"Afzal" saahib aadaab arz hai
aaj ke is bhaagte hue daur meN logoN ke paas kahaaN itnii fursat hai jo hamaare
jaaN_baaz shahiidoN kii qurbaaniyoN ko yaad rakhe...aap ne "Ashfaq" saahib par ye tahreer pesh kar bahut khoob nazarnaa-e-aqeedat pesh kiyaa hai...saath hii unke kalaam se roo-b-roo karvaane ke liye bhii maiN aap ka shukr_guzaar hooN.
in kii ek nazm se chand sher mulaahiza farmaaeN...
"Shorish-e-junooN"
bahaar aaii hai, shorish hai, junoon-e-fitnaa saamaaN kii
ilaahii Khair rakhnaa too mire jaib-o-GhariibaaN kii
bhalaa jazbaat-e-ulfat bhii kahiiN miTne se miTte haiN
abas haiN dhamkiaaN daar-o-rasan kii aur zindaaN kii
vo gulshan jo kabhii aazaad thaa guzare zamaane meN
maiN hooN shaaKh-e-shikasta yaaN usii ujaRhe gulistaaN kii
nahiiN tum se shikaayat ham_safeeraan-e-chaman mujh ko
mirii taqdeer hii meN thaa qafas aur qaid zindaaN kii
zamiiN dushman, zamaaN dushman, jo apne the paraae haiN
sunoge daastaaN kyaa tum, mire haal-e-pareeshaaN kii
ye jhagRhe aur bakheRhe meT kar aapas meN mil jaao
abas tafreeq hai tum meN yeh hindoo aur musalmaaN kii
sabhii saamaan-e-ishrat the, maze se apnii kaTtii thii
watan ke ishq ne ham ko havaa khilvaaii zindaaN kii
ba_hamd illaah chamak uTThaa sitaaraa merii qismat kaa
ki taqleed-e-haqeeqee kii ataa shaah-e-shaheedaaN kii
idhar Khauf-e-KhizaaN hai aashiyaaN ka Gham udhar dil ko
hameN yaksaaN hai tafreeh-e-chaman aur qaid zindaaN kii
Balvinder