yeh 1949 ki baat hai. maiN Amritsar meiN college student tha aur mere
baRe bhaai, jo mujh se 3 baras baRe the (aur ba'ad meiN Parvez ke naam
se mash'hoor huye), voh bhi vaheeN par hi the. ailaan hua ke Chitra
Talkies, Amritsar ke hall meiN aek shaandaar mushaa'ira hone jaa rahaa
hai. yeh mushaa'ira na to Indo-Pak tha aur na hi kul-Hind, magar khaas
baat yeh thi ke, taqseem-e-mulk ke ba'ad, yeh Amritsar vaaloN ke liye
pehla mushaa'ira tha jis meiN Punjab se baahar ke sho'raa bhi tashreef
laane vaale the. ba-har-haal, hamaare liye yeh pehla mauqa' tha ke ham
aise vasee' paimaane par ho rahe mushaa'ire ka lutf uThaa sakeN.
vaqt aane par, ham dono bhaai Chitra Talkies jaa pahuNche. Ticket
window par lambi qataar dekh kar hairaan bhi huye aur khush bhi --- ke
mushaa'ira achhchha hi hoga jo itne log joq-dar-joq chale aa rahe haiN.
abhi ham soch hi rahe the ke kis qeemat ke ticket khareedeN ke achaanak
meri nazar aek saahib-e-pur-viqaar par paRi. nihaayat ro'b-daab vaala
chehra aur sar par dastaar-o-kulaah --- maiN ne Parvez se
kahaa, "dekho, yeh to Mehroom Sahib haiN".
[maiN ne unheN fauran pehchaan liya kiyooNke voh, teen baras pehle,
hamaare ghar, mere bahut baRe bhaai Professor Zia ke saath, Lahore se
tashreef laaye the. Hamaare haaN hi ruke the (magar sirf aek din ke
liye) aur, hamaare school meiN unhoN ne aek nishast meiN apna kalaam
bhi sunaaya tha aur is visit meiN apne pur-viqaar conduct se har shakhs
ko muta'assir kar ke gaye the].
Parvez bole, "chalo in se milte haiN". ham dono bhaai aage baRhe aur
himmat kar ke Mehroom Sahib ke paas ja pahuNche. abhi ham ne namaste
kehne ko haath joRe hi the ke voh fauran bol uThe,
"are beTa, tum Zia Sahib ke bhaai ho?"
"jee haaN".
"pitaa ji kaise haiN"?
"ji, bilkul Theek haiN".
"maata ji kaisi haiN"?
"ji, voh bhi Theek haiN".
"to kya mushaa'ira sun'ne aaye ho"?
"ji haaN".
"Ticket le liye haiN"?
"ji naheeN, abhi to naheeN liye".
"to phir mat leejiye ga, koi zaroorat naheeN".
maiN aur Parvez aek doosre ka muNh takne lage. itni der meiN, unhoN ne
buland aavaaz meiN aek nau-javaan shaa'ir ko, jo koi paanch-saat gaz ke
faasile par khaRaa tha, aavaaz di, "Jagan Nath, zaraa idhar aao". voh
aaye to un se kehne lage, "dekho, yeh Zia Sahib ke bhaai haiN aur
mushaa'ira sun'ne aaye haiN. inheN apne saath andar le jaana". unhoN ne
kahaa, "ji, zaroor" aur ham se mukhaatib ho kar kehne lage ke "tum dono
bhaai yaheeN khaRe raho. shaa'ir log 'us' darvaaze se andar jaayeN ge.
vaqt aane par aap dono mere saath ho leejiye ga. fil-haal yaheeN khaRe
raho".
ham phir aek doosre ka muNh takne lage ke yeh kya kamaal ho rahaa hai!
shaa'iroN ka jamghaTaa baRhta gayaa aur hameN fikr laahaq hone lagi ke
kaheeN Azad Sahib hameN bhool hi na jaayeN. un ke vaalid saahib ke
kehne par, ham ne to Ticket bhi naheeN khareede the! aakhir, sho'raa ke
daakhile ka vaqt aa pahuNcha aur Azad Sahib jhaT se hamaari taraf
lapke. ham dono bhaaiyoN ko saath le kar hall meiN daakhil huye. deegar
sho'raa to stage par chaRh kar apne apne maqaam par baiThne lage, magar
Azad Sahib hameN biThaane ke liye munaasib seateN DhooNDhne lage. agli
paanch satareN 'khaas mehmaanoN' ke liye reserved theeN. unhoN ne hameN
pehli satar meiN do seateN dilvaa deeN aur hameN vahaaN biThaa kar khud
stage par jaa baiThe.
apni seateN lete hi ham ne nazar idhar-udhar dauRaai to hosh uRne lage.
kahaaN ham 16 aur 19 baras ke chhokre aur kahaaN aas-paas baiThe
huye 'elite log'. mujh se chaar seateN pare, hamaare college ke
principal aur Angrezi ke professor B.L.Kapoor tashreef farmaa the; un
ki baghal meiN, usi college ke Hindi ke professor biraajmaan the.
doosri taraf dekha to Punjabi ke mash'hoor kavi Pandit Dhani Ram
Chaatrik jalva-afroz the; un ke saath, Khalsa College ke principal aur
mahaa-vidvaan shakhsiyat Bhai Jodh Singh tashreef-farmaa the. pichhli
satar meiN, Amritsar ke mash'hoor vakeel Lala Kirpa Ram aur saath hi
aek aur mash'hoor vakeel Hans Raj Khanna (jo ba'ad meiN Supreme Court
ke judge huye) baiThe the. ham se do qadam pare, mahaa-impressive
shakhsiyat Pandit Chaand Narain Raina khaRe the; chooNke voh Amritsar
ke Deputy Commissioner bhi the aur is mushaa'ire ke sadr bhi, is liye
idhar-udhar dekh kar mahaul ka jaa'iza le rahe the........
aur, is 'brilliant galaxy' meiN, maiN aur Parvez do madhdham diyoN ki
tarah jhilmilaa rahe the!
mushaa'ira abhi shuroo' naheeN hua tha, aur maiN idhar-udhar dekh kar
Parvez se baar-baar ulTe-seedhe savaal kar rahaa tha ---
bhalaa in Angrezi vaaloN ko Urdu mushaa'ire se kya vaasta?
bhalaa yeh Hindi vaale kya khaak samajh paayeN ge?
bhalaa yeh Punjabi vaale yahaaN kya kar rahe haiN ?
aur yeh vakeel log --- kahaaN vakaalat, kahaaN shaa'iri? ---
maiN savaal karta jaata tha aur Parvez mere har savaal par aek hi baat
kehte the, "chup reh"!
jab mushaa'ira shuroo' hua to maiN, chand hi minToN meiN, samajh gayaa
ke yeh sabhi log Urdu ke aashiq aur ghazal ke deevaane the --- aur,
apni apni specialties ke baa-vujood, achhchhe khaasse Urdu-daan bhi
the. Oh boy, the way they responded to a good she'r --- it was
unbelievable!
baaqi agli qist meiN ----
Raj Kumar
Sent via Deja.com http://www.deja.com/
Before you buy.
-tabasuum
In article <8ekcvs$ff1$1...@nnrp1.deja.com>,
--
tabassum
You are as good a narrator as you are a poet. Your memory seems
to be great ! I don't remember nothing (yes a double-negative)
from last year, let alone when I was 16 :-( ...
anyways, truly enjoyed your post ! Eagerly awaiting its
next qist(s) !
kaamraan
* Sent from RemarQ http://www.remarq.com The Internet's Discussion Network *
The fastest and easiest way to search and participate in Usenet - Free!
aap ki yaad-daasht ka kya kehna :-)
ALUP par ham sab ke saath 'memorable events' share karne ka bahut bahut
shukriya.
is 'serial' ki agli qist aur doosre events ka bhi intezaar rahe ga :-)
sab hi baateiN bahut hi dilchasp theiN . magar aap ne to bilkul TV waloN
ki tarah serial ke most interesting hisse par ye qist khat'm kar di
........yaani mushaa'ira shuroo hua ......... qist khat'm ????
LOL!!
Abida Sultana
Oooooohhhhhh !!! I am excited. nisf sadi purana mushai'ra zinda hone
ja raha hai, sochiye ki kitna maza aayega.
waise raj sahib, abhi baqi kitna hissa hai ? :)
-Najam
mujhe der se khayaal aaya. This title is not in prose. This is
baa-qaydaa a baher.
kya hey kisii ki (perhaps Raj Kumar saab kii) ghazal se hai? Agar
nahiin hai to honii chhahiye. achchhii bhli baher ko akelaa nahiin
rahena bhahiiye.
> do chaar baras ki baat naheeN, yeh nisf sadi ka qissa hai!
>
> Oooooohhhhhh !!! I am excited. nisf sadi purana mushai'ra zinda hone
> ja raha hai, sochiye ki kitna maza aayega.
mazaa zaroor aaye ga, Najam Sahib. I guarantee it!!! :-))
vaise, meri jaanib se aap ka aur sabhi deegar dostoN ka shukriya ---
jinhon ne is daastaan-goi meiN dilchaspi zaahir ki hai!
> waise, raj sahib, abhi baqi kitna hissa hai ? :)
bhai, aap ka savaal baRaa 'intriguing' rahaa. pehle to maiN yeh samjha
ke aap keh rahe haiN:
zaahid! khudaa ke vaaste kar qissa mukhtasar
apni to neeNd uR gayee tere fasaane meiN! :-))
aur maiN kehne vaala tha ke, huzoor,
tamheed hi se aap to bezaar ho gaye!
sun'na jo chaahiye voh sunaaya naheeN hanooz!!! :-))
mazeed socha to samajh aayee ke aap ne apna savaal kuchh yooN murattib
kiyaa hai ke 'qissa' ka ham-qaafiya lafz 'hissa' iste'maal ho jaaye!
phir to aap ka savaal be-had dilkash lagne lagaa!
khair, javaaban arz hai ke maiN ne abhi tak kisi bhi shaa'ir ki 'stage
performance' ki to baat hi naheeN ki; mazaa to jab aaye ga!
vaise, itna bataa deta hooN ke Mehroom aur Azad aur Raina Sahib ke
ilaava mujhe aap ko Josh Malsiani, Bismil Shaahjahaanpuri aur Saaghar
Nizaami ke baare meiN kayee baateN bataani haiN. aur chooNke, is mauqe
par, maiN apni zindagi meiN pehli baar 'Urdu culture' se roo-shinaas
hua tha, is liye yeh mushaa'ira mere liye aek sang-e-meel ki ahamiyat
rakhta hai.
achhchha, ab ijaazat deejiye.
khair-aNdesh, Raj Kumar
> do chaar baras ki baat naheeN, yeh nisf sadi ka qissa hai!
>
> mujhe der se khayaal aaya. This title is not in prose. This is
> baa-qaydaa a baher.
> kya yeh kisii ki (perhaps Raj Kumar saab kii) ghazal se hai? Agar
> nahiin hai to honii chhahiye.
aap ka mushaahida bilkul saheeh hai, azeeza! yeh unvaan vaaq'ii aek
standard baihr meiN hai aur vaaq'ii kisi ki ghazal ka hissa hai ---
magar meri ghazal ka naheeN, kisi achhchhe shaa'ir ki ghazal ka! :-))
poora she'r mulaahiza farmaaiye:
tashkeel-o-takmeel-e-fan meiN jo bhi Hafeez ka hissa hai
do chaar baras ki baat naheeN, yeh nisf sadi ka qissa hai!
maiN ne poori ghazal kabhi naheeN suni; pataa naheeN ke poori ghazal
hai bhi ya naheeN --- kiyooNke yeh qaafiya bahut tang hai!
> achchhii bhali baher ko akelaa nahiin
> rahena chahiiye.
sirf baihr hi naheeN, Ayesha ji, meri raaye meiN to kisi ko bhi akela
naheeN rehna chaaiye! isi liye to mujhe har vaqt aap ki fikr lagi rehti
hai!!! :-))
khair-aNdesh, Raj Kumar
Raj ji(or anyone else), please explain the she'r.
bejaan Nawanshahri (vaise to yeh naam mehez Hashmat ko taNg karne ke
liye ikhtiyaar kiya tha, lekin ab pasand aane lag gayaa hai :))
In article <8ekcvs$ff1$1...@nnrp1.deja.com>,
rajkp...@my-deja.com wrote:
>
>
THanks Vivek Ji for saying mere dil ki baat.
there are four words above, I would request someone to explain.
maiN to yeh samjha tha ke meri azeeza meri madad ko aayee haiN aur
Vivek Sahib ke savaaloN ka javaab dene jaa rahi haiN. magar, jooNhi aap
ka khat paRhaa, be-had dil-shikani hui --- jab yeh gyaan hua ke khud
aap ko bhi kayee alfaaz ke ma'ani darkaar haiN!
magar, Ayesha ji, yeh kya ke "I would request SOMEONE to explain"?
Theek hai, karti raho intezaar us SOMEONE ka jo aap ki mushkil hal
karne aaye ga aur aap ke savaaloN ka javaab de ga! :-))
aap seedhi tarah kiyooN naheeN kehteeN ke "ustaad-e-mohtaram, agar aap
is she'r ka matlab samjhaa deN to aap ki be-had navaazish hogi"? :-))
(still) khair-aNdesh, Raj Kumar --------- LOL
be-jaan saahib:
maiN aaj phir shaam ki da'avat par kaheeN gayaa hua tha. ghar lauTa to
aap ka khat dekha --- maiN ne, baghair ise paRhne ke, apni begum
saahiba se kahaa ke "dekhiye, be-jaan nawaanshaihri ka khat mere naam
aaya hai". voh ghabraa gayeeN; kehne lageeN ke "is zaalim ne 'Hashmoo
gadhe' ko to be-jaan kar ke rakh diya hai, kaheeN aisa na ho ke ab apni
kamaan ka rukh aap ki jaanib moRa ho. aap is khat ko na hi paRheN to
achhchha hoga, kiyooNke abhi aap ke be-jaan hone ke din naheeN haiN"!
maiN ne kahaa ke "bhali log, maiN un ke khat ka javaab dooN ya na dooN,
magar use paRhna to chaahooN ga hi". boleeN ke "Theek hai, agar zaroor
paRhna hi hai to pehle apni davaai kha leN. aakhir, aap dil ke mareez
haiN, maiN naheeN chaahati ke aap vaqt se pehle hi chal deN". maiN ne
kahaa "Theek hai, maiN davaai khaa kar hi is zaalim ka khat paRhooN ga".
ab hamaari 'maadari zabaan' meiN davaa ka matlab daaroo hota hai aur
daaroo ka matlab jaam-e-mai hota hai. is liye, maiN ne apni mantiq
laRaai aur apni makhsoos 'davaa' taiyaar kar ke do ghooNt ooper
chaRhaaye aur aap ka khat paRhne baiTh gayaa. aek haath 'mouse' par
rakhkha aur doosra apne dhaRakte huye dil par --- yaqeen jaaniye, mere
dil ke muqaabile meiN yeh naa-muraad 'mouse' ziyaadah stable thi.
khair, jab aap ka khat paRhaa to be-had maayoosi hui. mera khayaal tha
ke aap ne apne makhsoos andaaz meiN meri dhajjiyaaN uRaai hoN gi, magar
do-chaar satareN hi paRheeN to vaazeh ho gayaa ke ab aap ki baNdooq
meiN kaartoos naheeN rahe! :-))
ba-har-haal, jab maiN ne apni dil-shikani ki khabar begum saahiba ko di
to kehne lageeN ke ho sakta hai yeh saahib abhi aap ko TaTol rahe haiN.
dekhna chaahate haiN ke aap kitne paani meiN haiN. agar aap ne zarra
bhar kamzori bhi dikhaai to yeh zaalim aap ki 'aisi ki taisi' kar de
ga! maiN ne kahaa, "naheeN, maana ke yeh shakhs DeeNgeiN bahut maarta
hai, magar aakkhir ko hai to be-jaan! kya kar le ga mera"? kehne
lageeN "phir bhi aise ko na hi muNh lagaao to achhchha hai". maiN ne
kahaa ke "Theek hai, aap jo kehti haiN --- Theek hai"!
ab voh, as usual, 'neeNd ke bahaane' sone gayee haiN to maiN aap ko
chori-chhupe khat likh rahaa hooN! kamaal hai --- log to ma'ashooqoN ko
chori-chhupe khat likhte haiN aur maiN yahaaN baiTha aik aise shakhs se
mehv-e-guftgoo haiN jis meiN kehne ko 'jaan' bhi naheeN hai! :-))
> kehna yeh hai ki aap ne jo yeh daastaan_goi ka silsilaa shuru
> kiya hai, yeh be_hadd pasaNd aaya. aap pehle bhi, ek 'side note' ki
> tarah, kabhi-kabhi apni posts meiN apne ta'jurboN (or is it
> ta'jurbaat??) ka zikr karte rahe haiN. un ko paRh kar hamesha man
> karta tha ki kaash aap se jaan-pehchaan hoti, aur aap ke kahiN kareeb
> meiN hi rehte hote, to aap se woh daastaaneN sunaa karte. aur jab aap
> kii yeh post paRhi, to lagaa jaise kisii hadd tak to woh aarzoo poori
> ho
> gai hai. yooN lagta hai ki aap ke zariye un shakhsiyatoN ko chhoo
> rahe
> haiN jin ki likhi ghazaleiN aur nazmeiN humeiN aksar chhoo ke guzar
> jaati
> haiN.
> baaki qishtoN ka intezaar rahega
>
> bejaan Nawanshahri (vaise to yeh naam mehez Hashmat ko taNg karne ke
> liye ikhtiyaar kiya tha, lekin ab pasand aane lag gayaa hai :))
khair, daastaan-goi ko pasand farmaane ka shukriya, saahib. voh
'side notes', jinheN maiN 'digressions' kehta rahaa hooN, har shakhs ko
marghoob rahi haiN. koshish karooN ga ke aise silsile jaari raheN,
kiyooNke mere paas to tarah tarah ke khazaane haiN --- kami sirf is
baat ki hai ke koi looTne vaala hi naheeN milta! :-(
khair-aNdesh, Raj Kumar
are nahiN raj sahib qissa muKhtasar mat kijiyega, bahut dinoN ke baad
to ALUP ki bahaar lauti hai, ise kuch dinoN to qaayam rahne dijiye.
> mazeed socha to samajh aayee ke aap ne apna savaal kuchh yooN murattib
> kiyaa hai ke 'qissa' ka ham-qaafiya lafz 'hissa' iste'maal ho jaaye!
> phir to aap ka savaal be-had dilkash lagne lagaa!
chaliye der se hi sahi aap mere sawaal ki tah tak to pahunche :))
> khair, javaaban arz hai ke maiN ne abhi tak kisi bhi shaa'ir ki 'stage
> performance' ki to baat hi naheeN ki; mazaa to jab aaye ga!
> vaise, itna bataa deta hooN ke Mehroom aur Azad aur Raina Sahib ke
> ilaava mujhe aap ko Josh Malsiani, Bismil Shaahjahaanpuri aur Saaghar
> Nizaami ke baare meiN kayee baateN bataani haiN. aur chooNke, is mauqe
> par, maiN apni zindagi meiN pehli baar 'Urdu culture' se roo-shinaas
> hua tha, is liye yeh mushaa'ira mere liye aek sang-e-meel ki ahamiyat
> rakhta hai.
main bahut hi betaabi se muntazir hooN. aap ke is qisse ki doosri qist
mein Rina sahib ka thoda sa zikr hai, lekin un ke zikr se zyadah waqai
un ki ghazal ka matlaa tha, bahut Khoob.
jaari rakhiye..
mukhlis
Najam
tashkeel -> shakl dena (creation)
takmeel -> mukammal (completion)
Hafeez -> Name of the poet
nisf sadi -> Half century
tashkeel-o-takmeel-e-fan meiN jo bhi Hafeez ka hissa hai
do chaar baras ki baat naheeN, yeh nisf sadi ka qissa hai!
probably it's clear now !!
waise raj sahib aap zara 2-4 example de kar batayeN na. :))
Mukhlis
-Najam
> Raj sahib ma'af kijiyega, apni aql ke hisaab se matlab batane ki
> koshish kar raha hooN agar kuch ghalti ho to theek kar dijiyega.
Najam Sahib:
aap ki sab se baRi ghalati to yeh hai ke aap 'ghalati' ko 'ghalti'
kehte haiN --- tabhi to log aap ko Urdu ki authority naheeN maante aur
homework karne ki talqeen karte haiN! LOL
mazaaq bar-taraf, maiN khush hooN ke aap ne mera kaam halka kar diya.
aap ne jo kuchh kahaa durust kahaa, phir bhi maiN ne socha ke thoRi si
haashia-aaraai maiN bhi kar dooN --- kiyooNke ab to Ayesha Sahiba
ne 'seedhi tarah' meri madad talab ki hai! :-))
> tashkeel -> shakl dena (creation)
> takmeel -> mukammal karna (completion)
> Hafeez -> Name of the poet
> nisf sadi -> Half century
>
> tashkeel-o-takmeel-e-fan meiN jo bhi Hafeez ka hissa hai
> do chaar baras ki baat naheeN, yeh nisf sadi ka qissa hai!
>
> probably it's clear now !!
chooNke maiN ne yeh she'r khud Hafeez Sahib ke muNh se, Dehli Cloth
Mills ke aek mushaa'ire meiN, suna tha, is liye maiN do-aek baateN is
zimn meiN kehna chaahooN ga........especially because Ayesha ji didn't
even recognize the name of the poet who wrote the national anthem of
Pakistan!
[yeh aur baat hai ke is anthem ki faarsiyat par choT karte huye, Majeed
Lahori ne (tongue-in-cheek) kahaa tha: "are, koi hai, jo hamaare qaumi
taraane ka tarjuma hamaari qaumi zabaan meiN kar de"?] :-))
Hafeez Jaalandhri is sadi ke mash'hoor Urdu shaa'iroN meiN se the aur
aek zamaane meiN in ka naam Jigar, Firaaq, Josh aur Faiz ke saath saath
liya jaata tha. voh apne aap ko apne deegar ham-asaron (contemporaries)
se kaheeN bar-tar samajhte the, magar haqeeqat yeh hai ke beshtar log
un ki is raaye se muttafiq naheeN the. voh apne aap ko Allama Iqbal ka
jaa-nisheen bhi samajhte the, magar taareekh-e-adab-e-Urdu meiN unheN
itna ooNcha maqaam naheeN mil sakaa. chooNke aihl-e-zabaaN naheeN the,
is liye kisi had tak ehsaas-e-kamtari (inferiority complex) ka shikaar
bhi the. maiN ne jitne mushaa'iron meiN unheN dekha ya sunaa --- voh
hamesha Firaaq Sahib ko neecha dikhaane ke dar-pai hote the. kuchh is
vajah se aur kuchh un ki chiRchiRi tabiyat ki vajah se, voh Dilli ke
halqoN meiN, aur khaas kar akhbaaraat ke naama-nigaaroN meiN, maqbool
naheeN the. Pakistan se aaye huye sho'raa meiN se, jo qadr Faiz Sahib
ki hoti thi --- us ke muqaabile meiN in ki bahut kam hoti thi.
phir bhi, aek maane huye shaa'ir the, jinheN Begum Akhtar ke gaaye huye
naghme "abhi to maiN javaan hooN" ne amar banaa diya the. vaise, maiN
ne yeh naghma bhi khud Hafeez Sahib ke muNh se sun rakhkha hai.
amooman, un ka kalaam bhi achhchha hota tha aur tarannum to bahut hi
achhchha tha; unheN sun kar lutf aa jaata tha --- magar jab stage par
baiThe baiThe 'bickering' karne lagte the to saara mazaa kirkiraa ho
jaata tha.
mandarja-baala she'r bhi unhon ne aise hi mood meiN paRha tha. apna
kalaam sunaa rahe the. aek ghazal poori hui to kisi ne farmaa'ish ki ke
apni nazm 'raqqaasa' sunaayeN. fauran bigaR gaye aur bole, "kya maiN ne
bas aek hi nazm likhkhi hai jo sunaata jaaooN?" phir lecture dene lage
ke unhoN ne apni zindagi meiN Urdu adab ke liye kya kuchh kiya hai.
aisa kehte huye, unhoN ne yeh she'r paRhaa tha:
tashkeel-o-takmeel-e-fan meiN jo bhi Hafeez ka hissa hai
do chaar baras ki baat naheeN, yeh nisf sadi ka qissa hai!
I hope you can now see this she'r in its full perspective.
khair-aNdesh, Raj Kumar
Regards,
Vijay
aye...@my-deja.com wrote:
>
> tashkeel
> takmeel
> Hafeez
> nisf
>
> THanks Vivek Ji for saying mere dil ki baat.
> there are four words above, I would request someone to explain.
>
>chooNke aihl-e-zabaaN naheeN the, is liye kisi had tak ehsaas-e-
>kamtari (inferiority complex) ka shikaar
> bhi the.
Raj Sahib, un kaa yeh she'r, jo unhoN neN Miir kii aik ghazal kii zimm
meN kaha tha, shayad isii ehsaas-e-kamtari kii tarujmaanii karta hai:
jang chhiR jaae meN agar keh dooN
yeh hamaarii z'baan hai piyaare
(guftagoo reKhte meN ham se naa kar
yeh hamaarii z'baan hai piyaare)
> phir bhi, aek maane huye shaa'ir the, jinheN Begum Akhtar ke gaaye
huye naghme "abhi to maiN javaan hooN" ne amar banaa diya the.
Is naghme ko shayad Begum Akhtar neN bhii gaya ho, lekin is kii
ba-vastgii Malika Pukhraaj kii awaaz se ziaadah hai.
Respectfully,
Vijay Kumar
khudaa-haafiz
bejaan
> > kehna yeh hai ki aap ne jo yeh daastaan_goi ka silsilaa shuru
> > kiya hai, yeh be_hadd pasaNd aaya. aap pehle bhi, ek 'side note' ki
> > tarah, kabhi-kabhi apni posts meiN apne ta'jurboN (or is it
> > ta'jurbaat??) ka zikr karte rahe haiN. un ko paRh kar hamesha man
> > karta tha ki kaash aap se jaan-pehchaan hoti, aur aap ke kahiN
kareeb
> > meiN hi rehte hote, to aap se woh daastaaneN sunaa karte. aur jab
aap
> > kii yeh post paRhi, to lagaa jaise kisii hadd tak to woh aarzoo
poori
> > ho
> > gai hai. yooN lagta hai ki aap ke zariye un shakhsiyatoN ko chhoo
> > rahe
> > haiN jin ki likhi ghazaleiN aur nazmeiN humeiN aksar chhoo ke guzar
> > jaati
> > haiN.
> > baaki qishtoN ka intezaar rahega
> >
> > bejaan Nawanshahri (vaise to yeh naam mehez Hashmat ko taNg karne ke
> > liye ikhtiyaar kiya tha, lekin ab pasand aane lag gayaa hai :))
>
> khair, daastaan-goi ko pasand farmaane ka shukriya, saahib. voh
> 'side notes', jinheN maiN 'digressions' kehta rahaa hooN, har shakhs
ko
> marghoob rahi haiN. koshish karooN ga ke aise silsile jaari raheN,
> kiyooNke mere paas to tarah tarah ke khazaane haiN --- kami sirf is
> baat ki hai ke koi looTne vaala hi naheeN milta! :-(
>
> khair-aNdesh, Raj Kumar
aayenda khayaal rakhooNga.
-Najam
In article <8epgnd$68b$1...@nnrp1.deja.com>,
rajkp...@my-deja.com wrote:
> phir bhi, aek maane huye shaa'ir the, jinheN Begum Akhtar ke gaaye
huye
> naghme "abhi to maiN javaan hooN" ne amar banaa diya the. vaise, maiN
> ne yeh naghma bhi khud Hafeez Sahib ke muNh se sun rakhkha hai.
> amooman, un ka kalaam bhi achhchha hota tha aur tarannum to bahut hi
> achhchha tha; unheN sun kar lutf aa jaata tha --- magar jab stage par
> baiThe baiThe 'bickering' karne lagte the to saara mazaa kirkiraa ho
> jaata tha.
>
> mandarja-baala she'r bhi unhon ne aise hi mood meiN paRha tha. apna
> kalaam sunaa rahe the. aek ghazal poori hui to kisi ne farmaa'ish ki
ke
> apni nazm 'raqqaasa' sunaayeN. fauran bigaR gaye aur bole, "kya maiN
ne
> bas aek hi nazm likhkhi hai jo sunaata jaaooN?" phir lecture dene
lage
> ke unhoN ne apni zindagi meiN Urdu adab ke liye kya kuchh kiya hai.
> aisa kehte huye, unhoN ne yeh she'r paRhaa tha:
>
> tashkeel-o-takmeel-e-fan meiN jo bhi Hafeez ka hissa hai
> do chaar baras ki baat naheeN, yeh nisf sadi ka qissa hai!
>
> I hope you can now see this she'r in its full perspective.
>
> khair-aNdesh, Raj Kumar
NICE FICTION!
HAQEEQAT SAY TA'ALLUQ = SIFAR(ZERO)~FI-SAD [0%]
KEEP IT IT UP!
IS MAYn KOI PAAP YAA PUnYA THOrAA HII!
faqat duur~aNdesh,
Hashmat