Manqul hy k aik din Hazrat ibrahim a.s goray par sawar sehra-e-karbala say gozar rahay thay to un
ka ghora moo k bal gira or Hazrat a.s ghoray say zameen par giray or aap ka sir-e-mubarak aik
phatar par la...ga to aap k sir say khun jari go gaya Hazrat ibrahim a.s nay istakhfar shuro kiya or
arz kiya YA meray parwardigar muj say kon sa gonah ho gaya hy jis ki yeh saza mili ?? us waqt
jibraeel nazil howe or or kaha aye Ibrahim a.s koi gunah tum say sadir nahi howa hy , lekin yeh
woh zameen hy jis par noor-e-chasham-e-Muhammad s.a.w or farzand-e-ALI a.s zulm o joor say
shaheed ho ga, to khuda nay chaha k aap bhi MOLA a.s k gham o musibat main sharik hun or aap
ka khun bhi is zameen par giray jis par HUSSAIN a.s ka khun bahaya jaye ga.
REF (kitab : behar-ul-anwar: jaldi 1: page:83) or (kitab : jala iyoun : jild:2: page: 147)