> Naseer
____________
***janaab Naseer sahib:
aap ne bajaaa farmaaya k maiN hamesha "donoN" ki bajaaye "dono" likhta huuN. vajah is ki yeh k maiN ne kabhi maHsuus hi nahiiN kiyaa k yahaaN "nuun-Ghunna" ka hona zaruuri hai. zaraa sochaa to mujhe Khud apne aap se puuchhna paRaa, "are miyaaN, jab tum "teenoN", "chaaroN", "paaNchoN" meN nuun-Ghunna Daalte ho, to "donoN" meN kyuuN nahiiN Daalte"?
javaab milaa k "aa'iNda se aisa hi hoga"! :-)
ba-qaul-e-Faiz,
donoN jahaan teri moHabbat meN haar ke
voh jaa rahaa hai ko'i shab-e-Gham guzaar ke
Khair-aNdesh, Raj Kumar***