Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

shab e hijr

10 views
Skip to first unread message

Faanii B

unread,
Apr 29, 2012, 4:37:07 PM4/29/12
to
aik aur Ghazal :)

shab e hijr meN kam tazallum kiyaa
kih ham saaya gaaN par taraHHum kiyaa

kahaa maiN ne kitnaa hai gul kaa sabaat
kalii ne yih sun kar tabassum kiyaa

zamaane ne mujh jur'a kash ko nadaan
kiyaa Khaak o Khisht e sar e Khum kiyaa

jigar hii meN yak qatra KhuuN hai sirishk
palak tak gayaa to talaatum kiyaa

kasuu vaqt paate nahiiN ghar use
bahut "Miir" ne aap ko gum kiyaa

du'aa kaa taalib

Faanii
0 new messages