yaar .....mujhay tumhari doosti pe bharoosa hay , tum phupho kay
rishtay ko mairi khater inkaar kar do gay...tumhain to pata hay Tanya
kay baghair main nahi reh sakta. " ye jumla soch kay us nay aik lambi
aah bhari aur socha ke kaash wo bhi kuch aisa Asad ko keh sakta laikin
, us ko to chup hi lag gaey. waldain Tanya kay liyay poochtay rahay
aur us nay khamoshi say waqt guzar diya . aur Asad janta hay ke Tanya
ki shadi say pehlay hi wo akhir Amreeka kioon aa gaia tha , laikin
sirf jannay say dosti ka haq ada to nahi hota .

Bilaal ko yahaan aey hoay ye paanchwaan saal tha , Tanya Asad ki phir
do baityaan hoein, phir aik baita , wo Asad kay saath behreen chali
gaey aur yoon Bilaal is qissay ko khawb samjh kay bhool gaia , jahaan
Asad ki khud gharzi nay usay dunya say muhtaat kar diya ,wahaan apnay
aesaar nay us kay dil ko aur wusat day di, Amreeka ki dushman fizaaon
main bhi us kay apnay dost, ehbaab thay. chand aik coleage bhi us kay
dostoon say kam na thay. wo sab ki sunta , sab kay saath acha paish
ata , mushkil waqt main sab say pehlay aur her waqt tayaar rehta ,
pichlay paanch barsoon main kaey Asad aey , aur her baar esaar aur
qurbaani ka zajba kam honay ki bajaey barhta hoa us ki fitrat-e- sanya
ban gaia .

dost us kay volet say akser paisay nikal laitay ...wo khamosh rehta
..kisi nay police say bachnay ko us ka naam lay liya ...wo aik aah
bhar kay chup raha ....hata ke us kay credit card bhi chori chupay
istemaal hoay ...aur wo khamoshi say bhugat gai....us kay nazdeek
shaid dosti kay maani ab yehi thay ...ke doosroon ki " khud gharzi
"..." fraud "...." matlab parasti" ...aur " khud parasti" pe khamosh
rehna ...aur apnay nuqsaan pe kabhi ranj na karna...yehi wajah thi
shaid ke wo sab ka dost tha laikin us ka dost koey na tha . ......us
ka dost sirf us ka dil tha ..jo her baar la mehdood ho kar itna phail
jata ke usay apnay nuqsaan ki fikar hi na hoti.

. isi dauraan us kay office main aik naey coleage ka izafa hoa "
Ambreen gul." jo ke us ki matehet as an accountant kaam karti thi.
maghrib main mashriq say aey hoey larkyaan , libaas to badal laiti
hain laikin kahin ander apnay aqdaar nahi badaltin , Bilaal nay
coleage honay kay tamam fraez pooray kiyay usay hamaisha office kay
kamoon main guide kiya aur yoon ye taluq barhnay laga . usay na
chahtay hoay bhi wo achi lagnay lagi , pehlay pehal to khud usay
yaqeen nahi aaia ke kia iak insaan doosri baar bhi " muhabbat" jaisi
bala main giraftaar ho sakta hay , laikin waqt kay saath usay ya manna
para ke wo la shaorri taur per " Ambreen gul " ko chahnay laga hay.
laikin ye baat us nay kisi pe ayaan nahi honay di hata ke khud Ambreen
us kay is jazbay say anjaan ....apnay Pc pe nazray jamaey sara din
kaam main magan rehti.

pichlay saal ,December ki pehli barf bari ki baat hay ke , Bilaal kay
waldain nay jab usay shadi kay liyay mukhtalif larkyoon ki tasweerain
bhaijni sharoo kin to us nay , unhain bataia ke wo pehlay hi yahaan
kisi ko pasand kar chuka hay , aur aaj kal main hi us say is baray
baat karnay wala hay.
mausam ki doosri barf baari hoey to , us nay socha ke is saal kay
ikhtetaam say pehlay usay ye kaam kar laina chahyay , us roz wo khaas
taur per ehtamam say tayyar hoa aur , tamheed kay liyay alfaaz sochta
hoa office pohncha , to Ambreen gul kay maiz per taza phooloon ka
guldasta daikh kar us ki saans ruknay lagi . ....wo us ki maiz kay
paas ruka salam kiya aur kaha" Miss gul ...ye phool buhut khoobsoorat
hain"...." ji sir , aaj mairi birthday hay , .." phir qadray ruki aur
nazrain jhuka kay boli " mairay fiance nay bhaijay hain " ....Bilaal
ko laga us kay ooper manoon barf aik dam aan pari hay , ......wo
mushkil say muskaraia aur apnay maiz pe aa gaia ...Bilaal ko is baar
bhi chand din hi lagay sambhalany main , halaat nay usay insaanoon say
umeedain khatam karna sikha diya tha . ......us nay bas itna kiya ke
kuch dinoo baad apnay office ki doosri branch main shift ho
gaia...kioonke wo chahta tha Ambreen gul ..un phooloon ki tarha
mehakti rahay.

jab apni si koshish nakaam hoey to us nay waldain ki marzi ko qabool
kar liya , aglay mah wo Pakistan gaia aur wapsi pe apni bivi kay
hamrah buhut khush lauta.... " Seher Bilaal nay apni chulbuli adat say
us kay khoey hoay qehqehay aur mizaaj ki rangeeni lauta di. ...saal
aik kay arsay main usay jaisay dunya jaahaan ki khushyaan mil
gaey...khilaaf-e- tawaqu Seher waqaey main us ki zindigi ki naey subha
ban ker aey aur usay jaisay ......wo apnay phailay hoay dil main
utarti hoey mehsoos hoey. ....waqt ka pata na chala aur ... saal ka
arsa guzar gaia ...miyaan bivi kay taluq main ...wo sharoo walai
muhabbat jab phailnay lagi ..to ab aik doosray .....ki ghalat sahee ka
idraak honay laga ....Seher ki zid thi ke wo aur Bilaal ...us ki behen
ki shadi pe Pakistan jain ...laikin Bilaal ko kuch office ki
majbooryaan thi....bas isi choti si baat ko lay kay wo ...pareshaan
tha ....

us din office aaia to messege receiving machine per Ambreen gul ka
paighaam tha " Sir mujhay aap say zaroori baat karni hay.....main aaj
apnay office main aap ka intezaar karoon gi "
Ambreen gul ka paighaam suntay hi , jaisay us kay samnay taza phooloon
ka guldasta aa gaia ...sara din kaam kartay waqt usay baar baar usi ka
dheyaan raha.... .akhir us nay Ambreen say milnay ka faisla kar liya
aur office timing kay baad usay milnay gaia . ....adhay ghantay baad
wo purany office main dakhil hoa to sab ja chukay thay laikin Ambreen
....wahaan intezaar karrahi thi...
" hi...sir Bilaal .." Hi..." wo usay daikhnay laga ....pholoon ka
tarawat us kay chehray pe usay kahin nazer na aey..." kaisi hain aap
miss gul" ye aap ki sehat ko kia hoa ? ..us nay hairangi say daikhtay
hoay poocha ." bas theek hoon...aap ko shaid maloom nahi .....mujhay
divorce ho chuki hay....pichlay do mah say case chal raha hay ...." us
ki ankhain bhar aein . "oh..afsos hoa sun kay ..mujhay elm nahi tha
...siskyoon main wo boli " Sir , mujhay aap ki maded chahyay isi
silsilay main ..aaj kal lawyer say nibatna aur documents waghaira jama
karwana mujh akaili kay liyay mushkil hay ...aur ab jab ke mujhay is
job ki sakht zaroorat hay , mujhay yahaan say janay kay orders aa gaey
hain .." saath hi wo phoot phoot kar ronay lagi . " aap plz kuch
kijyay , kuch dair tak ye job na jaey" ...Bilaal ko samjh na aey kia
karay aur bola " Aap fikar na karain main boss say baat karoon ga
..aur aap fikar na karain apnay lawer ka number dain main us say bhi
contact karoon ga " ...Aglay aik haftay main wo isi bhag daur main
raha jab tak ke Ambreen ki mushkilaat asaan na hoon gaein.

aaj is baat ko doosra hafta tha ....Seher nay pichlay do din say qata
kalaami kar rakhi thi ...isi wajah say us say kaam nahi ho pa raha tha
....ke darwazay pe halki knock hoey ..us nay ooper dakha to Ambreen
aik taza phoolon ka guldasta pakray , muskarati hoey us kay office
main dakhil hoey .." hello sir ! this is for u ....and thank you so
much for being so nice to me" ....Bilaal us ki achanak amad pe aik dam
hairaan hoa ..phooloon ko daikh kay muskaia aur kaha " laikin is ki
kia zaroorat thi " ....is ki zaroorat thi sir bas aap is kay haqdaar
hain " wo muskarati hoey baith gaey ...pandra - das minute ki baat
cheet kay baad Ambreen nay ijazet chahi aur seet say uthi ..us nay
haath barhaia aur kaha .." ok ..sir " now we are like frineds
"...right ?" Bilaal nay haath barhaia hi tha ke akhri lafz sun kay
thithak gaia ....aur haath peechay khainch liya ..." it's ok ..main ab
chaloon gi ,,,mujhay dair ho rahi hay " " haan khuda hafiz ...aur phir
say in phooloon ka shukriya " .....Ambreen kay janay kay baad ....wo
dair tak us kay baray sochta raha ...aur ajeeb si soch nay kab usay
time square main la khara kiya usay pata na laga .

wo soch kam aur khud kalami ziada kar raha tha ... aaj jab usay waqaey
kisi nay dosti kay qabil samjha to us nay haath kioon nahi barhaia
...wo Ambreen ko kehna chahta tha ke " tum takaluf ko bhi ikhlas
samjhtay ho fraz " dost hota nahi her haath milanay wala .." bhala wo
is rishtay pe eatamaad kaisay karta ...jis nay her baar usay sirf aur
sirf azmaia tha ...aur hamaisha bari say bari qurbaani mangi ....wo to
dosti kay lafz kay baghair hi sab say dostyaan nibhata aaia tha
,,,phir akhir logoon ko ..dost honay kay liyay poochna kioon parta hay
?dosti kay liyay haath kioon barhana parta hay??kia waqaetan kisi dost
ko is takaluf ki zaroorat hoti hay?? is rishtay ki stamp laga kar kia
koey khud ko dost sabit kar sakta hay? ....ye dosti ka rishta to
insaniyat ka rishta hay ....eemaan ka rishta hay hay ...khuloos ka
taqaza hay ....poori bani nauinsaani ..per wajib hay ....phir log isay
aik fard ka farz kioon samjhtay hain ? aur bhala kia koey waqaey kisi
ka dost ho sakta hay martay dam tak? na mumkin hay ...log kioon nahi
samjhtay ke doosti apni zaat main wasee maani rakhti hay ..sirf chaar
harf nahi ...aur Ambreen gul ager tumhain abhi tak mairi dosti nazer
nahi aey to haath milanay kay baad, kaisay nazer aey gi? tum apni zaat
say niklo to tumhain kisi ka rang bhi nazer aey ...akhir sab apna aks
sanwartay kioon nahi thaktay ? time square ki rangeenyoon main us
jaisay kaey log sir jhukaey bas chalay ja rahay thay ...haazaar dost
ehbaab kay hotay hao bhi apni zaat main tanha ...khud say sawal kartay
hoay ....khud hi ko jawab daitay hoay na janay kis talash main?
ikeeswin sadi ka ye almiya kon samjhay ke .....dost honay kay liyay
aesaar chahyay ....jo guzray hoay logogon kay saath kahin dafan ho
chuka hay ?

raat gaey wo ghar lauta to...Seher usay sofay pe batihi mili... us ki
ankhoon say zahir tha wo buhut roey hay ...aik dam uthi siskyoon main
boli " Bilaal ...main kahin nahi jana chahti ...bas tum ainda itni
dair say ghar na ana " ye keh kay Bilaal kay kandhay say sir tika kay
ronay lagi ..." Sehri , aisay nahi rotay ....mujhay bas yoonhi zara
dair ho gaey ..." us nay Seher ko kandhoon say paker kay kaha ." Aap
ko maloom hay time kia hay ? raat kay do baj rahay hain ....na khana
khaia ho ga aap nay na kuch ...mujhay maloom hay aap mujh say khafa
hain" us nay ansoon main bheegi awaz say kaha ." ...Bilaal nay ansoo
saaf karti Seher ki muhabbat pe muskatay hoay kaha ." nahi ..bhala
main apni piyari si dost say , khafa kaisay ho sakta hoon " us nay us
ki thori oonchi kartay hoay kaha .."..hain na hum dost is liyay ab
sulah ...hay na ..? ..bolo ?" bolo .." bolo bhi"? ...geeli ankhain
muskaany lagin aur Seher nay haan main sir hila dia.

Nazimuddin Khalish

unread,
Mar 27, 2004, 7:08:58 AM3/27/04
to
a_r...@hotmail.com (arzoo) wrote in message news:<8d4dca1d.04032...@posting.google.com>...

Buhot khoob aur asar.angaiz afaasna hai, aur aik talkh haqeeqat ka
ehsaas dilaata hai. Thanks for sharing.

Mukhlis

Khalish

arzoo

unread,
Mar 27, 2004, 3:55:18 PM3/27/04
to
Asslamo alikum,

buhut shukrya khalish sahab . aap ki raey say mairi hausla afzaey hoey .

nazimq...@yahoo.com (Nazimuddin Khalish) wrote in message news:<f165c725.04032...@posting.google.com>...

0 new messages