Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

Ghazal: "raaz kahtii hai raat..."

104 views
Skip to first unread message

Irfan Abid

unread,
May 1, 2022, 11:59:33 AM5/1/22
to
aadaab, dosto!

aap sab ko Eid ki mubaarakbaad! bazm meN aaj kal Ghair-ma'muulii Khamoshii hai. ummeed hai tamaam ahbaab baKhair hoNge. haalaaNki is par koii radd-e-amal aane kii tavaqqo kam hii hai, :) phir bhii janaab Jaun Elia ki zamiin meN ek koshish pesh hai. mulaahiza farmaaiye.

raaz kahtii hai raat kaan meN kyaa?
aaj aayegaa koii dhyaan meN kyaa?

aap kahte haiN jis ko dil apnaa
koii dar bhii hai is makaan meN kyaa?

dekhtii bhii hai aur nahiiN bhii nazar
teer rakhte haiN yuuN kamaan meN kyaa?

ik taraf dil hai, ik taraf dunyaa
ishq Daalegaa imtihaan meN kyaa?

is zameeN par jo mil nahiiN paate
phir vuh milte haiN aasmaan meN kyaa?

mere daaman meN aur kuchh bhii nahiiN?
Khaar the sirf gulsitaan meN kyaa?

husn-e-kirdaar ho to baat hai kuchh
varna rakkhaa hai Khaandaan meN kyaa

vuh jo daulat se pyaar karte haiN
maiN karuuN arz un kii shaan meN kyaa

zulm ko zulm to kaho, logo
itnii taaqat nahiiN zabaan meN kyaa?

:Abid: itne gile muqaddar se?
log jeete nahiiN jahaan meN kyaa?

niyaazmand,
Irfan :Abid:
Message has been deleted

Zoya

unread,
May 2, 2022, 2:21:33 PM5/2/22
to
Zoya
1:20 PM (now)
to
On Sunday, May 1, 2022 at 10:59:33 AM UTC-5, Irfan Abid wrote:
> aadaab, dosto!
>
> aap sab ko Eid ki mubaarakbaad! bazm meN aaj kal Ghair-ma'muulii Khamoshii hai. ummeed hai tamaam ahbaab baKhair hoNge. haalaaNki is par koii radd-e-amal aane kii tavaqqo kam hii hai, :) phir bhii janaab Jaun Elia ki zamiin meN ek koshish pesh hai. mulaahiza farmaaiye.

aadaab Irfan sahib,

is vaqt maiN sirf Eid mubaarak kehne kiye liye haazir hui huuN. aap kii yeh ghazal vaaqa'i tavaqqo chaahti hai, so is par guftguu kuchh der baad. JE and Irfan Abid, what an unexpected combination! :-)

_______Zoya

Naseer

unread,
May 5, 2022, 4:35:48 PM5/5/22
to
mere xayaal meN Irfan SaaHib kii Ghazal "tavaqqu3" se ziyaadah "tavajjuh" chaahtii hai, Zoya SaaHibah. kyaa xayaal hai aap kaa?

Naseer

Zoya

unread,
May 5, 2022, 10:28:43 PM5/5/22
to
On Thursday, May 5, 2022 at 3:35:48 PM UTC-5, Naseer wrote:

> mere xayaal meN Irfan SaaHib kii Ghazal "tavaqqu3" se ziyaadah "tavajjuh" chaahtii hai, Zoya SaaHibah. kyaa xayaal hai aap kaa?
>
> Naseer

Oh Gosh Naseer sahib, did I really? This tells you what kind of rush, and state of mind, I must have been in while posting my reply to Irfan sahib. Thanks for pointing out, I honestly haven't even had a chance to visit Alup since then, or I might have caught this 'slip' myself.
vaise aap se hamesha yahi 'tavaqqo' hai k aap aisii baatoN par 'tavajjo' dete raheN ge. :-)

Now that things around me are settling down a bit, I'll try to be back, soon I hope. Thank you.

__________Zoya

MD Hamid (HamiduN)

unread,
Jun 25, 2023, 2:42:43 AM6/25/23
to
dard halkā hai saañs bhārī hai
jiye jaane kī rasm jaarī hai
aap ke ba.ad har ghaḌī ham ne
aap ke saath hī guzārī hai
raat ko chāñdnī to oḌhā do
din kī chādar abhī utārī hai
shāḳh par koī qahqaha to khile
kaisī chup sī chaman pe taarī hai
kal kā har vāqi.a tumhārā thā
aaj kī dāstāñ hamārī hai

----------------------------#HamiduN
0 new messages