Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

ishq kya hai???

4,096 views
Skip to first unread message

kashif

unread,
Mar 22, 1999, 3:00:00 AM3/22/99
to

ishq par zor nahiN hai yeH woh aatish GHALIB
jo lagaye na lage aur bujhaye na bane

aakHir ishq hai kya?


ishq hi duniya ka sabse baRha sach hai. lekin ishq ka matlab woH nahiN
jo aamtaur se zahaN meiN aata hai, yaane aik laRhka aur laRhki ke
darmayaan ishq. ishq woH nahiN, ishq to us se kahiN baRhkar hai, ishq
bahut hi paak hai yeH insaan ko kHuda se milaata hai.

duniya meiN jo sabse sach-cha ishq hai , woH hai maaN ka us ke bach-che
se. aulaad kitni hi nalayaq kyuN na ho, maaN ko hamesha taNg karti ho,
phir bhi maaN hamesha apni aulad ko dil se lagayi rahti hai. is se 2
baatoN ka pata chalta hai, pahla ishq aik tarfa hota hai ( aulaad ko
maaN se koi lagav ho ya na ho, maaN ko bach-che se ishq hota hai)
doosri baat keH ishq ki koi wajah nahiN hoti ( yaane aulad ka haseen,
zaheen ya phir koi aur karamat karne ki zaroorat nahiN hoti, maaN har
haal meiN apne bach-che ko chahegi, chahe woH is duniya ko jeet le ya
phir woH nakaam, saRhkoN par phire)

to, ishq donoN taraf se bhi ho sakta hai, magar hoga woH dono taraf se
aik tarfa. yaane, agar aik shakHs doosre se bad-salooki ( ya koi aur
wajah) kare tab bhi doosre ke ishq meiN kami nahiN aani chahiye. magar
aisa sach-cha ishq to bahut kam hi dekhne ko milta hai

hum hi dushman to nahiN haiN apne
gHair to tujh se mohabbat hi sahi

ishq sirf insaan se nahiN , kisi cheez se bhi ho sakta hai ishq, kHuda
se ishq.

humare jo sufis hueiN haiN ( jinhone hindustan meiN islaam ko phailaya)
unhe kHuda se ishq tha, jo urdu shayari meiN ishq ka zikr hota hai, woH
dar-asal kHuda ke ishq ki baat honi chahiye, shuru meiN humaari shayari
yahi thi. magar kHuda se ishq ka aik rasta yeH bhi hai keH baNdo se ishq
karo. magar hua yuN keH humare sho'ara insaani ishq meiN yuN ulajh gaye
keH allah ko hi bhool gaye.

yahaaN yeH bhi kahna zaroori hai keH shayari meiN jis sharab aur nasha
ke baare meiN zikr hota tha woh bhi ishq ka hi naha tha. magar baad ke
sufiyoN ne is ishq ko is kuchh junoon aur diwanepan ki had tak le gaye,
aur namaz hi chhoRh di, jo keH gHalat tha. allah ne apni ibadat ka
tareeqa bataya hai, aur use to man-na hi paRhega. ibadat bhi ishq ka aik
darja hai.

mohabbat aur ragHbat :

ragHbat: jab koi cheez ya koi shakHs humeiN achha lagta hai, to woH
ragHbat hai. yaane ke us shakHs ka saath achha lage, us se baateiN karne
ka jee chahe. yahi ragHbat aage baRh kar mohabbat ho jaati hai. mohabbat
meiN ji karta hai keH woH shakHs sada humare saath rahe, yuN hi pyaar ki
baateiN karta rahe. magar mohabbat meiN jealousy bahut hoti hai, woH yeH
bardaasht nahiN kar sakta keH mere alawa woH kisi aur se baat kare. (
ishq meiN yeH jeoulsy nahiN hoti)

chahat :


chahat ka angrezi meiN tarjuma "attraction" hoga halaN-keH yeH puri
tarah sahi nahiN hai. jo aam taur se laRhko aur laRhkiyoN ke darmiyaan
hota hai, woH "chahat" hoti hai. chahat ki koi wajah hona bahut zaroori
hai, amuman koi physical wajah. maslan, aaNkhe, baal, hoNTh ya phir
kuchh aur. yeH aik waqti jazba hota hai, jo waqt ke saath bahut jaldi hi
kHatam ho jaata hai.

junoon aur diwanapan:

dimagH nahiN dil ka jazba hai. magar ismeiN hota yeH hai keH aashiq apne
dil meiN mahboob ki aik tasveer bana leta hai aur phir usi talaash meiN
bahaTakta rahta hai, yeH ishq meiN kami se ya zyada ishq se bhi ho sakta
hai, yaane, jo ishq contol meiN na aa sake. ishq meiN dil aur dimagH
donoN ka dakHal rahta hai magar junoon aur diwanapan meiN sirf dil,
dimagH is halat meiN kaam nahiN karta ya kaam nahiN karta is liye yeH
halat ho jaati hai :-) .


jahaaN tak mera kHyaal hai, maine ishq ke sare pahlu ko cover kiya hai,
yeH sab mere kHyalaat haiN, ho sakta hai keH koi kuchh aur sochta ho.
yeH sab ishq ke mar-haleiN haiN aur insaan aik mar-hale se doosre meiN
ja sakta hai, bal-keH aksar yahi hota hai.

**************************************************************************

to hazraat ye the mere tassuraat ishq ke baare meN. aap bhi apna apna
izhaar-e-kHyaal kareN.

--
faqat

kashif

+===+===+===+===+===+===+===+===+===+===+===+===+==+
nayi subah par nazar hai magar aah ye bhi Dar hai
ye sahar bhi rafta rafta kahiN shaam tak na pahuNChe
---- Shakeel Badayuni

*****************************************************
http://www.urdustan.com :Urdu's home on the net
+===+===+===+===+===+===+===+===+===+===+===+===+===+


Umang Bali

unread,
Mar 23, 1999, 3:00:00 AM3/23/99
to

kashif wrote:

> ishq par zor nahiN hai yeH woh aatish GHALIB
> jo lagaye na lage aur bujhaye na bane
>
> aakHir ishq hai kya?

Sab se pehlae to aap se ik sawaal ka jawaab chahiye janaab....itni lambi-
chauDi post "ishq" par...kahiye kya irada hai? kahin ishq to nahin farma
baiTHe :))))

Khair, aap ki post se mutalliq chand tas'suraat pesh-e-khidmat hain...

>
>
> ishq hi duniya ka sabse baRha sach hai. lekin ishq ka matlab woH nahiN
> jo aamtaur se zahaN meiN aata hai, yaane aik laRhka aur laRhki ke
> darmayaan ishq. ishq woH nahiN, ishq to us se kahiN baRhkar hai, ishq
> bahut hi paak hai yeH insaan ko kHuda se milaata hai.

aap ne farmaya ki "ishq duniya ka sab se baDa sach hai"... "Sab se baDa
sach"..
magar agar insaan ki buniyaad hi na ho to phir ishq kiya, aur rashk
kiya...insaan
hai to jazbaat hain...aur jazbaat hain to ishq hai....meri zahaanat mein
"hayaat"
zindagi ka sab se ahm sach hai....

>
>
> duniya meiN jo sabse sach-cha ishq hai , woH hai maaN ka us ke bach-che
> se.

jahaN ishq khayali taur par ik falsafi mauzoo hai, .vahan ishq aam zindagi
mein
aik be-jism insaan ka sa ehsaas bhi rakhta hai. kiyon ki roz marrah ki
zindagi mein ishq ki paemaa'ish muqad'daspan ke tarazu main hai...isi
paemaa'ish
ki dain hain ishq ke mukhtalif numaa'indae, maslan maa aur aulaad vegerah
vegerah...

aap ki di hui misaal mein aik baat ka izaafa karna chahun ga vo yeh ki aik
aulaad ka jo jazbi naata hai apni maaN se us ka sab se sundar pehlu is se
behtar kiya hoga ki jab bhi kisi chhoTe bach.chae ko chOt lagti hai to
aansuoN ke saath saath us ke laboN par maaN ka naam yak lakht chala aata hai.
aik nazar se dekhain to yeh bhi to ishq hi hai...

>

> ishq sirf insaan se nahiN , kisi cheez se bhi ho sakta hai ishq, kHuda
> se ishq.
>
> humare jo sufis hueiN haiN ( jinhone hindustan meiN islaam ko phailaya)
> unhe kHuda se ishq tha, jo urdu shayari meiN ishq ka zikr hota hai, woH
> dar-asal kHuda ke ishq ki baat honi chahiye, shuru meiN humaari shayari
> yahi thi. magar kHuda se ishq ka aik rasta yeH bhi hai keH baNdo se ishq
> karo. magar hua yuN keH humare sho'ara insaani ishq meiN yuN ulajh gaye
> keH allah ko hi bhool gaye.
>
> yahaaN yeH bhi kahna zaroori hai keH shayari meiN jis sharab aur nasha
> ke baare meiN zikr hota tha woh bhi ishq ka hi naha tha. magar baad ke
> sufiyoN ne is ishq ko is kuchh junoon aur diwanepan ki had tak le gaye,
> aur namaz hi chhoRh di, jo keH gHalat tha. allah ne apni ibadat ka
> tareeqa bataya hai, aur use to man-na hi paRhega. ibadat bhi ishq ka aik
> darja hai.

Punjabi adab mein be-shumar sufiana kalaam isi mauzoo pe tehrir kiye gaye
hain.
"khuda se muhab'bat" .

Khwaja Ghulam Farid, Sultan Bahoo, Sarmast, Bulle Shah, Ghulam Rasool, aur
bhi bahut se shayar(jo mujjhe is vaqt yaad nahin aa rahe) hue hain jin ne
baD-chaD
kar is mauzoo pe bahut kuchh tehrir kiya hai.

Maslan, Khwaja Ghulam Farid ka ye kalaam:

meinDa ishq vi tu, meinDa yaar vi tu
meinDa deen vi tu, imaan vi tu
je yaar Farid qubool kare shaala
ilm vi tu, irfaan vi tu

meinDa = mera, my(about the only multani word I know :))) )
(I am writing from memory so please forgive the mistakes)

aur ye ishq aur nashae ki jo baat aap ne cheDi hai..us par Khwaja Ghulam Farid

ke ye chand misare to waqe hi daad talab hain:

ishq te aatish doN hi baraabar
ateh ishq ka da daaNv tikhera
aatish saaDe kath te kanera
ateh ishq saaDe dil jeDa
aatish nu paani bujhave
te das'so ishq da daru kehDa
aakhe Ghulam Farida , othe kuj nahin vachda
jith'the ishq ne laa laya Dera

Rough translations are as follows:

ishq aur aathish dono barabar
magar ishq ka daaNv hai teekha
jala.ae hai aatish tan aur kapDe magar
raakh kar deta hai dil ko ishq
aatish ko to paani bhujhaae
magar ishq ka ilaaj hai kiya, bataaO?
udhar kuchh nahin bachta "Ghulam Farid"
jahan ishq basa le Dera

love and fire are equivalent
but love is the harder taskmaster
fire may burn body and clothes
But the soul is schorched by love
water extinguishes fire
What extinguishes love?
Ghulam Farid says: "all is destroyed where ishq makes it
home"

Chaliye bahut lambi ho chuki ye post...baqi phir sahi... jaate jaate chand
ashaar ba-qaul-e-Amjad Islam Amjad

yeh ajeeb khel hai isq kaa, main nay aap daekha yeh
mo'jaza
woh jo lafz mere gumaaN mein thay, woh teri zabaan peh aa
gaye


aap ke tas'suraat paD kar bahut maza aaya....magar, mera sawaal mat bhooliye
ga :))

kahir andesh,

Umang

>
>
> --
> faqat
>
> kashif
>
>


Padmanabhan Srinagesh

unread,
Mar 23, 1999, 3:00:00 AM3/23/99
to
Umang Bali wrote:
>
> kashif wrote:
>
> > ishq par zor nahiN hai yeH woh aatish GHALIB
> > jo lagaye na lage aur bujhaye na bane
> > SNIP

Muddat ke baad ALUP mein raunaq laut aayi hai.

I really appreciated reading the many contributions that were sparked by
Raj Kumar's long-awaited return. Kashif Sahib's views on ishq were
particularly interesting to me. I have just begun reading a book by
Anand Coomaraswamy, The Dance of Shiva, which contains the following
passage: : " All that India can offer to the world proceeds from her
philosophy. This philosophy is not, indeed, unknown to others - it is
equally the gospel of Jesus and of Blake, Lao Tze and Rumi - but nowhere
else has it been made the essential basis of sociology and education".

In another book I read recently, A. Bausani wrote an article on Ghalib's
Persian poetry, and concluded with: "It is certain, however, that some
verses of Ghalib call to mind Sankara's monism or even certain aspects
of modern dialectical idealism."

Ghalib's work can arouse a strong sense of deja vu in readers from
different backgrounds. I'll try to post some excerpts from Bausani's
article soon. Now that I have acquired glasses, I find I can read Urdu
and Persian after all. At a cost. I have had to give up my long held
belief that the only people who wear glasses are the ones who are too
lazy to focus their eyes properly!

Nagesh

0 new messages