Faani sahab mairee ghazlain paish karnay ka shukria. Jab say yahaan
aayaa hoon ab to ye kahnay per mujboor hoon
multafat hotaa nahiiN hai gaah tuu
kis qadar masroof hai Allaah tuu
Baharhaal waiting room main Akbar say mulaqaat hooee. unhoN nay yay
islaah farmaa'ee hai
multafat hotaa nahiiN hai gaah too
kis qadar maGhruur hai Allaah too
mujh se kitne jaan se jaate rahe
kis ki mayyat ke gayaa ham raah too
bai Khvudii rahtii hai ab aksar mujhe
Haal se maire nahiiN aagaah too
us ke dil meN kaam karnaa kaam hai
yuuN falak par kyoN nah jaa ai aah too
farsh haiN aaNkheN hi tairii raah meN
aah Tuk to daikh kar chal raah too
jii talak to muNh nah moReN tujh se ham
kar jafaa o jaur Khaatir Khvaah too
kaahish e dil bhii du chandaaN kyoN nah ho
aaNkh meN aave nah do do maah too
dil dihii kyaa kii hai yuuN hii chaahiye
ai zahe too aafiriiN too vaah too
"Miir" too to 'aashiqii meN khap gayaa
mat kisii ko chand rauz ab chaah too