Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

mauq'a-o-maHal

246 views
Skip to first unread message

Raj Kumar

unread,
Sep 25, 2015, 4:40:29 PM9/25/15
to

yaaraan-e-meHfil:

aek be-Hadd chhoTi baHr ki Ghazal Haazir-e-Khidmat hai --- gar qubuul uftad!

arz hai k

1. mauq'a-o-maHal
aazmaa ke chal

2. phool hai k dil
dekh kar masal

3. tuu jo aa gayaa
jaaN gayee saNbhal

4. meri saari umr
tera aek pal

5. aaNkh uThe tirii
maut jaaye Tal

6. maiN tiraa alaap
tuu mirii Ghazal

7. tuu bhi mustaqil
maiN bhi hooN aTal

8. bazm-e-Husn-o-ishq
ne'mat-e-azal

9. aa gaye Hareef
paR gayaa Khalal

10. jo gayaa, gayaa
ab na haath mal

11. Dhal rahaa hai din
ham na jaayeN Dhal

12. aa, gale mileN
kis ne dekha kal?

13. toR yeh Hisaar
qaid se nikal

14. chhoR rasm-o-raah
saath mere chal

15. aa gaye Khizar
raastaa badal

16. kaa'inaat dekh
dekh kar machal

17. voh hai mushtarii
voh rahaa zuHal

18. hai zameeN magar
AIN BAR-MAHAL

19. maiN bhi aab-daar
tuu bhi hai sijal

20. jism-o-jaaN tire
jaayeN ge pighal

21. gar sune kahiiN
Qais kii Ghazal!

---------

B.G. M.

unread,
Sep 29, 2015, 7:34:35 PM9/29/15
to
On Friday, September 25, 2015 at 4:40:29 PM UTC-4, Raj Kumar wrote:
------------------


15. aa gaye Khizar
raastaa badal

Waa...h!

aur..

last two ash'aar should have been a "Qat'aa" No?

=======================================


Balvinder

unread,
Oct 2, 2015, 11:44:24 AM10/2/15
to
saahib-e-suKhan "Qais" saahab sat_sri_akal

aap kii ye nanhii-munnhii Ghazal behad pasand aayii hai.
itne kam lafzoN koii she'r kah denaa aap ka hii Khaasa lagta hai.
daad-o-mubaarak_baad qubuul farmayeN.

ab ek baat..sir jii aap kii ijaazat ke bina maiN ne aap kii ye Ghazal ek deegar mahfil meN naql kii thii..vahaaN bhi ahal-e-bazm ne waah waah kii, lekin ek shaKhs ko kuchh etiraaz hai is kii bahar par..meri un se vo guftaguu haazir hai..

"Fyyaz Siddiqui..Awzaan se kayee jagah kharij hai.

Balvinder Singh Chhinna..kya un jagah kii nishaan-dehii karenge "Fayyaz" saahab jahaaN jahaaN se ye Khaarij hai ?

Fyyaz Siddiqui...Janab Balvinder Singh Chhinna sahab: As far as I can guess, the behr in use here is فاعلن فَعَل. Almost all the lines are not stringently obeying it. But yes, under the norms of Rukn-e-zahaafat, poet is allowed to flexibly accommodate certain syllables by interchanging the stressed syllables to unstressed ones and vice versa. Advantage of this relaxation is generally limited to as less instances as possible in the whole kalam. But in this composition every other line is asking for this relaxation. For a person who stringently follow behr in writing and reading, its very discomforting. Having said that, some lines not even out of the behr but also out of the zone of zahaafat; for example: “aaNkh uThe tirii"

Raj Kumar

unread,
Oct 3, 2015, 2:57:20 PM10/3/15
to
On Tuesday, September 29, 2015 at 4:34:35 PM UTC-7, B.G. M. wrote:

>
> 15. aa gaye Khizar
> raastaa badal
>
> Waa...h!

***shukriya, BG saaHib.***

> aur..
>
> last two ash'aar should have been a "Qat'aa". No?

***Indeed, they constitute a qit'a but, as usual, I forgot to put Q's around them. :(

Khair-aNdesh, Raj Kumar***

vij...@gmail.com

unread,
Oct 3, 2015, 4:04:12 PM10/3/15
to
Raj Kumar sahib, bohat Khushi huuii aap kii aamad par. yaqiinan aap kii tabiiat behtar hai, ki aap ne itnii Khuubsuurat Ghazal taraashii aur use hamaare liie yahaaN ALUP pe pesh kiia. chhoTa bahar to vaise hii merii kamzorii hai, lekin yih to bohat hii chhoTaa bahar hai. aur aap ne is bahar meN itnii laMbii Ghazal kah Daalii, boaht Khuub. (Balvinder jii, Ghaur kareN ki bahar to 'nannha munna' zaruur hai lekin Ghazal kaafii taviil hai:-))

mujhe aane meN kucch der huii, to arz hai ki 'huii taKhiir to kucch baai's-e-taKhiir bhii thaa!'

Ghazal bohat pasaNd aaii, saarii kii saarii. vaise to mujhe bahar-o-wazn ke muaamile meN koii itnii mahaarat nahiiN, lekin kam-az-kam mujhe kahiiN bhii koii kotaahii naz'r nahiiN aii. phir bhii is muaamile meN aap ke tafsiili jawaab ka iNtezaar rahega.

aik baar phir aap ka bohat shukriia!

Vijay

Raj Kumar

unread,
Oct 6, 2015, 12:24:57 PM10/6/15
to
On Friday, October 2, 2015 at 8:44:24 AM UTC-7, Balvinder wrote:

saahib-e-suKhan "Qais" saahab, sat_sri_akal.

aap kii ye nanhii-munnhii Ghazal behad pasand aayii hai.
itne kam lafzoN meN koii she'r kah denaa aap ka hii Khaasa lagta hai.
daad-o-mubaarak_baad qubuul farmayeN.

***janaab Balvinder saaHib:

Ghazal aap ko pasaNd aa’ii to yuuN samajhiye k meri meHnat bar aa’ii. aap ne is Ghazal ko “nannhii-munnii” kahaa hai --- albatta, agar aap Ghaur kareN to yeh sirf “nannhii-munnii” hi nahiiN bal-k “lammi-jhammi” bhi hai! ☺

rahii baat aap ki daad-o-mubaarak-baad kii to arz hai k voh to Khaaksaar ke sar-aaNkhoN par hai!***

ab ek baat……sir jii, aap kii ijaazat ke bina maiN ne aap kii ye Ghazal ek deegar mahfil meN naql kii thii..vahaaN bhi ahl-e-bazm ne waah waah kii, lekin ek shaKhs ko kuchh etiraaz hai is kii bahar par. meri un se vo guftaguu haazir hai..

"Fyyaz Siddiqui…Awzaan se kayee jagah kharij hai.

Balvinder Singh Chhinna…kya un jagah kii nishaan-dehii karenge "Fayyaz" saahab jahaaN jahaaN se ye Khaarij hai ?

Fyyaz Siddiqui...Janab Balvinder Singh Chhinna sahab: As far as I can guess, the behr in use here is فاعلن فَعَل. Almost all the lines are not stringently obeying it. But yes, under the norms of Rukn-e-zahaafat, poet is allowed to flexibly accommodate certain syllables by interchanging the stressed syllables to unstressed ones and vice versa. Advantage of this relaxation is generally limited to as less instances as possible in the whole kalam. But in this composition every other line is asking for this relaxation. For a person who stringently follows behr in writing and reading, its very discomforting. Having said that, some lines are not even out of the behr but also out of the zone of zahaafat; for example: “aaNkh uThe tirii".

***Siddiqui saaHib ke eiteraazaat jis Hadd tak meri samajh meN aaye haiN, un ki ruu se mere ta’assuraat darj-e-zail haiN:

1. Ghazal ki baHr yaqeenan [faa’ilan fa’al = 212 12] hai, albatta is baHr ki yeh suurat bhi qaabil-e-qubuul hai --- [faa’ilan fa’uul 212 121]; goyaa, misr’e ke aaKhir meN aadhe syllable ki mazeed guNjaa’ish hai. maiN ne is chhuuT ka faa’ida in misr’oN meN uThaayaa hai: 4a, 6a, 8a, 9a, 13a, 14a, 16a aur 19a. goyaa, 21 ash’aar ki Ghazal meN 8 maqaamaat par. aisa karne se ko’ii bhii misr’a Khaarij-az-baHr nahiiN hu’aa!

2. maiN ne yeh kaheeN nahiiN paRhaa (yaa sunaa) k aisi ‘liberty’ kam se kam leni chaahiye. is liye, mere nazdeek yahaaN aisi ko’ii ziyaadatii sarzad nahiiN hu’ii!

3. jo eiteraaz “aaNkh uThe tirii” par uThaayaa gayaa hai us ki vajah Ghaaliban yeh hai k Siddiqui saaHib ne is misr’e ko Theek taraH se nahiiN paRhaa. yahaaN, lafz ‘aaNkh” ki “kh” aur lafz “uThe” ki “alif” aapas meN mudGhim ho rahe haiN; nateejatan, is misr’e ko (effectively) yuuN paRhnaa chaahiye --- aaN+khuThii tirii --- which is totally legit and bar-vazn!

I hope this answers all the questions raised by Siddiqui saaHib --- unless I have missed something else in his statement.

Khair-aNdesh, Raj Kumar***

Balvinder

unread,
Oct 7, 2015, 11:38:13 AM10/7/15
to
On Tuesday, October 6, 2015 at 9:54:57 PM UTC+5:30, Raj Kumar wrote:

> ***Siddiqui saaHib ke eiteraazaat jis Hadd tak meri samajh meN aaye haiN, un ki ruu se mere ta'assuraat darj-e-zail haiN:
>
> 1. Ghazal ki baHr yaqeenan [faa'ilan fa'al = 212 12] hai, albatta is baHr ki yeh suurat bhi qaabil-e-qubuul hai --- [faa'ilan fa'uul 212 121]; goyaa, misr'e ke aaKhir meN aadhe syllable ki mazeed guNjaa'ish hai. maiN ne is chhuuT ka faa'ida in misr'oN meN uThaayaa hai: 4a, 6a, 8a, 9a, 13a, 14a, 16a aur 19a. goyaa, 21 ash'aar ki Ghazal meN 8 maqaamaat par. aisa karne se ko'ii bhii misr'a Khaarij-az-baHr nahiiN hu'aa!
>
> 2. maiN ne yeh kaheeN nahiiN paRhaa (yaa sunaa) k aisi 'liberty' kam se kam leni chaahiye. is liye, mere nazdeek yahaaN aisi ko'ii ziyaadatii sarzad nahiiN hu'ii!
>
> 3. jo eiteraaz "aaNkh uThe tirii" par uThaayaa gayaa hai us ki vajah Ghaaliban yeh hai k Siddiqui saaHib ne is misr'e ko Theek taraH se nahiiN paRhaa. yahaaN, lafz 'aaNkh" ki "kh" aur lafz "uThe" ki "alif" aapas meN mudGhim ho rahe haiN; nateejatan, is misr'e ko (effectively) yuuN paRhnaa chaahiye --- aaN+khuThii tirii --- which is totally legit and bar-vazn!
>
> I hope this answers all the questions raised by Siddiqui saaHib --- unless I have missed something else in his statement.
>
> Khair-aNdesh, Raj Kumar***

janaab-e-"Qais" saahab bahut bahut shukriyah aap ka is tafasiilii vazaahat ke liye,ab is kii bahar, vazn meN mere liye koii shaq-o-shubah nahiiN rahaa. (vaise to pahle bhii na thaa vo to bas "siddiqi" saahab ko hii tha)

taalib-e-duaa
Balvinder

Raj Kumar

unread,
Oct 12, 2015, 4:20:51 PM10/12/15
to
***janaab Vijay saaHib:

tashreef-aavarii ke liye, aur Khaaksaar ki Hausala-afzaa'ii ke liye, aap ka bahut bahut shukriya!

meri tabii'at ab qadre behtar hai, go k abhi bhi puuri tarah se ba-Haal nahiiN hu'ii. Ghaaliban, kuchh vaqt aur lage ga.

meri is Ghazal par, vazn ke baare meN jo savaalaat uThaaye gaye the, maiN ne un ka tafseeli javaab apne pichhle Khat meN likh diyaa tha. yaqeenan aap ne bhi dekhaa hoga aur ummeed hai k aap ko meri raaye se ittefaaq rahaa hoga.

aek baat aap se kehni hai --- voh yeh k aap ne apne Khat meN lafz "baHr" ko muzakkar likkhaa hai, jab-k ise mu'annis hona chaahiye tha. vaaq'ea yeh hai k lafz baHr (ba-ma'ani ocean, sea, gulf or any large body of water) muzakkar hai, jab-k yihii lafz (ba-ma'ani poetic meter, verse or rhythm) mo'annis hai. isi liye, maiN ne is baHr ko be-Hadd "chhoTi baHr" kahaa tha, "chhoTa baHr" naheeN!

Khair-aNdesh, Raj Kumar***


vij...@gmail.com

unread,
Oct 12, 2015, 4:33:13 PM10/12/15
to
maiN ne aap ka tafsiili tabsirah dekh liia tha Raj sahib. bohat shukriia. aur lafz-e-bahr ke baare meN wazaahat ka bhii bohat shukriia.

yih jaan ke Khushii huuii ki aap ki tabiiat pahle se behtar hai.

Best regards,

Vijay

Anil Kala

unread,
Oct 13, 2015, 1:58:25 AM10/13/15
to
Mohatram Raj Kumar Sahib

mujhe bhi app ki ye short behr ghazal pasaNd aayi. Although there is risk of this type of ghazal descending into mere tuk-bandi but you have done a great job.

eh she'r par aitraaz hai, No 6 . ghisaa pitaa lagata hai ise is ghazal men nahiiN hona chahiye

aadaab arz hai

Anil

Raj Kumar

unread,
Oct 16, 2015, 9:34:40 PM10/16/15
to
On Monday, October 12, 2015 at 10:58:25 PM UTC-7, Anil Kala wrote:

Mohatram Raj Kumar Sahib

mujhe bhi app ki ye short behr ki ghazal pasaNd aayi. Although there is risk of this type of ghazal descending into mere tuk-bandi but you have done a great job.

***janaab Anil saaHib:

Ghazal aap ko pasaNd aa’ii to yeh meri Khush-qismati hai --- aur Ghazal ki saraahanaa aap ki faiyyaazi ka suboot hai!***

eh she'r par aitraaz hai, No 6 . ghisaa pitaa lagta hai, ise is ghazal men nahiiN hona chahiye.

***aap ka mushaahida bar-Haq hai. nateejatan, maiN ne is she’r ko (kaan se pakaR kar) Ghazal se baahar nikaal diyaa hai! ☺

du’aa-go, Raj Kumar***

Asad

unread,
Nov 1, 2015, 4:55:10 AM11/1/15
to
Janab se chand ek vazahaten (is aitaraaf k sath k main kuch nhi jaanta) darkaar hain.

1-sher # 15. Samajh men nhi aaya. Khizar she kyun bhaag rhe hain? Un se to sb raahnumai lete hain? Aur ye sher kis tarha apne aap main hi vaazeh hai? Iske lie to sayaaq o sabaaq ki zaroorat mahsoos ho rhi hai

2- kya sher 16-18 qata nhi hain?

3- aap ne ek jaga par kaha k is bahar men ek harf barha dene ki ijazat hoti hai. Mere khyal main to aksar bahron main shaair hazraat aisa karte hain. Jaise:

Vaan gya bhi main to unki gaalion ka kya jawab?

Asad

Raj Kumar

unread,
Nov 5, 2015, 7:17:24 PM11/5/15
to
On Sunday, November 1, 2015 at 1:55:10 AM UTC-8, Asad wrote:

> Janab se chand ek vazahaten (is aitaraaf k sath k main kuch nhi jaanta)
> darkaar hain.

***Huzoor, jaanta to maiN bhi kuchh Khaas nahiiN, phir bhi jo kuchh samajh meN aaye ga, arz kar duuN ga.***

> 1-sher # 15. Samajh men nhi aaya. Khizar she kyun bhaag rhe hain? Un se to sb > raahnumai lete hain? Aur ye sher kis tarha apne aap main hi vaazeh hai? Iske > lie to sayaaq o sabaaq ki zaroorat mahsoos ho rhi hai

***is meN ko'i shak naiiN k Khizr se umooman rah-numaa'ii Haasil kii jaatii hai --- magar hamesha nahiiN! misaal ke taur par, aap Ghaalib ka yeh she'r dekhiye:

kyaa kiyaa Khizr ne Sikandar se
ab kise rah-numaa kare ko'ii?

is she'r ki tashreeH karte huye, Josh Malsiyaani saaHib farmaate haiN ---
"is she'r meN talmeeH hai k Khizr Sikandar ko aab-e-Hayaat ke chashme par le gaye. vahaaN Khud to aab-e-Hayaat pii liyaa aur Sikandar ko un aadamiyoN ke saamne le gaye jinhoN ne yeh paani to pii liyaa thaa albatta, za'eefii ki vajah se, naHeef-o-nazaar ho kar gosht ke lothRe reh gaye the. Sikandar ne yeh aalam dekh kar paani na piyaa aur is taraH voh is ne'mat se meHruum reh gaye. goyaa, Sikandar ke liye, Khizr ki rah-numaa'ii bharose ke qaabil saabit na hu'ii."

mera Khayaal hai k Khizr ke baare meN kuchh aur manfii baateN bhi hoN gi, jin ki ba-daulat Maulaana Haali ka kehna hai k

apni jeboN se raheN saare namaazii hushyaar
ik buzurg aate haiN masjid meN Khizar kii suurat

I hope you can now understand the thought behind my couplet #15.

jaate jaate, aek aur baat arz hai --- voh yeh k (maNdarja-baalaa ash'aar ki ruu se), is lafz ko Khizr bhi keh sakte haiN aur Khizar bhi!***

> 2- kya sher 16-18 qata nhi hain?

***You can say that --- even though I haven't enclosed them within 'Q's.

is zimn meN mujhe aap se aek baat kehni hai, voh yeh k agarche, ZuHal aur mushtarii ki taraH, hamaari zameen bhi aek saiyaarah hai, phir bhi (chuuN-k ham is par muqeem haiN), is liye hamaari nazroN meN yeh (amalii taur par) saakin hai. isi liye, yahaaN zameen ko "ain bar-maHal" kahaa gayaa hai!***


> 3- aap ne ek jaga par kaha k is bahar men ek harf barha dene ki ijazat hoti
> hai. Mere khyal main to aksar bahron main shaair hazraat aisa karte hain.
> Jaise:

> Vaan gya bhi main to unki gaalion ka kya jawab?

***jii haaN, maiN ne kahaa thaa "is baHr meN" aur aap ne kahaa hai "aksar baHroN meN", albatta ham meN se kisii ne bhi "tamaam baHroN meN" nahiiN kahaa. goyaa, yeh savaal abhi bhi Hal nahiiN hu'aa k kin kin baHroN meN yeh 'liberty' lii jaa sakti hai aur kin meN nahiiN.

mere paas sar-e-dast is savaal ka vaazeH javaab nahiiN hai; is ke liye hameN mazeed Ghaur-o-fikr ki zaruurat hai!

du'aa-go, Raj Kumar***

Asad

unread,
Nov 6, 2015, 6:12:04 AM11/6/15
to
>"***is meN ko'i shak naiiN k Khizr se umooman rah-numaa'ii Haasil kii jaatii hai --- magar hamesha nahiiN! misaal ke taur par, aap Ghaalib ka yeh she'r dekhiye:

kyaa kiyaa Khizr ne Sikandar se
ab kise rah-numaa kare ko'ii? "

Is sher se yeh to nahin andaza hota ke Khizr bhi kahin kahin garbar kar dete hain, shayer sirf ye kehna chah rhe hain ke kuch umoor khizr k bas se bhi baahar hain. aur mashiyyat-e-ilaahi ke aagay ham kuch bhi kar len ham baybas hi rahen ge. is sher main ye kahin nahin kaha gayaa k khizr se bach ke raho waghaira.

>"
mera Khayaal hai k Khizr ke baare meN kuchh aur manfii baateN bhi hoN gi, jin ki ba-daulat Maulaana Haali ka kehna hai k

apni jeboN se raheN saare namaazii hushyaar
ik buzurg aate haiN masjid meN Khizar kii suurat "

ye sher meri samajh hi main nahin aayaa. Khizr aur jeb katra? yeh waqaee mere liay bhi dilchasp hai. aur agar ye talmeeh theek hai to aapke sher par bhi kisi aitaraaz ki koi gunjaaish nahin banti.


>"jaate jaate, aek aur baat arz hai --- voh yeh k (maNdarja-baalaa ash'aar ki ruu se), is lafz ko Khizr bhi keh sakte haiN aur Khizar bhi!*** "


ye asaatizah ne bhi confuse karne main koi kasar nahin chhori :-/


>"**You can say that --- even though I haven't enclosed them within 'Q's."

yahi to...main bhi yahi kehna chah rha tha k qata ka mention nahin hai..to kya ye qata mana jaye ga? kya ghazl main 2 ash'aar ka interrelated hona jaaiz hai?

is hi tarha aakhri 2 ahs'aar bhi qata hi mahsooos hotay hain. waise ek nayaa sawal ye hai k jism-o-jaaN ke pighalne ki istalaah qaabil-e-qabool hai? dil to pighalta likha, parha aur suna bhi, jism-o-jaan ka pighalna?? ajeeb lag rha hai


aakhir main, mere sawalon ko ek taalib-e-ilm ke sawalon se zada mat samjhiaye.

Asad

Raj Kumar

unread,
Nov 21, 2015, 7:33:22 PM11/21/15
to
On Friday, November 6, 2015 at 3:12:04 AM UTC-8, Asad wrote:

"***is meN ko'i shak naiiN k Khizr se umooman rah-numaa'ii Haasil kii jaatii hai --- magar hamesha nahiiN! misaal ke taur par, aap Ghaalib ka yeh she'r dekhiye:

kyaa kiyaa Khizr ne Sikandar se
ab kise rah-numaa kare ko'ii? "***

Is sher se yeh to nahin andaza hota ke Khizr bhi kahin kahin garbar kar dete hain, shayer sirf ye kehna chah rhe hain ke kuch umoor khizr k bas se bhi baahar hain. aur mashiyyat-e-ilaahi ke aagay ham kuch bhi kar len ham baybas hi rahen ge.

&&&taaKheer ke liye m’azirat-Khwaah huuN, Asad saaHib!

Huzuur, is she’r meN Mirza Ghaalib kaheeN bhi ma’ashiyat-e-ilaahi ki baat naheeN kar rahe --- yeh baat sirf aap kar rahe haiN! un ka yeh kehnaa k “kyaa KIYAA Khizr ne Sikandar se” is baat ka zaamin hai k jo kuchh Khizr ne kiyaa us ke zimme-daar voh Khud the, ko’i duusra nahiiN thaa!&&&

is sher main ye kahin nahin kaha gayaa k khizr se bach ke raho, waghaira.

&&&Then, what does it mean to say “ab kise rah-numaa kare ko’ii?” In my opinion, Ghaalib is clearly alerting us to BEWARE of being (mis)led by this fabled ‘rah-numaa’!&&&

***mera Khayaal hai k Khizr ke baare meN kuchh aur manfii baateN bhi hoN gi, jin ki ba-daulat Maulaana Haali ka kehna hai k

apni jeboN se raheN saare namaazii hushyaar
ik buzurg aate haiN masjid meN Khizar kii suurat"***

ye sher meri samajh hi main nahin aayaa. Khizr aur jeb katra? yeh waqaee mere liay bhi dilchasp hai. aur agar ye talmeeh theek hai to aapke sher par bhi kisi aitaraaz ki koi gunjaaish nahin banti.

&&&maqaam-e-shukr hai k, maiN ne, Ghaalib ke ba’ad, Haali ka yeh she’r bhi quote kar diyaa, jis se aap ki kuchh tasalli to hu’ii --- varna maiN Ghareeb to aap ki nazroN meN hech se bhi hech-tar ho kar reh jaata!&&& ☹


>"jaate jaate, aek aur baat arz hai --- voh yeh k (maNdarja-baalaa ash'aar ki ruu se), is lafz ko Khizr bhi keh sakte haiN aur Khizar bhi!*** "

ye asaatizah ne bhi hamen confuse karne main koi kasar nahin chhori :-/

&&&yaqeenan, aap ke “baRe esaatizah” ne aap ko confuse karne meN ko’ii kasar naheeN chhoRi, magar du’aayeN deejiye k aap ke “chhoTe esaatizah” ne bhi aap ke in confusions ko raf’a-daf’a karne meN ko’ii kasar naheeN chhoRi!&&& ☺


waise ek nayaa sawal ye hai k jism-o-jaaN ke pighalne ki istalaah qaabil-e-qabool hai? dil to pighalta likha, parha aur suna bhi, jism-o-jaan ka pighalna?? ajeeb lag rha hai

&&&aap kaa kehna hai k aap ke liye “dil ka pighalnaa” to savikaar hai, albatta “jism-o-jaaN ka pighalnaa” savikaar naheeN hai --- if that is so, then what will you say about the following misr’a by Firaaq Gorakhpurii?

“voh aaNch jis ne mirii haDDiyaaN galaa dii haiN”

janaab-e-man, agar aashiq ki haDDiyaaN gal sakti haiN to us ke jism-o-jaaN ka pighal jaanaa ko’ii ajeeb baat naheeN hai! aur agar hai bhi to aap ise aek “innovation” samajh kar nigal jaaiye! ☺

du’aa-go, Raj Kumar&&&

Asad

unread,
Nov 27, 2015, 5:03:23 AM11/27/15
to
"Sikandar se” is baat ka zaamin hai k jo kuchh Khizr ne kiyaa us ke zimme-daar voh Khud the, ko’i duusra nahiiN thaa!&&&

is sher main ye kahin nahin kaha gayaa k khizr se bach ke raho, waghaira.

&&&Then, what does it mean to say “ab kise rah-numaa kare ko’ii?” In my opinion, Ghaalib is clearly alerting us to BEWARE of being (mis)led by this fabled ‘rah-numaa’!&&& "

ba-sad adaab ba-sad shukriya keh aapne mujhay doosri bar jawab ke laaiq samjha.

Janaab is sher ki sharh main Nizam College Hyderabad k professor Maulvi Syed Ali Haider Sahib Nazm Tabatabaee kehte hain "kya kia..yani kuch nhi kia..is lie ab kisi par bharosa nahin karna chahiye" unki kitab yahan maujood hai:

http://www.mediafire.com/download/0v6v618v7c48v4o/SEDG.pdf

Yousuf Saleem Chishti apni sharh men yun kehte hain:

"Matlab ye hai keh agar koi shai (cheez) taqdeer main na ho to Khizr ki rahnumae bhi besood hai, wo shai hargiz naseeb nhi ho sakta lihaza kisi to rahnuma banana be-faaida hai"

unki kitab yahan parhiye:

https://rekhta.org/ebooks/sharh-e-deewan-e-ghalib-ebooks

Maulana Abul Hasan Natiq likhte hain "Jab Khizr sa rahnuma bhi Sikandar ke kisi kaam na aaya to rahnumaii ke baray main kaun kis par bharosa kare?" yahan bhi yeh nhi likha keh Khizr ne kuch ghalat kia Sikandar keh sath.



"&&&maqaam-e-shukr hai k, maiN ne, Ghaalib ke ba’ad, Haali ka yeh she’r bhi quote kar diyaa, jis se aap ki kuchh tasalli to hu’ii --- varna maiN Ghareeb to aap ki nazroN meN hech se bhi hech-tar ho kar reh jaata!&&& ☹
"

Na sahib. ham to khud hi ko hech samajhte hain. waise mere khyaal main Maulana Hali ke sher ka kuch aur matlab hoga.


"&&&aap kaa kehna hai k aap ke liye “dil ka pighalnaa” to savikaar hai, albatta “jism-o-jaaN ka pighalnaa” savikaar naheeN hai --- if that is so, then what will you say about the following misr’a by Firaaq Gorakhpurii?

“voh aaNch jis ne mirii haDDiyaaN galaa dii haiN” "

dekhiaye, haddion ka galna khilaaf-e-muhavra nahin hai. isi tarha 'dil pighalna' bhi muhavra hai jiska matlab 'reham ana' hai. haan sham'a ka jism pighal sakta hai. Insan ka jism bhi hararat k agay pighal sakta hai:

"Jism hai ruuh ki hiddat main pighalne wala
hun sharabor, shararay nahin ro sakta main"

is main bhi hiddat ka zikr hai. janab ki ghazl sunne se jism-o-jaan ka pighalna kin maa'na main hai?

"janaab-e-man, agar aashiq ki haDDiyaaN gal sakti haiN to us ke jism-o-jaaN ka pighal jaanaa ko’ii ajeeb baat naheeN hai! aur agar hai bhi to aap ise aek “innovation” samajh kar nigal jaaiye! ☺ "

khilaaf-e-muhavra innovation hazm nahin hogi ;-)

Raj Kumar

unread,
Nov 30, 2015, 6:45:04 PM11/30/15
to
On Friday, November 27, 2015 at 2:03:23 AM UTC-8, Asad wrote:

ba-sad aadaab, ba-sad shukriya keh aap ne mujhay doosri baar jawaab ke laaiq samjha.

***duusrii baar to kyaa, Huzuur, maiN to aaj aap se teesrii baar muKhaatib ho rahaa huuN!*** ;)

Janaab, is sher ki sharh main Nizam College Hyderabad k professor Maulvi Syed Ali Haider Sahib Nazm Tabatabaee kehte hain "kya kia..yani kuch nhi kia..is lie ab kisi par bharosa nahin karna chahiye" unki kitab yahan maujood hai:

http://www.mediafire.com/download/0v6v618v7c48v4o/SEDG.pdf

***So what, Asad saaHib? I wish Nazm saaHib’s comment had helped me a bit, but unfortunately it didn’t!***

Yousuf Saleem Chishti apni sharh men yun kehte hain:

"Matlab ye hai keh agar koi shai (cheez) taqdeer main na ho to Khizr ki rahnumae bhi besood hai, wo shai hargiz naseeb nhi ho sakta lihaza kisi to rahnuma banana be-faaida hai"

unki kitab yahan parhiye:

https://rekhta.org/ebooks/sharh-e-deewan-e-ghalib-ebooks

***Forget about this “taqdeerii” stuff, my friend --- because, over ages, I have been over-saturated by this kind of 'nonsense'!***

Maulana Abul Hasan Natiq likhte hain "Jab Khizr sa rahnuma bhi Sikandar ke kisi kaam na aaya to rahnumaii ke baray main kaun kis par bharosa kare?" yahan bhi yeh nhi likha keh Khizr ne kuch ghalat kia Sikandar keh saath.

***“jab Khizr sa rah-numaa Sikandar ke kaam nahiiN aayaa” --- this statement, for a change, does strike me well. vaise, Khizr ne Sikandar ke saath kuchh Ghalat kiyaa yaa nahiiN kiyaa --- is beside the point for me, for that might mean a lot for a “defence attorney” of Khizr’s, but (in fact) has absolutely no standing for me!***

"&&&maqaam-e-shukr hai k, maiN ne, Ghaalib ke ba’ad, Haali ka yeh she’r bhi quote kar diyaa, jis se aap ki kuchh tasalli to hu’ii --- varna maiN Ghareeb to aap ki nazroN meN hech se bhi hech-tar ho kar reh jaata!&&& ☹ "
Na sahib. ham to khud hi ko hech samajhte hain. waise mere khyaal main Maulana Hali ke sher ka kuch aur matlab hoga.

***is she’r ka kuchh aur matlab hoga --- Really?

Do you really mean so --- or just wish it to be so?

Huzuur, jaate jaate, hameN kam-az-kam yeh to bataate jaaiye k is she’r ka AUR KYAA matlab ho saktaa hai --- aisa matlab jis se k aap ke Husn-e-tanavvo’a ko taqviiyat mil sake? ☺

du’aa-go, Raj Kumar***

Asad

unread,
Dec 1, 2015, 2:36:25 AM12/1/15
to
janaab aap ne maire mukhtalif sharhon se hawala dene par farmaya:

"So what, Asad saaHib? I wish Nazm saaHib's comment had helped me a bit, but unfortunately it didn't!"

aur

"Forget about this "taqdeerii" stuff, my friend --- because, over ages, I have been over-saturated by this kind of 'nonsense'!"

(waise 'nonsense' kis ko kaha aap ne? 'taqdeeri stuff' ko ya in sharhon ko? agar in sharhon ko kaha to ajeeb baat hai, main aapko jaanta nahin is liaye mujhay nahin maloom keh kaun bara aalim hai, ye hazraat jinhon ne sharhen likhin ya aap?) aur:

" is beside the point for me, for that might mean a lot for a "defence attorney" of Khizr's, but (in fact) has absolutely no standing for me!"

to janaab arz ye hai, keh main ne bhi ye sharhen pehli martaba hi khol kar (balkay internet par dhoond) parhin hain..kiunkay mujhay yaqeen tha keh is sher ka kuch aur matlab ho hi nahin sakta aur in sharhon se yaqeenan matlab ki baat nikle gi. Dekhna paRe ga keh Maulana Haali ne ghalib ke is sher ki kya tafseer ki hai. shayad tab aapki (ya meri) khatir-jama ho jaye.

"Huzuur, jaate jaate, hameN kam-az-kam yeh to bataate jaaiye k is she'r ka AUR KYAA matlab ho saktaa hai --- aisa matlab jis se k aap ke Husn-e-tanavvo'a ko taqviiyat mil sake?"

Mauqa o mahal dekhna parega keh ye sher kab kaha gya? ho sakta hai kisi ki hajv ki ho k dekhe se to khizr surat hai lekin hoshiyar raho is par bharosa mat karna waghairah.

Talib-e-dua

Asad

mirza badil nairang

unread,
Dec 1, 2015, 1:42:52 PM12/1/15
to
Agar is ghazal kay aur ashaar ko daikha jai

Ibn-e- Mariam Hua Kare koi,
Mere dukh ki dawa Kare koi.
...
aur phir
Kaun hai jo nahin hai haajitmand,
Kis ki haajit rawa kare koi.


Kya kiya Khizr ne Sikander se,
Ab kise rehnuma kare koi.

Jab tawaqqu hi uth gaye Ghalib
Kyon kisi ka gila kare koi.

To lagay ga keh zoar shaair ki zaat per hai. What can ibne Mariam do for me (since my pain is beyond him)

We all have needs and who can go around fulfilling every need.

Even a rahnuma like kizar can't do anything (Not may be because he is not a good rahnuma but even those who are led must be good at being led). In Firdausi's version Khizar gets to the water while leading sikander through the zulmat. But he sees the water only for a little while and sikander was just not good enough in following to be quick enough.

And at last he says it: Why should I complain of anyone since I have no expectations (because my problems cannot be solved by ibne Mariam, khizar, or anyone really. The issue lies with me these guys are known for being good at what they do but my problems and pains are beyond them).

And if nothing else ascribe it to:)
Bak raha hoon junoon mein kya kya kuchh,
Kuch na samjhe khuda kare koi.

mirza badil nairang

unread,
Dec 1, 2015, 2:27:26 PM12/1/15
to
A further clarification
Kya kiyaa khizr nay sikander say (He led him too fast compared to the speed sikandar was capable of following at. But khizr was bound to go at that speed since otherwise he would not be able to reach the water and even then he can only get to it for a blink of an eye. There is not necessarily an element of khizr trying to pool wool over sikander's eyes.)

mirza badil nairang

unread,
Dec 1, 2015, 2:38:37 PM12/1/15
to
ab kisay rahnumaa karay koi(Now that I/sikander was not fast/good enough to follow the best guide there was who else should/can be sought as a guide? No one).

Raj Kumar

unread,
Dec 1, 2015, 8:27:22 PM12/1/15
to
On Monday, November 30, 2015 at 11:36:25 PM UTC-8, Asad wrote:

Janaab, aap ne maire mukhtalif sharhon se hawala dene par farmaya:

"So what, Asad saaHib? I wish Nazm saaHib's comment had helped me a bit, but unfortunately it didn't!"

aur

"Forget about this "taqdeerii" stuff, my friend --- because, over ages, I have been over-saturated by this kind of 'nonsense'!"

(waise 'nonsense' kis ko kaha aap ne? 'taqdeeri stuff' ko ya in sharhon ko? agar in sharhon ko kaha to ajeeb baat hai, main aapko jaanta nahin is liaye mujhay nahin maloom keh kaun bara aalim hai, ye hazraat jinhon ne sharhen likhin ya aap?)

***janaab-e-Asad sahib:

"nonsense" ka lafz maiN ne maHz "taqdeeri stuff" ke liye bartaa thaa, aap ki shar'hoN ke liye naheeN! vajah us ki yeh k Ghaalib ke is she'r meN taqdeer jaisi shai ka zikr tak nahiiN hai, to phir is she'r ki tashreeH meN is "be-ma'ani unsur" ko kyuuN ghuseRaa jaaye?

vaise bhi, lob-baag umuumii guft-guu meN bhi aksar (apni laa-ilmii ko chhupaane ke liye) taqdeer ke hauvve ko laa khaRaa karte haiN --- I find that disgusting!

Now you know where I am coming from --- varna, maiN to har sahib-e-fahm-o-zakaa ki qadr kartaa huuN aur, jaan buujh kar, kisii ki bhi shaan meN gustaaKhii nahiiN kartaa!***

"is beside the point for me, for that might mean a lot for a "defence attorney" of Khizr's, but (in fact) has absolutely no standing for me!"

to janaab arz ye hai, keh main ne bhi ye sharhen pehli martaba hi khol kar (balkay internet par dhoond kar) parhin hain..kiunkay mujhay yaqeen tha keh is sher ka kuch aur matlab ho hi nahin sakta aur in sharhon se yaqeenan matlab ki baat nikle gi. Dekhna paRe ga keh Maulana Haali ne ghalib ke is sher ki kya tafseer ki hai. shayad tab aapki (ya meri) khatir-jama ho jaye.

***I have no doubt, Asad sahib, that you explored this topic with total integrity and, believe me, I too was dead serious about it! Now, if you and I are still "on different pages of the book", so be it --- after all, "agreeing to disagree" is also an option available to us!***

"Huzuur, jaate jaate, hameN kam-az-kam yeh to bataate jaaiye k is she'r ka AUR KYAA matlab ho saktaa hai --- aisa matlab jis se k aap ke Husn-e-tanavvo'a ko taqviiyat mil sake?"
Mauqa o mahal dekhna parega keh ye sher kab kaha gya? ho sakta hai kisi ki hajv ki ho k dekhe se to khizr surat hai lekin hoshiyar raho is par bharosa mat karna, waghairah.

***This is a good thought, my friend. May be, this will provide us with some way out of this dilemma!

du'aa-go, Raj Kumar

P.S. Asad sahib, ain mumkin hai k aap shaa'irii bhi karte hoN. agar aisa hai to aih-e-ALUP ko kabhi apne kalaam se bhi to navaaziye! R.K.***

Asad

unread,
Dec 2, 2015, 5:29:12 AM12/2/15
to
Janab Raj Kumar Sahib

Theek hai janab. Ham apne darmiyaan maujood ikhtalaaf par hi ittefaaq kar lete hain. lekin is behas ko kisi nateejay par le aatay hain. to tai ye hua keh:

maire aur mukhtalif shar'hon ke aur Mirza Badil Nairang Sahib ke mutabiq zer-e-behas sher ka matlab yeh hai keh shaair un umoor ki baat kar rha hai jo sirf aur sirf taqdeer hi ke rehm o karam par hain aur ham apne se behtareen koshish karne ke bawajood un par qaabu nhin paa sakte

Aur aapke mutabiq, Urdu Shairi main khizr ka ek khatrnaak roop bhi rawa rakha ja sakta hai jis se pehloo tahi ki jati ho. aur shaair bhi is sher main yahi keh rha hai k khizr ne chunkay sikandar ke sath koi chaalbaazi ki thi is lie usko kam az kam rahnuma nahin banaya ja sakta

tasdeeq kar de jiaye.

"***This is a good thought, my friend. May be, this will provide us with some way out of this dilemma! "

shukriya janab. kam az kam yahan to ittefaaq ki soorat nazr aati hai. Khizar-surat se yahi lagta hai zikr yahan khizr ka nahin balkay kisi behroopiye ka ho rha hai.

aur janab ne 'jism-o-jaan pighalne' ke e'taraaz ka jawab dena munasib nahin samjha?

"P.S. Asad sahib, ain mumkin hai k aap shaa'irii bhi karte hoN. agar aisa hai to aih-e-ALUP ko kabhi apne kalaam se bhi to navaaziye!""

ham kahan sher-o-shairi kahan? bnda to abhi aksar behron main tukbandi bhi nahin kar sakta. ye group isi liay join kia arooz se mutalliq darpesh sawal ahle ilm ke agay rakhay jaayen. haan kabhi apna kaha khud mujhay pasand aya to raae-dahi ke lie pesh kar dun ga.

Talib-e-dua

Asadullah Khan

Asad

unread,
Dec 2, 2015, 5:30:42 AM12/2/15
to
yani k Mirz Badil Sahib aap kehna chah rhe hain keh aap meri raae se muttafiq hain?

mirza badil nairang

unread,
Dec 2, 2015, 1:38:13 PM12/2/15
to
On Wednesday, December 2, 2015 at 2:30:42 AM UTC-8, Asad wrote:
> yani k Mirz Badil Sahib aap kehna chah rhe hain keh aap meri raae se muttafiq hain?

Once khizr realizes that he won't be able to get sikandar to the fountain he leaves. Kyaa kiyaa khizr nay sikandar say? He left. Which leaves sikandar with the quandary ab kisay rahnuma karay koi.

Shairi ki kiimiiyaagarii main aik cheese ye hai ke usay parhnay waalay mukhtalif pairaa'ay pehnaa saktay hain. Ya aik parhnay waalaa mukhtalif tarah say daikh sakta hai aik he waqt main yaa mukhtalif aukat aur haalaat yaa ideology ke paish e nazar. Shaa'ir aik dhaancha(h) khaRaa kartaa hai. Parhnay waalaa rooh daitaa hai. Is soorat main shairi myth say mutabqat rakhtii hai. Her aik kay liyay myth ki interpretation farak ho sakti hai. Which brings us to the fact that the shair itself is referring to a myth. The sikandrian myth in many ways is the parallel of the Arthurian myth (or the other way around) where the holy grail replaces the aab e hayaat. What is it that is being sought by the seeker? At some base level one can say physical immortality but usually it is a metaphor (for something else). Is anyone seeker or the rahnumaa at fault or it is what it is? In the Arthurian legend only Gwain (among all the knights seeking it) gets a glimpse of the holy grail because in some sense he is purer. Khizr sees the fountain because he can. Sikandar doesn't because he cannot.
0 new messages