Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

kahani.......makeen-e- mehroomi............last part

18 views
Skip to first unread message

arzoo

unread,
Oct 27, 2003, 9:35:28 AM10/27/03
to
makeen-e- mehroomi ...............( doosra hissa )

Aglay din School say wapsi pe abhi us nay building main paancH
manzila imarat main qadam rakha hi tha ke professor sahab kay ghar
main dakhail hotay hoay aik larki nay usay awaaz di" Aap ka naam
Snober hay " haan haan main hi hoon" ..Sanober nay hulya durust kartay
hoay kaha , "aap ko professor Haseeb bula rahay haiN" ..usay apni file
yaad aey to foran ander chali aaei.aaj drying room main sirf aik do
students thay jo ke waqt say pehlay aa gaey thay shaid, us nay atay
hi salam kiya to pofessor sahab nay usay us maiz ki taraf ishara kiya
jahaan wo baithay thay .' ayay snober , aap ki ye tehreer buhut achi
hay " ,,bas is main daur-e- hazir kay kuch adeeboon ka zikar karna
bhi zaroori ho ga , ye book lay jayay aur is main say mazeed kuch
talash kar kay isay complete kar lain." " buhut shukrya sir ,, aap
nay maira kaam asaan kar diya " wo khushi say boli." aray nahi Snober
, ye kaam itna bhi mushkil nahi tha .mushkil to andhairoon main
roshni dhoondhna hay " Snober nay aik dukh ki lehar professor kay
chehray pe daikhi .too qadray dharas kay lehjay main boli '" laikin
sir aap nay to apnay andhairoon ko bhi roshni bana diya hay doosroon
kay liyay ." Snober , mairi beenaey 7 saal ki umar main gaey jab main
dunya ki khoobsoorti pehchaan chuka tha , nemat ka milna kuch aur hay
aur chin jana kuch aur, aur ye andhair andhay pan ka nahi azali
mehroomi ka hay ...laikin kon samjhta hay kon janta hay ke is ka dukh
kia hay...aur do ankhoon walay to kabhi nahi jaan saktay ke ankhoon ka
na hona kia hay " Sanober nay dukh ko mehsoos kia aur kuch bolnay
hi lagi thi ke , darwaza khula aur professor ki bivi ander aey , us
nay aik bachay ko god main uthaia hoa tha , qadray ghusselay aur bay
zaar say lehjay main boli " Haseeb , khanay ka waqt ho gaia hay
.chalyay aap ko maiz tak lay chaloon'" Sanober ko na janay professor
ki bivi ki nazer main kia nazer aaia ke wo wahaan say uth aey aur
ainda kabhi na anay ka tahaya kiya .

Abhi apnay flat main aey hi thi ke pHupHo Suraya aa gaein . un kay
haath main romal say dhaki plate thi . " Aray Snober aaj tum aein
nahi , main tumharay liyay pulao lay aey hooN."' pHupHo aap nay kioon
zehmat ki " main nay raat daal chawal bana liyay thay .wohi kha laiti
" us nay plate pakartay hoay kaha . " kitni baar tujhay kaha hay ke to
apnay liyay na khana banaia kar , mairay paas hi aa jaia kar " wo
palang pe baithtay hoay bolin . aray tujhay kia maloom mairi mamta ko
kitna sakoon milta hay " saat hi un ki awaaaz baith gaey , ansoo
ankhoon main aa gaey ." aray mairi baiti zindi hoti to tumharay jitni
hoti ...Allah usay jannat naseeb karay janam jali mujhay itni jaldi
chore kay chali gaey ,,, " phir to jaisay un kay dukh ansoon kay saath
behnay lagay '" aray mairi roobi kay abba ko bhi ye ghar yaad nahi
, saal do baad aey sab say mil mila ka chal diyay , aey haey na
janay pardais main kia milta hay usay ...kitni baar kaha do bandoo ki
roti kia yahaan nahi milti..." wo dopattay say ansoo poonchnay lagin
..Sanober un kay paas baith gaey aur tasalle dainy lagi " pHupHo aap
na roia karaiN. dunya say janay walay wapas nahi atay" ....pHupHo ka
dukh jaisay ab thamnay ko na tha unhoonnay doppatay ki jholi
banaey aur ooper monh kar kay kaha " Khudaia ! kisi ko aurlad say
mehroom na karna ...ye mehroomi nahi sahi jati " saath hi wo dopattay
main monh chupa kay ronay lagin. Sanober un kay liyay paani ka glass
laey aur sath laga kay kaha "phupho ! aap dukhi na hoon .warna main
bhi ronay lagoon gi" Snober ki ankhain bhi bhar aein thi . phir us nay
unhain khana khilai to jaisay un ki mamta ko sakoon mila aur wo aser
ki namaz kay liyay ghar chali gaeiN.

Aser ki namaz kay baad us nay aaj socha tha ke , wo khala Sughra kay
ghar jaey gi , us nay kuch paisay bachaey thay pichli tankhawa main
say thay , wohi dainay kay iraday say wo kapray badal kay neechay aey
chauthi manzil kay band darwazay ko daikh kay ruki , aur phir khiyal
jhatak kay neechay teesri manzil per khala kay ghar ki ghanti bajey .
Rabia nay darwaza khola aur khushi say ailaan kar diya " Amman .
Snober aapi aey hay ." Snober nay salaam dua kay baad , bari himmat
say kaha " khala . ye kuch paisay main nay Abbas bhaey say udhaar
liyay thay " ye lautanay aey hoon " us nay paanch laal laal note un
ki taraf baRhaey .." Acha Abbas nay to nahi bataia ...." " Aap rakh
lain aur unhain bhi bata daiN ..ye kaafi dair pehlay mainnay liyay
thay shaid unhaiN bhi yaad na ho" ...khala nay paisay paker liyay"
acha aaj shaam aey ga to bata dooN gi. " Shaista apnay baitay ko
uthaey bahir aey . "Salaam aapi" " w salaam ...kia haal hay shaista
...aray ab to ye bara ho gaia " Snober nay us kay bachay ko uthatay
hoay kaha . " bara to ho ga .is ka maooM iska khiyal jo buhut rakhta
hay " khala sughra nay dukh say kaha " yateem hay laikin Abbas nay
kabhi isay yateem nahi samjha " Shaista nay maan ko daikha to ander
chali gaey aur darwaza band kar liya . Snober nay samjhatay hoay
kaha" khala aap Shaista kay samany aisa na kaha karain , us kay dil
pe kia guzarti ho gi " .." haan snober baiti , ab usay bhi ji kara
kaRa karna paRay ga .....baiwgi koey choti baat nahi hoti ,,aur
abhi to us ki umar hi kia hay ..22 saal ki ho gi is saal .." khala
ka monh karwa ho jata jab wo dukhi hotiN ..".chal chore..rabia aapi
ko koey chaa paani poocho.."..." nahi nahi main bas main ab chalooN
gi school ka kaam hay thora phir aaoN gi." ye keh kay wo aa gaey ke
kahin paisoon ka raaz na khulay .

chouthi manzil ka band darwazay kay paas say guzri to aaj us nay
himmat kar kay ghanti bajaey ... kaafi dair baad jab wo phir mayoos
ho kay janay lagi to peechay say darwaza khula . jawad alam ki
bajaey aik 12 saal kay bachay nay darwaza khola ." ji aap ko kia kaam
hay" ....Snober nay jhijhaktay hoay kaha .." wo jawad Sahab..." " ji
hain ...Aa jayay .." larkay nay rasta diya to wo ahista ahista ander
chali aey. band neem andhairay kamray kay konay main usay Jawad alam
ki bajaey aik dhancha sa dikhaey diya . jis nay deewar kay saath sir
lagaia tha . bachay nay usay kursi agay kartay hoay kaha " baithyay
...main aap kay liyay chaey lata hoon" ...wo chala gaia Snober is
dhancha numa shakhs ko daikhnay lagi , aur himmat say boli ." Jawad
sahab ..mainnay socha aaj aap ki khairyat maloom karti chaloon" ,,,wo
ruki koey jawab na pa kar phir boli" wo main nay khala sughra say
suna tha ke aap .....bemmar hain " us nay ooper daikha , deewar say
sir tikaey jawad alam ki abhi bhi ankhain band thin " wo ,,,,Somia
......" jaisay talab kay paani main kanker mara ho ...jawad aik dam
bola " kia hoa Somia ko.....?" ..Snober ghabra gaey " nahi usay kuch
nahi hoa ...main kehnay lagi thi ke ab aap usay bhool jaiN.." "
kioon...kioon bhool jaon" jawad nay talakhi say poocha ....Snober ko
koey jawab na soojha to boli " insaan kisi ki khater khud ko tabah
nahi kar sakta " ..." kioon nahi kar sakta " ? ...ab Snober kay paas
alfaaz khatam thay . ... kioonke jawad ka sawaliya wojude poori
tarha jaag chuka tha . ...us nay baghaur jawad ko daikha jo kisi
aisi jaga ka hulya paish karraha tha jahaan kuch dair pehla zalzala
aaia ho . us ka dil dehal gaia ..ye wo jawad alam her giz nahi tha
jo saal pehlay us nay aik subha daikha tha .us ki ankhoon kay
halqay , darhi ,,,nashay say kalay hont kandhoon tak barhay hoay baal
...ganday mailay kapray .....uff ko dar anay laga ... ye wo shakhs
nahi tha jis nay us kay dil ko akser baichain kiya tha ....wo aik dam
bola" Snober bibi ab chup kioon ho bolo ..kioon nahi kar sakta main
barbaad khud ko..?" ....wo khara ho gaia aur jaisay khud say bolnay
laga .." Aray usay nahi maloom us nay bhi khud ko barbaad kar liya ,
wo to Somia ko ab pata lagay ga ke muhabbat kia hoti hay ....." ye
kehtay hoay wo doosray kamray main chala gaia usay ye bhi hosh nahi
tha ke Snober wahaan aey hay .....band kamray main wo na janay kia
kaia bolta raha ...Snober khamoshi say uth aey ...jaisay kisi la
elaaj mareez kay paas say log kuch kahay baghair uth atay hain.

flat main aa kay aaj us ka dil radio sunnay ko bhi na tha ....us nay
muhabbat ki jhalak pehli baar daikhi thi shaid ...wo balkoni main aa
gaey aur door door tak phailay shehar ko daikhnay lagi..shaam kay
surmaey saey usay kitnay bhalay lagay. ke darwazay ki ghanti baji us
nay darwaza khola to samnay Abbas khara tha. " Aslamo alaikum' " w
salaam ..aao Abbas ander aa jao " ..' nahi aapi ..main to aap say
poochnay aaia hooN ke ye kis udhaar ki raqam aaj aap amman ko day aey
haiN.?" ...Snober nay nazrain churatay hoay kaha . " Abbas wo
pichalay saal....." abhi wo itna hi keh saki thi ke Abbas nay baat
kaat di .." Aapi...kisi ghareeb ka mazaq urana acha nahi hota
...paisay ki kami hay ..laikin hum maiN himmat aur sabar ki kami aap
mat dalaiN ..." Snober ko ghalati ka ehsaas hoa " Abbas main nay to
apna ghar samajh kay thori si maded karna chahi..." Abbas nay raqam
pakratay hoay kaha " behnaiN to bahyooN ki quwat-e- bazo pe yaqeen
rakhti haiN ..aap ki duain hi kaafi haiN...ye rakh laiN.." wo
palatana chahta tha ke Snober nay kaha " Abbas abhi lay laiti hoon
,,kabhi zaroorat pari to behen samkh kay lay laina" Aik halki muskaan
Abbas kay laboon pe aey aur bola " acha Daikhi jaey gi...khuda
hafiz ."

Wo paisay rakh kay phir balkoni main aa gaey Abbas ki ghairat ko
sarhati rahi. sorraj gharoob ho raha tha . wo doobtay sooraj ko
daikhti rahi. jis main kabhi pHupho suraya ka chehra , to kabhi khala
sughra ka chehra nazer ata ..phir professor sahab kay andhairay us ki
soch pe chanay lagay to Shaista ki lachari bhi samanay aey ....us
nay jhatak kay balkoni ki doosri taraf daikha ...rikshay aur motor
garyoon ki race lagi hoey thi ...is shor-o- ghul main usay jawad ki
awaz sunaey di,,,,Somia ko ab pata lagay ga muhabbat kia hay... sarak
pe chaltay logoon ko daikha to socha ye sab bhi kisi na kisi mehroomi
main mubtala hoon gay...andhaira hoa to wo ander aa gaey .
maghrib ki namaz us ki qaza ho chuki thi... jaldi jaldi wazoo kiya to
isha ki azaan sunaey di..pachtatay hoay us nay khud ko kosa , ,,,,
azan hotay hi namaz parhi ..aur dua mannay ko haath uthaey ....to
hathailyoon main dobta sooraj sab kay dukh lay kay samanay aa gaaia
..fardan fardan sab kay liyay dua manti rahi...ansoon say us ki
galain tar thin...usay abhi koey mehroomi nahi thi laikin jaisay us
nay anay walai mehroomi ko pehlay hi say galay laga liya ...wo sab kay
liyay aik hi dua ki takraar kartay so gaey " ke Allah sab ko apni
mehroomiyoon kay dukh say nikal ...akhir sab ko wohi kioon nazer ati
hain...doosri nematoon ko log kioon nahi sochtay."

Agli subha wo abhi tayar ho rahi thi ke ..darway ki ghair mamool
ghanti nay usay chonka diya .
wo hairani main darwaza kholanay gaey samnay ..us ka chacha zaad
Shaukat khara tha ..." Snober ....main aa gaia ...tumharay liyay ..."
suit boot main Shaukat usay apnai taraf ata hoa wohi andhaira
laga...jis ko pichli raat main pehchaan chuki thi ...us nay jawad
alam ki tarha baghawat karna chahi laikin nahi ye wo mehroomi thi
jis ko us nay waqt say pehlay hi maan lainay ka irada liya tha
...aik zakhmi si muskaan say boli.." Shaukat main bhi kab say
tumhari raah daikh rahi thi...ghar walay sab buhut khushu hoon gay
.....aur main bhi shukranay kay nafal ada karoon gi".

Zoya

unread,
Oct 28, 2003, 3:22:26 PM10/28/03
to
a_r...@hotmail.com (arzoo) wrote in message

> makeen-e- mehroomi ...............( doosra hissa )
>

Arzoo jii,

aadaab,

aap kii kahaaniiyaaN maiN ba.De hii shauq se pa.Dh rahii huuN, inheN
yahaaN post karne kaa bahut shukriya. In fact, I was eagerly waiting
to read the second half of this story. jo baat mujhe sab se ziyadeh
pasaNd aaii hai, voh hai k aap kis Khuubii se saare kirdaaroN kaa
naqshaa khiiNchte haiN! Since I am a visual person, mujhe to aise
lagtaa hai k aap kii kahaaniiyoN ke kirdaar mere saamne apne apne role
kar raheN haiN. aur kisii bhii afsaanaa_nigaar kii yeh bahut ba.Dii
sifat hotii hai.

aur maiN yeh to maan hii nahiiN saktii k aap naye likhne waaloN meiN
se haiN. ab kya hii aChhaa ho agar aap apnaa puraa ta'rruf ham Alupers
ko karvaayeN? kya aap kii kahaaniiyaaN kisii risaale yaa aKhbaar
vaghairaa meiN bhii shaaya ho chukii haiN? agar nahiiN, to aap ko is
baare meiN zaruur sochnaa chaahiiye.

aaKhir meiN yeh kehtii chaluuN: aap is baat se zaraa bhii dil_azaar na
hoN k ziyadeh log aap kii posts par respond nahiiN karte. I can assure
you that this group contains some of the finest readers and people on
the net at any given time, it is just that they are usually too busy
to participate much.

Looking forward to your future posts,

________________Zoya

arzoo

unread,
Oct 30, 2003, 11:24:27 AM10/30/03
to
Zoya tasleemat,

Aap ki zarra nawazi ke mairi tehreer ko is qabil samjha , ke isay
itnay shauq say parha . buhut shukrya , inshallah agay bhi koshsih to
rahay gi ke yahaan post karti rahoon , aap ki duain rahin to hota
rahay ga . zor-e- qalam aur ziada .

main " naey writer "khud ko kahoon , abhi nahi socha , abhi to
writer honay ki aik koshish hay . main nasri azaad nazmain aur kuch
ghazalain likh chuki hoon , wo bhi kabhi yahaan post karoon gi, un
nazmoon ki badolat hi mujhay sab nay mashwara diya ke naser likhoon ,
wo ab ye likhnay lagi hoon , kisi rislay main abhi tak rasaey nahi
hoey , kabhi udher chance mila to zaroor likhoon gi.inshallah.

maira dil azaar nahi hota , parhnay wala aik bhi ho to kaafi hota hay
, main is umeed pe likhti hoon ke abhi nahi to koey baat nahi " shiad
kabhi koey parh lay...." is muamlay main mujhay koey jaldi nahi.waisay
bhi sukhan ki mehfil main shaery ko parhnay walay hamaisha ziada
hotay hain , naser ki taraf " Ahl-e- zauq" hi atay hain. aur wo
yaqeenan kam hotay hain.

Akhir main aap ki himmat afzaey kay liyay bay had shukrya . mujhay
tasalle rahay gi ke aur na sahi zoya to parhti hain...
khush rehyay
Allah negehbaan
arzoo

zbi...@yahoo.com (Zoya) wrote in message news:<2e750db.03102...@posting.google.com>...

Yashowanto N. Ghosh

unread,
Oct 30, 2003, 2:42:21 PM10/30/03
to
Arzoo saaHiba, aadaab arz!

:be-qadree: aur :makeen e meHroomee: paRheeN---maasha Allah
aap kee kahaaniyaaN Khoob se Khoob-tar hotee jaa rahee haiN!
mubaarak-baad!!

:be-qadree: meiN kahaanee to bahut pasand aayee hee, phir us
kee bunaat ne asar ko do-baala kar diyaa hai. ilaava azeeN
chyuNTiyoN kaa :symbol: bhee aap ne bahut Khoob iste'maal
kiyaa hai.

:makeen e meHroomee: meiN :collage: kaa andaaz be-Hadd dil-kash
hai!! aur phir yeh sirf :collage: bhee naheeN hai---aap ne
muKhtalif TukRoN ko is Khoobee se joRaa hai k is kee daad alag
denee chaahiye (so voh bhee Haazir hai :) ). is kee :ending:
bhee deedanee hai. kahaanee pooree taraH kaamyaab hai!

aglee khaanee kaa intizaar rahe gaa. With best regards,

Jasho

a_r...@hotmail.com (arzoo) wrote in message news:<8d4dca1d.03102...@posting.google.com>...

arzoo

unread,
Oct 31, 2003, 1:05:20 PM10/31/03
to
Jasho ji , adaab,

Mubarak baad ka shukrya , kahanyaan achi ho rahi hain to is main
yaqeenan maira koey kamal nahi, parhnay wala acha ho to likhnay ka
dhang bhi aa hi jata hay.

Bay qadri main chiyoontyoon ka symbol aap nay samjha , ye to aap ki
bareek beeni hay , mairi koshish hoti hay ke kahaani main symbolic
tough zaroor ho kioonke aik adab ka zauq aisay symbols say hi dobala
hota hay.

makeen -e- mehroomi , mehroomi ki ashkaal ki paiwand kaari
samjhyay, go ke is main maira man tha ke kuch ashkaal aur daaloon
laikin us tarha wo taweel ho jati aur shaid dilchasp na rehti.

Aap ki raey say buhut hausla mila , bay shak aap " nusq" ya
ghaltyaan bhi batia karain, wo bhi mairay liyay help full hoon gay .

mamnoon

arzoo

yasho...@yahoo.com (Yashowanto N. Ghosh) wrote in message news:<efffb540.03103...@posting.google.com>...

0 new messages