Google Groups no longer supports new Usenet posts or subscriptions. Historical content remains viewable.
Dismiss

multafat hotaa nahiiN

17 views
Skip to first unread message

Faanii B

unread,
Apr 29, 2012, 6:00:45 PM4/29/12
to
dosto aadaab :) Miir kii aik aur Ghazal

multafat hotaa nahiiN hai gaah tuu
kis qadar maGhruur hai Allaah tuu

mujh se kitne jaan se jaate rahe
kis ki mayyat ke gayaa ham raah tuu

bai Khvudii rahtii hai ab aksar mujhe
Haal se maire nahiiN aagaah tuu

us ke dil meN kaam karnaa kaam hai
yuuN falak par kyoN nah jaa ai aah tuu

farsh haiN aaNkheN hi tairii raah meN
aah Tuk to daikh kar chal raah tuu

jii talak to muNh nah moReN tujh se ham
kar jafaa o jaur Khaatir Khvaah tuu

kaahish e dil bhii du chandaaN kyoN nah ho
aaNkh meN aave nah do do maah tuu

dil dihii kyaa kii hai yuuN hii chaahiye
ai zahe tuu aafiriiN tuu vaah tuu

"Miir" tuu to 'aashiqii meN khap gayaa
mat kisii ko chand rauz ab chaah tuu

du'aa kaa taalib

Faanii

Miir

unread,
Jun 8, 2012, 11:35:40 AM6/8/12
to
Faani sahab mairee ghazlain paish karnay ka shukria. Jab say yahaan
aayaa hoon ab to ye kahnay per mujboor hoon

multafat hotaa nahiiN hai gaah tuu
kis qadar masroof hai Allaah tuu

Baharhaal waiting room main Akbar say mulaqaat hooee. unhoN nay yay
islaah farmaa'ee hai

multafat hotaa nahiiN hai gaah too
kis qadar maGhruur hai Allaah too

mujh se kitne jaan se jaate rahe
kis ki mayyat ke gayaa ham raah too

bai Khvudii rahtii hai ab aksar mujhe
Haal se maire nahiiN aagaah too

us ke dil meN kaam karnaa kaam hai
yuuN falak par kyoN nah jaa ai aah too

farsh haiN aaNkheN hi tairii raah meN
aah Tuk to daikh kar chal raah too

jii talak to muNh nah moReN tujh se ham
kar jafaa o jaur Khaatir Khvaah too

kaahish e dil bhii du chandaaN kyoN nah ho
aaNkh meN aave nah do do maah too

dil dihii kyaa kii hai yuuN hii chaahiye
ai zahe too aafiriiN too vaah too

"Miir" too to 'aashiqii meN khap gayaa
mat kisii ko chand rauz ab chaah too


Mirza Ghalib

unread,
Jun 8, 2012, 7:40:58 PM6/8/12
to
> >
> > bai Khvudii rahtii hai ab aksar mujhe
> > Haal se maire nahiiN aagaah tuu
> >

Mohtaram Miir Sahib aur Faani Saahibaan

jaan paRtaa hai mujh se koi Khata ho gayi varne chaNd meri GhazaleN bhi pesh ho jaati, mujh KHud se to ye 'hote' se rahaa...

bai Khvudii rahtii hai ab aksar mujhe
Haal se maire Khuub aagaah tuu
0 new messages