---------- Forwarded message ----------
From: jayati gupta <vijay...@yahoo.co.in>
To: bharatud...@yahoogroups.com
Date: Mon, 27 Feb 2006 14:20:28 +0000 (GMT)
Subject: [bm]ATTENTION MEMBERS
AGLE MAHINE PARMANU HAMLE KI TAIYARI
dear frnds
bahut pareshan karne wali khabar mili
hai.Canada ke ek famous scientist aur samajshashtri michael Chosudovaski ottawa
university mein professor hain.Unke haath american gvt. ka ek secret document haath laga hai jisse pata chala hai ki israel
ki tarah George Bush Iran par NUCLEAR ATTACK karne ki taiyari mein
hai.is doc. ke anusar attack ki dates agle mahine march ki
hain.
George Bush Iran par hamle ki dhamkiyan kai baar khule aam de chuka hai. Iran ko gherne ki unhone mukammal taiyari kar li
hai. International Atomic Energy Agency(IAEA) ki 4th feb ki baithak mein US ne Bharat par bhari dabav daal kar us prastav ke
samarthan mein Bharat ka bhi vote dalva liya hai jis prastav se Iran ke parmanu urja karyakram ka mudda ab suraksha parishad
tay karegi. Kaisi vidambana hai ki jis Bharat ke Pokhran parmanu parikshan karne par bharat ke upar US ne apmanjanak
pratibandh lagaye the jo ab jakar khatm kiye hain, wahi Bharat apne sadiyon purane dost aur ek si sabhyata waale desh Iran ko
shaantipurna uddeshyon ke liye parmanu urja viksit karne ke khilaf vote de raha hai, aur yeh us samay jab Iran se gas bharat
tak laane ke liye pipe line bichhane ki vaarta chal rahi hai. jaahir hai indian gvt. ka ye faisla apna nahi, america ke
dabav mein kiya gaya hai jiski dhamki kuchh dinon pehle bharat mein american ambassador Mulford ne di thi. Duniya ke 5
nuclear deshon ke club ka sadasya bharat ko bhi banane ka america ne laalach diya hai.Is jaal mein faskar bharat apna
swatantra gut-nirpeksh-shaanti
ka rasta chhod raha hai.
Gearge Bush is samay madmast haathi ki tarah duniya ko raundne ko nikal pada hain. Aatankwaadi Bin Laden to pakad mein abhi
tak nahi aaya, par uske afghanistan mein hone ke shak mein usne afghanistaan ke gareeb, bekasoor par swabhimani pathanon kko
bhoon dald. iraq par lagaye gaye sabhi aarop jhoothe nikale, par kareeb 2lakh nirapradh irakiyon ko maar dala aur sabhyata ki
janani dajala-farat ki bhoomi ko dhool mein mila diya. ab baari iran ki hai. agli baari kashmir ki ho sakti hai kyonki George
bush duniya mein 'azadi aur democracy' sthapit karne ka farz ektarfa apne upar le chuka hai.
iran par parmanu hamla hota hai to bharat uske asar se bach na paayega, akhir wah apna ekdum padosi jo hai. Manavta ki raksha
ki baat to hai hi, bharat ka apne niji swarth bhi hai ki wah is bheeshan durghatna ko hone se roke.
bharatvasiyon
ko is parmanu hamle ko rokne ke liye har sambhav koshish karni chaahiye. Hum Hiroshima aurNagasaki ki parmanu
pralay ko yaad karen. ek kaam to hum turant kar sakte hai. President George Bush ke march ke shuru mein bharat aane ki khabar
hai. Ishwar unhen sanmati de, aisi prarthana-sabhayen hum jagah-jagah par karen, khaastaur se apne-apne region ke sabhi
school-colleges mein.
apki
jayati
Ref.:SAATHIYON KI CHITTHI
AZADI BACHAO ANDOLAN