Janab Ali Zahir kay inteqal par Mirza Farhathullha Baigh Acaedemy, Chicago, ka taaziati ijlas
Chicgo main jaisey hi Janab Ali Zaheer Saheb, mumtaz shayer o danishwar aur Hyderabad kay
adbi manzer namey ki shinakhat, kay inteqal ki ittellah mili, President Mirza farhathullha Baig Academy USA ,Mohterma Dr.Talath Razvi aur Janab khaja kamaluddin, Musheer e Academy nay taziyathi jalsa munaqidd kiya jis ki sadarath Hazarath Hassan Chishti nay farmayee. Chicago kay mumtaz shayer Janab Wajid nadeem, Dr.Taufiq Ansari Ahmad, Dr.Muneeruzzamman Muneer aur Bazm-e-Ahbabe-Deccan kay tamam members Janab Nizamuddin Naseer, Niaz Gulbergavi, Janab Syed Shah Naeemuddinm Janab Rahim Talib, Dr. Khursheed Khizr, Janab Tirmizi, aur Janab Muneer Sharrar nay shirkat ki aur
Marhoom kay liyay duawaiye magfirath ki gayee aur marhoom ke pasmaandagaan se izhare taziyath o hamderdi.
Marhoom nay apni beinteha masrofiayath kay bawajoud Mirza Farthullaha Baig Academy, Hyderabad, ke saderath per fa'ez rahey aur apni giraan qader khidmath say nawaza. Janab Khaja kamaluddin nay taziyathi qirardad paish ki aur shurka ka shukeriya bhi ada kiya .