Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

RMIMhefil at DC - The lyrics quiz

1 view
Skip to first unread message

K Vijay Kumar

unread,
Jul 12, 1998, 3:00:00 AM7/12/98
to
RMIMers, here is the quiz that was a prt of the RMIMehfil last weekend.
It is slightly enhanced with P-stats clues and a couple of words changed
here and there to make it fit better.

The stanzas which follow are entirely a product of my joblessness and
imagination. I have taken some well known songs, and come up with new
stanzas which would fit the song in rhythmic content, radiif-kafia
(where applicable), mood & message, language and stylistic content. All
this is with the rider - to the best of my ability. The objective of the
quiz is to identify the song which is thus altered by the addition of a
new stanza.

To tackle this quiz, do the following - identify a song which you think
closely matches the stanza you read. Try and sing the stanza in the tune
which is used in the song. A clue- all songs chosen are songs which have
all stanzas in the same tune. The answers will be posted in a separate
message. Compare the answers in the post to your answers and score
yourself, honestly!

The clues :

1. kuchh to palkon me Thehare kuchh beh bhi gaye
kuchh to adharo pe bikhare aur keh bhi gaye
chun ke laaya huun vahii giit main tere liye
[Talat-Majrooh]

2. akhiya thar that jal bahii, jiyaraa kaa.Np gayii
main sudh-budh khoye chup rahii, tumase duur bhayii
[Saigal-Wajed Ali Shah]

3. dekhiye wo chaand aasmaan me jal rahaa hai aapako dekh ke
kho rahii hai jaane kis jahaan me, har nazar aapako dekh ke
rukh pe yuun na zulf ka parda giraiye
[Hemant-Shakeel]

4. bhuule se dil ko tumase lagaaya, bhuule se dil ko ga.Nvaaya
khvaab vafaa ke aankhon me rachakar, khvaabon se jii behlaaya
jaise soye jaage teri ulfat me, sapnon se koi Dar-Dar ke
[Kishore-Majrooh]

5. behakii rahuun main pii ke, ras teri aankhon se
soyii rahuun main yuun hi, pii teri baahon me
jaguun to dekhuun pehale, yeh hansate ujaale
[Lata-Raja Mehdi Ali Khan]

6. ret me raah likhe hue, havaa me dhul gaye
main idhar guzara to tha, nishaan miT gaye
nazar me bhiigata hua mera nazraana
[Kishore-Gulzar]

7. kitni muddat hue muskaaye hamako
har gha.Di teri chaahat yuun rulaati hai hame
[Talat Aziz-Shahryar]

8. kaise munh pher ke meri raah se phir jaayenge
hamsagar mujhako hi har raah me phir paayenge
[Asha-Majrooh]

9. chalaa gayaa jo kal to us kal ko bhuul ja
main kal ki har-ik yaad ko bhulaata chalaa gayaa
[Rafi-Sahir]

10. nit nit bhaaye na, ratno.N ki haar
chapal man kiraN nit na sajaaye
[Asha, Usha-Sahir]

11. aa chhupa luun tujhe har nazar se
chup rahe.N kyuun zamaane ke Dar se
hai muhabbat javaan mere dam se
aur jaa.N hai meri tere dam se
[Udit Narayan-Anand Bakshi?]

12. kabhi koi pal me bujhaaye
kabhi koi umar luTaaye
koi to bisaat bichhaaye
yahaan-vahaan pyaade chalaaye
[Manna De-Yogesh]

13. khaar hain, aarzuu ke uja.De chaman
dil-e-viraan me rakha kya hai
[Talat,Suraiya-Mirza Ghalib]

14. teri saari yaade tujhase chhiin le aaye ham
TuuTe hue taare daaman me bhar aaye ham
bikhare hue khvaabon ko chunana aur ginana
[Lata-Gulzar]

15. kya hamane socha kya tumane kar Daala
dil ke shiishe ko pa.Daa kis patthar se paala
ham na ulfat ke nibhaayenge rasam, aaj ke baad
[Rafi-Sawan Kumar]

16. bhiigi aankh hai bojhal palke.N
DhuunDhatii hai tujhako aasha
ghaayal man me.N huuk uThi hai
kehatii hai naino ki bhaasha, aan milo
[Geeta-Sarojini Nayyar]

17. hansate khilate chehare hain
har dil pe yahaan pehare hain
yeh raaz ba.De gehare hain
bhuule se koi, pyaar na kare (2)
dil ki raaho me main bach-bach ke chalaa
[MKaps-S H Bihari]

18. raaton ko shole barase
bhiige yeh tan-man tarase
paani me jalatii jaauu.N
behakii main chalatii jaauu.N
cha.Dhati javaan meri kya karuun, kya karuun
[Alka Yagnik,Ila Arun-Anand Bakshi]

19. mere pyaar ke saagar ki motii
mere man-mandir ki tum jyotii
main jaguu.N to dekhuu.N tujhako
mere sapno.N me hai tu hotii
tumase hii meri duniyaa hai
kabhii duur na mujhase tuu jaana
[Mukesh-Indeevar]

20. bhuul to hui magar, zubaan sii liye sabhii
na main khataa samajh sakaa, na keh sakaa mujhe koi
khamoshiyon ke bojh ko, dilon pe laad ke yuunhi
bas kahiin nikal pa.De, {yeh koi safar nahii} (2)
tum vahii.N kha.Di rahii, main bhi chup-chup rahaa
vo vehshate ki kya kahe, lab se kuchh na keh sakaa
giit liye niir ke, aankh chiir chiir ke
biich me pa.Di hui daraar dekhate rahe
[Rafi-Neeraj]

Happy guessing!
--
Vijay
----------------------------------
The Truth - any which way you want
-----------------------
vijay...@hotmail.com

0 new messages