ڈربے-ایک ناول، ایک بچپن کی یاد
سرورق پر اے حمید صاحب کے دستخط ہیں۔
خیر اندیش
راشد اشرف
کراچی سے
| Assalamo Alaikum Rashid Bhai..!!! Novel ki scaning jab mukammal hojaye aur tohftan batne lage to is khaaksaar ko bhi yaad rakhiyega.. nawazish hogi shukriya Salman Faisal Jamia Millia Islamia |
Ashraf Saheb
Salam sa rahmat
A.K. Hameed Saheb ko talibilmi k zamane padha tha. Mujhe yaad nahin k main unki kaunsi tasneef padhi hai lekin yeh zaroor yaad hai k jan main woh kitab padh raha the mere manjhle mamoon ne mujh s kaha k jab kitab pardh chuko tab mujh se milna. Kitab khatm karne ke baad jab main mamoon se mila to unhon daryaft kiya k kitab mein sab se achchi cheez tumhein kya lagi. Main ne bahot adab se jawab "Fitrat ki akkasi." Mamoon k chahre par main itmeenam dekha. Unhon n kuch kaha nahin. Baat aayee gayee ho gayee.
College k dino mein Bazm-e-Urdu ki nashistein hua kartee theen, ek bar yoonhi A.K. Hameed Saheb k zika aa gaya, haramare Ustad-e-mohtaram Dr. Zakir Hussein Farooqi marhoom n daryaft kiya k kisi Hameed Saheb ko padha hai, main jawab diya unhein main ek martabe school k zama mein padha tha. Jo sawal manjhle mamoon n kiya tha wahi sawal Farooqi Saheb bh kiya aur main ne wahi jawab diya. Farooqi Saheb k chahre par aisi muskurahat ayee jise main alfaz mein bayan nahin kar sakta.
Aap ka rawana karda pdf k liye mamnoon hoon, poore novel ko padhne ki khawahish bhi rahegi. Aap se yeh arz nahin karoonga k poore novel ki pdf tayyar karein k y waqt talab karta hai.
Khair Andesh
Mirza
Date: Fri, 16 Nov 2012 09:18:18 +0500