Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

Munawwar Rana

385 views
Skip to first unread message

Roomi

unread,
May 6, 2009, 8:54:20 AM5/6/09
to
Dear Friends,
AAap sab log ne Rana Sahab ke sher kahe jo bahot hi khhobsorat hain,
yah kuch sher jo mujhe pasand hain woh aap sab ke liye.

Har ek chahra yaha par gulal hota hai,
aapke sahar me pattar bhi lal hota hai,
kabhi kabhi to mere ghar me kuch nahi hota,
magar jo hota hai RIZK-E-HALAL hota hai.


Mohabbat karne walon me yah jhagda dal deti hai,
siyasat dost ki jad me mattha dal deti hai,
tawayaf ki tarah apni galatkari ke chahre per
hukumat mandir aur masjid ka parda dal deti hai,
hukumat moo bharai ke hunar se khoob waqif hai
yah har kutte ke aage sahi tukda dal deti hai.


Dukh bhi la sakti hai lekin january achchi lagi.
Jis tarah bachcho ko jalti phuljhari achchi lagi.
Tere daman mei sitare hain to honge aye falak.
Mujhko apni MAA ki mailee odhni achchi lagi.


Balandi deer tak kis shaks ke hisse me rahti hai,
bahot uchi imarat har ghadi khatre me rahti hai,
yah aisa karz hai jo mai aada kar nahi sakta
mai jabtak ghar naa lautun meri maa sajde me rahti hai.


Seyasi aadmi ki shakal to pyari nikalti hai,
Magar jab guftagu karta hai to chingari nikalti hai,
honto pe muskurahat dil me bezari nikalti hai,
bade logon me hi aksar yahi bimari nikalti hai.

Agar daulat se sab kad ka andaza lagate hain,
to phir aai muflisi dau par hum kasa lagate hain

Shayri kuch bhi ho ruswa hone nahi deti,
mai siyasat me chala jaun to nanga hojaun.

mohabbat ko zabardasti lada jaa nahi sakta
kahi khidki se meri jaan almari nikal hai

kisi ka kad bada dena kisi ka kad ko kam kahena
hame aata nahi namohtaram mohtaram kahna


Ebad Nomani
09890807197

Naseer

unread,
May 7, 2009, 2:24:24 PM5/7/09
to
janaab-i-Ebad Nomani Sahib, aadaab.

Munawwar Rana ke kalaam ke namuune pesh karne kaa bahut bahut
shukriyah. kahiiN kahiiN paRhne meN thoRii-bahut diqqat pesh aa'ii hai
lekin shaa'irii kamaal kii hai. mujhe yih shi'r bahut achchaa lagaa.

muHabbat ko zabardastii laadaa jaa nahiiN saktaa
kahiiN khiRkii se merii jaan almaarii nikalii hai


KHair-andesh,
Naseer

Roomi

unread,
May 24, 2009, 1:37:17 AM5/24/09
to
Salam Mohtarma
Hun ne jo bhi Rana sahab ke sher likhe woh sab bahot khoobsurat
hain,
pasant appni apni hoti hai isliye aapko ek sher zada pasand aya,
kuch aur muntakhab sher Rana sahab
ke..........................................


kab kisi ko dil ki halat ka pata deta hun main
jisse bhi milta hun kasdan muskura deta hun
zindagi kuch is qadar khich ke mili mujhse
inteqaman sab ko jine ki duwa deta hun main

samaji bebasi har shaher ko maqtal banati hai
kabhi chambal banati hai kabhi naksal banati hai
zara si baat hai lekin hawa ko kaun samjhai
diye se meri maa mere liye kajal banati hai
suna hai jab tai hote hai rishte aasmano me
woh pagli rooz-o-shab badal banati hai

Mai sohraton ki balandi pe jaa nahi sakta,
jaha urooj pe pahcho zawal hota hai.

Balandi par pahochna sab ki kismat me nahi shayd,
Dhuwa uper to uthta hai bahot uper nahi jata.

buzorgon kaa darr mere dil se nahi jaata
jaagti rahti hai MAA mai ghar nahi jaata

naa supari nazar aye naa sarauta nikla
maa ke batuwe se dua nikli wazifa nikla

Jism par mitti malenge hum pak hojaige hum.
Aai zameen ek din teri khorak hojaige hum.
Aai garibi dekh raste hame mat chod.
Aai aamiri dur rah hamse napak hoja

duniya teri raunaq se mai uoob raha hun
tu chand mujhe kahti thi mai doob raha hun
ab koi sanasha bhi dikhai nahi deta
barso mai isi shahar ka mahboob raha hun

har ek awaaz urdu ko fariyadi batati hai,
ye pagli phir bhi ab tak khud ko shehzaadi batati hai..
kayi baatein muhabbat sabko buniyadi batati hai,
jo pardaadi batati thi wahi daadi batati hai...
jahan pichhle kayi barson se kaale naag rehte hain
wahan ek ghosla chidhiyon ka tha daadi batati hai...
abhi tak ye ilaqa hai rawadaari ke kabze mein,
abhi firkaparasti kam hai aabaadi batati hai...
yahan veeraniyon ki ek muddat se hukumat hai,
yahan se nafratein guzri hain barbaadi batati hai...
lahoo kaise bahaya jaaye ye leader batate hain,
lahoo ka zayka kaisa hai ye khadi batati hai...
ghulami ne abhi tak mulq ka peechha nahi chhoda,
humein phir qaid hona hai ye azaadi batati hai...
gareebi kyun humare shehar se bahar nahi jaati,
ameer-e-shehar ke ghar ki har ek shaadi batati hai...
main un aankhon ke maykhane mein thhodi der baitha tha,
mujhe duniya nashe ka aaj tak aadi batati hai...

yah aur kuch sher hai Rana Sahab ke insha allah aane wale kal me aur
bhi likhunga.

Ebad Nomani
09890807197

0 new messages