Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

Information: C. Arjun

192 views
Skip to first unread message

Enigma

unread,
Sep 21, 2010, 9:43:12 AM9/21/10
to
Hi,

I was searching for more information on lesser known music director -
C. Arjun. Except for his filmography, I couldn't find much on the
Internet. Does anyone have more information about C. Arjun? (Origin,
Training in Music, Career as assistant to others, why he remained
lesser known)

Thanks in advance.

surhall

unread,
Sep 21, 2010, 7:47:18 PM9/21/10
to

surhall

C. Arjun filmography (Most recent movies)
Sati Naag Kanya (1983) Music Director
Buy
Kanoon Aur Mujrim (1981) Music Director
Karwa Chowth (1980) Music Director
Nawabsaheb (1978) Music Director
Buy
Aankh Ka Tara (1977) Music Director
Subha Zaroor Aayegi (1977)
Punarmilan
Main Aur Mera Bhai
Abana 1958
Sati Naag Kanya 1983
Bhakt Peepaji 1980
Ganga Sati 1979

dhall

surjit singh

unread,
Sep 22, 2010, 12:49:14 AM9/22/10
to

Listeners' Bulletin has an article on him.

vijay...@my-deja.com

unread,
Sep 22, 2010, 3:02:43 AM9/22/10
to

misses his biggest hit - jai santoshi ma.
misses the film with probably his best music - sushila.

To Surjit-ji,
does the LB article at least say what his full name is?
Any summarization of the LB profile that you can share or
point to?

Vijay

Aditya

unread,
Sep 22, 2010, 3:43:45 AM9/22/10
to
On Sep 22, 12:02 pm, "vijaykum...@my-deja.com" <vijaykum...@my-
> Vijay- Hide quoted text -
>
> - Show quoted text -

If I'm not mistaken, all songs of Susheela appeared in Subah Zaroor
Aayegi (1977). Not sure if the film was released under a diferent name
after a decade or the songs were re-used in a different film.

Aditya

kcp

unread,
Sep 22, 2010, 4:42:02 AM9/22/10
to

http://in.groups.yahoo.com/group/vividhbharati/message/2200

SANGEET KE SITAARON KI MEHFIL

AMEEN SAYANI'S PROGRAMME ON C ARJUN
-----------------------------------
***********************************

CA: C Arjun
AS: Ameen Sayani


Sangeet Ke Sitaaron Ki Mehfil mein ab jo sangeet aap ke saamne
aayegaa, uske
janamdaata the ek duble patle, sharmeele swabhaav ke, Khaamosh
tabeeyat ke
'music director'. naam tha unkaa C Arjun.

-------------------------------------------------
Song: bemurawwat bewafaa begaana-e-dil (Susheela)
-------------------------------------------------

bahenon aur bhaaiyon, kuchh log aise hote hain jo Khaamosh tabeeyat ke
hote
hain, saadaa sa jeevan beetaate hain aur chup chaap chale jaate hain
apne
dukhon, apne Ghamon ko apne dil mein is tarah sameTe ki sheeshaa
TooTe ?????
mach jaaye, dil TooTe aawaaz na aaye! C Arjun bhi kuchh isi tarah ke
bhole
bhaale seedhe saade insaan the. apni dhun mein magan, na dikhaawaa naa
shor
sharaabaa, na 'publicity' na dhoom dhaDaakaa. kaam jab bhi kiya bahut
hi achchha
kiya, magar kuchh kam kiya. aur aaKhirkaar 30 April 1992 ko C Arjun
yeh jahaan
chhoD gaye. aaj se kuchh baras pehle, yaani April 1982 mein C Arjun ka
ek
'interview' maine 'record' kiya tha, aaiye bahenon aur bhaaiyon, aaj
wahi
'interview' main aapko sunwaayun, jo shuru huya tha unki pehli film
Road No.303
ke pehle geet se.

------------------------------------------------
Song: aankhon ne aankhon se milkar (Road No.303)
------------------------------------------------

jee haan, pehli pehli baar isi geet se film sangeet nirdeshan se
mulaaqaat huyi
sangeetkaar C Arjun ki. jee haan bahenon aur bhaaiyon, yahi hain C
Arjun saahab
jinke saath aaj hamaari aur aapki mulaaqaat honewaali hai.


CA: namaste bahenon aur bhaaiyon, kaise hain aap?

AS: unke taraf se main jawaab detaa hoon, woh bahut achchhe hain
(laughs), aur
aapki baaten sunne ke liye aur aapke gaano ki jhalakiyaan sunne ke
liye bahut
beqaraar ho rahe hain. Arjun bhaai, aaj ka 'programme' kuchh yun
karenge ki
aapki chunee huyi tarzen main nikaal laaya hoon, 'record' nikaal laaya
hoon, aur
unki jhalaken chhoTi chhoTi si ham bajaate jaayenge aur un jhalakon ke
baare
mein main aap se poochhtaa jaayunga ki unke baare mein kuchh bataaiye.

CA: jee haan jee haan

AS: dekhiye hamne abhi antaraa bajaaya aur antare ke baad mukhDaa
bajaayaa is
geet ka 'Road No.303' kaa, jo aapki pehli film thi. to chaliye shuru
mein isi ke
baare mein kuchh bataaiye.

CA: Ameen bhaai, jab yeh meri pehli film 'announce' huyi, to kitne
'distributors' the jinko mere naam par aetraaz tha.

AS: achchha!

CA: kyunki main naya naya aaya tha, kehne lage ki 'Mehmood hain is
'picture'
mein 'hero', Shobha Khote bhi hain, magar yeh 'music director' C Arjun
kaun
hai?' to unhe mere naam pe bahut aetraaz tha, bechaaraa 'producer',
uski bhi
pehli pehli film, woh bhi ghabraa gaya ki abhi 'picture' shuru bhi
naheen huyi,
itne mein yeh 'distributors' mere ko kya bol rahe hain. to woh log
kehne lage ki
''music director' koi baDaa lo, yeh C Arjun naheen chalegaa'

AS: arey!

CA: to mera 'producer', woh bhi bahut hoshiyaar tha, woh kehne lagaa
ki 'dekho
bhai, yeh C Arjun jo hai yeh C Ramchandra ka chhoTaa bhaai hai'

AS: C Ramchandra ka chhoTaa bhaai?

CA: jee haan, tabhi jaake unko kuchh tasalli huyi ki yeh 'music'
achchha de
sakegaa (AS laughs)

AS: aur waaqai is C Ramchandra ke chhoTe bhaai ne achchha 'music'
diyaa, waaqai
yeh kaafi lambaa 'record' hai aapka, itni saari filmen aur har film
mein achchhe
gaane, aur aise gaane jo meraa Khayaal hai barson tak zindaa rahenge.
(CA
laughs). achchha, ab aglaa gaana pesh karoon main jo mujhe bahut
achchha lagtaa
hai aapka?

CA: magar Ameen bhaai, mere ko bhi to kuchh bolne deejiye

AS: achchha achchha, Theek hai, boliye boliye

CA: dekhiye Ameen bhaai, aapne mera gaana bajaaya, Road No.303 ka, yeh
to
puraanaa gaana hai, magar aajkal log mujhe is gaane se zyaadaa jaante
hain...

--------------------------------------------------
Song: main to aarti utaaroon re (Jai Santoshi Maa)
--------------------------------------------------

AS: waah waah, kyaa chalaa tha yeh gaanaa C Arjun saahab, aur mera
Khayaal hai
1975 ka gaana tha. magar jab aap ne yeh gaanaa banaayaa tha tab kya
aapko pataa
lag gaya tha ki yeh itna zabardast 'hit' hogaa?

CA: naheen Ameen bhaai, ham kuchh sochte hi naheen the, ismein kuchh
13 yaa 14
'musicians' baiThe the keval, aur aisa lag raha tha ki jaise kisi
yateem
'producer' ki 'recording' ho rahi hai. to koi dost, yaar dost aaye bhi
naheen,
bole ki 'maaloom naheen yeh kya gaana ho raha hai'. to hamne bhi aise
karte
rahe. mazaa to tab huya jab iske gaane baahar aaye. pehle to iske
'records' bike
hi naheen. to Bandra mein ek 'dealer' hai...

AS: 'dealer' yaani 'record' bechnewaalaa 'dealer'?

CA: jee haan jee haan. to uske paas aksar main jaaya karta tha yeh
poochhne ke
liye ki aajkal kaun si film ka gaana aaya huya hai, kaun sa chal raha
hai, kaun
sa naheen chal raha hai. to ek din main uske paas gaya aur bolaa 'meri
ek film
aayi hai Jai Santoshi Maa, iske naye naye 'records' aaye hain, kam se
kam ek
'record' mangwaakar apne paas rakh de. woh bole ki 'dekho bhai, aisi
filmon ke
'records' hamaare yahaan se naheen chalte, hamaare yahaan to kya kahin
chalte hi
naheen hain, isliye yeh jo tu apne man ko behlaa raha hai, balki yeh
chalnewaala
kuchh hai naheen'. to maine kahaa ki 'dekh, tu mera dost hai na, ek
'record' tu
mangwaa, agar woh naheen bikegaa to main tere ko teraa paisa dekar le
jaayunga'.
to bechaaraa usne meri baat maan lee. to ek EP Record usne mangaakar
apne paas
rakh diya. to mujhe baDi Khushi huyi, main roz usko poochhoon, Khaas
Bandra mein
utroon, usko poochhne ke liye ki yeh 'record' bikaa ke naheen. to
bechaaraa bole
ki 'dekho, ghaDi ghaDi mujhe poochho mat, jab bikegaa main tere ko keh
doonga,
filhaal naheen bik raha hai, ghaDi ghaDi yahaan aake mujhe pareshaan
mat kar'.
phir 15-20 din huye, 1 maheena huya, phir main ek din gaya uske paas,
ke 'bhai,
woh 'record' bikaa?' to bolaa ki 'dekho, abhi tak naheen bikaa, waisa
naya ka
naya mere paas paDaa hai'. to maine usko kahaa ki 'ek baat tune Galat
kee, is
'record' ko baahar 'showcase' mein to rakho, log dekhen to sahee'. to
kehne
lagaa ki 'achchha, karta hoon, bas? kal aayegaa to dekhegaa ki yeh
'showcase'
mein lagaa huya hai'. to doosre din gaya to dekhaa ki 'showcase' mein
usko baDi
'prominent' jagah dee hai, ab iske baad main wahaan jaayun hi naheen
kyunki ab
to woh baahar paDaa hai...

AS: aur baahar paDaa hai yaani ki bikaa hi naheen

CA: jab bhi wahaan se guzroon aur dekhoon ki woh waheen paDaa hai to
mera chehra
utar jaata tha, main sochoon ki kya main itna 'bogous music director'
hoon ki
mera ek 'record' naheen bik raha hai. to main chalaa jaayun. isko
15-20 din ho
gaye, 15-20 din to naheen, main samajhtaa hoon 1-1.5 maheenaa ho gaya.
to ek din
maine dekhaa ki woh 'record' wahaan tha hi naheen. to aage 'signal'
aaya to main
'bus' se utar gaya, aur gaya main usko poochhne ke liye ki 'record'
bikaa? to
bolaa 'kya bikaa yaar, tu phir aa gaya?' maine bolaa 'baahar to woh
'record' hai
hi naheen'. to bolaa ki 'dekh, tune jab yeh 'record' mangwaayaa tha to
iska
baahar ka 'colour' kya tha?' maine kahaa 'laal'. 'aur ab kya hai?'
maine kahaa
'peelaa'. to bolaa 'dekh, iska 'colour' laal se peelaa ho gaya hai,
aur ab tak
yeh 'record' bikaa naheen, ab aage se mere ko yeh mat poochhna tum'.
to main
wahaan se niklaa, mujhe yaad hai Bandra se Santacruz main paidal
chalaa gaya.

AS: are re re, aur uske baad to Jai Santoshi Maa 'release' huyi aur
uske baad to
kya chale yeh gaane ki bas poochhiye hi mat!

CA: Ameen bhaai, main aapko bataayun to yeh akkha 'music' maine koi 35
yaa 40
hazaar tak mein 'complete' kar diya tha

AS: yaani 35-40 hazaar rupay mein aapka 'music direction', 'lyrics
writer',
gaayak...

CA: 'musicians', sab milaake

AS: sab milaake?

CA: jee haan jee haan, hamein kyaa pataa tha ki is film ke gaano ke
liye
'producer' ko 10 se 12 laakh rupay ki 'royalty' milegi

AS: 10 se 12 laakh rupay 'royalty'?

CA: jee haan jee haan

AS: achchha Arjun bhaai, us 10-12 laakh rupay mein se aapko kitna
milaa?

CA: kuchh bhi naheen

AS: arey!

CA: ek 'token' ki tarah ek 'refrigerator' usne mujhe 'present' kiya,
jo aaj bhi
maujood hai aur uski yaaddaasht hai.

AS: ismein yeh bhi hai ki jab aap garam ho jaate honge to iskaa
ThanDaa paani
pee lete honge (CA laughs)

AS: achchha C Arjun saahab, Arjun bhaai mujhe kehna chaahiye, baDi
puraani dosti
hai aap se (CA laughs), ab jo gaana main pesh karoonga woh aapke
tamaam gaano
mein mujhe sabse zyaada pasand hai, balki yeh mere baDe 'favourite'
gaano mein
se ek hai, film hai Main Aur Mera Bhai, aur gaana hai...

----------------------------------------------
Song: main abhi Gair hoon (Main Aur Mera Bhai)
----------------------------------------------

AS: bahenon aur bhaaiyon, is geet ke shaayar Jan Nisar Akhtar ki
taareef karte
huye apne 'career' ki ek Khaas baat C Arjun saahab ne us puraani
'interview'
mein bataayi thi:

CA: Ameen bhai, Jan Nisar Akhtar ne ek baDaa hi achchha kaam kiya apni
'life'
mein.

AS: kaun sa?

CA: pehle meri aadat thi 'tune' pe bol likhwaane ki jo unhone badalwaa
Daalee.
woh hameshaa yahi kehte the ki shaayar ko poori aazaadi do, to woh
khulkar jo
bhi chaahe woh likhe aur tum uske upar 'tune' banaao, to woh jo gaana
hai woh
'life' bhar chalta rahegaa. aur Ameen bhai, huya bhi aisa, meri ek
film thi Main
Aur Mera Bhai, usmein ek gaana tha "main abhi Gair hoon mujhko abhi
apnaa na
kaho", aur mujhe aakar kahaa ki 'iska 'tune' banaao'. maine kahaa ki
'naheen,
main 'tune' naheen banaayunga, maine ek 'tune' banaaya hai, pehle aap
iske upar
kuchh bol likhiye'. yeh bole 'naheen' aur zabardasti mere se 'tune'
banwaayi.
magar ittefaaq se woh gaana chal paDaa.

AS: bahut Khoob! aisi aur bhi dhune theen jo aap ne unke geeton par
banaaee?

CA: jee haan, phir meri ek film thi Susheela, phir unhone "bemurawwat
bewafaa
begaana-e-dil aap hain" yeh unhone diya,"nazaaron mein kho gaya hoon
main"

AS: waah waah

CA: aise aise gaane the jo unhone pehle likhe

AS: achchha, Jan Nisar Akhtar ka likha ek aur gaana mujhe yaad hai
jiski dhun
aapne banaaee thi

CA: kaun sa gaana?

AS: Susheela ka gaana jo Rafi saahab ne Talat saahab ke saath gaaya
tha. aise
bahut kam gaane hain jo in dono ne saath milkar gaaye hain.

CA: sachchi baat hai Ameen bhai. un dono ka ek gaana chal raha tha
Sahir saahab
ka "woh subah kabhi to aayegi". mujhe bahut achchha laga woh gaana.
main Akhtar
saahab ko hameshaa bolaa karta tha ki Sahir saahab ne aisa kyun likha
hai ki
"woh subah kabhi to aayegi"? yeh zaraa 'suspense'waali baat ho gayi.
honaa
chaahiye "subah zaroor aayegi". Akhtar saahab ko yeh baat janch gayi
aur bole ki
'kal mere ghar pe aa jaana, apan ek gaana banaayenge', to main unke
ghar gaya,
unhone mujhe yeh diya mukhDaa "Gham ki andheri raat mein dil ko na
beqaraar kar,
subah zaroor aayegi subah ka intezaar kar"

------------------------------------------
Song: Gham ki andheri raat mein (Susheela)
------------------------------------------

AS: achchha Arjun bhaai, Jan Nisar Akhtar ke alaawaa bhi shaayar hain
jinse aap
ne gaane likhwaaye hain. kuchh aur shaayaron ka zikr ho jaaye?

CA: jee haan, Indeevar ke saath maine kaam kiya tha Punarmilan mein.
to uska ek
gaana tha "paas baiTho tabeeyat bahal jaayegi"

AS: arey waah waah waah

CA: un dino ka zikr hai ki jab woh Andheri mein raha karte the. to
main gaya
unke paas, kahaa ki 'Indeevar-ji, ek 'situation' hai, kuchh kehdo'.
bola
'Thehro, karte hain, abhi chalo pehle'. apan 'bus' mein baiThe, to
Andheri se
nikle, inko jagah baiThne ki to mil gayi, mujhe naheen milee, main
khaDaa hi reh
gaya. Indeevar-ji mere saamne, mere baaju mein ek laDkee khaDee thi,
Indeevar-ji
usey ghaDi ghaDi dekh raha tha aur kuchh soch raha tha, maine dekhaa
ki woh
kuchh soch raha hai, to itne mein uske paas baaju mein jo aadmi
baiThaa tha woh
uThaa aur main baiTh gaya. bolaa 'dekhaa, tumne kaam Kharaab kar diya
mera'.
maine bolaa 'kyun, kya huya?' kehne lagaa 'gaana main keh raha hoon
aur tu baiTh
gaya mere saath mein!' maine kahaa 'kya huya, maine kaun sa gunaah kar
diya'.
bolaa 'dekho, maine kya likha hai'. maine kahaa 'kya likha hai'?.
bolaa "paas
baiTho tabeeyat bahal jaayegi", ab yeh poora kaise hogaa jab tak tu
yahaan
baiTha huya hai, tu uTh yahaan se'. (AS laughs). maine kahaa 'achchha
Indeevar-ji, main uThtaa hoon kyunki Garaz meri hai, gaana mujhe
likhwaane ka
hai', to main uTh gaya wahaan se.

AS: achchha achchha, to gana aisa hai ki paas uThkar khaDe ho jaayo to
tabeeyat
bahal jaayegi (CA laughs), aur woh laDkee jab baiTh gayi paas mein
to...

CA: to unhone gaana 'complete' kiya

-----------------------------------------------------
Song: paas baiTho tabeeyat bahal jaayegi (Punarmilan)
-----------------------------------------------------

AS: aur aap bhi dekhiye ki hamaare paas aakar baiTh gaye hain C Arjun
saahab aur
hamaari tabeeyat bahal bhi rahi hai, gaane bhi sun rahe hain ham,
jhoom bhi rahe
hain ham.

CA: lekin Ameen bhai, mere kuchh aur gaane bhi to suniye

AS: bataaiye kaun sa sunwaaenge aap

CA: pehle to suniye film Rakshabandhan ka, "poonam ki pyaari pyaari
raat"

AS: achchha

CA: bilkul Gujarati 'style' mein hai yeh, Gujarati garbaa

--------------------------------------------------
Song: poonam ki pyaari pyaari raat (Rakshabandhan)
--------------------------------------------------

CA: is gaane ka kya asar huya Ameen bhai aapko maaloom hai?

AS: naheen, kya huya?

CA: is gaane ke baad main seedhe Gujarati filmon mein aa gaya.
'producers' kehne
lage ki 'tu abhi Gujarati mein bhi 'music' de sakta hai'

AS: achchha garbaa jo diya tha aapne!

CA: iske baad main Gujarati 'industry' mein aa gaya aur Gujarati
filmen bhi
maine bahut kar dee. Ameen bhaai, Gujarati filmon mein aane ke baad
bhi mere
saath wohi huya jo hameshaa hotaa aaya hai

AS: achchha, kya huya?

CA: wohi, Gujaarti filmon mein 'music' dene ki wajah se log kehne lage
ki
'Arjun, tu abhi Gujarati filmon mein 'music' dene lagaa hai', iske
pehle Jai
santoshi Maa mein 'music' diya to log kehne lage ki 'Arjun to abhi
bhajan hi
banaataa hai', 'mythological music' detaa hai, abhi main karoon kya
mujhe samajh
mein naheen aa raha hai.

AS: Arjun bhaai, waaqai hamaari filmi 'industry' mein yeh baat hai
zaroor.

CA: isliye Ameen bhaai, Santoshi Maa ke baad mere paas jo
'mythological' filmen
aayeen maine ek bhi naheen kee

AS: arey!!

CA: kabhi kabhi sochtaa hoon ki kar lenaa chaahiye tha mere ko, par
maine kee
naheen.

AS: aur Arjun bhaai, waise dekhaa jaaye to yeh shaayad ek achchhe
'artiste' ki
pehchaan bhi hai ki woh bandhanon mein jakaDnaa pasand naheen karta,
woh apni
kalaa ko, apne fan ko khulaa chhoD detaa hai taaki woh har rang mein
Dhal sake.

CA: to Ameen bhaai, is baat pe mera yeh rang bhi dekh leejiye

AS: kaun sa?

CA: ismein aapko do log aise milenge jo ab is duniya mein naheen rahe

AS: kaun Arjun saahab?

CA: ek to Mohd Rafi saahab, aur doosre Sahir Ludhianvi saahab. yeh get
hai film
Nawab Sahab ka.

----------------------------------------------------------
Song: ham mein hai kya ke hamein koi haseena (Nawab Sahab)
----------------------------------------------------------

arey naheen saahab, C Arjun to apni suron se sajaakar hamein woh
pyaare pyaare
geet de gaye hain ki haseena to kya unke chaahnewaale bhi unko
chaahenge. aur
aaKhir mein yeh bhi jaan leejiye bahenon aur bhaaiyon ki C Arjun
insaan bhi
bahut madhur the, jee haan, main kaafi achchhi tarah jaanta tha unhe,
Radio
Ceylon ke zamaane mein woh Mumbai mein hamaare 'studio' mein aksar
aaya jaaya
karte the, apni Khaas Sindhi 'style' mein baDi meeThee meeThee baaten
bhi kiya
karte the, aur meeThee meeThee muskuraahaTen bhi baanTaa karte the.
afsos ki
baat hai ki shohrat aur daulat unse aankhen churaati raheen, aur
zindagi ne bhi
bahut jaldi unse munh pher liya, warna baDi Khoobiyaan theen
marnewaale mein,
baDaa hi sureelaa tha unka tasavvur!

------------------------------------------------
Song: shaam rangeen huyi hai (Kanoon Aur Mujrim)
------------------------------------------------

to bas isi moD par aakar Khatam hoti hai aaj ki Sangeet Ke Sitaaron Ki
Mehfil.
ab aapka saathi Ameen Sayani shuru karta hai ikaTThaa karna agli
mehfil ka
saaz-o-saamaan, aur aap shuru keejiye agle 'programme' ka intezaar!

THE END

0 new messages