Inshaa Jee kiyoN aashiq ho kar dard ke haathoN shor karo
dil ko aur dilaasa de lo, mann ko miyaN kThor karo
aaj hameN is dil kii hikaayat duur talak le jaani hai
shaaKh pe gul hai baaGh meN bulbul, jii meN magar veraani hai
ishq hai rog kaha thaa ham ne, aap ne lekin maana bhii?
ishq meN jii se jaate dekhe, Inshaa jaise daana bhii
ham jis ke liye har des phire, jogi kaa badal kar bhes phire
bas dil kaa bharam reh jaae gaa, yeh dard tu achha kya ho ga
Zuhra Sahiba, aadaab.
For some reason I expected this nazm to be a little longer. However, I
know now that , that's all there is to it! Nevertheless, I like this
nazm very much, especially:-
> aaj hameN is dil kii hikaayat duur talak le jaani hai
> shaaKh pe gul hai baaGh meN bulbul, jii meN magar veraani hai
A couple of typos. "kyoN", "kaThor".
KHair-KHvaah,
Naseer
bahut shukriyah Zuhra jii.
saal do saal pehle maiN ne bhii Ibn-e-Insha kaa kuChh kalaam Alup par
post kiya tha, ho sake to aap voh puraane threads dekhiyega.
in kii ek aur bahut hii dil paziir ,aur ghaur talab nazm pesh hai:
farz karo ham ahl-e-vafa hoN, farz karo diivaane hoN
farz karo yeh donoN baateN jhuuTii hoN afsaane hoN!
farz karo yeh jii kii biptaa jii se joR sunaayi ho
farz karo abhii aur ho itnii, aadhi ham ne Chhupaayi ho
farz karo tumheN Khush karne ke dhuuNDe ham ne bahaane hoN
farz karo yeh nain tumhaare sach much ke maiKhaane hoN
farz karo yeh rog ho jhuuTa, jhuuTii piit hamaarii ho
farz karo is piit ke rog meN saaNs bhii ham pe bhaarii ho
farz karo yeh jog-bijog kaa ham ne Dhong rachaaya ho
farz karo bas yahii haqiiqat, baaqii sab kuch maaya ho!
Ibn-e-Insha
____Zoya
Hi Zoya,
Nice one.
Chhaya Ganguli has sung this one in an album composed by Muzaffar Ali.
Thanks.
Khushboo
Thank you. :)
Yes, Khushboo, I have heard this nazm in Chhaya Ganguli's voice. But I
personally like it better in a male Pakistani singer's voice. I can't
think of the singer's name right now, but I think it is a PTV
recording, perhaps from the seventies.
vaah vaah Zuhra jii, kya Khuub misra hai! bahut hii Khuub! :)
Zoya sahiba, aap ke Insha kii Ghazals par thread dekh kar mujhe laga
hai ke aap ne Inshaa ko kaafi paRha hai aur isii liye aap se Insha kii
aik aur nazm ke liye request kar rahi hooN :) mujhe iss nazm kaa
unvaan yaad nahi, bas do-aik she’r haiN zehn meN jo yahaN likh rahi
hooN, shayad in se aap ko nazm yaad aa jaae:
aik hii shab hai taveel, itnii taveel, itnii taveel!
Apne ayyam meN amroz nah fardaa logo
ab koii aa’e tu kehna ke musaafir to gayaa
yeh bhii kehna ke bhalaa ab bhii na jataa logo!
agar yeh nazm ho aapke paas to ise bhii kabhii ALUP par zaror post
kijiye gaa (jab bhii vaqt ho).
Regards,
Zuhra
Zuhra jii,
is vaqt mere paas Ibn-e-Insha kii sirf ek kitaab hai, 'chaand nagar',
aur jis nazm kaa zikr aap ne kiye hai, voh is kitaab meiN nahiiN hai.
agar puuri nazm kahiiN se mil gayii to zaruur pesh karuuN gi.
vaise 'chaand nagar' meiN is se milti julti ek aur nazm hai, 'yeh
sarai hai'. yeh nazm bhii mujhe hamesha se bahut pasand rahii hai.
jaise hii vaqt milaa, is nazm ko bhii yahaaN post karne kii koshish
karuuN gi.
shukriyah.
__Zoya
dar asl is laRii kaa 'unvaan hai "Ibn-e-Insha ki *ek*nazm"! is liye
kuchh jhijak saa rahaa huuN!
ho nah dunyaa meN ko'ii ham saa bhii pyaasaa logo
jii meN aatii hai kih pii jaa'eN yih daryaa logo
kitnii is shahr ke saKHiyoN kii sunii thii baateN
ham jo aa'e to kisii ne bhii nah puuchhaa logo
ittifaaq-an hii sahii, par ko'ii dar to khultaa
jhilmilaataa pas-i-chilman ko'ii saayaa logo
sab ke sab mast rahe apne nihaaN-KHaanoN meN
ko'ii kuchh baat musaafir kii bhii suntaa logo
hoN ge is shahr meN kuchh is ke bhii paRhne vaale
yuuN to yih shaKHs bhii mash_huur thaa KHaasaa logo
kisii daaman, kisii aaNchal kii havaa to miltii
jab sar-i-raah yih vaa-maandah giraa thaa logo
ek tasviir thii kyaa jaaniye kis kii tasviir
naqsh mauhuum se awr rang uRaa saa logo
ek aavaaz thii kyaa jaaniye kis kii aavaaz
us ne aavaaz kaa rishtah bhii nah rakhaa logo
kuchh patah us kaa hameN ho to tumheN batlaa'eN
kaun ghar? kaun nagar? kaun muHallah logo
chand HarfoN kaa mu'ammah thaa vuh uljhaa suljhaa
us ne to naam bhii puuraa nah bataayaa logo
haa'e yih dard kih mushkil se thamaa thaa dil meN
chaaNd puunam kaa abhii se nikal aayaa logo?
phir vahii dasht, vahii dasht kii tanhaa'ii hai
vaHshat-i-dil ne kahiiN kaa bhii nah rakhkhaa logo
us meN himmat hai to dar aa'e uThaa de yih Hisaar
apne gunbad meN to dar hai nah dariichah logo
jii kii jii hii meN rahiiN HasrateN tuufaanoN kii
yih safiinah to kinaare hii pih Duubaa logo
aaj kii Daak se kyaa ko'ii lifaafah aayaa?
kaisii sar-goshiyaaN karte ho are kyaa logo?
ko'ii paiGhaam-i-zabaanii bhii nahiiN, kuchh bhii nahiiN
ham ne apne ko bahut der saNbhaalaa logo
band aaNkheN hu'ii jaatii haiN, pasaareN paa'oN
niiNd sii niiNd, hameN ab nah uThaanaa logo
ek hii shab hai taviil, itnii taviil, itnii taviil
apne ayyaam meN imroz nah fardaa, logo
ab ko'ii aa'e to kahnaa kih musaafir to gayaa
yih bhii kahnaa kih bhalaa ab bhii nah jaataa logo
raah takte hu'e pathraa sii ga'ii thiiN aaNkheN
aah bharte hu'e chhalnii hu'aa siinah logo
hoNT jalte the jo letaa thaa kabhii aap kaa naam
is tarH awr kisii ko nah sataanaa logo
....................................................................................
KHair-KHvaah,
Naseer
Beautiful.
chand HarfoN kaa mu'ammah thaa vuh uljhaa suljhaa
us ne to naam bhii puuraa nah bataayaa logo
Thanks Naseer Sahib.
Regards,
Khushboo
mujhe Khadsha hai Zuhra saahiba k is laRi kaa unwaan aik baar phir
badalnaa paRe gaa. vo kis waaste k meri naaqis raaye meN ye nazm
naheeN bal k Ghazal hai!
aadaab arz hai,
Zafar
Absolutely amazing. So very Ibn-e-Insha!
Khushboo, maiN bhii yahii sher 'quote' karne vaali thi! :)
Thank you so much, Naseer sahib.
____Zoya
> mujhe Khadsha hai Zuhra saahiba k is laRi kaa unwaan aik baar phir
> badalnaa paRe gaa. vo kis waaste k meri naaqis raaye meN ye nazm
> naheeN bal k Ghazal hai!
>
> Zafar
Zaf sahib,
A question for you: kya aisii musalsal ghazal ko nazm bhii keh sakte
haiN?
Ibn -e-Insha ke is kalaam ke saath saath is vaqt mere zehn meiN Ahmad
Faraz kaa kalaam "barasoN ke baad dekhaa ik shaKhs dilruba saa" bhii
aa rahaa hai, jo ghazal numaa hai, lekin tasalsul aisaa hai k maiN ne
hamesha use nazm maana hai. mere zaati hisaab se ghazal kaa koii bhii
sher apne aap meiN ek mukkamal Khayaal hota hai, lekin in musalsal
ghazaloN ke biich meiN se koii sher akelaa paRhaa jaaye, to aksar
adhuuraa saa lagtaa hai.
Thanks for providing another learning opportunity, you know I am a
perpetual student of Urdu poetry!
___Zoya
Naseer sahab, aap ne jo Insha kaa kalaam pesh kiya hai, mujhe yeh aaj
google search karte hue "phir wohi dasht" ke unvaan se nazar aayaa
hai. kyaa aap kii kitaab meiN bhi yeh Ghazal/Nazm kaa koii unvaan hai
ya nahi?
Zuhra
Zuhra Sahiba,
jii haaN, is "nazm" (?) kaa yahii 'unvaan hai. ab Zafar Sahib ne ham
sab ko ek "uljhan" meN Daal diyaa hai!:) maiN samajhtaa thaa kih agar
shaa'ir apne kalaam ko 'unvaan detaa hai to KHvaah vuh kalaam saaKHt
meN Ghazal-numaa kyoN nah ho, use nazm hii samajhnaa chaahiye. zaahir
hai kih yih soch durust nahiiN hai. maziid bar aaN, merii kitaab meN
is kalaam ko nazmoN ke zumre meN Daalaa gayaa hai.yih sab kuchh kahne
ke baa-vujuud maiN vusuuq se kah saktaa huuN kih agar yih "nazm" Zafar
Sahib ke nazdiik Ghazal hai, to Ghazal hii ho gii.
By the way, did you mean to give this thread the title you have given?
Naseer
janaab-i-Zafar Sahib, aadaab.
agar aap is mauzuu' par (bhii) raushanii Daalte hu'e hameN andhere se
ujaale meN le aa'eN to kyaa achchhaa ho gaa!! duusre lafzoN meN...'ain
navaazish ho gii agar ham sab ke liye aap nazm awr Ghazal ke farq kii
baariikii vaaziH kar deN.
iHsaan-mand,
Naseer